Saturday 28 March 2020

Ek Dukhad Kahani


Bahut der se ek sawal Ghanshyam ke dimag me ghum raha tha, Aparijita ko thora relax dekh kar usne wo sawal Aparijita se puchh dala.

"Madam didi, mujhe pura yakeen hai ki aapne suru me hi decide kar liya tha ki Javed aur Ramdayalji se encounter me koi kaam nahi lengi, phir aapne unhe gun ke saath aane ko kyu kaha!"

"Tumne theek samjha hai, Ghanshyam! Mera unhe khatre me daalne ka koi irrada nahi tha. Unhe guns ke saath aane ko kaha tha ki jis se Daduli ke logo ko lage ki Premnagar waale unke liye jaan lene-dene ko taiyar the.  Aur yeh sach bhi hai. Tumne khud dekha hai ki Ramdayal aur Javed hamare saath aana chahte the. Tum dekh lena ki yeh baat wo (Daduli ke bujurg) zaban se nahi kahege par yeh unke zehan me eise baith jayegi ki wo naraaz Daduli ke logo ko shant karne me iss baat ka khas jikra karenge." Aparijita ne muskurate hue kaha.

Aparijita ne apne mobile ke saktisaali camera ki madad se encounter waali jagah aur maare gaye apradhiyo  ki kaafi snaps utari.

Iske baad Aparijita ne Ghanshyam ko bula kar aage ka kaam samjha khud bike utha kar chabutare ki aur chal pari. 5 minute ke baad Aparijita drone ke saath niche utar rahi thi.
Aparijita sarak ko bagair touch kiye jungle ke raaste se apne quarter pahunch drone ko surakshit rakh,kapre badal thane ki aur badh chali.

-----------------------  *  -----------------------------------  *   ----------------------------   * ----------------

Thane me Ramdyal, Javed aur Dadauli ke dono bujurg utkanthta se Aparijita ki pratiksha kar rahe the. 

Aparijita apne cabin unke saath chai peete-pilate hue unhe saare apradhiyo ke maare jaane aur ek police waale ke ghayal hone ke baare me bataya.  Sabhi kaafi der tak chaaro gaaun ke logo ko iss ghatna ko kis tarah batani hai, is par charcha karte rahe. 

Aparijita ne iss baat par khas jor diya ki Kanwarpaal aur Billo ki baato se saaf pata chal raha tha ki unlogo ne van maalik ko chaalaki se isme phasya tha. Phir bhi van maalik ka dosh tha ki usne bagair parkhe van unke hawale kar diya tha. Usne un chaaro ko aashwat kiya ki wo khud us se puchh-taachh karegi aur yeh saza bhi uske liye kaafi hogi ki ab use van court ke kaafi chakkar kaatne ke baad hi milegi.

Aparijita ne un chaaro ko sujhab diya ki iske pahle ki gaun me tanav phaile, dono gaun waale aapas me baith kar iss par baat kare taaki kisi ko apwah phailane ka mauka naa mile. Van maalik ko bhi wo log chaahe to 1-2 din baad bula kar apna paksh rakhne ka muaka den aur panchayat us par jurmana tai kare. 

Dadauli ke dono bujrag hirano ke sammanpurak antim sanskar ke baare me pata karne lage. Aparijita ne unhe bataya ki usne forest department ko khabar kar di hai aur wo log bhi Dadauli ke logo ki sentiment ko samjhte hain, isliye aasa karte hain ki saam tak wo log Hirano ke sabo ko Dadauli le aayenge taaki unke nigraani me unka antim karya kiya jaa sake.

Aparijita se baat kar sabhi Ramdayal ki jeep par gaunwaalo se baat karne daduli ki aur nikal pare. Dadauli me dono bujurgo ki kaafi izzat thi,  koi bhi unke baat ke upar apni baat nahi kahta tha. Iske saath-saath Javed ki Dadauli me pahle se kaafi izzat thi aur apne idhar kiye gaye kaamo aur bhalmansahat ke kaaran Ramdayal ke prati bhi Dadauli ke logo me samman tha.

============================================= 

Daduli me drone dwara dikhaye gaye mandir ke paas bargard ke per ke niche ek meeting ho rahi thi. Chaaro ne hirano ke baare me dukhad samachar dete hue abhi huye encounter ke baare me sabko bataya. Unhone van maalik ke baare me iss tarah se baaten rakhi ki logo ko us se thori sahanubhuti ho gayi ki us bhale aadmi ko chalaki se phasya gaya. Van maalik jo aajkal Sonbhadra me rahta tha, Dadauli ke logo ke kai baar bagair koi ujrat liye kaam aa chuka tha aur vaastav me ek bhala aadmi tha; isliye gussa rahte hue bhi us se sahunbhuti rakhte logo ki kami nahi thi.

Ramdayal aur Javed dono bujurgo ke saath thori der baad Premnagar ki or chal pare.

Idhar Aparijita ne Sonbhadra ke HQ me khabar kar di thi.  Itni jaldi phir se encounter hone aur jis tarah se AK-47 istemaal hua tha, jaan kar HQ me harkamp mach gaya. 

Aadhe ghante ke andar uchh adhikario ka ek kaafila Premnagar ki or nikal para. 

Idhar kuchh constable ko Ghanshyam ne thane wapas bhej diya tha. Tabhi Aparijita ko dhyan aaya ki kuchh din pahle usne ek crane nahar par bane pul par dekha tha.

Aparijita ne pucch-taachh karayi to pata chala ki wo abhi bhi wahi hai aur theek halat me hai. Usne thane laute Japu ko turant us crane ke driver ko bulwa bheja jo Premnagar me hi thahra hua tha. Uske aate hi Aparijita ne use van ko thane tak laane ka kaam ek rakam tai karke saup diya. 

1 ghante baad hi Chaila se Sonbhadra jaane waali bus ki timing thi.  Jaldi ke liye Japu us driver ko apne bike par crane tak le gaya. 

Japu aur crane ka driver crane ke saath aage-picche encounter waali jagah par pahunche. Jald hi waha mauzod Ghanshyam, Gopu aur baaki ke log van ko crane se tow karne me madad karne lage. 45 minute baad saare log thane ke compound me the. 

Jeep me mare gaye saare aparadhiyo ki laase laayi gayi thi. 

Van ko ek per ke niche rakha gaya tha. Aparijita ne 3 logo ki duty van ko suarkshit rakhne me laga di thi. Grenade ke dhamke aur goliyo ki awaaz gaun me bhi suni gayi thi.  Jis tarah se goliya chali thi, kuchh der to gaun waalo ko to laga tha ki kisi dusman desh ne hamala kar diya ho. Saare gaun waale jo jaha tha wahi dubke gaye the. 

Dheere-dheere gaunwaale apne chhipne ki jagah se bahar aake apas me ispar baat kar rahe the. Phir unlogo ne thane ki aur rukh kiya. 

Dheere- dheere thane ke paas logo ka huzom jamne laga tha.

Aaj ke liye Aparijita ka strict aur clear instruction tha ki koi bhi bahar ka banda thane ke compund me nahi dikhna chahiye. Isliye utsuk log thane ke compund ko bahar se gher kar khare the.

Tabhi ek banda daurta hua bheer ke paas pahuncha aur unhe gaun ke meeting room me aane ke liye Javed ka sandesa diya.  Kuchh hi der me jayadatar bheer chhat gayi.

Gaun me ho rahi meeting me Javed, Ramdayal aur Dadauli  ke dono bujrgo sahit kucch aur umardaraj log Dadauli aur Premnagar se upasthit the. Jald hi sabko aaj hui ghtana bata di gayi aur saath me us aadmi ko bhi hero ki tarah pes kiya gaya jisne thane me jaake khabar di thi. Ramdayal ne apni taraf se us bande ko 11,000 ki rakam inaam ke taur par di.

Meeting is sahmati ke saath khatam hui ki thane ke paas bheer naa jama ki jaaye taaki Policewaale apna kaam kar zaldi se un hirano ki laase Dadauli ki logo ke supurd kar sake. Aane waale kal ko dono gaun waalo ki taraf se kucch logo dwara thaane jaa ke police waalo ko unke behtarin kaam ke liye guldaste bhent karne ka bhi nirnay liya gaya. Saath me gaun ki panchayat me  van ke maalik ko bhi apna paksh rakhne ka muka dene ki baat par sahmati hote hi van maalik ko kal aakar apna paksh rakhne ki baat phone karke bata di gayi.

------------   *                   ---------------------------   * -------------------------  *  ------------

10 bajte-bajte Sonbhadra se police ke ucch adhikari aa phunche.  Unhone encounter ki saari detail jaanane aur ghantna-stahl ka muyana karne ke baad Aparijita ki strategy aur unke saathiyo ki himmat ki kaafi prasnasa ki. Unhone viswaas dilaya ki kal hi list me di gayi hathiyaaro ka replacement aa jayega aur wo kosis karenge ki kam se kam ek-do AK- 47 yaha ke thane ko mile.

Aparijita ne ucch-adhikario se khabar dene waale  gaun waale ko kuchh puruskar dilwane ki baat kahi, ucch-adhikario ne uski yeh baat bhi maan li. 

Ucch-adhikario ke Aparijita Premnagar ke chhote hospital me pahunchi, jaha Baldev ka illaz chal raha tha. 

Baldev sharminda tha ki uske bewakoofi  se naa sirf encounter phail hote-hote bacha tha balki Gopu ki jaan bhi khatre me par gayi thi. 

Baldev Aparijita ko dekh kar kuchh bolna hi chahta tha ki Aparijita ne issare se use chup kara diya. Aparijita ne thora apne taraf se jor kar Baldev ki bahaduri ki baaten batayi. Uchh-adhikari Baldev ki taarif karte hue uske jaldi theek hone ki wish karke wapas Sonbhadra chale gaye. 

=================================================

Aparijita  ke thane pahunchne tak forest department ke log aa chuke the. Aparijita ne night staff ko 2 ghante late aane ko unhe ghar bhaej diya.  

Aparijita ne forest department ke adhikaari se mil kar Dadauli ke logo ke sentiment ke baare me bataya.  

Forest department ke logo ne Kanwarpaal ke baare me Aparijita ko kaafi jaankari di. Kanwarpaal ka forest department me kaafi khauf tha. Kanwarpaal ka giroh kai forest department ke logo ki jaan le chuka tha. Kanwarpaal ke maare jaane par un logo ne police waalo ki dil se taarif ki aur iss mamle me unhe apna pura sahyog dene ka vada kiya. 

Forest department ke logo ne thane me hi ek temporary office bana li jaha wo hirano ki jaanch kar rahe the. 

2 bajte-bajte forest department ke logo kaam khatam ho gaya. Wo log apne nigraani me Dadauli me hirano ka antim sanskar karane ko raaji the. Iss bich postmortem ke liye apradhiyo ki laase Sonbhadra bhej di gayi thi.  

Aparijita ne Javed ko phone karke Dadauli ke logo ke saath thane me milne ko kaha. 

-----------------------------------------------------------------------------
Javed apne saath  puyal bicche kucch bailgaari lekar aaya. 

Thori der baad thane se ek police jeep me Aparijita ke alaba 4 aur police staff  bailgaario me lade hirano ke laaso ke peeche chal rahe the.   

Ramdayal ki jeep par Ramdayal, Javed aur subah waale Dadauli ke bujuro ke saath Premnagar ke bhi 2 bujurg the. Kucch log 1-2 bailgari par saath chal rahe the jabki forest department ke log apne 2 jeep me unke saath the. 

Dadauli me bahoot gamgeen mahaul tha. Gaun ki auarte dahare maar-maar kar ro rahi thi jabki mard apne aanso chhupate hue ro rahe the.  Premnagar se bhi kaafi log iss antim yatra me saamil hone aaye the. Yaha Aparijita ko Abbas bhi bheer me dikh para jo ek Dadauli ke bande ko dilasa raha tha jabki jo usko jakre jaar-jaar ro raha tha. Aparijita ko baad me pata chala ki wo banda Abbas ke saath bachpan me school me padha tha. Bachpan me Abbas, Shyam aur us bande ki dosti ki kahani aas-paas ke gaun me bahoot mashoor thi.

Abhi un hirano ke antim sanskar ki taiyari chal hi rahi thi ki ek paagal sa adher umar ka banda waha pahuncha. Usne haanto me 2 chhote- chhote cement ke  tukre pakar rakhe the.  Wo unhe rhytm me baza kar ek purana gaana gaane laga, jisne us mahul ko aur gamgeen bana diya.

    Aasaman pe hai khuda aur zameen pe hum
    Aasaman pe hai khuda aur zameen pe hum
    Aajakal wo is taraf dekhata hai kam
    Aasaman pe hai khuda aur zameen pe hum    Youtube Link
 
Uske gana khatam karte hi kuchh bujurg uske taraf badhe aur use saantavna dete hue ek taraf ko leke gaye.  Us bande ke baare me Aparijita ko subah aaye bujurgo me se ek ne bataya ki us bande KripaRam ka lok gayak ke taur par bahut naam tha. KripaRam logo ke farmaish par kabhi kabhi kuchh filmi gaane bhi gaya karta tha. Un dino wo bahoot khush-mizaz banda hua karta tha.  Usne Aparijita ko Kriparam ki kahani sunai.

Ek baar KripaRam ek bus ke safar ke dauran dacoit ki toli ke hatte chad gaya. Dacoito ne loot-maar karne ke baad uske aalba sabko bus me baitha diya aur use  apne saath bus ke nichhe le aaye . 

Dacoito ne KripaRam se bus ke musafiro ke jaan chhorne ke badle unhe geet sunane ko kaha.  

Dacoito ne KripaRam se vada kiya tha ki wo agar gaana sunkar khush huye to sabko zinda chhor denge. 2-2.5 ghante gaana sunne ke baad dacoito ne KripaRam ko bus ke musafiro se milne jaane ko kaha.  

KripaRam zaldi aane ke chakkar me gir gaya jiske kaaran uske bus tak pahuchne me der ho gayi. 

Kriparam jaise hi bus ke paas pahunchne hi wala tha ki bacoito ne blast kar diya. Blast se paida hui air-pressure ne Kriparam ko dur bhenk diya tha. Kriparam behosh ho chuka tha.

 Kriparam ki aankhe khuli to  uske saamne khun se lithri lasshe bikhri pari thi. Waha se gujarte ek police team ko wo "main unhe bacha nahi paya !! Main unhe bacha nahi paya !!" kahta hua laaso ke bich rota hua mila. 

KripaRam phir se behosh ho gaya tha. 

Jab KripaRam  ko hosh aaya to wo picche ki saari baaten bhul chuka tha aur saath hi bilkul chup ho gaya tha. Un police waalo me se kai uske fun ke kadardan the jinhone Dadauli tak khabar pahunchai.
Dadauli ke logo ne apne jaante bahoot kosis ki to dheere-dheere KripaRam thora bahoot bolne laga, par gaana jo uski zindgi thi jaise use wo koi beete sapne ki tarah bhul hi gaya tha. 

Dadauli ke log bich bich me KripaRam  ko koi movie DVD player par dikha kar use phir se gaane ki aur le jaane ka prayash karte the.  Picchle hafte Kriparam ko PK movie dikhayi thi jisme bomb dhamka dekh kar pahli baar iss gaane ke 2 line usne gaaya tha aur behosh ho gaya tha. Daduli  ke log turant movie bund kar use sambhalne lage the.  Aaj lagta tha ki un hirano ki laas jinhe Dadauli ke log apne baccho ki tarah maante hai, dekh kar use kucch-kuchh yaad aane laga tha. Par abhi bhi KripaRam ne Daduli ke logo ko nahi pahchana tha. 

 Aparijita ko ek kalakar ki yeh halat dekh kar taras aaya aur usne soch liya ki mauka milte hi wo KripaRam ke liye kuchh karegi. KripaRam ke yaddasat ka ek hissa sur aur taal ke roop me wapas aa chuka tha, isliye iss baat ki sambhana thi ki experts ki  madad se wo theek ho sakta tha aur saath hi psycological madad se uske man ke andar chhupi glani ki bus ke musafir uske acche gaane se bach sakte the, bhi dur ho sakti thi.

4 baje tak saare hirano ko antim sanskar karke Aparijita thane ki aur laut chali. Forest department ke log to antim sanskar ke turant baad hi chale gaye the. Ramdayal aur Javed Daduli hi ruk gaye the . 

-----------------------  *   ------------------------------------      *               ---------------------------

Thursday 26 March 2020

Shikario ka Shikar


 7.15 baje.  

Aparijita ki puri team ek dusre se handsfree ke jariye confresscall me thi. 

Aparijita ko chaar log 2-2 ke group me kandhe par lathho ki madad se hirano ko laate dikhe. 

Agale 5 minutes me wo baaki hairano tak pahunch gaye.  Billu ko Aparijita ne phone nikalte dekha.
"Boss, aa jao, ab sirf maal load karna hai." Billu ki awaz sunai pari. 

Teen minute ke baad hi Aparijita ko van apne taraf aate dikh pari jo us se thori dur pahle sarak se niche utarte huye jungle ke andar chali gayi. 

Aparijita ne apne saathiyo ko satark rahne ke liye ishara kar diya. 

Aparijita drone ke jariye Billo aur Kanwarpaal  par nazar rakhi hui thi.

Billo aur Kanwarpaal  aage ke kisi bare orders ke baare me baat kar rahe the. Jabki baaki ke teen log van me hirano ko thoos rahe the. 

Tabhi Aparijita ke paas Ghanshyam ka phone aaya.

"Madam didi, humne bailgaari laga kar raasta block kar diya hai. Iske aalba yaha kilo par chal kar tamasha dikhane waale ek bande se uska kilo bala instrument maang liya hai. Usne isse tarah de
sign karwaya hai ki isse kai hisso me khol kar lamba kiya jaa sakta hai ya phir aapas me jor kar bed banaya jaa sakta hai. Humne use ghaas aur kucch patto ki madad se sarak par bichha diya hai jiske kaaran ab koi bhi gaari yaha se nahi nikal paayegi. Agar aap izzazt de to hum bhi waha aana chahte hain."

"Theek hai, Tum aur Suresh waha se pero ke pichhe se daurte hue yaha pahuncho. Qadir wahi rahega taaki jarrorat parne par wo kilo waala patta waha se hata sake. Kisi bhi halat me wo akela apradhiyo se mukabla nahi karega."

Aparijita ne Suresh ko apne taraf aane aur Ghanshyam ko Gopu ki taraf jaane ko kaha.

Gopu ke side ke bando ko bata diya gaya ki Ghanshyam aa raha hai aur sabhi Ghanshyam ke nirdeso ka palan karenge.

7.35 par van me ladan ka kaam khatam hote hi Aparijita ne apne saathiyo ko final alert ka signal de diya. Jaise hi van sarak ke liye muri; Aparijita ke issare par Dinesh ne count down suru kar diya. 

Jaise hi Dinesh ki count down khatam hui, Van sarak par chadhti dikh pari. Van Kanwarpaal chala raha tha. 

Dinesh ne Police jeep ko sarak par aara-tirachha khara kar ke uske back me position le li. Baldev bhi uske saath dusre side se position liye khara tha.

Kanwarpaal abhi sarak par pahuncha hi tha ki kisi pret ki tarah Police jeep ko jungle se prakat hoke uska raasta rokte dekh kar bokhla gaya. Use pata tha ki Chaila ki  taraf jaake wo aage phas sakta tha kyuki aage raasta band tha, phir bhi use umeed thi ki waha se wo log paidal jungle ke raaste bhaag sakte hain aur ek baar jungle me ghush jaane ke baad unko pakar paana muskil hota. Usne van ko brake laga ke picche morna chaha. Abhi van aari hi hui thi ki Aparijita ki chalai goliyo ne uska raasta rok dala.

"Dhai- dhai"  lagatar 2 goliya chali aur van ke dahine taraf ke agla aur pichhala tyre brust ho gaya.
Kishore, Arjun, Raj aur Amit van ke rukte hi van ke baayen hisse ke tyres par goli chalane lage jiske karan agle chand seconds me baaki bache 2 tyres bhi brust ho gaye. 

Tabhi waha chhote loud speaker par Gopu ki awaaz gunj uthi jo aparadhiyo ko haath utha kar van se bahar aane ko kah raha tha. 

Aparijita ne Amit, Raj, Kishore aur Arjun ko dheere- dheere Japu aur Gopu ki badhte huye van ko gherne ko kaha.  

Idhar Kanwarpaal pahle 1-2 minute to bhochakka sa baitha raha.  Woh ek short-tempered banda tha.  Phase hone ke baabjud wo aatm-samarpan ko taiyar nahi tha. 

Kanwarpaal ne sabko AK 47 uthane ko kaha aur ek box ko seat ko paltate hue nikala. Usme kaafi extra magzine,  kuchh hand-grenade aur 2 smoke grenade dikh rahe the. 

Kai maihino pahle Kanwarpaal aur uske saathiyo ko Police ne ek baar gher liya tha jaha wo apne adhunik hathiyaro ke bal par 10 Police waalo ki team par bhaari pare the. Wo jaate-jaate ghayal police waalo ke sar me 10-10 goli maar gaye the jis se kisi ka bhi chehra pahchanne layak nahi bacha tha. Aaj bhi usne thaan liya tha ki wo kisi bhi Police waale ko zinda nahi chhorega.

Tab tak Ghanshyam aur Suresh apne saathiyo se mil chuke the.

Gopu ne ek baar phir se chetwaani di. Is baar uske taraf van se AK 47 ka ek brust fire aaya jo uske per ke aar me hone ke karan per ke mote tane me chhed karti chali gayi. 

Aparijita ka clear instruction tha ki aparadhiyo ko zinda pakrane ke chakkar me kisi bhi prakar se extra zokhim naa liya jaaye.

Ab dono taraf se goliya chalne lagi thi. 

AK 47 ke brust ke bich-bich me rifle aur revolver ki goliyo ki bhi awaz aa rahi thi. 

Agle 2 minutes ke andar hi van ka windscreen gayab ho chuka tha aur van ki body me darzano surakh dikh rahe the.

Abhi tak dono taraf me se kisi ko bhi koi nuksaan nahi pahuncha tha.  Dheere-dheere police team van ko chharo aur se gherte hue aage badh rahi thi. 

Kanwarpaal apne chharo taraf police waalo ko ghera daalte dekh aur bhi jayada gusse me aa gaya tha. Billo paristhithi ko dekhte hue surrender karne ki salah de baitha jiske sunte hi Kanwarpaal ne uski maa-bahan ek kar di. 

Achank Kanwarpaal ne box me 2 grenade nikala aur use Police jeep ke picche position liye Dinesh aur Baldev ki taraf ek ke baad ek uchhal diya. Van ke andar hone ke kaaran grenade uske soche gaye jagah se kuchh pahle jaa kar phate. 

Baldev iske pahle kabhi iss tarah ke parsisthithi me nahi para tha. Jab uske kuchh duri par grenade phata to wo ghabra kar jeep ke picche se nikal para aur apne baaki saathiyo ki or daura. Usko iss tarah se bhagta dekh kar uske baaki saathiyo ka kaleja munh ko ho aaya. Wo sidhe maut ke munh me bhaga jaa raha tha. 

Ghanshyam ke issare par udhar mauzod Police waale van par lagatar goliya chalne lage taaki koi Baldev ke angle par gun sidha naa kar sake. Iske baabjood 2 goliyo ne uske jaangh aur baanh ko zakhmi kar hi diya. 

Baldev wahi gir para. Uske aaknho me maut ka khauf aur bhi gahra ho gaya tha.
 
Ab yeh chand minutes ki hi baat thi koi goli Baldev ka bheja ura deti. Tabhi Gopu Aparijita ke issare par sarak ke nicche hote hue ek khaas agle par firing karne Naldev ke paas pahucha tha, sarak par teji ke saath kuda aur Baldev ko apne baaho me lapetate hue sarak ki dusri aur ludhak para. 

Gopu ko eisa karta dekh kar Billo ne uspar kai goliya chalai jo Gopu ke agal-bagal se nikal gai.

"Boss, hum log chuho ki tarah yaha phans gaye hain.  Agar issi tarah van me baithe rahe to hamara kirya-karam yehi ho jaayega."  Billo ne goliyo ki awaz ki bich chiilate hue Kanwarpaal se kaha.

"Tu theek kah raha hai.  Sidha jaane ke to swal hi nahi hota.  Agar hum baaye taraf bhagenge to aage jaake Daduli ne phas sakte hai. Hume dahine taraf ke jungle me ghusna hoga jaha ghane jungle me hamare bachne ke chances jayada hain. Dahine taraf se ek police waal kam hua hai. Maine uske chhupe hone ki jagah ke baare me andaaz laga liya hai. Udhar abhi 4 log hain. "

Kanwarpaal ne niche jhuke hue  hi 2 spot bataye.

"Agar hum grenade phenke to unhe picche hatna parega aur hume waha" usne ek aur spot ki taraf isshara karte hue kaha -"pahunchne ka mauka mil jaayega. Us jagah se hum inka mukabla kar sakte hain. Hamare paas 2 smoke grenade bhi hai. Jaise hi Billo aur main dahine taraf hamla karenge, tum dono baaye traf yeh smoke grenade phenk dena. Us se baayen taraf se koi bhi turant hamare pichhe nahi aa payega aur hume dahine taraf se bhagne ka mauka mil jayega.  Ek baar hum daayen taraf position lene me kamyaab ho gaye to phir hum aasani se laase bichhate hue nikal jaayenge. "

"Boss, wo log to hume niche utarye hi ura denge! Kyu naa surrendar kar diya jaaye." Ek ne chintit swar me kaha.

"Policewaalo ka ek saathi buri tarah zakhmi hai. Tujhe kya lagta hai ki wo tujhe surrender karne par zinda chhor denge. Wo tab bhi maar daalenge to kyu naa chance liya jaaye. Chalo suru ho jaayo!"

Idhar Gopu ke apne jagah se aage badhte hi Rohit apne morche par akela ho gaya tha, Isliye Aparijita ne Amit ko teji se Gopu ki jagah par pahunchane ko kaha.  Raj aur Ghanshyam ko aas-paas rahte hue unke taraf se van ko cover karna tha.

Abhi Amit jhuke-jhuke apni jagah chhor kar Rohit tak pahucha hi tha ki tabhi Kanwarpaal aur Billo ne grenade se Amit waali jagah par lagatar ek ke baad ek hamla liya, jabki uske dusre saathi baayen taraf smoke grenade se hamla kar chuke the. 

Amit grenade ki wajah se bane hawa ke dawab me gir para, halaki use kharoch bhi nahi aayi thi phir bhi Amit ne jab picche mur kar dekha to ek pal ko sakit ho gaya. Wo aankhe phaare us jagah ko dekh raha tha, agar wo usi jagah par hota to uske sarir ke chhitre ud gaye hote. Agle hi pal uske kaano me Aparijita ki awaaz gunji aur usne bhaag kar Rohit ke paas phunch kar position le liya.

Idhar jaise hi Aparijita ne grenade se Kanwarpaal aur Biilo ko hamla karte dekha to uske samajh me unka plan aa gaya. 

Aparijita bike tak daur kar pahunch us par chhalang laga kar baithate hi bike van ki aur mor diya.

Ab tak Billo aur Kanwarpaal sarak se nichhe utar chuke the jabki ek nichhe uatarne wala tha. Jabki 2 apradhi Amit aur Ghanshyam waale angle par fire karte hue sarak se niche jaane ki kosis kar rahe the.
Tabhi Aparijita ke beawaz bike ekdam se hawa me prakat hui aur unke upar se gujarne lagi. 

 "Dhai- dhai"  lagatar 2 goliya chali aur  dono ke sar ke pichhle hisso me chhed dikhne laga. 

Un badmaaso ke sarir se aatma unke sarir ke zameen ko  chhune se pahle hi tarap kar nikal gayi. 

Jab tak koi kuchh samajh pata Aparijita bike samet aage kahari Police jeep ke paas pahucnh chuki thi.
Sarak par safed dhua faila hua tha jiske karan Japu ke taraf ke saare members aage kuchh nahi dekh paa rahe the. Aparijita ne unse thora bara ghera kaat kar dusri taraf 2 hisso me Amit aur  Ghanshyam tak pahunchane ko kaha. Kishore ko Baldev ke paas rahne ko kah kar Gopu aur Dinesh ko Aparijita ne bike ke picche baitha kar bike sarak se nichhe utar jungle me ghusa di. 

1.5 minute ke baad bike jungle me ek unche jagah par khari thi. Yaha se Kanwarpaal ki gang range me thi aur inhe patthro ki oat haasil thi. Aparijita ne Dinesh aur Gopu ko wahi chhor aage ki or nikal pari. 

Kanwarpaal ne jab apne pichhe awaz sunke picche mur kar dekha; tab tak uske karne layak kuchh nahi bacha tha kyuki bike jeep ke picche pahunch chuki thi aur uske do sathi mudra bane zameen sungh rahe the.  
 

Kanwarpaal ne jo upper hand haasil kiya tha wo Aparijita ke karname ke kaaran khatam ho chuka tha. Itna fayada Kanwarpaal ke team ko jaroor hua tha ki ab wo log van me phase nahi the. 

Kanwarpaal ke team ke upar Ghanshyam, Raj, Rohit lagatar rifle aur revolver se goliya chala rahe the. Kanwarpaal zald se zald apne plan ki jagah par pahunchana chahta tha.

Kanwarpaal ke chehre par apne tai kiye jagah par pahuchte hi muskaan phail gayi. Usne Billo aur dusre saathi ko isshara kiya ki ab yaha se nikal chalo.

Kanwarpaal  aur Billo picche mur-mur kar brust fire kar rahe the taaki koi police waala unke picche naa aa sake. Idhar unka saathi apne daayen-baayen goliya chalata aage badha hi tha ki rifle ki ek goli sidhe uske baanye aankh me ghush kar sar ke picche se nikal gayi.  Usi waqt rifle ki ek goli uske gale me aa ghusi.

----------------------------------------------------------

Dinesh aur Gopu ne aate hi apne position par dam saadh kar baith gaye the. Unhe teeno apraadhi apni or goliya barsate aate dikh rahe the. Par unke movement aur us jagah ke banawat ke karan wo nissane par aa nahi rahe the. 

Dinesh fire karne ko uatabla ho raha tha par Gopu ne uska haath thapthapa kar use wait karne ko kaha. Idhar se goli naa chalne ke karan abi tak apraadhio ko unke iss position par hone ki khabar nahi thi.  

Zald hi Gopu aur Dinesh ko mauka mil gaya!

Jaise hi teesra apraadhi unke range me aaya, Gopu aur Dinesh ki rifles aage-peeche garaj uthi. Gopu ki goli ne jaha aankh ko nissana banaya tha wahi Dinesh ki Goli ne gale me hole kar diya tha. Goliya lagte hi wo apradhi zameen par gir para aur 2-3 baar eiriya ragar kar hamesa ke liye shant ho gaya.

Apne saathi ko iss parakar marte dekh kar Kanwarpaal ek pal ko bhauchakka sa rah gaya. Abhi tak to wo behtarin position par the. Agar Gopu aur Dinesh us position par nahi hote to wo log aasani se ghane jungle me khisak sakte the.  Saamne manzil dikh rahi thi par wo nikal nahi paa rahe the. Pathharo ki oat ke karan unki AK-47 bhi bekar thi. Ek hi possiblity thi ki jaise hi undono me se sar utha kar goli chalaye Billo aur wo unhe nissana bana len. Par yeh dur ki kauri lag rahi thi. 

Tabhi Kanwarpaal ke dimaag me ek idea aaya. 

Kanwarpaal ne Billo ko issare se bataya ki wo lagatar un patthro ki taraf goliya barsata rahega jis se us position se koi bhi sar nikal kar unpar nissana na laga sake aur iss bich Billo kucch kadam aage badhega, phir Billo unpar goliya barsayega tab Kanwarpaal aage badhega. 

Idhar Kanwarpaal aur Billo apne naye plan ke tahat badh rahe the; jabki Ghanshyam, Raj, Amit aur Rohit;  Aparijita ke issare par pero ke picche se chhupate hue unko gherne aaage ki or badh rahe the. Baaki Police team  bhi tab tak sarak paar karke iss taraf aa chuke thi aur dheere-dheere aage badh rahi thi. 

Tabhi Kanwarpaal aur Billo ke kismat ne saath chhor diya. 

Kanwarpaal Billo dwara chalai golio ke cover-fire me aage badh raha tha ki achanak Billo ka pair niche se gujar rahi ek per ke lata me jaa uljha aur wo munh ke bal gir para. Uske haanth se gun nikal kar dur gir pari. 

Chand seconds pahle Aparijita ne bike pathhro ke aar me khari ki thi. Yaha se wo Kanwarpaal aur Billo par dahine taraf se fire kar sakti thi jabki Goup aur Dinesh baayen taraf se fire kar rahe the.
Jaise hi Billo gira to Kanwarpaal ne jaldi se Gopu aur Dinesh ki taraf goliya barsane laga. Jiske karan Gopu aur Dinesh apna sar utha kar unpar nissana nahi bana paa rahe the. Jiska fayda uthane ke liye Kanwarpaal ne Billo ko ishara kiya.

Tabhi lagatar "Dhai- dhai- dhai" 3 fire hue aur Kanwarpaal apne seene me chhed liye girne laga. Uske chehre par aacharya ka bhaav tha ki jaise use viswaas hi nahi ho raha tha ki wo mar kaise  raha hai. Usne apni band hoti aankho se apne daahine taraf position liye Aparijita ko dikha jiske revolver se abhi bhi dhua nikal raha tha.  Yehi aascharya ka bhaav uska antim bhaav saabit hua aur wo chehre par aascharya ke bhaav liye hi mar gaya. 

Iss bich Gopu aur Dinesh ko mauka mil gaya aur unhone gire AK 47 ko uthane ke liye daurte Billo par fire karna suru kar diya. Un dono ki ek-ek goli Billo ke kandhe aur jaangh me ghush gayi. Goliya lagte hi Billo niche girane laga. Usi waqt Aparijita ne bhi Billo ke seene par 2 fire kiya par wo uske nicche girate hue position ke karan chhati ke bichobich naa lag ke chhati ke uppari hisse me jaa dhasa.  

Billo girte hi dikhna band ho gaya jabki AK-47 aage pari abhi bhi dikh rahi thi. 

Aparijita ne golibaari band karne ka nirdesh diya. Aparijita bike ki taraf bhagte hue 3 members ko van ke paas gire aparadhiyo ko chek karte hue aage gire teesre apraadhi ko check karne ko kaha; jabki baaki sabko Kanwarpaal aur Billo ki taraf teji se badhne ko kaha.

Aparijita ne ek baar fir se bike uthayi aur teji se us jagah ki or badh chali.  

Aparijita ne waha pahunch kar precaution ke liye gire Kanwarpaal ke pair me ek goli aur maari jispar Kanwarpaal ke taraf se koi reaction nahi hua.  Ab wo Billo ki taraf badhi jo abhi bhi jinda tha aur apne seene ko thaame tarap raha tha. 

Aparijita ne pair ke thokar se Billo ke AK 47 ko waha se dur kar diya. Aparijita turant hi  Billo se pucch-taachh karne lagi jo mobile par record bhi ho raha tha.

Billo ne apne tootati saanso me Aparijita ko bataya ki Wo log lambe samay se iss dhandhe se jure the aur idhar ke 6 mahine me wo Premnagar aur uske aas-paas ke jungle me kaam kar rahe the. Yaha unhone kuchh eiase phal dhoondh nikale the jo hirano ko kaafi pasand the. Wo kai dino tak jungle me unhe faila kar hirano ko lalchate the aur phir ek raat usme zahar mila dete jiske karan bagair goli chalaye kuchh hirano ka sikar kar liya jaata tha. Uske baad wo phir koi dusra illaka chunate the.  Yaha se samabandh rakhte ek powerful bande ne unse contact karke yaha ke baare me bataya tha aur AK-47 jaise hathiyaar bhi uplabadh karwaye the.  Isske pahle ki wo us bande ka naam batata , Billo ki sanso ne uska saath chhor diya.

Ab tak Baldev aur Kishore ko chhor kar baaki saare members waha pahunch chuke the. 

Aparijita ne Baldev ki halat check kiya. Use koi jaanleba chot nahi aayi thi par use aane waale kai din bed par hi bitane the. Aparijita ne Kishore aur Raj ko Baldev ko hospital le jaane ka nirdresh diya.

 Van ke picchle hisse ko khol kar dekha gaya to 9 hirano ke dead body mile.  Aparijita ne phone karke road block khol kar waha mauzod logo ko thaane jaane ko kaha.

Saturday 14 March 2020

Dange ki aashanka

Subah 5.30 baje Daduli ka ek niwaasi bhagta hua thane me aaya. Duty par Gopu  mauzod tha. Wo aaye waykti ki baate sunate hi jhpat kar phone ke paas pahuncha aur Aparijita ko phone lagane laga.

Aparijita drone ke saath ek baar phir pahari par thi. Aparijita ne abhi drone ko udaya hi tha ki uska mobile vibrate karne laga. Aparijita ne mobile par thane ka number dekhte hi turant uthaya. Dusre taraf se Gopu ki harbarai awaaz aa rahi thi. 

"Madam! Abhi thane me ek banda aaya hai jo bata raha hai agar humne samay par kuchh nahi kiya to Premnagar aur Daduli ke logo me bahoot bara danga ho jaayega."

"Tum us bande ko phone do."

 Gopu se phone milte hi wo banda harwaya sa bolne laga.

"Madam, Aap kuchh kijeye nahi to Daduli aur Premnagar me khoon ki nadiya bah jaayegi. Bahoot jaane chali jaayengi." 

"Humlog Premnagar ke saant vatavaran se kisi ko khilwaar nahi karne denge. Aap hum par bharosa rakho. Aap suru se saari baaten detail me bataye." 

Aparijita ke bharosa dilane par wo banda dheere- dheere puri  baat batane laga. 

"Madam, main kal raat jungle ke paas waale apne khet me soya tha. Aaj subah main  apne ghar ki aur laut raha tha. Abhi main sarak par pahunch hi tha ki achank hi mere pet me maror hone lagi. Main jaldi se basti se thori dur ho kar jhariyo ke peeche halka hone ke liye chala gaya. Abhi main halka hoke utha hi tha ki waha ek delivery van aake ruki. Usme se ek banda niche utara aur tabhi bhoot ki tarah 2 log waha prakat huye, jo dekhne se hi gunde lag rahe the. Main unhe dekhte hi chhup gaya aur unki baaten sunane laga."

"Boss, Kal raat 9 sikar hue hai. Par unme se 3 thori gahrai waale jagah me gire hain. Baakio ko chabutare waali pahari ke paas jama kiya jaa raha hai. Un teeno ko laane me do-dhai ghante lag jayenge. Agar aap kaho to baaki 6 ko leke hum nikal chale." Unme se ek ne delivery van se utare bande se kaha.

"Nahi, hum un 3 shikar kiye hirano ko chhor kar nahi jaa sakte hai. Kal ko unki laas baramad hone par unpar chhanbin suru ho jaayegi aur aasani se milne waala hamra hiran ke khaal waala dhanda band ho jaayega. Iss jagah par bari aasani se aur bagair khatre ke hum apna kaam kar rahe hai. Iss kaam ke liye Premnagar ke bande ka hi delivery van use karte hai taaki phasne par hum gaari chhor ka bhaag jaaye aur saara ilzaam delivery van ke maalik par aa jaaye. Us se wo aapas me larne lagege aur phir Premnagar ka koi bhi banda hirano ke zajbaati nahi rah jaayega. Tum dono jaake zaldi se zaldi un 3 hirano ko ekkatha karo. Mai gaari aage le jaakar chhupa deta hoon aur 8 baje tak saare hirano ko laad kar nikal chalenge." Boss ne kaha aur delivery van lekar chal para.

"Madam, aap jaanti hain ki hum Daduli ke log hirano ko lekar kitni zazbaati hain aur ek baar Premnagar ke kisi bhi bande se koi link unke sikar ko lekar dikh gaya to log marne-maarne par utaro ho jaayenge. " Us bande ki thartharti awaaz aayi. 

"Tumne bahoot sabasi waala kaam kiya hai. Ghabrao mat! Aaj un sikario ka antim sikar hoga. Tum jara Gopal Yadav ko phone do !!" 

"Haan ! Madam !" Gopu ki awaaz sunai pari. 

"Tum saare day staff ko turant thane aane ke liye kisi se phone karwaayo. Tum khud Daduli jaakar waha ke 2 bujurgo ko thane me lekar aao. Unhe puri baat nahi batana, bas yehi kahna ki bahoot zarrori baat hai aur unki madad chahiye."

Gopu Aparijita se nirdesh milte hi turant ek constable ko sabko Aparijita ka turant thane aane ke order phone par kahne ko kah khud thane ki bike utha kar Daduli chal para.

Aparijita ne Javed aur Ramdayal ko phone laga ke unhe apne license waali gun ke saath aadhe ghante me thane aane ko kaha. 

Phone ko rakh Aparijita chatubre waali jagah ke aadhe kilometer ke daayre me drone ko kaafi dheemi raftaar se udane lagi. 

10 minutes ke andar hi drone hari aur sukhi per ki tahnio se dhake ek dher ki images bhej raha tha.

Yeh dher dekhne se hi manav nirmit lag raha tha. Aparijita ne drone ko wahi ek unche per par sthir kar diya. Ab drone us dher ke aas-paas ke image bhej raha tha.

Chand minutes ke baad Aparijita ko do bande apne kandho par baans ke lattho par ek mare bare hiran ko laate dikh gaye. Unhone mare hiran ko dher ke paas laakar rakh diya.

Tabhi waha 2 aur log pahunche.

Aparijita ko samjhte der nahi lagi ki yeh wohi 2 log honge jinke baare me gaunwala bata raha tha. Drone me high sensitive sound amplifier audio recording device laga tha jo ek baar spot fix kr dene ke baad 400-500 meter tak ke sound record kar sakte the.

Aparijita ne drone ke settings se chher-chaar karte hue us dher par spot fix kar diya. Ab uske kaano me dher ke paas khare logo ki awaaze aa rahi thi.

"Boss, yaha 8 baje aa jayega. Uske pahle un teeno hirano ko hume yaha jama karna parega. Yeh saale hiran bhi marne ke samay dhalan par chale gaye. Ab unhe upar laane me hamari halat kharab hogi. Gaari isse aage nahi jaayegi isliye unhe yehi laana parega." Unme se ek ki awaaz aai.

"Yaar, agar yehi karna hai to jaldi kar daalo. Mujhe to aaj ka din hi manhoos lag raha hai. Boss un teeno ko chhorne ko taiyar nahi hai aur agar Daduli me hirano waali khabar pahunch gayi to wo log hume kaat dalenge!" dusre ki awaaz aai.

"Theek hai. Abhi karte hain. Jara patto ko hata kar iss hiran ko bhi patto me chhupa den aur ek baar phir se count kar len." Pahle ne zabab diya.

"Tumhe hum par bharosa nahi hai jo tum saare paato ko hata kar phir se count karoge!" Teesre ne bhinbhinate hue kaha.

"Are nahi , yaar! Bas jara eithiyat barat rahe hain ki kanhi load karne waqt pata naa chale ki koi hiran picche chhut gaya hai. Chalo ab der mat karo aur kaam par lag jaao . Hume kosis karni hai ki 7.30 baje tak hum yaha se nikal chale. Hum log hamesa 4-5 baje tak jungle se nikal jaate the par aaj der ho gayi. Agar koi jungle me koi bhatakta hua aa jaye to musibat ho jaayegi."

iske baad chaaro us hiran ko un paato ke dher me chuupa kar phir nikal pare. Ab naye aaye logo ke kandhe par bhi baas ke lathe the. Wo log baat karte hue aage badh rahe the.

"Hum chaaro milkar ek-ek kar hirano ko gaddho se nikal kar len aayenge aur ek baar sabko bahar aa jane ke baad phir ek-ek karke unhe yaha le aayege. Dhalan par 2 aadmi se un hirano ko upar laane me kaafi waqt lag jaayege. " Pahla phir se bol raha tha. Saaf lag raha tha ki yeh banda apne gang me number 2 ki position rakhta hai.

Unke waha se nikalte hi Aparijita ne drone ko chabutre waali jagah se hata kar drone ko Chaila ki aur jaane waale road par daal diya. Gaunwaale ke anusaar apradhiyo ke boss ne iss jagah se kucch dur apne chhupne ke baare me kaha tha taaki wo iss jagah par turant pahunch sake.

Zald hi drone ne road se niche jhariyo ke pichhe Tata ka safed rang ka delivery van ka image bheja. Uske driving seat par ek banda leta hua tha aur usne footboard par ek AK-47 rakh chhora tha. Aparijita ko uss jagah ko dekhte hi dhyan aaya ki us jagah ko chabutrenuma jagah se bhi ek khaas angle se dekha jaa sakta tha.

Aparijita ne drone ko phir se per par le jaakar sthir kar diya aur khud bike utha kar thane ki aur chal pari. 

--------------  *  -------------------------  * ----------------------  *   ------------------------
Aparijita apne cabin me mobile ke jariye drone ke live footage dekh rahi thi. Uske badan par denim ki shirt aur pant thi.

6.10 baje.

Din ke 3-4 staff ko chhor kar baaki saare staff aa chuke the. Ghanshyam ko bula kar Aparijita ne sabhi ko apni hatiyaar check kar bekar hatiyaaro ke jagah usi tarah ke dusre hathiyaar maalkhane se uthane ko kah diya tha. Aparijita ne unhe allowed hathiyaar hi uthane ko kaha tha kyuki iss encounter me staff ke aalaba bahar ke log bhi saamil hone waale the.

Tabhi Gopu bike par Daduli se 2 bujurgo ko lekar aa gaya.

"Dhanybad! Aaplog itne short notice par aaye. Maine 2 logo ko aur bulaya hai jinke aate hi main ek saath sabko bulane ka maksad batayungi." Aparijita ne unke munh kholne se pahle hi kaha.

Aane waale dono logo ka suspense se bura haal tha. Wo dono abi kuchh aur bolna hi chahte the ki Aparijita phir bol pari.

"Aaplog ko subah ki chai bhi nahi mil paayi hogi. Hume mehman-nawaji ka muka dijiye!"Aparijita ne Gopu ki aur dekhte hue kaha -"Inko apne paas baitha kar chai biscuit pes karo, main inhe thore der me bulati hoon."

Aparijita ke cabin me 2 hi visitors chair the. Aparijita ne unke waha se jaate hi ek constable se 3 aur chair waha lagane ke liye kaha . Saath hi Ghanshyam ko Javed aur Ramdayal ke aate hi unhe apne saath apne cabin me le aane ko kaha.

Aparijita ne ek baar phir drone ko mobile se control karna suru kar use phir se delivery van ke paas le gayi.

Van me mauzod banda driver ke seat pa baitha kisi se phone par baat kar raha tha. Aparijita ne drone ke camera ki angle thora change karke zoom par laga diya.

Van ke picchle seat par nazar jaate hi uske nazare aascharya se fail gayi. Waha ek shawl se dhake 3 aur AK 47 dikh rahe the jabki ek footboard me abhi bhi para tha. Shawl ki halat dekh kar lagta raha tha ki sayad kisi cheej ko kheechne ke dauarn wo thora sa khul gaya hai aur AK47 dikhne lagi hai.

5 bando me se 4 ke paas AK 47 encounter ke dauran rahne waala tha. Kya pata paanchwe ke paas bhi AK47 ho jo usne kahi aur chhhupa rakha ho. Iske aalaba Aparijita ne sabhi ke paas revolver jaise chhote hathiyaar bhi dekhe the.

Aparijita ne ek baar phir se per par drone ko pahuncha diya.

Chand palo ke baad drone ke live footage me kandhe par ek hiran laate do log dikh pare.

Aparijita ne ek baar phir se live voice feed ko adjust kiya.

"Bhai, manna parega Billu ko kya tarkeeb nikali hai. Lakri ke lattho par jhariya eise baathi ki uspar un bare hirano ko baandh kar rassi se upar kheechna ekdam aasan ho gaya hai nahi to kaafi samay lagta." Unme se ek bol raha tha.

"Bhai, tabhi to Kanwarpaal ne usko number 2 bana rakha hai. Jab usne 7.30 ka time diya tha tabhi main bolne jaa raha tha ki wo sathiya gaya hai jo iss tarah ka daba kar raha hai. Par ab lagta hai 7.15 tak sayad baaki 2 hiran bhi yaha aa jyenge. Waise wo bol raha tha ki wo Kanwarpaal ko sirf 5 minute pahle phone karega taaki use intazaar naa karna pare. Chal ab baaki dono ko bhi laate hain."

Aparijita ne drone ko per se utha kar thori dhalan ke taraf mora. Waha use do log lakri ke lattho aur jhariyo ki madad se stretcher jaisa bana kar us par ek hiran ko baandhte dikh pare.

Pahle suni gayi baato ki analysis se Aparijita ko unme se Billu ko pahchane me koi der nahi lagi. Unke haao-bhaav se lag raha tha ki unme se ek niche se upar dhakka dene wala tha jabki teen upar se kichne waale the.

Aparijita ki team ko har haalat me 7 baje tak position le lena tha.

6.20 minute par Ramdayal aur Javed aa gaye. Unke aate hi Aparijita ne Daduli se aaye bujurgo ko bula bheja. Sabke baithte hi Aparijita ne unhe maazara bataya.

"Aparadhiyo ne bahoot chaalaki se apna jaal buna hai. Pahle to unko unke unique karya-pranali ke karan pakrana muskil tha aur kabhi eisi naubat aane par usko bhi apne haq me use karne ka unhone pura program bana rakha hai. Mai un mare hue hirano ko to zinda nahi kar sakti par unko murda banane waalo ko chhorogi bhi nahi! Aap log yaha thane me baithiye jisse yaha ho rahi karyawaahi ka aapko pata lagta rahega!"

"Beti tumne bahoot aacha kiya jo hume yaha bula bheja. Gaun me yeh baat pata chalte hi gusse me kuchh log Premnagar par hamla kar dete. Hum yaha samajh rahe hain ki isme Premnagar waale bande ka koi dosh nahi hai; usne to apni gaari kiraye par dekar aafat mol le li." Un me se ek bujurg bola.

Dono bujurgo ka chehra aanshyo se bhara hua tha.

Javed aur Ramdayal unhe saantavna dene lage.

"Madam! Kaka aur main bhi aap logo ke saath unko pakrne chalenge! Hum apne hathiyaar bhi saath laaye hain." Javed ne uttejit hote hue kaha.

"Javed bhai! Main aaplogo ko issi liye gun ke saath bulaya tha par unke paas AK 47 jaise hathiyaar hain aur aap dono me se koi bhi goolibaari me expert nahi hai; isliye use hume handle karne dijeye. Aap dono Ghanshyam, Qadir aur Suresh ke saath thane se kuchh dur jaha do raha hain, jisme se ek thana ho kar aage jaata hai aur dusra sidhe Sonbhdra jaata hai, waha par bailgaari se raasta rok kar khare rahenge. Halaki iski sambhavna bahoot kam hai ki unki van waha tak pahunch sake, phir bhi precaution jaroori hai. Aaplogo ka kaam gaari ka tyre burst karna hoga aur muthbher hone par hosh me rahte hoye hamara wait karna hai." Aparijita ke iss baat par Ghanshyam ke haan me sar hilate hi Javed bhi maan gaya.

Ghanshyam acchi tarah se jaanta tha ki iss encounter me koi active role use nahi milne waala tha. Wo to 100% sure tha ki Aparijita pahle hi attack me kamyaab ho jaayegi. Usne samajh liya tha ki apne ghayal sathiyo ko Aparijita iss tarah se kaam par lagana chahti hai taaki unhe bura naa lage ki unhe important mission me saamil nahi kiya gaya hai.

Daduli ke dono bujurgo ko Harilal ke paas baitha diya gaya jaha se wo ho rahi gatividhiyo ko jaante rah sakte tha.

Ghanshyam, Qadir, Suresh , Javed aur Ramdayal ko unke niradharit jagah pahunch kar raasta block karne ko rawana kar diya gaya.

Aparijita ne ugle 10 minutes me apne saathiyo ko saara plan samjhaya. iske baad Amit, Kishore, Dinesh, Rohit, Arjun , Japu, Gopu, Raj aur Baldev naam ka constable jo abhi tak ke kisi encounter me saamil nahi huye the, Aparijita ke saath chal pare. Aparijita se Baldev kai baar adventurous job ke baare ma kah chuka tha aur aaj Aparijita ne use mauka diya tha.

10 logo ki team thane ke jeep, 3 bikes par chali jisme Aparijita ki bike bhi saamil thi.

Chabutre numa jagah se kai sau meter picche hi kaafila ruk gaya. Jeep ko sarak ke nicche utaar kar jhariyo ke niche khara kiya gaya jaha se use turant sarak par laya jaa sakta tha.

Jeep ke saath Dinesh aur Baldev ko rakha gaya tha. Unka kaam tha, signal milte hi Jeep ko sarak par aara-teerchha laga kar uske back me position lena.

Sarak ke baaye taraf per ke peeche Kishore, Arjun aur Japu position liye khare the. Jabki dahine taraf Amit, Raj aur Rohit the. Baayen taraf inse thori duri par Gopu ek per ke picche chhupa hua tha. Aparijita ke alaba sabke paas rifle thi.

Aparijita plan ke mutabik van ke picchle tyre ko silencer lagi revolver se udane waali thi. Usne ek sambhavit jagah bhi batayi jaha van tyre brust hote hi rukne waali thi. Aparijita ne encounter ki jagah van ke jungle se sarak par phunchane ke 100 meter ke andar hi chuni thi, taaki van ki speed slow ho. Aparijita ne sabhi ke position van ke rukne ke hissab se tai kar diye the.

Aparijita ne apne team ko bata diya tha ki apraadhiyo ke pass AK47 jaise hathiyaar hai, isliye koi bhi apne position ko bagair emergency ke naa chhore. Wo Baldev ko iss waale encounter me saamil nahi karna chahti thi par uske 3 staff zakhmi the aur use yeh umeed thi agar sab ne apna kaam plan ke mutabik nibhaya to 5 logo se nipatne me koi muskil nahi hogi.

Aparijita ek baar fir se drone ke jariye waha ho rahi gatividhiyo par nazar rak rahi thi.

=================================

Saturday 7 March 2020

Dhanraj aur Abbas ki kahani

Abbas ne Dhanraj se apne relation ke baare me ek bhi baat ab tak nahi ki thi aur naa hi kisi bhi uske employee ne ispar kuchh batya tha. Abaas aur Dhanraj kaise ek dusre se jure ye janna Aparijita ke liye jaroori tha. Iske baare me puchhne se pahle Aparijita baat-chit ko aur jyada dostana maahool me badalna chahti thi.

"Abbas bhai, Apne design hume nahi dikhyaoge?"

"Kyu nahi dikhayunga madam! Mujhe to dikha kar khushi hi hogi! Mere saath aayiye!"  kahta hua Abbas sofe se uth kar niche bane ek hisse ki or badh chala. 

Aparajita bhi uske pichhe-pichhe chal pari. 

Jald hi wo log ek bare se khubsurti se sajaye hue  bed room me the.  

Abbas kamre me mauzod wall-almirah ko kholne laga. Iss tarah ke 4 wall-almirah ko usne ek-ek kar khola aur kuchh dress nikal kar bed par rakha. Usne phir dresses ko 2 alag-alag hisso me saja diya.

"Madam! Yeh wo designs hain jinko dekhne ke baad Promod babu ne apne yaha mujhe job offer kiya tha. Maine inhe kisi ko nahi becha. Jab competition ke baad inke liye offers aaye to maine kharidaao ko dusra bana kar diya. Halaki kam samay me delivery dene ke liye mujhe kaafi mehnat karna para magar maine inhe apne se juda nahi kiya. Yeh hi wo designs the jinhone aage chal kar mere liye tarrki ke raaste khole the."

Abbas baat karte-karte kaparo ko bare pyaar se sahlata jaa raha tha jo yeh batane ke liye kaafi tha ki use apne pahle milestone design se kitna pyaar hai.

"Madam! Aur idhar jo 2 dress aap dekh rahi hain, inhe  bhi award mila tha. Yeh mera as a designer pahla award tha jo maine course ke baad paya tha. Maine Promod babu se kah kar inhe apne paas yaadgaar ke taur par rakh liya tha. Baad me mere kuchh aur designs ko award mile magar wo mere dil me wo jagah  naa bana sake jo inhone banya hai."  Abbas ki aankho ki chamak bata rahi thi ki wo apne inn designs se kitna lagaab rakhta hai.

"Yeh baastav me acche designs hai. Aur ...." Aparijita ne Abbas ki designs ki taarif karni suru kar di. Wo designs vaastav me taarif ke kaabil bhi the. 

Aparijita sirf kori taarif nahi kar rahi thi; wo saath-saath kapro ke fabric par bhi apne comment de rahi thi. Aparijita ne kapro ki silaai aur usne huye kadhai aur designer doriyo par baat karni suru ki to Abbas bhochhaka sa rah gaya. Wo saath hi saath kuchh fabric par kaise kaam kiya gaya hoga ispar bhi comment kar rahi thi. 

Aparijita kaafi baarik chhezo par apni rai de rahi thi. Abbas ko kisi jaankar se saabasi mile kaafi lamba waqt ho gaya tha. Isliye aaj jab usne Aparijita ko apni taarif karta paya to use bahoot santusti mili. Iske pahle bhi wo gaunwaalo aur kuchh distributors se taarif sun chuka tha par unke taarif karne ke andaaz se hi wo samajh jaata tha ki unhe kapro ke fabric aur uspar kiye gaye kaam ka baare me dhela bhar bhi nahi pata hai aur wo log sirf bahari look ki pransasa kar rahe hai aur uske peeche ki kaarigari ki keemat ko koi mahatav nahi de rahe hai.

"Madam! Main abhi bhi Promod babu ke liye har festival aur naye saal ke liye design karta hoon. Aaiye main unhe aapko dikhata hoon. "

Abbas ke sabdo me wo baccho jaisi khushi jhalak rahi thi jo kisi bacche me tab nazar aati hai jab wo school me first hone par sabko apna report card dikha raha hota hai. Aparijita ke tarif ke tarike ne jaadu ki tarah kaam kiya tha. Aur yeh tarika bahoot hi simple tha, "Sachhi taarif karo".

Bedroom ke andar se hi ek dusre room me jaane ke liye darwaja tha. Abbas ke picche-picche Aparijita bhi us kamre me pahuchi. Yeh ek bara sa study tha. Jisme ek kone me computer table lagi thi jisme ek bare screen ka monitor ke saath ek desktop PC laga tha. Paas ke table par ek laptop bhi dikh raha tha. Ek kone me wifi router laga tha.

Study me kai book-almirah dikh rahe the jisme fashion se juri magzines bhari hui thi. Study ke ek kone me mard aur aurato ke kai dummies rakhi thi. Ek aurat ki dummy ko ek bara hi khubsurat sa gown pahna gaya tha. Uske paas hi ek bara sa white-board laga tha. Aparijita ne gaur kiya to use  chhat se ek camera bhi laga dikhayi diya. Study me ek aur darwja dikhayi diya aur uske location se hi samjah me aa raha tha ki wo darwaja sidhe drawing-room me khulta hoga.

"Madam! Yaha main wo designs karta hoon jinke kharidaar mahanagaro me rahta hain aur jo 50,000- 100,000  rupaiye sirf ek function me pahne ke liye lagane ko taiyar rahti hai. Main yaha projector, dummy aur computer ke help se Promod babu ya kuchh khash customers ke liye taiyar designs ka demo deta hoon. Main aapko iss saal  ke kuchh designs dikhata hoon."

Abbas ne laptop on karke use projector se jor diya aur white board par design dikhane laga. Designs 3-D effect me software ki madad se dummy ke upar pahna kar dikhaye jaa rahe the. Abbas saath hi saath kis designs me kya fabric use hue hai yeh bhi batata jaa raha tha. 

Thore der tak dono  inn dress se related baat karte rahe.

"Abbas Bhai! Aapki iss safar me Dhanraj jaise  bande se kaise dosti ho gayi." Aparijita ne jab Abbas ko khul kar baaten karte paaya to sawal puchh dala.

"Shauk se nahi madam, mazboori se. Dhanraj neta hai aur uski Sonbhadra me bahoot chalti hai. Jab tak Ram bhaiya the tab tak uski himmat nahi hui ko kuchh kahta kyuki Ram bhaiya ki iss pure Vidhan-sabha khestra me bahut hi acchi image aur hold thi. Ram bhaiya  ke jaane ke kuchh mahine baad wo mujhse mila aur ishaaro me mujhe uske saath milne ko kaha." Abbas Sanjida swar me bata raha tha - "Main uske sabdo me mili dhamki samajh gaya tha ki agar main uska saath nahi du to wo mere kisi distributor tak maal pahuchane nahi dega. Ram bhaiya use bilkul pasand nahi karte the aur yeh baat sabko maloom thi. Maine issi baat ka fayada uthate hue use iss baat par mana liya ki main use chhup kar support karunga taaki gaunwaale bharke nahi; nahi to mera dhanda band ho jaayega. Main hi jaanta hoon ki maine use kaise manya tha. Baad me maine yeh bunglow waali zameen kharid li aur yaha aa kar rahne laga taaki agar kabhi wo ya uske biradari ke log mujshe mile to bhi yeh baat chhupi rahe. " 

"To aap uski kaisi madad karte ho ?" 

"Har saal parv-tyohar par main use kuchh mahangi sarab aur dusre tohfe bhent kar aata hoon. Aur bich-bich me uske liye kuchh parche bhi chhapwa deta hoon. Wo ek baar Mumbai ke ek businees man ke private party me gaya tha. Waha se lautne ke baad use bhi party dene ka shauk lag gaya hai. Mera naya kaam us party me aane wale mehmaano aur party theme ke liye design karna hai. Uske biradari ke kuchh aur log bhi partiya karne lage aur mujhe unke liye bhi kabhi kabhi design karni parti hai. Agar Ram bhaiya aur Gaaytri maa ki iss gaun ki behtari ke liye dekhe khawab ka khayal nahi hota to main use kab ka laat maar kar nikal deta." 

Abbas ke chehre par kathorta chha gayi thi.  Aparijita ne dheere se Abbas ke haanto par apna haath rakh kar use thapthapte  hue santawna di.

"Abbas Bhai! Yeh to aap bhi mahsoos kar rahe ho ki tum dheere-dheere Dhanraj ke changul me phaste jaa rahe ho. Ab uske saath-saath aapko uske biradari ke dusre logo ke liye bhi kaam karna par raha hai. Chaahe aap laakh apna daaman bachayo lekin kajal ki khothri me jaane waalo ko daag to lagta hi hai.  Iske pahle ki bahoot der ho jaaye aapko jald se jald is se nikalne ka raatsa dhoondna parega." 

"Madam, main kai mahino se is par soch raha hoon; par koi raatsa nahi sujh raha tha. Main khud mahsoos kar raha hoon ki main dheere-dheere iss daldal me aur gahra phasta jaa raha hoon. Maine pichhe 1-2 meeting bahana bana kar miss kiya tha tab Dhanraj ne dhake-chhupe sabdo me mujhe chetawani bhi di thi. "

"Abbas bhai, yeh thik hai ki aapka Abhaipur me bahoot izzat hai, isliye Dhanraj ki koi chaal yaha aasani se kaamyab nahi hogi. Agar aapko Dhanraj ke changool se nikalna hai to aapko baaki gaun me bhi apne hamdard bana kar iss se aahista-aahista nikalna hoga. Aapko Javed aur Dhanraj wala bakya to pata hi hoga. Dhanraj chhah kar bhi Javed ke khilaaf kuchh nahi kar paya tha aur ulta use hi safai dete ghumna para tha."

"Madam, aap hi kuchh raasta nikaliye taaki main Gaytri maa ke sapne aur unke naam ko aur phaila saku. Ram bhaiya iss saal Holi ke samay aaye the. Sanyanas le lene ke karan wo ghar me naa ruk kar ek mandir me ruke the. Unse milne par mujhe pata chala ki unhone aadhyatmik taur par kaafi pragati kar li hai. Wo saamne baithe logo ki dil ki baat samjh lete hain. Dharmik grantho par unki pakar bhi kaafi jabardast hai. Unhone mujhe bola tha ki tumhe paresaani se nikalne me ek mahila madad karegi jo bahar se aayegi. Abhi mere samajh me aa raha hai ki wo aapke baare me hi bhavisya-vaani kar rahe the. Madam, please mujhe iss jhamele se nikaliye nahi to main kayamat ke din zabab nahi de payunga !" Abbas ne achank se Aparijita ke saamne haath jorte hue kaha.

"Abbas bhai, main yeh to nahi jaanti ki aapke  Ram bhaiya ne kiske baare me kaha tha par aapki madad ke liye koi raasta dhoodhne ka prayash karungi. Mai maanti hoon ki  sabko sudharne ka ek mauka to milna hi chahiye."

Abbas ke chehre par thora sakoon dikhne laga. Usne duniya dekha tha. Aparijita ke Premnagar aane ke baad kaise waha ka mahool badla tha, uske picche ke actual reason us se chhupi hui nahi thi.
Aparijita ke pahale encounter ki jab khabar mili thi tabhi Abbas ke dil me eek aas ki kiran jaagi thi, ho na ho yehi wo mahila hai jiske baare me Ram bhaiya bata rahe the. Usne encounter me sahyog karne waale kuchh gaun waalo se mil kar encounter ke baare me detail ekkatha kiya tha. Gaun waalo ne use bataya tha ki kaise Aparijita ne aate hi chand minutes me hi saara plan taiyar kar liya tha. 

Abbas ne encounter ke baad hue ghantnakram ko kaafi baariki se analysis kiya tha. Aparijita ne 5 gaun ke logo ko ek saath laane ke liye bari chaturai se sabke nazaro se chhip kar anjaam diya tha. Abbas ke tej dimaag ne use samjha diya tha ki Aparijita ek sadharan SHO se kahi jayada hai. Wo khud Aparijita se milna chahta tha par use Ram bhaiya ki baat yaad thi. Ram bhaiya ne use bataya tha ki waqt aane par wo mahila khud us se contact kar legi.

"Abbas bhai, jab aap Dhanraj se bahar jaane ki kosis karoge to wo gusse me kuchh kadam uthayega. Iss kaam me koi bhi plan eisa nahi ban sakta jo ekdam full-proof ho. " Aparijita ne baat aage badhate hue kaha.

"Madam mai samjhta hoon aur iske liye taiyar hoon." Abbas ka sthir zabab aaya.

"Theek hai! Ab aap mujhe uske baare me aur uske kaam ke baare me jo aap jaante ho, sab batayo. "
Abbas dheere-dheere Dhanraj ke baare me batane laga.

"Madam chuki maine uske kaale dhando se thori duri bana rakhi hai, isliye main uske iss tarah ke meetings aur usme saamil logo ke baare me jayada detail me nahi jaanta hoon. Usne paas ke dusre gaun me apna bara sa farm-house banaya hua hai; jo aata to isi vidhan-sabha me hai par uska thana alag hai. Waha ka thanedaar Dhanraj ke hukum ka gulam hai. Iss farm-house par main kai baar uski private party me gaya hoon tab waha mauzod logo ke baatchit se pata chala ki Dhanraj prostitution chhor kar har tarah ke galat dhandhe me hai. Dhanraj prostitution ki kamai ko nafarat karta hai jabki baaki galat dhandho se koi parhej nahi hai. Usne apne aadmiyo ko sakht hidayat de rakhi hai ki koi bhi larki ke chherchaar ya balatkar naa kare, nahi to wo use nahi chhorega. Uska manna hai ki iss tarah ki ghatnayo ka public me pata chal jaana uske khupiya tarike se chal rahe baaki dhandho ki taraf musbiat khari kar denge. " 

Abbas laptop par farm-house ke kucch snaps Aparijita ko dikhane laga. Usne uske baad kuchh party images ka slidshow laga diya.

"Waise to Dhanraj ne party me photo lena mana kar rakha hai. Kai baar party me hone waali gatividhi bhi leak hona bahoot musibat khari kar sakti hai. Par aajkal selfie lena logo ka kaafi bhaa raha hai, isliye kuchh khash kism ki party ke aalba mutual agreement se photo lena allowed hai; phir bhi dusre ke izzazat ke bina snaps lena waha mana hai. Maine eise hi mauke par li gayi snaps ka ek collection bana rakha hai taaki isse kabhi aare waqt me istemaal kar saku."

"Abbas bhai, snaps ka slide-show phir se suru kare aur usme dikh rahe bando ke baare me bhi batate jaye! "

Abbas slide-show suru karke usme dikhne waale logo ke baare me batane laga.  

"Madam, iss baali snap me jo madam sofe par baithi dikh rahi hain wo Renu hai jo Sonbhadra me rahti hai!  Renu ke husband ki maut 5 saal pahle ho gayi thi tabse wo apne pati ke  transport aur dusre dhando ko khud hi sambhal rahi hai. Usne apne pati se dhandhe ki baarikya sikhi thi. Wo takriban 30-32 saal ki hai par apne fitness ke karan 24-25 saal ki dikhti hai. Usne apne bete ko boarding school me bhej diya hai. Sonbhadra me usne kuchh NGO bhi khol rakhe hain jo accha kaam kar rahe hain aur meri jaankari ke anusaar isme wo koi beimaani nahi karti. Sonbhadra me hi uska ek dusra bunglow bhi hai jaha wo apni aur apne dosto ke liye private parties karti hai. Kabhi-kabhi wo kai dino ke liye issi ekant bane bunglow me rahti hai. "

"Abbas bhai! Aapne Renu ka jikra kuchh jayda kiya."  Aparijita ne muskurate hue puchha.

"Aapne theek samjha, madam! Main Renu ko pasand karta hoon aur wo bhi mujhe!"

 Baat-chit karte hue slide show khatam ho gaya. iss dauran Abbas Renu aur Dhanraj ke aalaba party me dikh rahe logo ke baare me kaafi kuchh bata chuka tha. Tabhi Aparijita ki nigaah snaps waale ek aur folder par pari jise abhi tak dekha nahi gaya tha. Aparijita ka us par dhyan dilane par Abbas hasta hua batane laga.

"Madam, party me maine Vikram ka snaps dikhaye the. Yeh usi ki special demand baali folder hai. Uske paas pustaini kaafi dhan hai aur Dhanraj ke saath partnership se bhi usne kaafi kamaya hai. Wo kuchh khas logo ke saath theme based party karta hai. Us party ke liye wo mujhse dress design karwata hai." Abbas foolder open karke dresses ke slide-show chalate hue bata raha tha.  

 "Halaki mujhe usne iske liye payment bhi kiya tha, par maine us se sirf lagat hi liya tha kyuki Vikram ke jariye mujhe kuchh bare clients bhi mile hai. Iss party me Renu kabhi aai aur naa hi kabi aayegi. Haan, Dhanraj uske har eise party me zaroor hota hai. Mainuske bahoot jor dene par 1-2 baar gaya hoon. Main waha ke khulepan ko nahi jhel pata. "

Abbas us party me kaise-kaise log aate hai aur wo kaisi-kaisi harkate karte hain bata raha tha. 

Aparijita ko yaha aaye hue kai ghante ho gaye the aur yaha aake use Dhanraj ke baare me kaafi jaankari mili thi. Use lag raha tha ki Premnagar ki fiza me bilkul chhupe dhang se zahar phailane me uska zaroor haath hona chahiye yaa phir uske jaankari me to hona hi chahiye. Usne Dhanraj ke against Abbas ka istemaal karne ka nischay kar liya tha aur Abbas tabhi khul kar uske saath aa sakta tha jab use Dhanraj ka dar naa ho.

"Abbas bhai, main kuchh plan banati hoon taaki yeh lage ki aap logo ko support karne nahi gaye balki log aapke paas aaye aur tab aapne unki madad mazboori me dabab ki wajah se ki. Iss bich aap Renu ko aapke  iss bunglow par kuchh samay bitane ke liye manao. Baatchit ke dauran uska man Dhanraj ke baare me tatolo. Main  1-2 din me aapke bunglow me chhote khufiye camere laga jayungi jo aapke dwara on kiye jaane par recording suru kar denge. Jab bhi Dhanraj ke group ka koi bhi member yaha aaye tab aap use on kar dena. Use off unke jaane ke baad hi karna kyuki unke sensor itne sensitive hai ki wo koi harkart naa hone par khud hi hiberbnate state me chale jaayenge. Kya aap taiyar ho?  " 

"Madam, mai puri tarah se taiyar hoon! "

"Theek hai, main ab nikalti hoon. Recording me kya nikal kar aata hai, uspar hum aage ka program decide karenge !"

---------------------------------------------------------------------------------------------------
Takriban 4 baje Sonbhadra se 2-3 Police ke bare adhikaari aaye. Unhone encounter me saamil sabhi police staff ki tarif ki aur unhe bharosa dilaya ki wo unke saath hain.  Sonbhadra me ek team un mare apradhiyo ke baare me jaankari juta kar 2-3 din me apni report submit karne waali thi. Police union ke dabab ko kam karne ke liye yeh adhikari yaha aa kar yaha ke staff ko dilasa de rahe the ki wo inke saath hai aur bata rahe the ki kothai baratne waale adhikari oa demote karke tabadala kar diya gaya hai.

Suresh aur Ghanshyam ne jab adhikario ko Aparijita dwara pool par kiye kaarnaame ki jaankari di to wo log Aparijita ki taarif kiye bagair nahi rah paaye. Aparijita ne baat-chit ke dauran apni demand rakhi.

"Sir, iss se pahle ke muthbher me aur isme me bhi hamare hatiyaao ne dhoka diya hai. Upar se mukhbiro ke anusaar thane par aage bhi hamle ho sakte hai. Us sththi me hume unka saamna karne me dikkat aayegi. Agar adhunik hatiyaar sambhav nahi ho to kam se kam durust hathiyaar hume diya jaaye taaki hum unka mukabala kar sake."

Aparijita ke demand par wo log kuchh der aapas me baat karte rahe. Phir unme se ek bola.

"Aap jaanti hain ki adhunik hatiyar muhaiya karane me samay lagega. Par iss shant mahaul me itni jaldi-jaldi 2 encounter ho chuke hain, islye hum aaplogo ko uplabdh durust hathiyaar dilwaa dete hai. Aap hume un hathiyaaro ki list bhej den jinki replacement honi hai. Hum 2-3 din ke andar hi replacement bhej denge."

Jaate waqt wo log Aparijita sahit saare encounter me saamil logo ko inaam ka cheque dete gaye. 

Adhikariyo ke jaate hi Aparijita ek baar phir se apne pending annual report me lag gayi. Raat 11 baje tak usne report complete karke Sarfarosh ke server par submit kar di. Usne aaj ek baar bhi Arpita se baat nahi ki thi. Waise bhi wo kal raat yaha aane waali thi; tab  wo kaafi detail me baaten kar sakti thi.
Agnivesh se related recording me aaj bhi kuchh nahi mila tha. 

================================================================

Saniwaar ki subah ek hungame ke saath hui.