Saturday 21 December 2019

Delegation aur Leadership

12 baje. 

Aparijita thane me apne cabin me baithi Anay se hue baatchit ko check karne ke liye local subcenter ke ek junior agent ko nirdesh de rahi thi. 

Chuki research center wala project govt ka tha; isliye us se related jankari kuchh ghanto me hi mil jaani thi. Aparijita ne Anay aur research center se jure saare logo ke baare me report server par upload karne ko us agent ko nirdesh diya . 

Junior ko report dene ke liye kahne ke baawjud Aparijita ne thora bahoot khud bhi haat-pair maarne ka socha. 

Aparijita govt aur kucch botanical research sites par us research se juri article padh rahi thi. In articles me Anay ke dedication ki kaafi taarif ki gayi thi. Kuchh botany se related blogs par bhi iss project se related kuchh jaankariya thi. 

Halaki kisi me bhi utna detail nahi bataya gaya tha jitna Anay ne Aparijita ko bataya tha. Sayad Anay ne uske police officer hone ki wajah se jaankari de di thi. Har blog par Anay ki research ke prati junoon ki taarif ki gayi thi. 

Tabhi mobile baj utha. Dusri taraf Arpita thi jo kafi sanjida ho kar baat kar rahi thi. Aparijita samajh gayi ki abhi Arpita  apne kisi junior ya Ritesh  ke saath hogi. 

"Apu doctors ne umeed jatayi hai ki masterji kuchh mahine me hi theek ho jayenge. Masterji ki patni ke liye Dr. Ritesh ne hospital ke guesthouse me ek kamra de diya hai.  Ghanshyam Aur Dinesh sayad ab tak Premnagar pahunchne hi wale honge."

Dono thori der  tak aage ke plans par baat karti rahi.

Takriban 15 minutes ke baad Ghanshyam, Dinesh aur Saitan Singh Aparijita ke cabin  ke saamne khare the.

Aparijita teeno se takriban aadhe ghante masterji se related baat karti rahi. Baat khatam hone ke baad Saitan Singh unlogo se vida lekar chala gaya. Ghanshyam aur Dinesh ko Arpita ke paas bhejne se pahle hi samjha diya gaya tha ki waha ki ghatnaye agle 3-4 mahine tak kisi se share nahi karni hai.
Dinesh ko Aparijita ne rest karne ke liye ghar jaane ko kah diya. 

Ghanshyam ko Aparijita ne apne quarter me lunch karne ke liye chalne ko kaha jo usne thori naa-nukur karke maan liya. Lunch ke baad Aparijita ne Ghanshyam ko  Harilal se sandigdh logo ke baare me puri report leke aadhe gahnte me milne ko kaha.

Ghanshyam ke jaate hi Aparijita ne Japu ko bula bheja. Aparijita  ne Japu se Aagnivesh se related report dene ke liye kaha. 

Japu ne inn kuchh dino me Aagnivesh ke paas regularly aane waale logo  me aachhi paith bana li thi. Japu ne Aagnivesh dwara logo ko  sujhaye gaye salaho ki ek lambi list di. Iss list me labhanbhit hue logo ke bare me bhi jikra tha. Japu labhanbhit huye logo se khud mila bhi tha. 

Japu ki mehnat report me dikh rahi thi. Wo duty aane se pahle aur duty off karne ke baad Aagnivesh ke paas jaane waale bando se raat 9-10 baje tak milta raha tha. 

Aparijita ne Japu ko protashit karne ke liye uske kaam ki prasansa ki. 

"Tumne bahoot achha kaam kiya hai, Japu!! Tumhare andar main ek accha investigator dekh rahi hoon. "

Iske baad Aparijita agle 3-4 minute tak Japu ke un kaamo ko saraha jo usne Aagnivesh ke baare me jaanane ke liye kiya tha. Aparijita apne humon pshycology ke study ke kaaran yeh baakhubi jaanti thi ki bharosa aur sarahna dwara kisi bhi insaan ko aur behtar karne ke liye protsahit kiya jaa sakta hai.

"Main apne taur par puri imaandarana kosis karungi ki Anupama ki maa maan jaaye. Par iske liye main sahi waqt dekh kar hi kadam uthayungi. "

Aparijita ke yeh sabd Japu ke kaano ko kisi amrit ki tarah tapke. Uske aankhe khushi se chamak uthi.  Japu ati-utsaah me baar-baar "thankyou madam didi, thankyou madam didi" kahne laga.

"Are - are ! Tum to iss tarah se khush ho rahe ho jaise tumhari saadi ka date hi maine nikalwa diya hai. Jab kaam ho jaaye tab khushi manana !" Aparijita ne haste hue kaha.

"Aapne soch liya hai to yeh kaam hokar hi rahega, madam didi !" Japu ke chehre par shardha jhalak rahi thi.

"Japu kabhi bhi bahoot jayada umeed nahi bandhni chahiye. Usme thori si kaam na ban paane ki bhi gunjayish chhorni chahiye. Nahi to insaan kaam na hone par bilkul hi toot jaata hai. " Aparijita ne thore gambhir swar me kaha.

"Waise, tum jayada chinta naa karo; mujhe umeed hai ki baat ban jaayegi." Aparijita ne Japu ke udas parte chehre ko dekhte hue kaha.

Aparijita Japu ki man ki sthithi samajh rahi thi. Japu ab tak aasha aur nirasa ke bich jhool raha tha. Aparijita ke uske liye kosis karne ki baat par Japu ko bahoot jayada umeed bandhi thi aur gunjayish chhorni  waali baat se uski umeed thori tutane lagi thi. Aparijita dwara kaam banne ki sambhavna bali baat par phir se uske chehre ki rangat khilne lagi thi.  

 Japu Aparijita ke cabin se man me Anupama se milan ki aasha lekar nikla.  

Kuchh der ke baad Ghanshyam Harilal se report leke Aparijita ke paas aaya.  

=================================================

Phulpur se 2 logo ke naam sandigdh ke roop me the, par unke baare me jinhe pata karne ko kaha gaya tha wo kuchh khash pata nahi kar paaye the. Wo log sirf itna pata kar paaye the ki sandigdh log jungle aur uske aas-paas rahne waalo par koi kitab likh rahe hai.

In 2 logo ke aalaba ek banda chaila aur ek Premnagar se bhi sandigdh list me tha. Aparijita ke puchhane par Ghanshaym ne apni jaati rai batayi ki inn sandigdh  logo ko phir se check karne ki jaroorat hai.

"Tum theek kah rahe ho. Inn logo ke baare me pata karne me jayada mehnat nahi ki gayi hai. Report taiyar karte waqt kewal suni-sunayi baato par viswaas kar liya gaya hai. "  Aparijita ne sahmati jatate hue kaha.

"Japu ne tantrik waale maamle me achha kaam kiya hai. Japu ko reports dene waale logo me se 2 bande de do aur use Phulpur waale logo ke baare me chhanbin karne ko kaho. Saath me Japu yeh bhi pata karega ki Phulpur me tantrik ka sahyogi waha kis-kis se milta-julta raha hai. " 

Aparijita ne Ghanshayam ko kuchh responsibility delegate karni suru kar di thi. Iss process ke dwara Aparijita Ghanshyam ko trained kar rahi thi taaki wo free hokar apna yaha ka kaam jaldi nipta kar laut sake.

 "Chaila wala chaanbin Dinesh aur Raj ko saup do.  Raj Dinesh ke nidreshanusaar kaam karega aur Chaila me Raj ke relative hone se unhe chhanbin karne me kuchh madad milegi. Chaila me tantrik ka sahyogi kin logo se milta-julta raha hai aur us se bahar se kaise log milte aate rahe hai; mujhe uska bhi report chahiye. Premnagar wale bande ko check karne ki jimmedaari Harilal ko de do. In sabse report tum hi loge aur agar kanhi madad ki jaroorat pari to main to hoon hi. Mujhe tum par pura vishwaas hai ki tum yeh kaam kaamyabi se kar loge."

"Theek hai, madam didi. Main aaj hi sabko kaam baat deta hoon aur sabko daily report dene ko kahta hoon. Mujhe umeed hai ki saniwaar saam tak hamare paas kuchh thos jaankari hogi. " Ghanshyam ki aatm-vishwaas se bhari aawaz aayi.

Thori der tak Aparijita Ghanshyam ko pure chhanbin waale maater ko kaise handle karna hai uspar tips deti rahi aur Ghanshyam ki rai uspar sunati rahi. Aparijita ne baato ke dauarn masterji ke maamle me Ghanshyam dwara ki gayi kai kaamo ki bari prasnasa ki.

Yeh Aparijita ki khashiyat thi ki wo kisi ki taarif kane me kanjusi nahi karti thi aur naa hi uski dwara ki gayi taarif me banawatiban hota tha.

Apne madam didi se sabaasi paakar Ghanshyam ka seena kuchh inch chaura ho gaya. Uska aatmvishwaas bhi badh gaya.  Ab wo apni madam didi ke help se aur bare-bare kaam karna chahta tha. Yaha Premnagar me pahle use lagta tha ki wo retire life gujaar raha hai, par aajkal uske paas kaafi kaam tha aur wo active life enjoy kar raha tha.

Aparijita ne Ghanshyam se thori der aur baat karne ke baad use rest karne ghar bhej kar kal se use subah duty join karne ko kaha. Usne Ghanshyam ko Gopu ki study me kuchh madad karne ke liye bhi kaha.  

-------------------------------------------------------------------------------------------

 Saam me Aparijita, Arpita, Ritesh aur Ajay rai video confrencing ke jariye baat kar rahe the. 

Haal hi me Chhattisgarh me naksalio se ek muthbher hui thi jisme ek marte naxali se pata chala tha ki aajkal unke liye hathiyaar ek naye suoolier se UP se aa raha hai.  Naxal group ka kisi aur aatankbaadi group se bhi baatchit chal rahi thi. 

Dono ne ek khaufnaak plan banaya tha. Aatankbaadi group kuchh bara dhamaka kar sabka dhyan apne or puri tarah aakarshit karne waala tha. Jabki issi waqt naxal group iss ka Chhattisgarh ke kai illako me kabja kar lene ka vichaar tha. 

Jagga ke yaha se baramad huye hathiyaar aur iss naxal waale muthbher me paaye gaye hathiyaaro me koi saamanta nahi mili thi. Iss baat ki sambhavna thi  ki Jagga ko wo hatiyaar inhe hi dena tha ya phir wo Premnagar ko repository ki tarah istemaal kar raha ho. 

Sarfarosh ke members iss jaankari ke baad pure active ho chuke the. Unho pata laga liya tha ki action date takriban 15-20 din dur hai. Iss kaam ko safaltapurbak karne ke liye aatankbaadi group ne kisi professional ko hire kiya hai jo unhe kaam karne ke liye ek accha plan bana kar dene waala tha. Par abhi tak iss professional ka pata nahi chal paya tha. 

Ajay Rai ne Aparijita aur Arpita ko abhi aatankbaadi group ke picche lage members ki team se report milne tak apne abhi ke kaam me hi concentrate karne ko kaha. Wahi Ajay ne Ritesh ko bataya ki kuchh aur Sarfarosh ke members headquarter se Sonbhadra ke center me bheje jaa rahe hai jo UP se us naksali group ke link ki jaanch partaal karenge aur sidhe Ritesh ko report karenge.

Ajay Rai ne unhe  local center ki paas ki last buildings Arpita ke diye sujhaab ke anusaar kharid leni ki khushkhabri di. Ab wo pura illaka hi Sarfarosh ke paas tha. 

Arpita ko local center ke members aur aaj hi Sonbhadra rawana hue kucch techincal members ke saath milkar record time me local subcenter ko saari  suvidhao se lais kar dene ki jimmedaari di gayi.
Ritesh ko naxali aur aatankbaadi group se related suchnaayo par nazar rakhne ka kaam diya gaya . 

Arpita ko sambhabhit members ki background aur unke mental status check karke unhe sarfarosh me saamil karne ke liye certificate dene ka kaam bhi saupa gaya. 

Aparijita ko Arpita aur Ritesh ko chhor kar baaki saare members ke annual report aur unke baare me dusre members dwara di gayi report ko check karke unke baare me apni rai deni thi. Inhi me kuchh agents ko promotion de unke mathat naye agents dene the.  

Confrence khatam hote-hote raat ke 9 baj gaye the. 

Sote waqt Aparijita ne recording check ki. Aaj bhi kuchh nayi baat nahi pata chali. Aparijita ne laptop band kiya aur neend ke aagos me chali gayi. 

=================================================

 Thrusday subah 

Aparijita kal ki tarah aaj bhi drone ke saath subah hi apne niyat jagah par pahunchi hui thi. Aaj bhi rosni wali jagah ka daayra thora aur simta, phir bhi wo simta area abhi bhi 2-3 KM ke range me tha.
Aparijita ne gufao ki or apne jaanch ko mor diya. Aparijita Sarfarosh ke server par upload ki gayi maps aur notes se Premnagar ke aas-paas mauzod gufao ki taraf drone ko bhejne lagi. 

Takriban 3 ghante ke mehnat ke baad Premnagar ke aas-paas ke sabhi gufao (uplabdh jaankari ke anusaar) ko drone ke dwara dhoondh liya gaya tha. In gufao tak kaise aasani se aur kitne raasto se pahuncha jaa sakta hai; Aparijita ne iss baat ko khaas taur par note kiya tha. 

In gufao me se kuchh par  Aparijita ne khaas dhyan diya tha. Yeh gufaye jungle me hone ke baawjood nadi ke taraf se nazdeek the. Matlab ki agar koi sarak se hote hue yaha jaata to yaha tak jaane me thori jayda mehnat karni parti par nadi ke raaste jaane par waha kam samay me aasani se pahuncha jaa sakta tha. 

Jagga ke yaha aane se pahle Aparijita ko us par nazar rakh rahe agents ke jariye khabar mil jaani thi. Hatiyaaro ke baare me sirf Jagga janta tha. Jaroorat parne par Jagga ko kabhi bhi utha kar Sarfarosh ke cnter me laaya jaa sakta tha; jaha pathhar bhi bolne lagte the. Isliye Aparijita hatiyaaro ko leke utna chintit nahi thi;  par Jagga ke aalaba bhi dusre aparadhi inn gufao ka istemaal kar sakte the aur isi liye wo ek baar sabhi gufao ko ya to khud ya phir apne staff se check karwana chahti thi.

Aparijita ke quarter lautate-lautate 9 baje baj chuke the. Usne aate hi kuchh paper par gufao tak pahunchne ka raasta bana dala aur phir thane aa gayi. Aparijita apne saath ek white-board lekar aayi thi jise usne apne cabin me laga diya tha.

-------------------------------------------------------------------

Aparijita ne Ghanshyam, Japu, Arjun aur Amit ko apne cabin me bulaya.

"Japu, Arjun aur Amit aaplogo ko jungle me bane kuchh prakritik gufaao ke chhanbin karne jaana hai. Aaplog saadi dress me hatiyaaro se lais ho kar jaayenge. Koi bhi ek-dusre se alag nahi hoga aur bich-bich me mobile ka singnal check karte rahenge. Jaha bhi singnal na mile to picche laut kar jaha signal available hain waha se Ghanshaym aur mujhe apna current location aur aage aane wale location ki jaankari denge. Jungle me kisi aparadhi group ki koi khabar abhi tak nahi hai.  Phir bhi agar 2-3 se jayda apradhi dikh jaaye to unse uljhna nahi hai balki hume khabar dekar humara wait karna hai. Kisi bhi haalat me unse jabardasti nahi uljhna hai. "

Aparijita ne Japu, Arjun aur Amit ke dwara najdik ke gufao ka chaanbin karane ka nischay kiya tha. Halaki aaj ki kawayat ka kuchh result aane ki umeed kam hi thi par yeh kabayat Aparijita ke action team ko rehearse karwaane ke liye kaffi the.  

Chhanbin wali jagah yaha se jayda dur bhi nahi thi par wo jagah kuchh chhupi hui si thi. Waha aaj se pahle ke exercise me kabhi nahi  jaya gaya tha.

Japu ko saam ko chhan-bin karne Phulpur bhi jaana tha. Ghanshyam ki iccha hui ki ek baar wo bole ki Japu par bahoot load par jaayega aur yaha baaki log bhi hai; phir yeh soch ke chup rah gaya ki yeh baat to Aparijita ko bhi pata hai aur iske baawjud wo eisa kar rahi hai to zaroor koi khaas maksad se hi kar rahi hogi.

Aparijita sabko whiteboard par gufa tak pahunchne ka raasta samjha rahi thi. 

Baakio ke haantho me paper aur pen dikh raha tha aur wo apne-apne hisaab se points ko likh rahe the. Suru ne Japu ne kaha tha ki koi ek banda note kar lega par Aparijita ne samjhaya ki behtar hai ki teeno note kare taaki unko mila kar wo complete notes paa sake. 

Teeno ko Jagga wale hatiyar wale box se chhote hatiyaar aur prayapt maatra me bullets diye gaye. Japu ko Aparijita ne ek handycam de kar use gufa aur uske aas-paas ki snaps utarne ko kaha.
Thori der me 2 cycle par Japu, Arjun aur Amit apne manzil ko aur chal pare. Is team ki bhi lead karne ki jimmedari Japu par thi.

Aparijita ne Ghanshyam ka chehra dekh uske dimaag me umar rahe sawalo ko samjah unka zabab dena theek samjha.

"Main dekhna chahti hoon ki Japu kitna pressure le sakta hai aur saath hi pressure waale situation me apne saathiyo ke saath kaisa behave karta hai. Hume Gopu ke aalaba bhi kuchh aise bande chahiye jo zaroorat parne par 2-3 bando ke team ko sambhal sake. Gopu ko pahle aajmaya jaa chuka hai. Maine yaha aane ke baad bhi use kuchh kaam diya tha jo usne bakhubi niptaya hai. Harilalji ko shanti se office handle karne dete hain. Waise bhi unse utna bhaag-daur nahi hoga."  

Ghanshyam ka gardan sahmati me hila. Wo khud bhi Harilal ko jayada daurana nahi chahta tha. 

"Humlog apne daily round waale routine ko aaj se phir se suru karenge. Iss bar chuki humlog jungle ke andar chhanbin karne me bhi vayast rahenge isliye din me 2-3 baar Jeep aur bike se hi round  liya jayega. Tum dopahar ke baad Dinesh aur Raj ko Chaila jaa ke chaanbin kar tumhe report de kar ghar jaane ko kahna. ..."
--------------------------------------------------------------------

Aparijita ne Javed ko phone lagaya to pata chala ki abhi wo ghar me hai aur aaj saam tak ghar par hi rahega. Aparijita ne use bataya ki wo Salma se milne uske ghar andhe ghante me aa rahi hai.

Takriban aadhe ghante ke baad Aparijita ek khubsurat sa Salwaar-kurta pahne cycle lekar apne quarter se nikali. 

Javed ke ghar par pahunch kar Aparijita ko sukhad aascharya hua. Javed aur Salma uske istkebaal ke liye darwaaje par hi khare the.

"Are Javed bhai ! Aap darwaaje par kyu khare hain?"

"Madam aapko aate mere bhai ne dur se hi chaat se dekh liya tha. Usne hume khabar di to hum aapko lene aa gaye." Javed me muskurate hue kaha.

"Javed bhai! Aaj to main bhabhi se milne aayi hoon isliye aapse baaten kam hongi." Aparijita ne muskurate hue kaha.

Yeh sunte hi Salma chhoti bachhi ki tarah khush ho gayi. Wo haath pakar kar Aparijita ko ghar ke andar le aayi . Thore hi der me Salma eise ghul-mil kar Aparijita se baat kar rahi thi jaise wo barso se use jaanti ho.

Aparijita ne baato ke dauarn Premnagar ki kai eisi baaten jaan gayi jiske khabar use kisi ne nahi di thi; maslan kuchh larke jo Sonbhadra me rah kar rojgaar kar rahe hai wo aajkal dusre gaaonwalo ke prati kabhi-kabhi galat baate kah dete hain etc. etc.

Salma se baato ke daurn Aparijita ko pata chala ki Anupama ki maa Salma ko kaafi maanti hai aur wo Javed ki ghar aksar salah-maswara ke liye aati jaati rahti hai. Salma me Aparijita ko bataya ki Anupama ki maa aajkal Anupama ke liye yogya var dhundhne me lagi hai.

Abhi yeh sab baaten chal hi rahi thi ki aros-paros ki bahoot si  aurato ne waha dhaba bol diya. Sab ke sab Aparijita ki ek jhalank dekhna chahti thi. Aur jab unhone Aparijita ko dekha to uski sudrata ki taarif karne me lag gayi. Unhe viswaas nahi ho raha tha ki itni sundar aur masoom si surat waali larki ne un khatarnaak apraadhio ka mukabala kar unhe maar giraya tha.

In aane waale auarto se baat karne ke dauran Aparijita ne baachal aurato ko aur baat karne ko uksaya.
Aurato ne baato-baato me Premnagar aur uske aas-paas ke Dhanraj ke supporters ke naam bhi bata daale. Unhone baato ke dauran yeh bhi bata dala ki kis-kis ke yaha ke log Sonbhadra me rah kar kaam ya padhayi kar rahe hain. 

Inhi baato ke dauarn ek aurat ne baatchit ke dauarn ek eisi larki ke baare me bataya jo bagair saas-sasur baale ghar me biyahi gayi  thi aur abhi apne pati ke julmo-sitam ka sikar thi. 

Aparijita ko ab Anupama ki maa ki Japu ko naa kahne ki vajah samajh me aa chuki thi. Issi aurat ne zaroor Anupama ki maa ko namak-mirch laga kar kahani sunai hogi. Ek maa bhala kaise apni beti ko jaan-bhujh kar sankat me daal sakti thi.  

"Are bahoot ho gaya ab meri nanad ko khane bhi dogi ya nahi! Chalo sab apne ghar jaao. Yeh koi bhaagi thori hi jaa rahi hai. " Salma ne un aurato ko pyaar se jhirakte hue kaha.

Is baat par kuchh minute hansi-thitholi kar baaki aurate chali gayi.

Khane ke dauran Aparijita ne Javed aur Salma ko ek sujhab diya ki kyu na banne waali haal me din ke samay mahilao ko milne-julne ka samay diya jaaye, jaha paancho gaun ki aurate har hafte kuchh din mile aur aapas me salah-maswara kar sake.  Agar koi samasya jo mahilao ko ho rahi hai aur us par panchayat kuchh nahi kar raha hai ya phir unhe nahi pata hai to wo unhe Javed tak pahuncha sake.  Javed iss baat ke liye turant taiyar ho gaya.

Thori der me Aparijita ne Javed aur Salma se vida liya. 

=============================================== 

Dopahar ke 2 baj rahe the.  

Aparijita ne aaj Abbas se bhi milne ke liye bhi program banaya huya tha. Local MLA Dhanraj ke baare me Abbas kafi kuchh janata ho sakta tha. Report  me jikra kiye gaye yeh dono mahatpurn bande the jinse Aparijita ki ek baar bhi mulakat nahi hui thi .

Aparijita ke paas itna waqt nahi tha ki wo issi gaun me mahino pare rahe. Desh ke kai aur mahatpuran misson the jinko wo yaha raha kar pura nahi kar sakti thi. Waise bhi uska main objective gaunwalo ko phir se aapas me jorne wala kaam bahoot had tak kamyaab ho chuka tha. Rahi sahi kasar uske dawra donate ki gayi rakam se  banne waali library aur  chhoti sabha-bhavan kar dene waali thi. 

Gaun ko phir se ashanti se bachane me sirf ek hi pench phasa hua tha. Abhi tak yeh pata nahi chal paya tha ki gaun waalo ko ek-dusre ke khilaaf bharkaya kaise jaa raha hai. Ek gaun ke log dusre gaun waalo se pahle khiche-khiche the wo to Aparijita ko aate hi pata chal gaya tha. 

Ramdayal ke larke ki kidanap ki ghatna ne Ramdayal ko gaunwaalo ke aur Ramdayal ke diye rupaiyo dwara ki jaa rahi kaamo ne dusre gaun ke logo ko phir se ek-dusre ke karib laa diya tha. 

Report dene waale ka record batata tha ki abhi tak usne kabhi hawa me report nahi banayi; isliye kuchh eisa garbar zarur tha jiski script  yaha nahi balki kanhi aur likha jaa raha tha. Abbas aur Lallan 2 eise bande the jo yaha aur bahar dono jagah ke logo se jure the.

Aparijita apne quarter lauti aur ek baar phir se usne jeans ki pant aur shirt daal li thi. Jute me shikari chaku chhupa hua tha jabki sholder belt ke jariye shirt ke niche revolver chupa hua tha. 

Aparijita ki cycle iss bar Abbas ki bunglow ki aur jaise hawa me urti hui jungle ke raaste jaa rahi thi. 

======================================

Ghanshyam, Suresh ke saath  2 aur constables Qadir aur Kishore jeep se routine round par the. Wo log Chaila se round laga ke Premnagar hote hue  Abhaipur pahunchne waale the. Tabhi kuchh dino se shaanti se saans le rahe Premnagar thane ke members ko ashaant karne waala bakya saame aa gaya.
  

Saturday 7 December 2019

Botanist se mulakaat

Mandir se laut kar raat 10 baje Aparijita ne ek baar phir se gufa aur mandir ki recordings dekhi. Tantrik  subah Shera dwara laya gaya naasta karne ke baad saam 4 baje tak sota raha tha; jabki Shera subah 10 baje ke karib Chaila ki or nikal gaya tha aur phir 2-3 baje ke karib lauta tha.  Saam 7 baje Shera Aagnivesh ke liye raat ka khana aur tantra kriya me istemaal aane waali saamagri leke lauta tha.

Puri saved recording me kuchh bhi sandehapasad nahi mila. Aparijita live footage ki feed check karne lagi. Shera mandir ke paas bane kamre me pi kar tunn para tha. Uske paas me hi sasti saarab ki ek bottle ludhki pari dikh rahi thi.   

Udhar gufa me Aagnivesh tantra-puja me baithne ke liye gufe me bane chhote se kund me naha kar nirvastra bahar nikal raha tha.  

Gufa me jungli jaanwaro ko dur rakhne ke liye gufa ke mooh par aag jaalayi gayi thi. Halaki jungle ke iss hisse me koi bara jaanwar kabhi nahi dekha gaya tha. 

Aparijita ke dekhte-dekhte Aagnivesh apne banaye puja-sthal ke paas pahuncha. Usne abhi tak koi vastra dharan nahi kiya tha; sayad uska irrada nagn hi sadhna me baithne ka tha. 

Aagnivesh ne pathhro se  banaye gaye hawankund me lakriya saja raha tha. Hawankund tak gufa ke mooh par jaalayi gayi lakriyo se halki rosni aa rahi thi. Gufa ke andar ko bhi ek  rechargeable lamp se rosn kiya gaya tha.  

Aparijita ne puja saamagri par dhyan diya to paya ki aaj ki saamagri me  kuchh machhaliya (fish), ek jungli paudhe ke bare patto me kuchh kachha maans aur mitti ke chhote ghare me desi saraab rakha hai. En saamagri ke paas hi ek laal saari aur lal kaanch ki churiya bhi pari hui thi. 

Takriban 10 minutes ke baad Aagnivesh nagn hi puja me baitha hua mantra padhte hue prajwalit ( प्रज्वलित ) hawankund me hawan saamagri daal raha tha.

Aparijita ko pichhle raat ke videos se yeh pata tha ki Aagnivesh kal subah 4 baje tak tantra puja me hi laga rahega. Wo Shera ke are ke live footage dekhni lauti.  Shera ke khharate pure kamre me gunj rahe the.

Churi ke hawan saamagri ke saath mauzud hone se yeh to pata chal chuka tha ki gufa ka andar paayi gayi churi eise hi kisi prakriya ke dauran gire honge; par mandir ke kamre me puyaal ke bane bichhaban ke niche paaya gaya churi ka tukra kisi hawan saamagri ka nahi lag raha tha. Aparijita ne iss par jayada soch-vichaar nahi kiya kyuki ab recording ki arrangement ke kaaran har din ki footage bhi use milne waali thi.

Aparijita ne raat kaali karna bekar samjh bed par aakar let gayi. Tabhi uska mobile baj utha. Dusri taraf Arpita thi.

"Saitan singh ne shaam me phone kiya tha. Waha ka saara kaam sahi dhang se nipat gaya hai. Waha ke local agent ne bhi Saitan Singh ki bari taarif karte hue apni report di hai. Wo log subah 9 baje tak Sonbhadra pahunch jaayenge. Dr. Ritesh se bhi baat ho gayi hai. Unhone bataya hai ki Masterji ke hospital pahunchte hi 15-20 minutes me saari formalty puri karke Masterji ko admit kar liya jaayega. Uske baad Dinesh aur Ghanshyam ko Saitan Singh Premnagar tak chhor aayega. 12 baje tak wo dono tumhaare paas honge. " 

Arpita ki baat sunkar Aparijita ko dil se khusi hui. Use desh ke liye jaan dene waale ek fauji ke parivaar ki madad kar sakne ka sukoon hua. Usne masterji ki zaldi acche ho jaane ke liye man hi man dua maangi.

"Maine Ghanshyam ko Thrusday ko duty join karne ko kaha tha par kal wo dopahar tak aa rahe hai to unse report lekar unhe rest par bhejungi. Aur is se mai apna routine Friday ki jagah Thrusday se hi change kar paayungi." Aparijita ne apne plan me tabdili karte huye kaha.

"Meri chief se bhi Saitan Singh ko lekar baat hui. Chief bhi uske kaam se bahut khush hain. Chief ke permission se humlog use Sarfarosh ke field members ke team me saamil kar rahe hain. Parso subah ek flight se Saitan singh Delhi jaayeg, jaha wo chief se milega. Delhi me routine phycological tests me paas hone par use team me saamil kar liya jaayega." Arpita ne Aparijita ko bataya.

"Yaar, chief to formality ke liye uska test le rahe hain. Unhone to khud hi use select kar ke tumhaari madad ke liye bheja tha. Khair process to saare pure karne chahiye . Mujhe yaqeen hai ki Saitan Singh ye tests aasani se paas kar lega."  Aparijita ki viswaas bhari awaaz Arpita ke kaano me pari.

"Yeh to chief ko bhi yaqeen hai; tabhi to unhone mujhe kaha hai ki Saitan Singh 15-20 din ke training baad Sonbhadra ki team ko join karega. Yaha aane par usko IT field se related training yaha ki technical team degi. Tu bata drone aur spy gadgets se kya naya pata chala ?" 

"Yaar en 2 dino me Aagnivesh ne eisa koi kaam nahi kiya jo uska koi galat kaam ki aur isshara karta ho. Maine uske dwara ki jaa rahi tantrik kriya ko dekha to paaya ki wo tantra ke kaali dunia waale panth se hai. Maine uske dwara logo ko di jaa rahi saari suggestion suni hai aur wo bhi theek hai. Phir bhi AK-47 waali baat aur logo ko bharkane waale report ke kaaran jab tak koi dusra suspect nahi mil jaata; uspar meri nazar rahegi. "  

"Sorry yaar, tera wo Aagnivesh ke kamar par belt ke roop me like gaye mantra waal kaam nahi ho paya. Wo bandi 2 din baad aayegi. Kal subah tujhe Shera se related detail Sarfarosh ke local server ke database me mil jaayegi. Maine ek junior ko iss par lagaya hai aur wo kal subah 7-8 baje tak report file kar dega. Jis local agent ko Aagnivesh ke baare me aur pata karne ka kaam diya tha; use bhi kisi dusre urgent mission par 2 din ke liye bhejna para. Main tumhe Saniwaar ko dono reports ek saath deti hoon. Aur abhi tumhe un reports ki koi jaldi bhi nahi hai. "

"Haan !! Ab Aagnivesh par waise bhi agle hafte se jayada nazar rahegi kyuki wo agle hafte se Chaila me 5 din rahne waala hai. Tujhe 1-2 din ke liye yaha aana parega kyuki yaha mujhe teri jaroorat hai. Main is maamle me Arvind ko involve karke uske baare me shaq nahi paida karna chahti hoon. Yaha thane ka saara staff tujhe meri saheli ke taur par janta hi hai."

Arpita ko Aparijita ne aaj drone ki madad se gufa ke locations aur waha tak pahunchne me aane waale khatre ke baare me bataya.  

"Theek hai phir main Saniwaar raat tujhse Premnagar me milti hoon. "

Iske baad kuchh der tak dono local center ke kaam ke progress ke baare me baat karti rahi.

-------------   * -------------------------------  *       -------------------------     *   -----------------------
Wednesday subah 5  baje phir Aparijita drone ke saath rosni ke source ke khoj me chabutre par mauzod thi.  Aaj bhi jaanch ka dyara aur 500 meter kam hua par source ka pata nahi chal paya. 

Aagnivesh ke routine me bhi koi change nahi dikha. 

Aagnivesh  aaj raat tak yahi rukne wala tha aur kal Phulpur me apne naye bane program ke anusaar last baar jane wala tha.  

Aparijita ne aaj drone ko Abhaipur ke upar takriban 1 ghante tak rakha. 1 ghante ke dauran Abhaipur ke raasto aur jungle se sate area par Aparijita ki khaas nigah rahi. 

Aparijita ne subah ke duraan Abhaipur me ho rahi gatividihyo par dhyan rakhte huye jungle ke andar se kuchh eise raasto ko dhoond nikala jo main sarak se  kam samay  me use Abhaipur pahuncha sakti thi.

---------------------------------------

Aparijita apne quarter wapas aa breakfast karte huye Shera se related report Sarfarosh ke local server par check kar rahi thi.

Shera ka past daagdaar raha tha. 2 saal pahle usne Aagnivesh ke ek videshi sisya ki jaan khud ko khatre me daal ke bachaya tha aur tab se use Aagnivesh ne apne yaha jagah di thi. Report ke anussar ab Shera apne gunaho ki dunia se prakat roop  se dur tha phir bhi uske puraane saathi ashram ke bahar us se milte dekhe gaye the.

Shera ki eisi hi ek meeting  pichhle hafte hui thi jisme bahut hi garma-gram bahas hui thi. Par us bahas ki wajah aur unme saamil logo ki detail abhi available nahi tha. Aparijita ne complete report Shera ke un saathiyo ki image se upload karne ke liye nirdesh daal diya.

--------------------------------------------------

Aparijita cycle par peeth par ek chhota bag  jisme camera, hathiyaar aur spy gadgets the, liye Phulpur ki khandhar jaa rahi thi. Waha pahuch kar wo 15 miniutes me recording ki arrangement kar chuki thi.

Ab  wo jungle me bane botanical research center ki or jaa rahi thi. 

Aparijita ne sarak ke lambe raaste ke vajaye jungle ke anadar ke raaste ko chuna aur takriban 20 minute ke baad hi wo jungle ke andar bane sundar chhote ghar ke paas ke research area ke saamne  khari thi. Tabhi ghar se nikal kar udhar aata pahle bhi dekha gaya banda use dikhayi diya.  Aparijita ko dekhte hi uske chehre par aascharya ki jhalak ek pal ko dikhi par ugle pal uski jagah ek pyari si muskan ne le li.

"Hallo, Good morning!" us bande muskarte hue kaha- "Main Anay hoon aur yeha rah kar in per-paudho ke upar kuchh research kar raha hoon. Aur aap ?"  

"Mai Aparijita Singh; yaha ke thane ki SHO." Aparijita ne haanth milane ke liye apna haanth badhate hue kaha.

Anay ne Aparijita se hanath milaya. 

"Are! To aap hai famous Aparijita Singh. Maine kuchh din pahle kisi ke munh se aapki bari taarif suni thi ki kaise aapne adhunik hatiyaro se lais apradhio se mukabala kiya aur agva kiye gaye larke ko bhi bagair kisi kharoch ke chhura liya. Halaki aapko dekha bahoot kam logo ne hai par aapke naam aur kaam se sab baakif hain." Anay ne muskarate huye kaha.

Aparijita ke chehre par sirf sabhay muskan ek pal ko aayi.

 "Agar aap naa batati to main to samjah raha tha ki jungle se van-devi mujh akele se milne aayi hai." Anay ne thora flirt karte hue kaha.

 Aparijita zabab me sirf muskurai.  

"Aapko jungle ke iss kone me kis baat ne kheech laya hai ya phir aap iss baat ki jaanch-partaal karne aayi hain ki kanhi main yaha se koi gupt khajane to nahi chura raha hoon !" Anay ke chehre par ab bhi wahi pyari si muskan chhayi hui thi.

"Aisi koi baat nahi hai. Mujhe nature se lagav hai aur jungle ke iss hisse me hinsak maansahaari jaanwaro ke naa hone ki wajah se kabhi-kabhi jungle ki sair ko nikal parti hoon. Yaha kisi ka ghar dekh kar aascharya hua; isliye ruk gayi." Aparijita ne bhi muskurate hue zabab diya.

"Chaliye issi bahane aap jaise sundar larki se mulakat to ho gayi, nahi to mujhe yaha to sirf baaten karne ko per-paudhe hi milte hain. Haan; kabhi-kabhi jharne se paani peene aane waale kuchh chhote jaanwar milte hain, par wo bhi mujhe dekhte hi sharma kar nikal parte hain."

Anay ke chehre par muskaan abhi bhi kayam thi.

 Aparijita ke puchhne par usne bataya ki iss jagah ki mitti me aisa kuchh hai jo bare wale research center ki mitti me nahi hai. Isliye yaha par experiment karne ke liye yeh ghar aur research area banaya gaya hai.

Is research center ko electricity underground cable ke jariye pahunchai gayi hai jo zameen me matra 1 foot niche se hi gujaari gayi hai. Yaha par 1-2 chhote ghar aur banne wale hai par yaha rah kar kaam karne wala koi nahi mil raha tha. 

Anay ne aage bataya ki bare wale reasearch center me bhi abhi uske aalba aur koi banda nahi hai kyuki waha lagaye gaye paudho ka result 6 mahine baad aane wala hai. Par usme paani bagaira dene ke liye ek banda Phulpur se daily subah aata hai.

Har Sunday ko Anay aur  Sonbhadra me rahne wala ek aur banda milkar paudho ki health report taiyar karte hain.

Aparijita ne Phulpur se daily aane wale employee ke baare me Anay se puchha. 

 "Uska naam Rana hai aur use maine hi part-time kaam par lagaya hai. Uska kaam sirf daily aake paani dena hai, aur agar kuchh unusal dikhe to mujhe aur Sonbhadra me khabar karna hai. Yaha rahne ko koi employee taiyar nahi ho raha tha; isliye maine part-time par banda department se kah kar rakhwa liya. Wo meri zaroorat ki cheeje bhi laa deta hai. Mujhe jab bhi kisi cheej ki jaroorat hoti hai to main use phone kar deta hoon aur wo dusre din yaha de jaata hai. Maine use kah raha hai ki wo sirf paani dekar chala jaaye aur mujhse koi kaam ho tabhi yaha aaye. "

Aparijita ne Anay ko swaal bhari nazaro se ghura.

"Madam! Itni muskil se to banda mila hai. Ab agar yeh banda kanhi kaam se mana kar de to dusra banda itni kam salary me milna muskil ho jayega. Maine time to time inspection karke paaya hai ki iske kaam me koi khot nahi hai. Use faaltu me sirf apni afsari dikhane ke liye agar main bulane laga to ho sakta hai ki wo bhaag hi jaaye " Anay ne thora sanjida hote hue bataya.

Aparijita ne baatchit ka rukh yaha ho rahi research par more diya. 

"Madam yaha par (chhote reasearch area me) jo experiment kiya jaa raha hai uske dwara kai eise hybrid paudho ko paida kiya gaya hai jo cancer aur dusre jatil rogo ke upchaar me bhi kaamyab hoga. Par abhi us par final result aani baaki hain. Iss waale project ke saath dikaat yeh hai ki wo paudhe sirf issi illake ki mitti me ya bahut hi clinically controlled area me hi panap paa raha hai. Bare waale center wale me kuchh khas kism ke paudhe hai jo waha ya iss jungle me ugaye jaa sakte hain; par iss jungle ke bahar unhe ugane me abhi puri kamyabhi nahi mili hai."

Anay kaafi der tak Aparijita ko yaha paaye jaane baale per aur paudho ke baare me batata raha. Anay ko jungle ke jaanwaro ke baare me bhi acchi jaankari thi. 

Anay ne baato baato me bataya ki abhi wo kuchh mahine se aise paudho par research kar raha hai jiske patto ke ras se insaan ki kaam-vaasna bharak jaati hai; par iske paato me kuchh aur bhi gun hai jise wo hybrid karke badhana chahta hai jabki kaam-vaasna bhadkane wala ans nikalana chahta hai. Par abhi tak wo sime jara sa bhi kamyaab nahi ho paaya tha.  Anay ke mutabik in khaash paudho ke baare me uske alaba bahut hi kam logo ko iske baare me pata tha.

Saturday 23 November 2019

Prem Ka Mandir

Mandir ke aas-paas ka batavaran bahut hi shaant tha. Mandir ke paas pahunchte hi Aparijita ne bahut hi shaanti mahsoos ki. Yeh ek chhhota sa khubsurat mandir tha. Mandir ke gate se andar aate hi Aparijita ne jo dekha; us se uski aankhe khuli ki khuli rah gayi.

Mandir ke boundry ke andar ek jagah 15x10 ka sirf 1 taraf se band ek kamra sa dikhayi diya. Yeh kamra 4 pillars par khara tha. In pillers ko  dudh jaise chamakdar aur saaf sangmarmar se dhaka gaya tha.  Har piller par Prem aur Visha-bandhutat ki baaten likhi gayi thi. Kamre ke chhat se niche ek sangmarmar se dhaki patti par "Samadhi Mandir" likha tha.

Samadhi mandir itni khubsurati ke saath banaya gaya tha ki wo koi phullo ka guldasta lag raha tha. 

Aparijita ke pair khud ba khud "Samadhi Mandir" ki taraf badh chale. 

Purab (East) ke deewal ke aadhe hisse me cemented jaali lagi thi; jis se chhan kar rosni andar aa rahi thi.  Purab  ke deewal ke saath hi abdar kuch lohe ke self rakhe the. In selfs    me books rakhi dikh rahi thi. 

Waha jis tarah ki books rakhi hui thi unhe dekh kar kisi ki aankhe aascharya se khuli rah jaati. Waha alag-alag rake me 3 pramukh dharmo ki pustake rakhe dikh rahe the. 

Samadhi mandir 2 chhote-chhote aayatakar(rectangular) aakriti bane the aur uske saamne 2 pradeep jal rahe the. Dono pradeepo ke bich me ek agarbatti ke stand me ek bahut hi shaanti pradan karne wali manmohak  sugandh wali agarbaati jal rahi thi. 

Iss mandir ke andar 2 aasan par ek purush aur ek stri baithe the. wo apne saamne dharmik kitabo ko rakh kar padhne waale lakri ke stand par rakhe pavitra granth par haanth rakhe hue ek dusre se kuchh kah rahe the. 

Aparijita ne dur se hi iss purush ko pahchaan liya tha. Yeh Javed tha aur aankhe band kiye baitha tha. Javed ke saath baithi stri bhi aankhe band kiye uska baaya haanth thaame baithi thi. Dono ke band autho ki muskaan ek-dusre ke prati laagav bata rahi thi.

Aparijita unhe wahi chhor kar mukhya mandir ki aur badh gayi.

Mardin me puja-archna kar Aparijita phir samadhi mandir ki or badh chali.  

Javed theek usi waqt Samadhi-mandir se nikal kar bahar aaya. Javed apne saamne achanak Aparijita ko dekh kar chaunk gaya. 
"Good-evening madam! Aakhir aapko bhi "Prem ke mandir" ne aakarshit kar hi liya". Javed ne muskurate huye kaha.

"Inse milye yeh meri shareek - e - hayat  Salma begum hain." Javed ne apni patni se Aparijita ka parichay karate hue kaha.

"Salma, yeh wahi bahadur madam hai jinhone Ramdayal kaka ke larke ko sahi-salamat churraya tha aur saath me badmaaso ko bhi maar giraya tha." Javed ne Salma ko Aparijita ka parichay dete hue kaha. 

"Are, Yeh to aapki bahut taarife karte hain. Aapse milne ki bahut chaahat thi. Maine inse kai baar aapse milwaane ko kaha bhi tha!" Salma ne Aparijita ka haanth thaamte hue bare pyar se kaha. 

Salma ke chehre par baccho jaisi bholi khushi thi. Uska chehra khushi se damak raha tha. 

"Mera to ji chaah raha hai ki main aapko gale laga loon." Salma ne Aparijita se muskurate hue kaha.

"Arre !! To roka kisne hai." 

Aparijita ne muskura kar kaha aur khud  aage badh kar Salma se gale lag gayi.

"Javed ko main bhai kahti hoon; isliye aapko bhabhi kahungi." Aparijita ne Salma se gale milte hue kaha.

"Mujhe khushi hogi." Salma ki kushi se bhari khil-khilati awaaz aayi.

"Ek baat batao, bhabhi! Javed bhai se meri taarife sun kar aapko kuchh jalan ya shaq nahi hua ki Javed bhai sayad mere taraf jhukne lage hain!" Aparijita ne Salma ko chherte hue kaha. 

"Jaha bharose ki diwaar majboot ho waha iss tarah ke vichaar dimag me nahi aate.  Mujhe khud se jayda in par bharosa hai." Salma ne pyar bhari nazaro se Javed ki aur dekhte hue kaha.

Kuchh palo tak Javed aur Salma ek dusro ko dekhte hi rah gaye. Lag raha tha jaise unhe pata hi nahi hai ki agal-bagal kya chal raha hai.  Jab chand minute eise hi gujar gaye to Aparijita ne thora khaash kar unka dhyan apne aur kiya.

"Javed bhai, aap aur mandir me! " Aparijita ne Javed se puchh hi dala.

"Madam, yeh jo aap sthan dekh rahi hai; yeh hamari Rani maa aur Raja saheb ki samadhi hai. Yaha par unke chita-bhasam ka luchh ans rakha gaya hai." Javed Aparijita ko Samadhi-mandir ki baare me  bata raha tha - "Par yaha undono ki puja nahi hoti; balki har dharm ke vivahit jore apne dhamrik pavitra  granth  par haath rakh kar apne banane wale se dua karte hai ki hamare Raja Shaheb aur Rani maa jaise marte dam tak ek saath jiye; waise hi nemat hume bakshe!  Yaha par Premnagar thane me aane wale 5 gaun ke aalaba bhi dur ke gaun se vivahit jore aate hain." 

Tabhi ek aur vivahit jora waha aaya. Unko privacy dene ke liye teeno waha se hat kar thore dur khare ho kar baat karne lage.

"Madam, aapko sayad pata nahi hoga; par gaun ka naam Premnagar inlogo ke prem se hi para hai. " Javed ne Aparijita ko aage bataya.

"Javed Bhai, aapne to meri utsukta badha di hai." Aparijita ne Javed se iske pichhe ki kahani jaanani chahi -  "aap mujhe unke baare me thora aur  bataye." 

"Madam, main us waqt chhota tha jab Raja saheb aur Rani maa yaha ghumne aaye the. Unhe yaha ka mahaul itna accha laga ki unhone iss jagah par ek khubsurat si chhoti haveli banwaayi. Uske baad se wo har saal kuchh mahine yaha bitate the."  Javed ne ek jagah ki aur isshara karte hue kaha.

"Unhone yaha ke logo ke bhalai ke liye hospital aur school banwaaye. Unke prayas ke karan hi Premanagar me pakki sarak ban paayi thi. Iske aalaba bhi unhone bahut kaam kiye.  Raja sahab Sonbhadra ke purane saahi vans ke the; phir bhi unke andar jara bhi aham nahi tha. Hum sabko lagta tha ki wo hamare bich ke hi aadmi hai."

Javed jaise-jaise batata jata tha waise-waise uska chehre par gambhirta chhati jaa rahi thi.

"Ek baar gaun me koi rog phail gaya tha; tab Rani maa ne hamari bahut madad ki thi. Unhone sahar se mahngi fees dekar docotors ko yaha bulwaya tha aur khud jaa kar ek-ek ghar me sabka khoj-khabar leti rahi thi. Tab se hum chhoto ke saath-saath gaun ke bujurg bhi unki mamtamayi nature ke karan unko Rani maa kahne lage. " 

Javed ne ek baar ghum kar samadhi ki aur shardha se apne haath jore.

"Holi me unke taraf se saara gaun unke yaha nimantrit hota tha.  Holi ke dusre din jaha aajkal panchayat hoti hai; waha saam se manoranjan ka program hota tha. Rani maa aur  Raja sahaeb dono ko gaane ka sauk tha. Wo naa sirf accha sunte the balki accha gaate bhi the. Mujhe Holi ke dino me unka gaaya gaana aaj bhi yaad hai."

Javed yaado me khoye hue kah raha tha. 

"Us gaane ka ek-ek bol jaise unki amar prem kahani kahte hai. Main aapko wo gaa ke sunata hoon. "
Javed wahi mandir ke bahar ek neem ke per ke niche bane cemented bench par baith kar gaana sunane laga.  Salma bhi uske saath baithi uske haath thaame uske saath gaa rahi thi.

 tumhe main agar apna saathi bana lu
bata do mera saath doge kaha tak
 Lyricist: S H Bihari
Singer(s): Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Youtube link

Gaana khatam ho gaya par sab statue ki tarah chup-chaap baithe rahe. Aakhir Aparijita ko hi chuupi torni pari.

"Javed bhai, aage kya hua?"

"Madam, Jis saal me 18 saal ka hua tha, usi Holi ke  dusre din ki subah hamare dil me naa bharne wala ghab de gayi. Us din dur ke gaun me circus aaya hua tha.  Raja saheb  ne apne yaha ke naukro ko chhuti dekar circus dekhne bheja tha. Kai naukro ne mana bhi karna chaha tha par "kuchh hi ghanto ki baat hai, circus yaha nahi aate" kah kar Raja saheb ne un sabko dher saara rupaiye dekar circus dekhne bhej diya tha."

Javed ka swar rudhne laga tha.

"Naukro ke jaane ke ghante bhar baad hi ek saath lagatar kai dhamke hue. Saara gaun un dhamko ki awaaz se kaanp gaya. Thore der me hi hume pata chala ki dhamaka raja saheb ki haweli me hua hai."

Javed ne apne aakho ke kore par chhalak aaye aanso ko puchha.

"Jab hum yaha pahunche; tab tak yaha sabkuchh samapat ho chuka tha. Wo farishtey jo hum besaharo ke liye sahara ban ke aaye the; ab humse dur jaa chuke the. Puri haweli khandhar me badal chuki thi. Baad me pata chala ki ek dusre saahi vans ke gundo me puri haweli me dynamite laga diya tha."

Javed ne apne rudhe gale ko saaf kiya. 

"Hum us khandhar bane haweli me apne Rani maa aur Raja saheb ko dhundh rahe the. Ek chhat ke malbe ke nicche se wo mile. Unhone jindgi ke aakhri lamhe me bhi ek-dusre ka saath nahi chhora tha. Wo ek dusre ko gale lagaye baithe the aur unke upar puri chhat giri hui thi. Wo ek-dusre ke haanth thaame ek dunia ko alvida kah chuke the."

Javed ab apna rona nahi rok paya. Uske aankho se moti tapakne lage.

"Us din gaun me kisi ghar me chulha nahi jala. Sahar se bare Raja saheb aaye aur unke sav ko Varanasi le gaye. Gaun se mere abbu aur kuchh log unke saath gaye. Antin sanskar ke baad mere abbu jo us waqt yaha ke mukhiya the, ne bare Raja saheb se kucch ans chita-basham ka dene ka anurodh karte huye bataya ki gaun wale apne farishto ki yaad me ek mandir aur unki samdhi banwana chahte hai.  Bare Raja saheb ne naa sirf bhasm diya balki iss Radha-Krishan mandir aur samadhi mandir bhi banwaya." 

Javed kaafi der tak chup baitha  raha.

"Javed bhai, par yaha to mujhe koi haweli ka khandhar dikhayi to nahi de raha hai." Aparijita ne us jagah ki aur isshara karte kue kaha;  jaha Javed ne haweli ka jikra kiya tha. Waha iss waqt ek bara sa khubsurat phulo ka bagicha tha.

"Madam, gaun ke logo ne mil kar yeh tai kiya tha ki gaun ka naam Raja saheb aur Rani maa ke amar prem ko yaad karte hue badal kar Premnagar kar diya jaaye. Iske liye abbu ne kagaji karyawahi ki aur bare Raja shaheb se mil kar isme madad maangi.  Officialy gaun ka naam Premnagar ho jaane par bare raja saheb yaha hume yeh khuskhabri dene aaye the. Usi din aabu ne unhe bataya tha ki haweli ke khandhar me dusre gaun ke kuchh badmaas kabhi-kabhi juye khelte hain aur dusre galat kaam karte hain. Bare raja shaheb ne saara malwa waha se hatwa kar yeh baagicha bana kar mandir ko daan kar diya.  Yaha ke phulo se hi mandir ki puja hoti hai aur gaun me kisi ke yaha shaadi-vivah, antim sanskar yaa samohik puja hone par bhi yaha se hi phool jata hai."

Aparijita ne iss amar prem-kahani ko mantramugdh hokar suna tha. Use ek pal ko laga jaise wo premi jori ek-dusre ke haath thaame us baagiche me ghumte hue gaana gaa rahe hai.

"Madam, samadhi mandir banne ke baad se hi vivahit jore yaha aa kar dua maangte hai. Humare gaun me rasm hai ki saadi ke baad sasuraal aate hi saas, bahu aur bete ko lekar yaha aati hai aur apne dhram ke granth par haath rakh kar Raja shaheb aur rani maa jaisa pyar ki dua maangte hai.  Salma aur main bich-bich me yaha aate hai aur hum apne banane wale se dua karte hai ki hume ek-dusre ke bagair naa jina pare. Hum iske sath hi apne farishto ki aatma ki shaanti ke liye bhi dua karte hain. "

Javed fir se chhup ho gaya tha.  Mahaul ko halka karne ke liye Aparijita ne Salma ko toka. 

"Aur aap bhabhi yaha kya dua karne aati hain ?"

"Main dua karti hoon ki mujhe inse ek pal kam jindgi mile taaki mujhe inke bagair ek pal  bhi naa rahna pare!"  Salma ne Javed ki aur dekhte hue kaha. 

Thori der tak baat karne ke baad Salma ne Aparijita ko apne ghar aane ke liye mana liya.

Aparijita  Javed aur Salma ko ek-dusre ke haath thame jaate dekhte rahi. 

Javed aur Salma se baat karte hue kaafi saam ho chuka tha. Aparijita apne quarter ki aur laut chali. Jab wo mandir ke baagiche ke paas se gujar rahi thi tab use laga jaise ek khubsurat jora baag me phulo bich gaate hue ghum raha hai. Aparijita ko iss bar yeh uski kalpna nahi lagi . Mandir se lautate waqt uske kaano me madhur geet ki awaaz aa rahi thi.  

 tumhe main agar apna saathi bana lu
bata do mera saath doge kaha tak
zameen se jaha aasmaan mil raha hai
na chhod enge daaman tumhara vaha tak

Saturday 16 November 2019

Aagnivesh aur research center


Report ke anusaar tantrik ka ek bara ashram Sonbhadra me tha jaha wo bahar ke logo se bahoot kam milta-julta tha. Yaha tak ki jo log donation dene ke naam par bhi us se milna chahte the; wo us se bhi nahi milta tha. Par yaha Premnagar me koi bhi us se mil sakta tha. Tantrik ke vyabhaar me iss antar ka koi na koi kaaran to zaroor hona chahiye tha. 

Tantrik ke khilaf Sonbhadra ke police station me kisi ne aaj tak  report nahi likhayi thi. Tantrik ke baare me Sunday aur aaj bhi ek agent ne thora aur gahrai me jaa kar chhanbin ki thi. Usne tantrik ke ek bhakt se bhi baatchit kar thore der pahle hi Aparijita ko apni report phone par di thi. 

Agent ko bhakt se pata chala tha,  tantrik ko log "Aagnivesh" baba ke naam se jaante hai. Wo bhakt kisi rohani takat se pirit apne beti ke illaz ke liye uske paas gaya tha. Uske jaane par sabse pahle us se medical report dikhane ke liye kaha gaya tha. Bagair doctor se illaz karwaaye aane waale logo ke rohani illaz ki manahi thi. Agar doctor se marj naa  sambhle tabhi yaha kisi ko dekha jaata tha. Agar pirit vyakti ko koi roohani takat paresaan nahi kar rahi hoti thi to yeh bhi jaanch karke bata diya jata tha.

Bhakt ne kuchh aur bhi tantrik ke niyam-kayde bataye the,  jaise wo kisi bhi aurat ya larki se akele me nahi milta hai aur naa hi uske kisi sisya ko iski izzazat thi. Dusra uske milne ke baad kisi bhi tarah ka daan dena pure illaz ke dauran mana tha. Jaydatar maamle uske sisya hi dekhte hai aur agar unse naa sambhle tabhi tantrik khud saamne aata tha.  

Agent ne Aparijita se vada kiya tha ki wo 2-3 din me aashram se jure logo se mil kar aur bhi detail me report dega. 

--------------------------------------------------------------------------------------------
Raat 10 baje. 

Aparijita dinner bagaira se nipat ke aaj hui recording dekh rahi thi. Is recording me Japu  bhi tha. 

Japu ne apna role baakhubi nibhaya tha par tantrik ne use tantra-mantra ki jagah khud aage badh kar Anupama ki maa se baat karne ko kah diya tha. Usne Japu ko tantra-mantra ka chakkar chhore aur kisi samjahdari se baat karne me maahir shaksh ke dwara baat aage badhane ka salah diya tha. 

Japu ne iss par bhi jor diya tab tantrik ne use jhirak diya tha. Tantrik ne Japu ko kisi aur baba ko dhoondh ke liye kaha jo rupaiyo ke liye preamio ko milane wala kaam karta ho. 

Video recording se tantrik ke karyapranali samjhne me Aparijita ko kafi madad mili. 

Aparijita ne abhi  tak ka tantrik  Aagnivesh ka kriya-kalapo ka study kar uska routine note kiya.

Aagnivesh  takriban 8 baje subah hi aa gaya tha.  Aane ke thori der baad wo mandir ke paas bane kuye se paani lekar nahane ke baad 1 ghante tak koi mantra-jaap karta raha tha .

Takriban 11.30 baje Aagnivesh madir ke saath bane kamre me sone chala gaya. 3.30 baje Aagnivesh uth kar munh-haath dho kar mandir me aake baith gaya tha. 

4.00 baje se log Aagnivesh  se milne aane lage. Aagnivesh ke saamne ek chhoti si dari bichhi hui  thi.
Shera kisi ko bhi tantrik ke paas nahi jaane de raha tha. Wo pahle pucch-taachh karta aur phir kisi ko aage jaane de raha tha. Aagnivesh mandir ke ek kone me uttar (North) ki aur munh karke baitha tha.
Shera ek baar me ek se jayada logo ko nahi jaane deta tha. Aagnivesh ne Shera ko iss tarah logo ko bhejne li liye kaha tha jis se koi Aagnivesh se baat kar rahe banda ya bandi ki baat naa sun sake.  

Aparijita tantrik dwara di jaa rahi salah ko gor se sun rahi thi. Aagnivesh ya to kisi deshi jari-buti  ke baare me batata ya phir unhe Iswar se karm karte hue madat ke liye kahne ko kahta. Jo log uske paas kisi chamatkaar ki umeed liye hue aate unhe wo wahi jhirak raha tha. 

Aagnivesh 6.30 baje tak logo ke saath baat karta raha. Logo ki baatchit se Premanagar thane ke 5 gaun ke aalaba bhi dur-dur se aaye logo ke aane ki baat pata chali.  In sabko dekhne ke baad to koi bhi  Aagnivesh ko sandeh se bari kar deta par AK 47 ka uske kothri me hone ki nissani ne Aparijita ko Aagnivesh ko clean chit dene se rok raha tha. 

Aparijita ne jab recording dekhna suru kiya tha tab live-footage me Aagnivesh kamre me baitha rechargeable  light ki rosni me koi bahut hi purana granth padh raha tha; jabki Shera khana banane me vyast tha. 

Aparijita ne recorded footage dekhne ke baad live footage par dhyan lagaya. Aagnivesh khana khane ke baad Shera ke saath mandir se kanhi dur jaa raha tha.  Thore der me hi wo log camera ke zad se bahar ho gaye.  Javed aur Japu ke report ke anussar Aagnivesh  aaj mandir me rukne waala tha. 

Takriban 20 minute ke baad gufa me lage yantro ne signal dena suru kar diya. Kuchh hi der me  Aagnivesh aur Shera gufa ke andar dikhne lage. 

Gufa me chhipaye yantro ne waha ho rahi baatchit ko transmit karna suru kar diya tha. 

Aparijita ko unki baatchit se pata chala ki  Aagnivesh ne aaj aachanak apna program change kar aaj hi yaha aane ka faisala kiya tha. Isliye usne saam ko hi raat ke tantrik-pujan ke liye ssari saamagri manga li thi.

Aagnivesh Shera ko iss week Phulpur ke  khandhar me antim saadhna karne ke baare me bata raha tha.  Aagnivesh iske baad Phulpur nahi jaane waala tha. 

Aagnivesh ke plan ke mutabik agle hafte se  Aagnivesh sirf iss ilaake me Mangalwaar (Tuesday) ko aane wala tha aur Raviwaar (Sunday) subah ko chale jaane wala tha. Isme bhi sirf  Mangalwaar ko wo logo se milne wala tha. Mangalwaar ki hi raat gufa me sadhana karne aake yehi se wo Raviwaar ko sahar laut jaane wala tha.

Shera ko Gufa me rahne ki anumati abhi bhi nahi di gayi thi. Shera ko Aagnivesh    Mangalwaar ki dopahar me hi saaf-safai kar  dene ka nirdesh diya taaki use aaj ki tarah  raat me safai na karna pare.
Raat 11.30 baje Shera gufa ko saaf karke Aagnivesh ke liye sone ke liye puyaal ka bichhona tayiar karke chala gaya. 

Aparijita ne pahle socha tha ki wo kal yaani Mangalwaar ki subah gufa me  gadgets ko lagayegi kyuki mandir me gadgets lagane me kaafi der ho gayi thi . Phir usne apna irrada badal kar ek saath hi unhe laga diya tha. Aaj uska fayda mila.

Chuki sabkuchh record ho raha tha isliye Aparijita ne raat jaag kar bitaane se accha so jana samjha.  Japu ko bhi usne iss duty se rihai dene ka nischay kar liya. Recording me saaf dikh raha tha ki Japu ne apne taraf se puri kosis ki thi. Waise bhi ab gadgets ke karan kisi aur ki zaroorat nahi thi.

 Aparijita ka irrada phir subah 5 baje uth kar drone ke saath thora inspection karne ka tha.    

==========                      ===========================           =============

Mangalwaar subah 

Aparijita ne ek baar phir micro-drone ko suryoday ke samay chamakne wali rosni waale illake me bhej rakha tha.

Aaj drone ka daayra usne pichhle reading se mile result ke anussar kuchh kilometer ke radius me hi rakha tha. 

Par aaj bhi us rosni ka koi shrot ka pata nahi chala . Par iss kabayat se ab jaanch ka dayra thora aur chhota ho gaya.

Aparijita ne drone ka rukh us gufa ki aur kar diya jaha Aagnivesh ruka hua tha.  

Aparijita ne drone ko 2 pero ke bicch iss tarah sthir kiya ki wo aasani se nahi dekha jaa sakta tha. Agar dikh bhi jaata to wo  apne design ke kaaran koi use bara panchi hi samjhta.

Thori der me hi Shera gufa ki aur aata dikh para.  Usne gufa ke bahar se awaaz lagayi.  Bahar aaye Aagnivesh  ke  chehre par raat bhar ka jaagran saaf dikh raha tha. 

Aagnivesh thori der baad ek or chal para.

Drone lagatar Aagnivesh  par nazar rakhe hue tha. 

Aagnivesh sauch aur daaton ke baad Jharne me nahane ke liye chala gaya. 

Aparijita ne Aagnivesh ko jab nitya-karma ke liye baithte dekha to usne drone ko un 2 gupt gufao ki or mor diya jinka gupt map ke dwara jikra kiya gaya tha.

Jald hi Aparijita ne us jagah ko dhoondh nikala. Gufa me bana map bilkul perfect tha. Map ke saanketic (hidden/tricky) nissano ko Aparijita solve karke perfect map taiyar kar saath laayi thi. 

Dono gufao tak anjaan bande ka pahunchana lagbhag naamumkin tha. Ek to wo khai jaise jagah  me bane the jaha pahunchana chaaro taraf sidhi chikni chaantano ke  wajah se lagbhag naamukin tha.  Aur dusra wo upar se dikhte bhi nahi the.  Yaha tak yaa to kisi rassi ke sahare latak kar pahuncha jaa sakta tha yaa phir kai kilometer jungle me  ghum kar niche se waha pahuncha jaa sakta tha. 

Itni massakat ke baad bhi aam aadmi un gaufao ke chuppaye hisse tak nahi pahunch sakta tha. Gufa 10 feet jaane ke baad hi ek chattani dewaar ke saamne khatam ho jaati thi.   Saanketic bhasha me diye gaye hint ko Aparijita ne waha talasha to use wo kunji bhi mil gaya jo gufa ke andar chhupe dunia ko kholta tha. 

Chattan par kuchh aakriti bani thi.

Zald hi Aparijita ne wo point dhundh nikala jise dhakelne par ek darwaaja khulta tha. 

Pata nahi kitne saalo se kise aadamjaad ke pair waha naa pare ho.  Ho sakta tha ki lambe samay se naa istemaal hone ke kaaran us hisse ko dhakelna akele Aparijita ke dwara possible nahi ho pata. Upar se kanhi bhi koi eisa hint nahi tha jis se yeh pata chalta ki gufa ke andar kya hai.  

Aparijita ne kisi partner ke saath gufa ke andar jane ka nischay kiya. 

Drone ka rukh ek baar fir Aagnivesh wali gufa ki or tha. 

Aagnivesh gufa ke bahar ek patthar par baitha bhojan kar raha tha. Bhojan ke baad Aagnivesh gufa me chala gaya jabki Shera mandir ki aur laut para.

Aparijita ne gufa ke andar lage  gadgets ke live feed ko dekha to paya ki Aagnivesh gufa me lagaye gaye bichhaban par let gaya hai . Uske paas me hi uska mobile phone rakha hua tha. 

Thori dur par raat me ki gayi saadhna ke dauraan jalayi gayi hawan samagri samet kar ek bare plastic ke bag me rakhi hui thi. 

Yaha aur kuchh dekhne ke liye nahi tha. Aparijita ne botanists dwara ki jaa rahi experiment ka illaka dekhne ke drone ka rukh mor diya. Usne apne paas uplabd papers se us jagah ka location ka ek andaaza lagaya tha.   

 Aparijita ne experiment ki jagah ke baare me bilkul sahi andaza lagya tha.

Zald hi drone experiment ki jagah par pahunch gaya. Drone ke live footage me ek bara sa illaka kaante daar taaro se ghira dikhyai para. Saaf pata chal raha tha ki kaante-daar taaro ko jungli jaanwaaro ko rokne ke liye lagaya gaya tha. 

Iss ghire illake me andar aane ke liye sirf ek hi gate tha; jis par ek bara sa  taala latka hua tha. 

Drone  dheeme rafttar me us illake ka chakkar laga raha tha.  

Ek jagah Borewell ke dwara paani ka bandobast dikhayi diya. Andar kai jagah baans ke khambo, puyal aur miiti ki khappr se chhoti-chhoti jhopariya bani thi. Wahi 2-3 chhote-chhote eento ki khotharia bhi bani thi. Par waha kisi ke hone ki koi nissani nahi dikh rahi thi. Pure illake me tarah-tarah ke paudhe lage hue the jinme se kuchh ko Aparijita ne aaj tak nahi dekha tha. 

Is ghire illake ke paas hi 3 quarters bhi bane hue the. Waha abhi sannata pasra hua tha. Aparijita ne drone ko un quarters ki mor diya. 

Drone quarters ke aas-paas udh raha tha.  

1 quarter ke bahar office likha hua tha. Saath me hi ek lakri ke signboard par research project ka naam bhi likha tha. Is se saaf pata chal raha tha ki is quarter ko hi office ki tarah istemaal kiya jaa raha tha. 

Office ke chaaro aur bhi sannata pasra tha. Office ke aas-paas ki jagah ko  dekh kar hi lagta tha ki kai dino se yaha koi nahi aaya hai.

Baaki dono quarters ke darwaajo par bhi taala latka tha. Aparijita ne drone ko un quarters ke chhato se gujaara to paya ki quarters ke aangan ko chatt se lohe ke grill se ghera hua hai. Sayad yeh bandobast junglee jaanwaro ya bandro ko quarter  me ghusne se rokne ke liye kiya gaya tha. 

Quarter ke aangan per ke paato se bhara para tha.  In sabko dekh kar lagta tha ki saayad kai hafto se inn quarters me koi nahi aaya hai. Par kaantedaar taar se ghire area me kai eise phoolo ke paudhe the jinhe waqt-waqt par paani jaroor chahiye tha. Inse Aparijita ne anumaan lagaya ki koi na koi yaha daily aa ke paudho ko paani de jaata hai. 

Aparijita ne drone ke acmera ko zameen par zoom kiya to paaya ki gate ke paas cycle ke tyres ke nisaan bane hai jo  baare ke andar tak gaye hue the.  Quarter ke peeche ek 8-10 ka feet ka kaccha raasta dikhayi para jo jungle ke aur andar ki or jaa raha tha. 

Aparijita ne drone ko usi raaste ke baare me pata karne ke liye uske upar se jungle ki or mor diya.

Raasta bas kaam chalayu tha. Saaf pata chal raha tha ki mahino se us par car ya jeep jaisa koi vahan nahi gujra hai. Insabki wajah se raaste ke bich-bich me bhi uche-uche ghaash-phush ug aaye the. 

Takriban 1.5 km ke baad ek aur kaante-daar taar se ghira hissa dikh para. Yeh hissa pahle waale jitna bara nahi tha. Paas hi lakri aur eento se bana ek  chhota sa ghar bana tha. Ghar ko dekh kar saaf pata chal raha tha ki yaha koi rahta hai. 

Ghar ke deewalo se kaante-daar taar bandh kar uske saamne ke hisse ko ek boundry ka skal de diya gaya tha. Ghar aur ghire research area ke taar ke paas ek khaas kism ke paudhe laagye gaye the jo is tarh se uge hue the ki unko paar kar ke ek chhota sa khargosh bhi nahi jaa sakta tha.

Sayad yaha ke ghar me rahne wala banda phulo ka bhi sokin tha. Us chhote se ghar ki chaardewari ke andar kai tarah-tarah ke phulo ke paudhe dikh rahe the.  

Drone dwara lagatar live footage bhej raha tha. 

Darwaje pa koi taala nahi laga tha. Kamre ke andar se light bahar tak aa rahi thi.  Raaste me Aparijita ko research-center se yaha tak aati electricity ke khambe nahi dikhe the.  Aparijita ne isse suljhane ke liye jayada maatha-pachhi karna theek nahi samjha. Usne  apna dhyan research ke liye ghire hisse par lagya.

Yaha ke aur main research-center ke paudho me kaafi difference tha. Dhyan se dekhne par mitti ke color me bhi kuchh fark dikhayi de raha tha.  Aparijita ne iss chhote research-center ke aas-paas ke footage paane ke liye drone ko ek daayre ke andar hi ghumana suru kiya. 

Aparijita ko Kucch hi dur par ek prakritik jharna dikh para. 

Tabhi Aparijita ko us chhote ghar se ek 35-40 saal ka gora 5.8 feet lamba sehatmand aadmi nikalta dikh para.  Us skash ne sleeping gown pahan rakha tha.  

Wo shaksh us chhote se garden me ek tin se ghire shed me ghus kar ek paani dene wala pipe nikal kar bahar rakhne ke baad ek baar phir se shed me ghush gaya.

Jab wo aadmi tin ke shed se bahar aaya tab tak garden me lage nal se paani aane laga   tha. Isse us shed me paani se related motor ya eisa hi kuchh aur arrangement hone ka Aparijita ne anumaan lagaya.  

Wo aadmi koi gaana gungunta hua garden me paani dene laga. Paani dete hue us bande ke chehre par prasantata dikh rahi thi.

Aparijita ko aaj jitna drone ke jariye janana tha wo jaan chuki thi. Usne drone ko wapas kiya aur apne quarter ke aur laut pari. 

Saam ke samay Aparijita apne quarter se  apne cycle se Premnagar ke prasidh Radha-Krishan ke mandir ki aur jaa rahi thi.  '

Mandir thane se adhik duri par nahi tha. Thane ke paas se ek kachhi sarak ke jariye waha tak kam samay me pahuncha jaa sakta tha. 


Sunday 10 November 2019

Gupt Daan

Aparijita ne parso raat hi Sarfarosh ki online book libarary se Hindustani tantra se jure tantra ki ritual par jitni jaankari thi use apne laptop me download ki thi. Aaj subah kuchh aur books libarary me upload ki gayi thi; jise wo download kar rahi thi. 

Aparijita ko koi galatphami nahi thi ki wo chand kitaabe padh kar tantra ko samjhane lagegi; par use viswaas tha ki sayad is se yeh pata chal jaaye ki tantrik tantra ki kis shakha se sambandhit hai; yeh jaan kar sayad wo tantrik ko aur jayada samajh sake. 

Aparijita aaj ke jayadatar modern logo ki tarah tantra ko sirf dhakosla nahi maanti thi. Uska manna tha ki yeh bhi ek science hai jise aujha aur laalchi logo ne apne phayede ke liye iss buri tarah se istemaal kiya hai ki wo aaj ke din nahut buri tarah badnaam tha aur koi bhi padha-likha vaykti isme parna nahi chahta hai. Iske aalaba wo yeh bhi maanti thi kuchh alokik sakti aur pret-aatmaye bhi hoti hai. Iska ek kaaran yeh bhi tha ki videsh me padhayi ke dauran wo kuchh students ke saath planchet ke jariye pretaatmayo se sampark kar chuki thi.

Aparijita ne Raj naam ke constable ko bula bheja. 

Raj ka ek dur ke ristedaar Chaila me rahte tha. Raaj bahut kam us ristedaar ke paas aata jata tha; saath hi duri banaye rakhne ke liye Chaila me nahi rahta tha. Usne bahana banya hua tha ki uske paas bike nahi hai isliye raat me jaroorat parne par wo Chaila se thana jungle hote hue nahi aa payega. 

"Raj, mujhe pata chala hai ki idhar pichhle 2-3 mahine me tum kai baar Chaila gaye ho aur kai baar waha ruke bhi ho." Raj ke aate hi Aparijita ne kaha.

Raj thori der shaant raha. Wo samjah nahi paa raha tha ki us se yeh sab kyu puchha jaa raha hai. Usne apni gradan dheeme se haan me hilaayi.

Raj abhi tak khara tha. Aparijita samajh gayi ki wo aachanak ke iss swaal-jabab se nervous ho gaya hai. 

Aparijita ne use baithne ko kaha.

Raj ke baithte hi Aparijita use samjhaane lagi.

"Tum kyu nervous ho rahe ho. Main Premanagar ke aalaba baaki 4 gaun ke baare me apne staff se janana chahti hoon. Javed humari madad kar raha hai par wo police wala nahi hai. Hum me se kai log Premnagar me rahte hain ya aate-jaate hain, isliye Premnagar ke baare me hume kaafi kuchh pata hai. Main baaki 4 gaun se jure logo se waha ki jaankaari jama kar rahi hoon. "

Aparijita ke baato se Raj ka teji se dharkta dil kuchh normal hua. 

Raj ne Aparijita ko Chaila ke baare me jo kuchh bhi jaanta tha, bataya.

Aparijita ne issi tarah baaki teen gaun ke baare me baaki staff members se pata kiya.

Aparijita ko iss baat par aascharya ho raha tha ki abhi tak aisi koi bhi jaankari nahi mili thi jo tantrik dwara logo ko bharkaye jaane ki aur issara karti thi. Par intelligence ki report ko jhutlaya bhi nahi jaa sakta tha. 

Aparijita ko Arpita ne baato ke dauran bataya tha ki jis ke report upar yeh mission suru hua tha, us shaksh ka murder ho gaya tha. Yeh pata nahi chala tha ki murder issi report ke wajah se hui thi yaa kisi aur wajah se. Magar wo report Intelligence bureau se hote huye aage  Sarfarosh tak aayi thi. Intelligence bureau aaj ke date me iss report par kuchh nahi kar raha tha.

Aparijita ne aaj ke pahle bhi kai baar apne staff members se ghuma-phira kar tantrik ke baare janana chaha tha par zabaab sabne tantrik ke accha hi kaha tha. 

Aparijita ne local MLA Dhanraj  ke baare me bhi pata karwaya tha. MLA picchle mahine se kisi hill station par apna illaz karwa raha tha.  MLA ke 2-3 hafte me laut aane ke baare  me baaten chal rahi thi.   

Issi tarah Chaila ke Lallan jis par report me shaq jataya gaya tha, ke baare me bhi koi complain nahi aayi thi jabki report ke anusaar aajkal uske paas kanhi se kaafi rupaiye aa rahe the. Pahle wo sarab ki bhatti aur juye ka addaa chalata tha. Par Chaila aur Premnagar ke log use aahkal sudhra bata rahe the. Sunane me aaya tha ki Lallan aajkal sahar me kisi thekedaar ke yaha nokri karne laga hai jaha wo uske liye kaccha maal kharidta tha. Lallan ne kuchh kharidaari Chaila aur aas-paas ke gaun se bhi acche daam de ke ki thi; isliye jinhone use maal becha tha wo ab uski taarif karne me koi kasar nahi chhor rahe the. 

Aparijita ne Javed ko phone laga waqt milne par thaane me us se milne ko kaha. 

Javed ne saam 7 baje aane ki haami bhari.

Javed ke aane tak Aparijita laptop par Sarfarosh ke library me download ki gayi books padhti rahi. 

Javed ne jaise hi uske cabin par knock karke awaaz lagagi; Aparijita ne bookmaark laga kar books ko band kar Javed ko aane ko kaha.

Aparijita ne ek constable ko apne khud ke rakam se staaf ke acche kaam ke inaam ke taur par thane me lagwaai gayi tea machine se 2 chai dene ko kaha.  

 Aparijita generally kisi ko iss tarah ke kaam ke liye nahi bolti thi par Javed ko baitha chhor kar uska khud chai laana accha nahi lagta; isliye usne aaj ek constable ko iske liye kaha tha. Aparijita ko laga tha ki sayad wo constable iska bura maan jaayega par iske viprit wo iss baat se khush ho raha tha ki madam didi ne use koi personal kaam bola tha.

"Javed bhai. Aapke dwara di gayi list ko humlog check kar rahe hai. Main yaha aane se pahle jab yaha ke baare me jaankari ikkatha kar rahi thi; tab is illake ke MLA ke baare me suna tha ki wo aapko badnaam karna chahta tha. Par mujhe aaye hue kai hafte ho gaye par abhi tak in sahab ke darsan bhi nahi hua. " Aparijita ne chai peete hue Javed ki dukhti rag ko chhera. 

"Eisi koi baat nahi hai, madam. MLA sahab ne to apni safai de di thi. Unke anusaar us bande se unka koi baasta nahi tha. Yeh bhi sach hai ki kisi ne MLA sahab ko us bande se baat karte nahi suna tha." Javed ne thora dabe awaaz me kaha.

Aparijita ne Javed ke kahne ke tone se samajh liya ki Javed MLA jaise takatbar dusman ke against kuchh khul kar nahi bolna chahta hai. 

"Javed bhai, aap mujhse Dhanraj ke baare me khul kar baat kar sakte hain. Aapki tarah main bhi iss illake me shanti chahti hoon. Aur yeh tab tak possible nahi ho sakta hai jab tak ki main yaha ke baare me theek se jaan naa loon!" Aparijita ne Javed ko aashwat karte hue kaha . 

Jab Aparijita ne jab dekha ki Javed MLA ka naam bhi nahi le raha hai tab usne MLA ka naam  lete hue kaha. 

"Javed bhai, aap mujh par bharosa kar sakte hai. Aap mujh se Dhanraj ke baare me khul kar baat karen." Aparijita ne phir se Javed ko aashwat karte hue kaha. 

Aparijita ke  aashwat karne par Javed kuchh der chup raha, phir dhire-dhire usne batana suru kiya.

"Dhanraj aajkal ke dusre politician ki tarah hi hai.  Halaki Premnagar thane me aane wale paancho gaun me uska utna pravab nahi hai, phir bhi yaha bhi uske kuchh samarthak hain. Unme se kisi ne use bharka diya tha ki Javed ya Ramdayal me se koi agle election me uske khilaf khara ho sakta hai. Usne apne ko safe karne ke liye wo gandi chaal chali thi jisme yaha ke kuchh gaunwalo ne bhi saath diya tha; lekin ab wo baat purani ho chuki hai. Waise bhi abhi wo UP se bahar hai aur sayad agale mahine hi laute." 

Javed ne apne taur par kosis ki Aparijita uske itna kahne ke baad  topic drop kar de. Aparijita ke liye iss topic ko eise hi drop karna possible nahi tha. 

Intelligence report file karne wale ke murder ho jaane aur kisi ka naam atmosphere kharab karne wale ke taur par naa lene ke kaaran yeh ek paheli ban gayi thi. Aparijita ne us agent ke record check karwaye the. Report ke n ausaar wo puri acchi dhang se jaanch-partal ke baad hi report file karta tha; isliye uski report ko nazarandaaz karna bahut bari galti ho sakti thi.

Logo ko bare taur par bargalaane ki kosis bina kisi influence bale bande ke sambhav nahi thi. Yaha par waise 2 log hi dikh rahe the. Pahla nazar ke saamne tantrik tha jiske baare me abhi tak  koi galat report nahi aayi thi . Dusra local MLA Dhanraj tha jis se Aparijita ki abhi tak mulaakat nahi hui thi. 

Dhanraj is se pahle bhi Javed aur Ramdayal baale maamle me ghusa hua tha; jisme gaunwalo ki ekta ke karan use naakam hona para tha. Ho sakta tha ki wo usi se chidh kar unko alag-thalag karna chahta ho. Dhanraj apni chaal pit jaane ke baad shant hokar baith gaya hoga iss baat par Aparijita ko katai viswaas nahi tha. Wo apne apnubhav se jaanti thi,  iss tarah ke log haar milne ke baad aur bhi khatarknaak ban jaate hain.

"Javed bhai, ho sakta hai ki Dhanraj ab sudhar gaya ho phir bhi us se satark rahne ki jaroorat hai." 

"Madam, wo ab to gaun bhi kam hi aata hai."  Javed ne iss tarah se jawaab diya jaise wo iss topic par  ab aur baat nahi karna chahta ho - "Usne to kuchh gundo ko bhi acche raaste par laa diya hai." 

Gundo ko sudharane wali baat par Aparijita ke kaan khare ho gaye. Use apne staff members par gussa bhi aaya ki kisi ne bhi itni mahatpurn baat nahi batayi thi.

Aparijita ne apne chehre ke bhav ko shant banye rakha aur utsukukta bhare swar me Javed se baat karne lagi.

"Are, yeh to kamaal ho gaya! Matlab Jayaprakash Narayan(known for surrendar of dacoits) ka naya avtaar.  Please, mujhe batayie ki yeh kaam Dhanraj ne kaise kiya."

Javed samjah nahi paa raha tha ki Aparijita ne yeh vayang me kaha hai ya sach me Dhanraj ki taarif kar rahi hai.

"Madam, Chaila me pahle sarab ki avaidh bhatti Lallan naam ka local gunde aur uske kuchh chele-chapato  dwara chalaya jata tha. Maine kai baar use band karane ki kosis ki, aur iske liye pichhle thanedaar se bhi mila tha. Par in sabka  koi fayada nahi hua kyuki thanedaar khud Lallan se mila hua tha. Mere bolne par Lallan jawaab deta tha ki uske paas koi kaam nahi hai; isliye wo iss dhande me hai aur wo apna dhandha shanti se chalata hai."

Javed batate hue ek pal ko ruka aur Aparijita ke chehre ki aur dekha.  Abhi bhi Aparijita ke chehre par koi eisa bhav nahi tha jis se Javed uske man ki actual thah paa sake. Aparijita ke chehre par sirf utsukta ka bhav dikhayi de rahe the.

"Ek din Dhanraj kisi kaam se Chaila gaya tha. Chaila ki aurto ne sharab ke kaaran unke parivaar me ho rahe kalah ke baare me Dhanraj ko bataya. Dhanraj Lallan se milne uske bhatti par gaya.  Dusre din sabne dekha ki sarab ki bhatti band ho gayi hai. "

Javed 2-3 seconds ke liye chup hokar Aparijita ki chehre or dekha kaha utsukta ke bhaav aur jayada badhi dikh rahi thi. 

"Lallan ne sabko bataya ki netaji ne uski naukari sahar me lagwa di hai. Sarafat ka kaam mil jaane ke karan ab wo saare galat dhande chhor raha hai. Lallan ne bhatti torte waqt gaun waalo ko dhamkaya tha ki  agar kisi ne sarab ki bhatti iss ilaake me kholne ki kosis ki to wo use isi bhatti ki tarah tor daalega. Tab se aaj tak Chaila me sarab ki bhatti nahi lagi."  

Javed itna kah kar Aparijita ki or uska reaction jaanne ko dekhne laga.

"Yeh to usne bahoot accha kaam kiya hai.  Chor ko chori se bhi dur kar diya aur usi ko pahredaar bana ke baaki choro ko bhi aane nahi diya."

Aparijita ke iss jawaab par Javed ne phir se uske chehre ko gaur se dekha ki kanhi usme koi vayang to nahi chhipa hai;  par Aparijita ke chehre par eisa koi bahv nahi tha. 

Javed  iss larki ke buddhimani ka kayal tha aur use lag raha tha ki in sab puchh-taachh ke pichhe kuchh eisa hain jo wo samjah nahi paa raha hai. Javed ne apne dimaag me aa rahe vicharo ko jhatak diya. Use naa jaane kyu yeh vishwaas ho chala tha ki yeh larki jo bhi karegi us se gaun ka bhala hi hoga.

"Ho sakta hai ki Dhanraj aur Lallan ka hirday pariwartan ho gaya ho!" Aparijita sanjida swar me baat kar rahi thi -  "Phir bhi main  chahti hoon ki aap unke baare me jo bhi jaante hai use mujhe bataye taaki kal ko koi unke past ke kisi mudde ko utha kar unko phir se galat raaste par le jaane ya phasane ki kosis kare to main waqt rahte kuchh karwaai kar saku."

Javed ne thore der tak Lallan aur Dhanraj se related apne paas uplabdh saari jaankari Aparijita ko deta raha. 

Aparijita ne apni baak-patuta se Javed se anjaane me aur bhi baaten nikalwa li. 

Aparijita ko undono ke hirday pariwartan waali baat par jara bhi bharosa nahi tha. Upar se intelligence report me bhi unke khilaaf baaten thi.  Aparijita ne Javed ko wahi samjhane diya jo wo Aparijita ko samjhate dekhna chahta tha.  Javed ne baato ke duran Dhanraj ke ek supporter ke roop me Abhaipur ka Abbas ka bhi naam liya; jo Dhanraj ke yaha hone waale jayadatar meeting me rahta hai.

Javed jab jaane laga to Aparijita ne use kuchh der rukne ko kaha. Javed ko bara sukhad aascharya hua jab Aparijita ne use ek bag diya.

"Javed bhai, Harilalji se  mujhe pata chala tha; aap yaha ek library aur hall banana chahte hai jaha log aake kuchh padh sake aur  chhoti-moti baithak laga sake. Aapni sarkari madad ke liye bhi prayash kiya. Sarkar se fund  naa milne ke karan aap yeh kaam nahi kar paa rahe hain. Maine baato ke dauran apne ek doctor parichit ke NRI friend se iska jikra kiya tha. Mujhe aaj hi yeh 10 lakh ke rakam aapke iss nek kaam ke liye bheje gaye hai."

Apariita ne Kalicharan se mile 10 lakh Javed ko de diya. Iske saath usne Javed ko kuchh salah bhi diya. Uski har salah direct  nahi thi . Usne har salah baatchit ke duarn eise saza kar pesh kiya tha jo saamne wale ko uske yojna ke behtari me kucch extra input lage. Aparijita jyadatar waqt Javed ki hi sunti rahi aur bich-bich me "agar aap eisa karen to sayad aur behtar hoga"  jaise salah baatchit ke dauran Javed ko sarkaya.

Javed ka chehra jaate waqt khushi se  chamak raha tha. Usne jaate waqt garamjosi se Aparijita se haath mila thanks bola.

"Are, Javed bhai! Isme thanks wali kya baat hai. Mujhe pata hai ki aapke pariwaar ke logo ne desh ke aazadi ke liye bahut kurbania di hai. Aap naye generation ke logo dwara itni kurbaanio se mili azaadi ka mahtab naa dete dekh kar dukhi the aur chahte the yaha aazadi ke jung se jure saahitya ho taaki log ye na bhule ki hume aazadi kitni kurbaanio ke baad mili hai."

Aparijita baat karte hue ghum kar Javed ke paas aa gayi thi. Usne Javed ke kandhe par haath rakhte hue kaha.

"Haan, Madam ab bhi meri aankhe apne pariwaar aur dusre swatantra sananio ki kurbaani aur jhele gaye dukh ko yaad kar bhar aata hai. Saath hi iss baat se sar fakra se uncha ho jaata hai ki main eise pariwaar se aata hoon jinhone apne khoon se iss vatan ka karz chukaya hai. "  Javed ke andar se zazbaato ka sailab baahar nikal raha tha -"Par aajkal ke bacche baat-baat par kahte hai ki is se to achha angrejo ke gulam hi the." Javed ne bhare gale se kaha.

"Mujhe viswaas hai ki aapke parayas se wo phir se apni zameen se jur jaayenge.  Aap paancho  gaaun ke bare bujrgo se milte rahiye aur unhe bhi samay-samay par library aur baithak me aane ko kahe taaki nayi aur purani peedhi kuchh samay saath bitaye. "

Javed ka sar sahmati me hila.  Javed itna jayada zazbaati ho gaya tha ki uske mooh se bol nahi nikal paaye. 

"Are Javed bhai, Isme mera bhi to fayda hai. Log agar aapas me milte-julte rahege to  kisi ko apbaah phailane ki himmat nahi hogi. Jisse yaha shanti rahegi aur mujhe Jawani me hi pension ka maza milega!"

Aparijita ne mahaul me base sanzidgi ko dur karne ke liye halka sa thahaka lagate hue kaha. 

Javed ne jaate-jaate Aparijita se vada liya ki udghatan ke liye us meharban doctor sahab ko aana hi parega jinke mitr ne itni bari rakam daan di hai.

Javed ke jaane ke baad Aparijita iss mission aur report me di gayi baato ka vartamaan   stithi se milaan kar rahi thi.

⦁    Report ke anusaar yaha ke jungle me apraadhi chhupne ke liye aate the.  Jagga ke roop me aparadhi gaun tak apni pahunch banane me kaamyab ho gaye the. Jagga aur uske saathio ko jungle ke andar aate- jaate bhi dekha gaya tha. Jungle ke aur chhanbin ki zaroorat thi.

⦁    Report me pocher ke jariye gaaunwaalo ko bharkaye jaane ki aasanka jatayi gayi thi. Drone se dekhe gaye Dadauli ke footage se yah jaahir tha ki waha ke baasinde jungle ke hirano ko apne baccho ki tarah maante hai aur agar unhe kuchh ho gaya to wo gusse me kuchh bhi kar sakte hai. Aparijita dwara abhi chali gayi library aur baithak waali chaal se ab paancho gaun waale aapas me milte rahne waale the; jiske karan turant hi Dadauli ke log jos me koi kadam nahi uthane waale the. Abhi tak Aparijita ke jungle adventure me kisi pocher ka nisaan tak nahi mila tha; par iska kaaran yeh bhi ho sakta tha ki pocher giroh abhi nadi ke dusre or sakriya ho ya unhone abhi apni gatividhi kam kar rakhi ho.

Aparijita ne Drone ke jariye nadi ke dusre taraf ke hisse par kuchh din tak nazar rakhne ka  faisla liya.

⦁    Gaun ke fizao me zahar gholne ki baat bhi report me thi jiska abhi tak koi thos saboot nahi mila tha. Thori bahoot narazgi to har jagah hoti hai. Javed aur Harilal ko iss baare me pata nahi tha to iska matlab isme bilkul naye umar ke naujawan ho sakte the jinse inlogo ka jayda vaasta nahi parta hai. Is maamle me Tantrik, Dhanraj, Abbas ya Lallan me se koi ya sab involve ho sakte the. 

Aparijita ne faisala liya ki wo khud gaun me kuchh logo se milegi tabhi use unse ki gayi baato ke jariye andruni baaten pata chalegi. Aparijita ko ab eisa raasta dhundhna tha jis se wo bagair jayada logo se mile bahut kuchh pata kar sake. Aparijita ko aurato ke andar apni pahunch banani jayada aasan lagi aur saath hi aurato ke baatuni sawabh se use jaankari milne ki jayda sambhavana lagi.

Aparijita ne Gopu ke gaun bhar ke mama hone ka bhi fayada uthane ki sochi. Jayadatar gharo me uski pahunch hone ke kaaran naujawaano ke andar aa rahe badlaab wo unke ghar waalo se jaan sakta tha. 

⦁    Botany se jure experiment ke baare me kisi ne kuchh jikra nahi kiya tha. Aparijita ne isse nazarandaaz karna theek nahi samjha aur apne taur par iski chhanbin karne ki thaani.

⦁    Mission ka sabse mahatpurn kaam Sonbhadra me Sarfarosh ka local center banana tha. Jis par kaam suru ho chuka tha aur uska jimma Arpita ke mazboot kandho par tha. Dr. Ritesh ke baare me usne Ajay Rai aur Sarfarosh ke files se jaankari li thi. Aparijita ko vishwaas tha ki Arpita ke saath mil kar wo zald hi ek fully functional subcenter khara kar lega. Kisi bhi madad ke liye Aparijita unke paas mauzod thi. 

⦁    Is mission me kisi aam Policewaale ki jagah Aparijita ko bhejne ka sabse bara reason tha ki  kisi tarah se gaun ke haalat ko iss tarah se badla jaaye taaki koi aasani se unhe larwa naa sake. Aparijita ne iska safaltapurbak suruaat kar di thi. Use poora viswaas tha ki wo aage bhi safal rahegi. 

Is maamle ko handle karne me Aparijita ne  kamaal dikhya tha. Saara kuchh planned way me hone ke baawzud iss tarah se ho raha tha jo zara sa bhi asawabhik nahi lag raha tha. In paancho  gauno me shanti bani rahe iske liye zaroori tha ki iske fizao me chuppe zahar failane wale pakar me aayen. Aparijita ko umeed thi zald hi wo unhe pahchaan legi.

=============================================

Aaj Sombar tha aur tantrik sayad subah hi Chaila aa chuka tha. Tantrik aur Shera dwara ki jaane waali baatchit ke anusaar sayad jald hi tantrik ka yaha ka routine change hone wala tha.