Sunday 10 November 2019

Gupt Daan

Aparijita ne parso raat hi Sarfarosh ki online book libarary se Hindustani tantra se jure tantra ki ritual par jitni jaankari thi use apne laptop me download ki thi. Aaj subah kuchh aur books libarary me upload ki gayi thi; jise wo download kar rahi thi. 

Aparijita ko koi galatphami nahi thi ki wo chand kitaabe padh kar tantra ko samjhane lagegi; par use viswaas tha ki sayad is se yeh pata chal jaaye ki tantrik tantra ki kis shakha se sambandhit hai; yeh jaan kar sayad wo tantrik ko aur jayada samajh sake. 

Aparijita aaj ke jayadatar modern logo ki tarah tantra ko sirf dhakosla nahi maanti thi. Uska manna tha ki yeh bhi ek science hai jise aujha aur laalchi logo ne apne phayede ke liye iss buri tarah se istemaal kiya hai ki wo aaj ke din nahut buri tarah badnaam tha aur koi bhi padha-likha vaykti isme parna nahi chahta hai. Iske aalaba wo yeh bhi maanti thi kuchh alokik sakti aur pret-aatmaye bhi hoti hai. Iska ek kaaran yeh bhi tha ki videsh me padhayi ke dauran wo kuchh students ke saath planchet ke jariye pretaatmayo se sampark kar chuki thi.

Aparijita ne Raj naam ke constable ko bula bheja. 

Raj ka ek dur ke ristedaar Chaila me rahte tha. Raaj bahut kam us ristedaar ke paas aata jata tha; saath hi duri banaye rakhne ke liye Chaila me nahi rahta tha. Usne bahana banya hua tha ki uske paas bike nahi hai isliye raat me jaroorat parne par wo Chaila se thana jungle hote hue nahi aa payega. 

"Raj, mujhe pata chala hai ki idhar pichhle 2-3 mahine me tum kai baar Chaila gaye ho aur kai baar waha ruke bhi ho." Raj ke aate hi Aparijita ne kaha.

Raj thori der shaant raha. Wo samjah nahi paa raha tha ki us se yeh sab kyu puchha jaa raha hai. Usne apni gradan dheeme se haan me hilaayi.

Raj abhi tak khara tha. Aparijita samajh gayi ki wo aachanak ke iss swaal-jabab se nervous ho gaya hai. 

Aparijita ne use baithne ko kaha.

Raj ke baithte hi Aparijita use samjhaane lagi.

"Tum kyu nervous ho rahe ho. Main Premanagar ke aalaba baaki 4 gaun ke baare me apne staff se janana chahti hoon. Javed humari madad kar raha hai par wo police wala nahi hai. Hum me se kai log Premnagar me rahte hain ya aate-jaate hain, isliye Premnagar ke baare me hume kaafi kuchh pata hai. Main baaki 4 gaun se jure logo se waha ki jaankaari jama kar rahi hoon. "

Aparijita ke baato se Raj ka teji se dharkta dil kuchh normal hua. 

Raj ne Aparijita ko Chaila ke baare me jo kuchh bhi jaanta tha, bataya.

Aparijita ne issi tarah baaki teen gaun ke baare me baaki staff members se pata kiya.

Aparijita ko iss baat par aascharya ho raha tha ki abhi tak aisi koi bhi jaankari nahi mili thi jo tantrik dwara logo ko bharkaye jaane ki aur issara karti thi. Par intelligence ki report ko jhutlaya bhi nahi jaa sakta tha. 

Aparijita ko Arpita ne baato ke dauran bataya tha ki jis ke report upar yeh mission suru hua tha, us shaksh ka murder ho gaya tha. Yeh pata nahi chala tha ki murder issi report ke wajah se hui thi yaa kisi aur wajah se. Magar wo report Intelligence bureau se hote huye aage  Sarfarosh tak aayi thi. Intelligence bureau aaj ke date me iss report par kuchh nahi kar raha tha.

Aparijita ne aaj ke pahle bhi kai baar apne staff members se ghuma-phira kar tantrik ke baare janana chaha tha par zabaab sabne tantrik ke accha hi kaha tha. 

Aparijita ne local MLA Dhanraj  ke baare me bhi pata karwaya tha. MLA picchle mahine se kisi hill station par apna illaz karwa raha tha.  MLA ke 2-3 hafte me laut aane ke baare  me baaten chal rahi thi.   

Issi tarah Chaila ke Lallan jis par report me shaq jataya gaya tha, ke baare me bhi koi complain nahi aayi thi jabki report ke anusaar aajkal uske paas kanhi se kaafi rupaiye aa rahe the. Pahle wo sarab ki bhatti aur juye ka addaa chalata tha. Par Chaila aur Premnagar ke log use aahkal sudhra bata rahe the. Sunane me aaya tha ki Lallan aajkal sahar me kisi thekedaar ke yaha nokri karne laga hai jaha wo uske liye kaccha maal kharidta tha. Lallan ne kuchh kharidaari Chaila aur aas-paas ke gaun se bhi acche daam de ke ki thi; isliye jinhone use maal becha tha wo ab uski taarif karne me koi kasar nahi chhor rahe the. 

Aparijita ne Javed ko phone laga waqt milne par thaane me us se milne ko kaha. 

Javed ne saam 7 baje aane ki haami bhari.

Javed ke aane tak Aparijita laptop par Sarfarosh ke library me download ki gayi books padhti rahi. 

Javed ne jaise hi uske cabin par knock karke awaaz lagagi; Aparijita ne bookmaark laga kar books ko band kar Javed ko aane ko kaha.

Aparijita ne ek constable ko apne khud ke rakam se staaf ke acche kaam ke inaam ke taur par thane me lagwaai gayi tea machine se 2 chai dene ko kaha.  

 Aparijita generally kisi ko iss tarah ke kaam ke liye nahi bolti thi par Javed ko baitha chhor kar uska khud chai laana accha nahi lagta; isliye usne aaj ek constable ko iske liye kaha tha. Aparijita ko laga tha ki sayad wo constable iska bura maan jaayega par iske viprit wo iss baat se khush ho raha tha ki madam didi ne use koi personal kaam bola tha.

"Javed bhai. Aapke dwara di gayi list ko humlog check kar rahe hai. Main yaha aane se pahle jab yaha ke baare me jaankari ikkatha kar rahi thi; tab is illake ke MLA ke baare me suna tha ki wo aapko badnaam karna chahta tha. Par mujhe aaye hue kai hafte ho gaye par abhi tak in sahab ke darsan bhi nahi hua. " Aparijita ne chai peete hue Javed ki dukhti rag ko chhera. 

"Eisi koi baat nahi hai, madam. MLA sahab ne to apni safai de di thi. Unke anusaar us bande se unka koi baasta nahi tha. Yeh bhi sach hai ki kisi ne MLA sahab ko us bande se baat karte nahi suna tha." Javed ne thora dabe awaaz me kaha.

Aparijita ne Javed ke kahne ke tone se samajh liya ki Javed MLA jaise takatbar dusman ke against kuchh khul kar nahi bolna chahta hai. 

"Javed bhai, aap mujhse Dhanraj ke baare me khul kar baat kar sakte hain. Aapki tarah main bhi iss illake me shanti chahti hoon. Aur yeh tab tak possible nahi ho sakta hai jab tak ki main yaha ke baare me theek se jaan naa loon!" Aparijita ne Javed ko aashwat karte hue kaha . 

Jab Aparijita ne jab dekha ki Javed MLA ka naam bhi nahi le raha hai tab usne MLA ka naam  lete hue kaha. 

"Javed bhai, aap mujh par bharosa kar sakte hai. Aap mujh se Dhanraj ke baare me khul kar baat karen." Aparijita ne phir se Javed ko aashwat karte hue kaha. 

Aparijita ke  aashwat karne par Javed kuchh der chup raha, phir dhire-dhire usne batana suru kiya.

"Dhanraj aajkal ke dusre politician ki tarah hi hai.  Halaki Premnagar thane me aane wale paancho gaun me uska utna pravab nahi hai, phir bhi yaha bhi uske kuchh samarthak hain. Unme se kisi ne use bharka diya tha ki Javed ya Ramdayal me se koi agle election me uske khilaf khara ho sakta hai. Usne apne ko safe karne ke liye wo gandi chaal chali thi jisme yaha ke kuchh gaunwalo ne bhi saath diya tha; lekin ab wo baat purani ho chuki hai. Waise bhi abhi wo UP se bahar hai aur sayad agale mahine hi laute." 

Javed ne apne taur par kosis ki Aparijita uske itna kahne ke baad  topic drop kar de. Aparijita ke liye iss topic ko eise hi drop karna possible nahi tha. 

Intelligence report file karne wale ke murder ho jaane aur kisi ka naam atmosphere kharab karne wale ke taur par naa lene ke kaaran yeh ek paheli ban gayi thi. Aparijita ne us agent ke record check karwaye the. Report ke n ausaar wo puri acchi dhang se jaanch-partal ke baad hi report file karta tha; isliye uski report ko nazarandaaz karna bahut bari galti ho sakti thi.

Logo ko bare taur par bargalaane ki kosis bina kisi influence bale bande ke sambhav nahi thi. Yaha par waise 2 log hi dikh rahe the. Pahla nazar ke saamne tantrik tha jiske baare me abhi tak  koi galat report nahi aayi thi . Dusra local MLA Dhanraj tha jis se Aparijita ki abhi tak mulaakat nahi hui thi. 

Dhanraj is se pahle bhi Javed aur Ramdayal baale maamle me ghusa hua tha; jisme gaunwalo ki ekta ke karan use naakam hona para tha. Ho sakta tha ki wo usi se chidh kar unko alag-thalag karna chahta ho. Dhanraj apni chaal pit jaane ke baad shant hokar baith gaya hoga iss baat par Aparijita ko katai viswaas nahi tha. Wo apne apnubhav se jaanti thi,  iss tarah ke log haar milne ke baad aur bhi khatarknaak ban jaate hain.

"Javed bhai, ho sakta hai ki Dhanraj ab sudhar gaya ho phir bhi us se satark rahne ki jaroorat hai." 

"Madam, wo ab to gaun bhi kam hi aata hai."  Javed ne iss tarah se jawaab diya jaise wo iss topic par  ab aur baat nahi karna chahta ho - "Usne to kuchh gundo ko bhi acche raaste par laa diya hai." 

Gundo ko sudharane wali baat par Aparijita ke kaan khare ho gaye. Use apne staff members par gussa bhi aaya ki kisi ne bhi itni mahatpurn baat nahi batayi thi.

Aparijita ne apne chehre ke bhav ko shant banye rakha aur utsukukta bhare swar me Javed se baat karne lagi.

"Are, yeh to kamaal ho gaya! Matlab Jayaprakash Narayan(known for surrendar of dacoits) ka naya avtaar.  Please, mujhe batayie ki yeh kaam Dhanraj ne kaise kiya."

Javed samjah nahi paa raha tha ki Aparijita ne yeh vayang me kaha hai ya sach me Dhanraj ki taarif kar rahi hai.

"Madam, Chaila me pahle sarab ki avaidh bhatti Lallan naam ka local gunde aur uske kuchh chele-chapato  dwara chalaya jata tha. Maine kai baar use band karane ki kosis ki, aur iske liye pichhle thanedaar se bhi mila tha. Par in sabka  koi fayada nahi hua kyuki thanedaar khud Lallan se mila hua tha. Mere bolne par Lallan jawaab deta tha ki uske paas koi kaam nahi hai; isliye wo iss dhande me hai aur wo apna dhandha shanti se chalata hai."

Javed batate hue ek pal ko ruka aur Aparijita ke chehre ki aur dekha.  Abhi bhi Aparijita ke chehre par koi eisa bhav nahi tha jis se Javed uske man ki actual thah paa sake. Aparijita ke chehre par sirf utsukta ka bhav dikhayi de rahe the.

"Ek din Dhanraj kisi kaam se Chaila gaya tha. Chaila ki aurto ne sharab ke kaaran unke parivaar me ho rahe kalah ke baare me Dhanraj ko bataya. Dhanraj Lallan se milne uske bhatti par gaya.  Dusre din sabne dekha ki sarab ki bhatti band ho gayi hai. "

Javed 2-3 seconds ke liye chup hokar Aparijita ki chehre or dekha kaha utsukta ke bhaav aur jayada badhi dikh rahi thi. 

"Lallan ne sabko bataya ki netaji ne uski naukari sahar me lagwa di hai. Sarafat ka kaam mil jaane ke karan ab wo saare galat dhande chhor raha hai. Lallan ne bhatti torte waqt gaun waalo ko dhamkaya tha ki  agar kisi ne sarab ki bhatti iss ilaake me kholne ki kosis ki to wo use isi bhatti ki tarah tor daalega. Tab se aaj tak Chaila me sarab ki bhatti nahi lagi."  

Javed itna kah kar Aparijita ki or uska reaction jaanne ko dekhne laga.

"Yeh to usne bahoot accha kaam kiya hai.  Chor ko chori se bhi dur kar diya aur usi ko pahredaar bana ke baaki choro ko bhi aane nahi diya."

Aparijita ke iss jawaab par Javed ne phir se uske chehre ko gaur se dekha ki kanhi usme koi vayang to nahi chhipa hai;  par Aparijita ke chehre par eisa koi bahv nahi tha. 

Javed  iss larki ke buddhimani ka kayal tha aur use lag raha tha ki in sab puchh-taachh ke pichhe kuchh eisa hain jo wo samjah nahi paa raha hai. Javed ne apne dimaag me aa rahe vicharo ko jhatak diya. Use naa jaane kyu yeh vishwaas ho chala tha ki yeh larki jo bhi karegi us se gaun ka bhala hi hoga.

"Ho sakta hai ki Dhanraj aur Lallan ka hirday pariwartan ho gaya ho!" Aparijita sanjida swar me baat kar rahi thi -  "Phir bhi main  chahti hoon ki aap unke baare me jo bhi jaante hai use mujhe bataye taaki kal ko koi unke past ke kisi mudde ko utha kar unko phir se galat raaste par le jaane ya phasane ki kosis kare to main waqt rahte kuchh karwaai kar saku."

Javed ne thore der tak Lallan aur Dhanraj se related apne paas uplabdh saari jaankari Aparijita ko deta raha. 

Aparijita ne apni baak-patuta se Javed se anjaane me aur bhi baaten nikalwa li. 

Aparijita ko undono ke hirday pariwartan waali baat par jara bhi bharosa nahi tha. Upar se intelligence report me bhi unke khilaaf baaten thi.  Aparijita ne Javed ko wahi samjhane diya jo wo Aparijita ko samjhate dekhna chahta tha.  Javed ne baato ke duran Dhanraj ke ek supporter ke roop me Abhaipur ka Abbas ka bhi naam liya; jo Dhanraj ke yaha hone waale jayadatar meeting me rahta hai.

Javed jab jaane laga to Aparijita ne use kuchh der rukne ko kaha. Javed ko bara sukhad aascharya hua jab Aparijita ne use ek bag diya.

"Javed bhai, Harilalji se  mujhe pata chala tha; aap yaha ek library aur hall banana chahte hai jaha log aake kuchh padh sake aur  chhoti-moti baithak laga sake. Aapni sarkari madad ke liye bhi prayash kiya. Sarkar se fund  naa milne ke karan aap yeh kaam nahi kar paa rahe hain. Maine baato ke dauran apne ek doctor parichit ke NRI friend se iska jikra kiya tha. Mujhe aaj hi yeh 10 lakh ke rakam aapke iss nek kaam ke liye bheje gaye hai."

Apariita ne Kalicharan se mile 10 lakh Javed ko de diya. Iske saath usne Javed ko kuchh salah bhi diya. Uski har salah direct  nahi thi . Usne har salah baatchit ke duarn eise saza kar pesh kiya tha jo saamne wale ko uske yojna ke behtari me kucch extra input lage. Aparijita jyadatar waqt Javed ki hi sunti rahi aur bich-bich me "agar aap eisa karen to sayad aur behtar hoga"  jaise salah baatchit ke dauran Javed ko sarkaya.

Javed ka chehra jaate waqt khushi se  chamak raha tha. Usne jaate waqt garamjosi se Aparijita se haath mila thanks bola.

"Are, Javed bhai! Isme thanks wali kya baat hai. Mujhe pata hai ki aapke pariwaar ke logo ne desh ke aazadi ke liye bahut kurbania di hai. Aap naye generation ke logo dwara itni kurbaanio se mili azaadi ka mahtab naa dete dekh kar dukhi the aur chahte the yaha aazadi ke jung se jure saahitya ho taaki log ye na bhule ki hume aazadi kitni kurbaanio ke baad mili hai."

Aparijita baat karte hue ghum kar Javed ke paas aa gayi thi. Usne Javed ke kandhe par haath rakhte hue kaha.

"Haan, Madam ab bhi meri aankhe apne pariwaar aur dusre swatantra sananio ki kurbaani aur jhele gaye dukh ko yaad kar bhar aata hai. Saath hi iss baat se sar fakra se uncha ho jaata hai ki main eise pariwaar se aata hoon jinhone apne khoon se iss vatan ka karz chukaya hai. "  Javed ke andar se zazbaato ka sailab baahar nikal raha tha -"Par aajkal ke bacche baat-baat par kahte hai ki is se to achha angrejo ke gulam hi the." Javed ne bhare gale se kaha.

"Mujhe viswaas hai ki aapke parayas se wo phir se apni zameen se jur jaayenge.  Aap paancho  gaaun ke bare bujrgo se milte rahiye aur unhe bhi samay-samay par library aur baithak me aane ko kahe taaki nayi aur purani peedhi kuchh samay saath bitaye. "

Javed ka sar sahmati me hila.  Javed itna jayada zazbaati ho gaya tha ki uske mooh se bol nahi nikal paaye. 

"Are Javed bhai, Isme mera bhi to fayda hai. Log agar aapas me milte-julte rahege to  kisi ko apbaah phailane ki himmat nahi hogi. Jisse yaha shanti rahegi aur mujhe Jawani me hi pension ka maza milega!"

Aparijita ne mahaul me base sanzidgi ko dur karne ke liye halka sa thahaka lagate hue kaha. 

Javed ne jaate-jaate Aparijita se vada liya ki udghatan ke liye us meharban doctor sahab ko aana hi parega jinke mitr ne itni bari rakam daan di hai.

Javed ke jaane ke baad Aparijita iss mission aur report me di gayi baato ka vartamaan   stithi se milaan kar rahi thi.

⦁    Report ke anusaar yaha ke jungle me apraadhi chhupne ke liye aate the.  Jagga ke roop me aparadhi gaun tak apni pahunch banane me kaamyab ho gaye the. Jagga aur uske saathio ko jungle ke andar aate- jaate bhi dekha gaya tha. Jungle ke aur chhanbin ki zaroorat thi.

⦁    Report me pocher ke jariye gaaunwaalo ko bharkaye jaane ki aasanka jatayi gayi thi. Drone se dekhe gaye Dadauli ke footage se yah jaahir tha ki waha ke baasinde jungle ke hirano ko apne baccho ki tarah maante hai aur agar unhe kuchh ho gaya to wo gusse me kuchh bhi kar sakte hai. Aparijita dwara abhi chali gayi library aur baithak waali chaal se ab paancho gaun waale aapas me milte rahne waale the; jiske karan turant hi Dadauli ke log jos me koi kadam nahi uthane waale the. Abhi tak Aparijita ke jungle adventure me kisi pocher ka nisaan tak nahi mila tha; par iska kaaran yeh bhi ho sakta tha ki pocher giroh abhi nadi ke dusre or sakriya ho ya unhone abhi apni gatividhi kam kar rakhi ho.

Aparijita ne Drone ke jariye nadi ke dusre taraf ke hisse par kuchh din tak nazar rakhne ka  faisla liya.

⦁    Gaun ke fizao me zahar gholne ki baat bhi report me thi jiska abhi tak koi thos saboot nahi mila tha. Thori bahoot narazgi to har jagah hoti hai. Javed aur Harilal ko iss baare me pata nahi tha to iska matlab isme bilkul naye umar ke naujawan ho sakte the jinse inlogo ka jayda vaasta nahi parta hai. Is maamle me Tantrik, Dhanraj, Abbas ya Lallan me se koi ya sab involve ho sakte the. 

Aparijita ne faisala liya ki wo khud gaun me kuchh logo se milegi tabhi use unse ki gayi baato ke jariye andruni baaten pata chalegi. Aparijita ko ab eisa raasta dhundhna tha jis se wo bagair jayada logo se mile bahut kuchh pata kar sake. Aparijita ko aurato ke andar apni pahunch banani jayada aasan lagi aur saath hi aurato ke baatuni sawabh se use jaankari milne ki jayda sambhavana lagi.

Aparijita ne Gopu ke gaun bhar ke mama hone ka bhi fayada uthane ki sochi. Jayadatar gharo me uski pahunch hone ke kaaran naujawaano ke andar aa rahe badlaab wo unke ghar waalo se jaan sakta tha. 

⦁    Botany se jure experiment ke baare me kisi ne kuchh jikra nahi kiya tha. Aparijita ne isse nazarandaaz karna theek nahi samjha aur apne taur par iski chhanbin karne ki thaani.

⦁    Mission ka sabse mahatpurn kaam Sonbhadra me Sarfarosh ka local center banana tha. Jis par kaam suru ho chuka tha aur uska jimma Arpita ke mazboot kandho par tha. Dr. Ritesh ke baare me usne Ajay Rai aur Sarfarosh ke files se jaankari li thi. Aparijita ko vishwaas tha ki Arpita ke saath mil kar wo zald hi ek fully functional subcenter khara kar lega. Kisi bhi madad ke liye Aparijita unke paas mauzod thi. 

⦁    Is mission me kisi aam Policewaale ki jagah Aparijita ko bhejne ka sabse bara reason tha ki  kisi tarah se gaun ke haalat ko iss tarah se badla jaaye taaki koi aasani se unhe larwa naa sake. Aparijita ne iska safaltapurbak suruaat kar di thi. Use poora viswaas tha ki wo aage bhi safal rahegi. 

Is maamle ko handle karne me Aparijita ne  kamaal dikhya tha. Saara kuchh planned way me hone ke baawzud iss tarah se ho raha tha jo zara sa bhi asawabhik nahi lag raha tha. In paancho  gauno me shanti bani rahe iske liye zaroori tha ki iske fizao me chuppe zahar failane wale pakar me aayen. Aparijita ko umeed thi zald hi wo unhe pahchaan legi.

=============================================

Aaj Sombar tha aur tantrik sayad subah hi Chaila aa chuka tha. Tantrik aur Shera dwara ki jaane waali baatchit ke anusaar sayad jald hi tantrik ka yaha ka routine change hone wala tha.

No comments:

Post a Comment