Sunday 3 November 2019

Team work

Aparijita ne bike Jungle se hote huye Chaila ke pass mandir ki or mor diya. Aaj Aparijita ne kuchh dur baad hi sarak chhor kar jungle me bike utaar diya tha. 

Jis din Aparijita ne mandir ki chhanbin ki thi; usi din usne jungle me mandir tak pahunchne ke liye kuchh dusre raaste bhi dhoond nikaale the. 

Jungle ka sarak aur basti ke karib ka area ghana (dense) nahi tha. Par wo eisa bhi nahi tha koi waha apni bailagaari daura len. Haan, waha itni jagah jaroor thi jispar cycle ya bike chalayi jaa skati thi. 

Chuki yeh raaste daily istemaal me nahi aate the; isliye jaha-taha pero ke ug aane ki wajah se bagair thora mure aage badha nahi jaa sakta tha. Yehi karan tha ki agar thori duri ka raasta ho tabhi log jungle ke andar se jaate the nahi to sarak ka hi istemaal karte the.

Aparijita jab bhi Jungle ke aas-paas ke illake me gayi; usne hamesa alternative raaste dhudne ki kosis ki jise wo jaroorat parne par istemaal kar sake. Iske aalaba nature-lover hone ke kaaran wo khud sarak ke bajaye in raasto ko pasand karti thi jin par use kuchh chhote junglee janwaar aur rang-birange panchhi dikh jaate the.

Aparijita ne jungle ke raaste se mandir tak pahunchne se kuchh dur pahle hi bike rok diya. 

Mandir ke aas-paas ki zameen thori nam aur bhurbhuri thi. Aparijita mandir ke aas-paas apne bike ke tyres ke nisaan nahi chhorna chahti thi. Ek chhota sa bag lekar Apu aur Aru ki jori paidal hi mandir ki aur chal pari. 

Mandir me abhi umeed ke mutabik koi nahi tha.  

Dono ne bag se nikal kar waha microphone aur camere lagane suru kar diya. Thore hi der me mandir aur uske paas bane room me microphone aur camere lag chuke the. Yeh gadgets bahut hi chhote  the jo sirf guptchar agencies use karti thi. Camere chhote hone ke baabjood night vision ki ability se lais the.

Microphone aur camere dono bahut dheemi aawaz hone par khud hi active ho jaane wale khashiyat se lais the. Inke dwara collect ki jaa rahi feed takriban 500 meter  dur tak rakhe instrument me save ki jaa sakti thi. Iske aalaba instrument ko  5 km dur se bhi control kiya jaa sakta tha, jabki instrument aage lagaye gaye gadgets ko handle karta. 

Aparijita ne jungle ke guafao ke andar bhi spy gadget laga diya.  Gufa me dono ne microfone aur camera fit karne ke baad patthar ke color se milte color se us jagah ko eise paint kar diya ki drill ki hui jagah pata hi nahi chal rahi thi. Unhone zameen par paper bichha kar chhote-chhote surakh kiye tha. Drill se paida hui dhool ko gufa me bah rahe paani me baha diya gaya. 

Aparijita aur Arpita laut kar projector ki madad se white bord par drone dwara li gayi footage ko dekhte huye discuss karte hue kal subah ke liye  action plan bana rahi thi. 

=======================================================

 Dinner ke baad Aparijita ne Ghanshyam ko phone karke detail me report li. Saitan Singh ne apna  role baakhubi nibhaya tha. Dinesh ke sahyog se wo log masterji ke patni ko unki baato par yaqin dilaane me kamyaab ho gaye the.  Sarfarosh ke local member ko bhi aaj saam ko masterji ke patni se milwa diya gaya tha jo unhe yeh samjhane me kamyaab ho gaya tha ki unki gaariyo ka maintenance se lakar chalwaane ka sirdard uska hai aur unhe sirf apni gaariya deni hai jiske badle unke account me har mahine advance hi payment kar di jaayegi. 

Sabhi log Dinesh ke yaha hi ruke the aur praso yaani Tuesday raat tak waha ka saara kaam nipata kar wo log Wednesday ki subah masterji ko lekar sidhe Dr. Ritesh ke hospital me pahunchne waale the. 

Ghanshyam Wednesday saam tak wapas aake duty join karne ki baat kar raha tha. Aparijita ne Ghanshyam aur Dinesh ko sidhe Thrusday thane aane ko kaha.

"Aru, Saitan Singh ne apna role dhang se nibhaya hai. Use ab maali aur chowkidaar wale kaam se chhutkara dekar Sarfarosh ke missions me direct active role diya jaa sakta hai."

Arpita ne Aparijita ki baat par sahmati jatai.

Arpita Ritesh dwara Nirmala ko di jaa rahi encouragement se bhi khush thi. Wo dil se Nirmala ka bhala chahati thi. Kuchh hi dino me Nirmala ne apne vaywahar aur bahaduri se Arpita ke dil me jagah bana li thi.  

Arpita ne Nirmala aur Saitan Singh ki aankho me ek dusre ke liye pasandigi bhi dekhi thi par dono me se kisi ne bhi aage badh kar baat karne ki pahal nahi ki thi. 

Arpita jaanti thi abhi nahi to kuchh din baad dono me se koi ek zaroor pahal karega. Dono akele the isliye dono ko dilo me jeevansathi ki taalash thi. Arpita ne yeh baat Aparijita ko batayi. 

Arpita ne aaj ke din ki report Sarfarosh ke local members se li. Wo kaafi der tak unse aage ke kaam par baat karti rahi. 

Arpita ne phone mic par rakha tha taaki Aparijita bhi waha ki gatividiyo se baakif rahe. Halaki Aparijita ne pure call ke dauran ek bhi sabd nahi bola. Call khatam hone ke baad dono iss topic par kaafi der tak baat karti rahi.   

=====================================

Dusre din subah 5 baje dono taiyar hoke bike se ek baar phir chanutarenuma jagah par  pahunch gayi.
Aaj drone ka range suryodai ke samay aasmaan ko chhuti kirano waale area me kuchh Km ke range me tha. Arpita Sonbhadra se suryodai ke samay ke iss vismaykaari drisya ko dekhne ke liye aayi thi. 

Jaise – jaise suryodai ka samay najdik aa raha tha; sada chahkane waali Arpita ka chahakna kam  hota jaa raha tha.

Suryodai se ke chand minute pahle Arpita ekdam  khaamosh ho taktaki laga kar Aparijita dwara bataye gaye jungle ke hisse ko dekh rahi thi. 

Tabhi Suraj ne muskuraate hue apni aankhe kholi. 

Aasman ne Suraj ke sawagat me laalima liye galiche ko bichha diya. 

Suraj ki pahli kiran parte hi jungle se rosni ki kiran apne devta ke charan-vandna karne ko upar ki aur uthi. 

Arpita ne utejnna se Aparijita ka haanth thaam liya. Rosni ki kiran ko aankho se aujhal hote hi Arpita ne Aparijita ko gale laga liya.

“Yaar, yeh to laajwaab tha. Eisa maine sirf aaj tak kahaniyo me hi suna tha. Teri wajah se aaj maine yeh naa bhulne waala drishay dekh bhi liya."  Arpita ne khusi se chahkte hue kaha.

"Waise sach to yeh hai ki main bhi yeh khubsurat nazaara tumhaare wajah se hi dekh paayi hoon.  Agar tune report me iska jikra nahi kiya hota to mujhe kabhi pata nahi chalta. Yaha to sayad kisi ko abhi iske baare pata tak nahi hai." Aparijita ne Arpita ki taarif karte hue kaha.

Halaki drone rosni ka shrot ka footage nahi bhej paaya tha. Aaj ke footage se itna confirm to ho gaya tha ki Aparijita ne jis area ke baare me anumaan lagaya tha wo theek tha. Par abhi bhi wo daayra kuchh kilometer ka tha jise aur kam karne ki jaroorat thi.

Aparijita ne ek baar phir paancho gaun ka sarsari taur par drone ke jariye subah ho rahi gatividhiyo ko dekha. 8 baje ke karib dono wapas Aparijita ke quarter me lauti. 

Aparijita ne breakfast ke baad Arpita ko Arvind ke garage par chhora. Yaha dono ne  Arvind se kuchh der kal decide hue kaamo par baaten kar Arvind ko kuchh aur jimmedaari saupi. Iske baad dono apne-apne raaste nikal pari.

Aparijita laut ke phir 2 ghante soyi. Dopahar me 1 baje wo taiyar hoke thaane me aayi. Usne aate hi Harilal ko apne cabin me bulaya.  

==========================================

Ghanshayam aur Dinesh ke aalabaa kisi ko bhi masterji ka help ki detail nahi pata tha.  Dono ko spasht nirdesh tha ki puchhane par sabko yehi batana hai ki masterji ko acche hospital me treatment ke liye bharti karwaane gaye the. 

Aparijita ne Harilal ko Ghanshyam ke laut aane tak dopahar 3 se raat 8 baje tak thane me Harilal ki help ke liye khud mauzod rahne ki baat batayi. 

"Madam, aap befikra hoke chhanbin kijye. Main yaha sambhal lunga."  Harilal ne viswaas bhare swar me kaha.

"Mujhe pata hai ki aap sambhal lenge. Abhi hamare paas 2 log kam hain aur agar main ek baar jungle ke andar chali gayi to sayad mobile network bhi naa mile; isliye abhi 2-3 din main dur tak nahi jaayungi. Mujhe kuchh ebooks yaha ke guafao ke baare me mile hai jiske study ke liye bhi mujhe time chahiye. Main in dino me use khatam kar lungi." Aparijita ne Harilal ko kaha.

Harilal waqt aane par kisi kathin paristhithi ko sambhal paayega  yaa nahi; is par Aparijita ko pura viswaas nahi tha. Haa, Harilal aur Ghanshyam dono mil kar kisi bhi situation ko control kar sakte the.

"Harilalji, maine iss paper par un bahar se aake rahne waale logo ke naam aur pate likhe hai jo puri tarah se javed ke anusaar clean nahi hai. Aap 4 logo ko inke baare me pata karne ko laga dijeye." 

Aparijita ne Javed ki di file se note kiya hua paper Harilal ko dete hue kaha.

"Iske aalaba aap unlogo ke baare me jaankaari ekttha karen jo kisi bhi rajnaitik party ya vaykti ke baare me badh-chad kar bolte hain yaa phir andh-bhakt hain.  Iske liye dusro ke aalaba aap khud inn gauno me aapke jaankaro se mil baatchit me unke baare me pata karen. Humlogo ne abhi tak iss tarah ke kisi bande ko bilkul bhi nahi jancha-parkha hai." 

Aparijita ne iss tarah Harilal ko agle 2-3 din ke liye active chhanbin ke kaam me laga diya.

Aparijita ne Harilal ko kuchh had tak sach bataya tha. Kal subah hi Aparijita ne Sarfarosh ke litearture department se jure members ko Premnagar ke jungle se sambahdhit har uplabdh samgri ko use uplabdh karwaane ka nirdesh bhijwaya tha. 

Ram Prasad Bismil ke sanghtan se jure members bhi Premnagar aate-jaate rahe the. Isliye Aparijita ne unse sambahdhit jaankari bhi upload karne ke liye nirdesh diya tha. Halaki iss baat ki kam sambhavna thi krantikaario se juri sacchi kahani book ke sakal me jayada mile kyuki azaadi ke pahle angrezo se apna rahasya chhupane ke liye note karke jaankari rakhne se bacha jaata tha. Aur azaadi ke baad naye bane neta kisi krantikaari ki jai-jaikar hone dekar apni nayi saji dukaan band nahi karana chahte the. 

Aparijita ne krantikaario ke vans se jure Premnagar ya uske aas-paas rahne waale logo ko ki chhoti si chhoti jaankari uplabdh karaane par jayda jor diya tha. Halaki Aparijita ke apne staff me se kuchh log krantikaario ke peedhi se aate the par unme se kisi ke pariwaar me eise log abhi jinda nahi the jo is maamle me uski koi madad kar sakte.

No comments:

Post a Comment