Sunday 22 September 2019

Tahqiqaat


Aparijita ne apne cycle ko seedhe thane le jaane ke vajaye uske pahle ek kacche raaste par daal diya tha. 

Raaste ko dekh kar hi lag raha tha ki wo kaafi kam istemaal hota hai. Yeh raasta thora aage jaakar  90 degree par mur rahi thi. Mor par agal-bagal se nikli jhaariyo aur per ki tahinya yu nikali hui thi jis se dur se  raasta  khatam hone ka bhram hota tha.

Aparijita jhud kai dino khud is mugalte me thi ki raasta aage band ho gaya hai. Par aaj Aparijita ka irrada iss raste ko aakhir tak ek sarsari nigah se dekhna tha.

Raasta matra 12-14 feet chaura tha jo kanhi-kanhi betartib badh aaye pero aur jhaariyo ki wajah se kam ho jaata tha. 

Kuchh dur aage badhne par Aparijita ko saamne ek khubsurat bunglow bana dikhayi diya. 

Chauri sarak bunglow par aake khatam ho gayi thi.  Bunglow ke aage ek dusri 7-8 feet chauri raah jaa rahi thi. Iss dusre raaste me sarak design karne walo ne bich-bich me sarak jayada chauri kar di thi taaki jaroorat parne par ek gaari waha ruk kar pass de sake. 

Yeh saara intzaam bata raha tha ki iss hisse ko pure planning ke saath design kiya gaya hai. Sirf ek  bunglow ke liye electricity bhi laayi gayi thi.  

Aparijita ne thora aur aage badhne par raaste ko aage Dadauli me khatam hote paaya. 

Aparijita wapas laut kar bunglow ko dekhne lagi.

Bunglow eento ki chahardiwari se ghiri hui thi. Bunglow ke andar jaane ke liye ek lakri ka gate tha jis par ek bara sa taala latak raha tha. Gate aur chahardiwari dono itni unche the ki raaste se kuchh bhi andar dekhna mumkin nahi tha. 

Aparijita ne gate ke jheerio se andar jhanka to use bunglow ke chharo taraf se hota hua ek khubsurat baagicha dikhayi para. Baagicha bahoot hi khubsurti ke saath sawara gaya tha aur lagta tha jaise iski dekh-bhaal hoti rahi ho. 

Bunglow ka peeche ka hissa to raaste se nahi dikh raha tha par anumaan lagaya ja sakta tha baagicha picchle hisse me bhi hoga. Aparijita raaste se jitna sambavh ho sakta tha ghumte huye  bunglow ka muyana karne lagi.

Buglow ke chhat par khubsurti railing daali gayi thi aur chhat par ek jhoola jhulane ke liye lohe ke jhoola stand bhi dikh raha tha. Jhoole ke paalna bahar se nahi dikh raha tha; isliye batana muskil tha ki waha paalna laga bhi hai ya nahi. Yeh jhoola iss tarah se laga tha ki usme baithe logo ko raaste se dekhna mumkin nahi tha. Buglow ka chhat  par bhi 2 kamre bane dikh rahe the. 

Aparijita ko yeh bunglow bahut pasand aaya. Lagta tha ki jaise iss jagah ko aaramgaah ke taur par design kiya gaya hai. 

Premnagar aur  Dadauli dono ki main aabadi yanha se kaafi dur thi; haalaki yeh hissa Premnagar me hi aata tha. 

Chaaro aur saanti thi. Mand-mand hawa ke saath aati hui phulo ki khusbu Aparijita ke man ko bhaa rahi thi.

Aparijita ke jehan me barbas yeha rahne ka khawhish jaag uthi. Aparijita apne aap ko iss khubsurat jagah ke kuchh snaps utarne se nahi rok paayi. 

Aparijita wapas lautne waqt thane naa laut aage badh Abhaipur ke illake me jaa pahunchi.

Aparijita ki manjil Abhaipur nahi thi. Aparijita Abhaipur ke andar nahi gayi balki uska agla parav waisa hi ek aur bunglow bana jo Abhaipur ke awaadi se dur tha. Yaha bhi sirf bunglow ke liye electricity pahunchayi gayi thi. 

Abhaipur ka yeh bunglow pahle dekhe gaye bunglow  se kam area me bana tha.  Iss bunglow tak pahunchane wali kachhi sarak yehi khatam ho jaati thi. Yeh bunglow pahle dekhe gaye bunglow ki tarah khubsurat nahi tha. Iske chhat par koi kamra nahi tha. Par yaha bhi eento ki boundary-wall bani thi.

Bunglow ke baad jungle ka illaka suru ho raha tha. Aparijita ne thori der jagah ka muyana kar aage Phulpur ki aur chal pari. Phulpur jaane se pahle usne iss bunglow ke bhi kuchh snaps utaare. 

Phulpur me Aparijita ne kucchh jagho ka muyana kar wapas thane ki aur laut pari. 

Aparijita ne apne raat me banaye plan ke anusaar apne list ki saari jagaho ka muyana kar liya tha. 

-----------------------------------------------------

lautate-lautate Aparijita ko 1 baj gaye the.  Aparijita ke list me mauzud jyadatar kaam wo apne maathato se karwa sakti thi; par Aparijita maanti thi ki accha leader wohi hota hai jo apne actions se example de kar dikha de ki kaise kaam hota hai naa ki baith kar apni haankta rahe.  Aparijita ka kaam abhi samapt nahi hua tha wo kaafi lamba chalne waala tha. 

Aparijita drawing-room ke sofe par baithi laptop me notes banane lagi. Kal uski meeting Sarfarosh ke local chief se honi tai thi aur iske liye kal use ek baar phir Sonbhadra jaana tha. Usne Arpita ko phone lagaya .

"Mujhe kal lautne tak kuchh cheeje chahiye. Uska list me tujhe mail kar rahi hoon.” Aparijita ne kaha aur Arpita ko list send kar di.

“Iss list me se 2 ko chhor kar jayadatar cheeze yaha mauzod hai  aur  baaki  2 bhi saam tak flight se local headquarter ke baaki cheezo ke saath aane wali hai. ” Arpita ne list ko padhte hue kaha.

“Theek hai. Main kal tujhse sab collect kar lungi.” Aparijita ne kaha aur call ko disconnect kar diya.

Arpita se baat khatam hote hi Gopu ne darwaze par knock kiya. Gopu ko baithe ko kah kar Aparijita ne Ghanshyam ko phone lagaya. 

Ring hote hi dusre taraf se Ghanshyam ki chintit awaaz sunai di.

"Madam didi, aap kanha hai ? Subah se aapke quarter me taala laga hua tha. Gopu ko maine abhi aapke yaha bheja hai."

“Main aaj kuchh jagaho ka muyana karne gayi thi. Thori der pahle hi lauti hoon. Tum Harilalji ke saath mere qurater aa jaao. Maine abhi tak breakfast bhi nahi kiya hai, isliye breakfast aur lunch ab saath hi hoga. Gopu mere paas hi hai."

Mobile rakhte hi Aparijita ka mobile phir se baj utha. Dusre taraf Javed tha.

"Madam, mai abhi-abhi sahar se lauta hoon. Agar aap kanhe to saam ko aapke paas aa jaata hoon."

“Javed bhai, aap aarama karne ke baad aayen. Kya aapki list mukammal ho gayi hai?"  

“Jee haan, madam. Isme kuchh aur naam bhi jore hain jo sayad paak-saaf ho; par unpar thora sandeh kuchh logo ne jataya hai."

“Aap aaram se saam 7 baje tak aayie, tabhi baith kar baaten karenge. Aane ke pahle ek baar phone kar lijeyga.” 

Aparijita ne abhi mobile table par rakha hi tha  ki ek baar phir se mobile bol utha.

Ringtone bata raha tha ki Iss bar ka call  Aparijita ke personal number se aaya hai. 

“Maa'm, aapke liye ek sport bike ka bandobast ho gaya hai. Maine use dhang se test  kiya hai. Main use lekar khud raat 9 baje tak aap tak pahunchunga !!” dusre taraf Arvind tha.

"Theek hai tabhi baaki baaten karenge."  Aparijita ne kah kar phone kaat diya.

Tabhi darwaje par Ghanshaym ki aaawaz aayi.

“Madam didi!"

“Aa jaayo ,Ghanshaym darwaja khula hai. ” Aparijita ne jawab diya.

Ghanshyam aur Harilal andar aate hi Aparijita ko salute kiya. Aparijita ke unhe saamne baithne  ka issara kiya.

-----------------------------------------------------------------------------------------

"Aaj jo main baat karne jaa rahi hoon; jab main yaha naa bhi rahu wo aap teeno se bahar nahi jaana chahiye." Aparijita ka gambheer swar kamre me gunja.

“Aap nischint rahe madam! ”  Harilal ne  jawab diya jiska anumodan Ghanshyam aur Gopu ne gardan hila kar kiya.

"Main police me aane se pahle ek investigator journalist thi.  Govt ke ek project ke tahat  maine  ek challenge ki tarah iss Job ko accept kiya hai. Maine apne journalist  wale kaam ke dauran har tarah ke logo se contacts banaye hai. Isme military intelliegence  se lekar RAW aur CBI jaise govt organisation se jure log bhi hain; saath hi private detective agencies ke log aur crime ki dunia ko chhor chuke log  bhi mere sampark me hain. Apradh chhor chuke log kabhi kuchh rupaiyo ke badle yaa kisi purane ahsan ka badla chukane ke liye apni jaankari mujhe share karte rahe hain."  Aparijita sach aur jhoot ko mila kar ek thos kahani suna rahi thi. 

Teeno shrotayo ke chehre se saaf jhalank raha tha ki Aparijita ki kahani par wo vishwaas kar rahe hain. 

“Madam, rupaiyo ki baat to samajh me aati hai par aap unpar kaise ahsaan karti thi?" Harilal ne puchha.

"Harilalji,  aap khud police me hain; isliye aapko pata hoga ki agar kabhi koi high-profile logo se related crime hota hai to sabse pahle police ka kahar unlogo par tootata hai jinhone kabhi eisa crime kiya tha. Bhale hi mauzuda samay me wo sudhar gaye ho par Police unhe nahi chhorti. Kabhi-kabhi police uparwaalo ko khush karne ke liye unke saath buri tarah pes aati hain aur agar asli apraadhi nahi milta hai to kisi ko bali ka bakra bana kar pesh kar diya jaata hai. Chuki wo banda pahle se hi iss tarah ke crime me saza paaya  hota tha isliye koi hungama bhi nahi khara hota hai. Maine eise kai logo aur unke pariwaar ko in kathin paristhithiyo me madad ki hai. Apradh ka raasta chhor sarafat ki zindgi gujaarne ki chahat rakhne waale kai logo ko maine dhang ki jagah naukari bhi dilwayi hai. Aajtak unlogo ne mujhe sikayat ka muaka nahi diya hai."

Aparijita ke yeh sab kahte hi teeno ka sar shram se jhuk gaya. Police me saamil chand bharast logo ki wajah se  unko janta se kai baar taane sunne ko milta tha. Teeno eise kai case ke baare me jaante the jisme asali apraadhi naa milne ke kaaran nirdosho ko unke seniors ne bali ka bakra bana kar pesh kar diya tha.

"Desh aur kanoon ki hifazaat bhi kai baar kanoon ke dayre me rah kar karna muskil ho jaata hai. Eise kai mauko par maine military intelliegence se lekar RAW aur CBI walo ki madad ki hai. Chuki sarkari paabandi aa jane ke karan unke haanth bandh jaate the; wahi mere upar wo paabandi lagu nahi ho paati thi; aur kabhi hui to bhi maine uska koi na koi tor nikal hi leti thi. Iske badle me unhone bhi jarrorat parne par mujhse jaankari share ki hai. Kai baar spy gadgets dekar meri madad bhi ki hai. Maine Jagga ke maamle me bhi unki madad li hai. Unho bataya hai ki Jagga abhi Allahabad me hai."
"Madam, to der kis baat ki hai! Hume waha bhej dijeye. Hum abhi use griftaar karke le aate hain."  Gopu ne Aparijita ki baat bich me kaatate hue kaha.

"Aur griftaar karke kaun sa teer maar loge. Apharan ke dauran wo nakab pahane hue tha isliye kisi bhi gaunwale ki gawahi nahi milegi. Sirf humlogo ne uska chehra dekha tha; jo koi bhi khurrat wakil apne haq me istemaal karega. Ab yeh batayo ki use chhurana kisi kaabil wakil ke liye kya  muskil kaam hoga? ” Aparijita ne unki aur dekhte hue poocha.

"Aap sahi kah rahi hain, madam. Hum use griftaar to kar sakte hai par uske against koi thos saboot nahi hai.  Upar se jeep par uske koi ungliyo ke nisaan bhi nahi mile. Pata nahi usne eisa kaise kiya tha?” Ghanshyam ne sochte hue kaha.

"Mai unke karib tak pahunch gayi thi. Maine Jagga aur Kallo dono ne skin ke color ke dastaane pahane dekha tha. Kallo ka dastaana to bike se girne ke dauran phat gaya tha; jo usne bhagte waqt utaar bheka tha. Chuki wo already mar chuka tha isliye maine uske dastaano ke baare me tumlogo se jikar nahi kiya tha. Ab tumlog jara thori der chup karo aur mujhe apni baat puri kar lene do. uske pahle agar kisi ka aur koi sawal hai to abhi puchho."  

Aparijita ne antim sentence thora shakhat sabdo me kaha. 

Thori der kamoshi chhai rahi.

“Good!” Aparijita ne teeno ko ghurte hue kaha. 

Aparijita ab apne us point par aa gayi jiske liye usne itni bhumika baandhi thi. 

“Maine jab Jagga ke baare me pata karwana suru kiya to pata chala ki wo jitna zameen ke upar   hai; us se kai guna zameen ke nicche hai. Iske aalawa itne bare jungle ka chhanbin karna bina new generation high quality spy gadgets ke madad ke naamumkin ki had tak muskil hai."

Aparijita ek pal ko chhup hui. Usne apne shrotao ki aur dekha jo bare gambhir mudra me uski baaten sun rahe the.

"Jagga wala matter hatiyaro ke milne se desh ki surakhasa ka matter ban gaya hai; isliye Govt ki surakhasa agencies isme madad karengi; par yaha ka matter hume dekhna hoga. Jagga ke upar wo log puri nigah rakhenge. Mujhe spy gadgets kal mil jayenege. Main un spy gadgets ki jaankari secret rakhna chahti hoon isliye unhe main akele me istemaal karungi. Agar jaroorat pari to us dauran Ghanshyam aur Gopu me se kisi ek ko saath rakhungi." 

Aparijita ne paani ka ghunt pine ke bahane apne shrotao ke chehre ka jaayza liya. 

"Agle kai hafto tak mai in kaamo me itna busy rahungi ki thana me jyada waqt dena mere liye possible nahi hoga. Ghanshyam aur Harilalji aaplogo ko thane ki jayadatar kaam dekhna parega. kya aap dono sambhal lenge?" Aparijita ne Ghanshyam aur Harilal ki aur dekhte hue puchha.

“Madam, hum sambhal lenge. Hum samjhate hai ki ek baar jungle me ghusne ke baad kam se kam 4-5 ghante wapas lautne me lag jayenge jis se banda bhaut  thak bhi jaayega." Harilal  ne jaldi se kaha. 

Harilal ne apni duty jungle me naa lagne se raahat ki saans li.

"Ab Jagga ke baare me aur jaan lo. Wo filhaal ek bare giroh ke liye kaam kar raha hai; par wo giroh se baahar dusre kaam karne ke liye bhi swtantra  hai. Wo ek lambe kaam ke liye Premnagar aa kar ruka tha par mauka dekh ke aasani se rupaiye kamaane ke liye usne apharan ke kaam me haath daal diya. Jagga ke upar najar rakhne wale uske jariye giroh ke sargane tak pahunchne ki kosis kar rahe hain. Jaghga ne yaha aur bhi hatiyaar chhupaye hain jinhe hume bina ho-halle ke khojna hai. Saath hi hume uske  yaha mauzud madadgaaor ko bhi dhudhna hai. Yaha ke kisi madadgaar ke bagair Jagga yaha ke raasto aur dusri baaten nahi jaan sakta tha. Chaanbin waale team me main encounter me saamil members ko rakhungi kyuki wo aajmaaye hue hain. Unke strength aur weakness ke baare me main kuchh had tak jaanti hoo."  Aparijita ne white board par apne team me saamil logo ke naam likhte hue kaha.

Apne akele kaam karne ka bahana aur Arpita dwara milne waale gadgets ko istemaal karne ke liye Aparijita ne haqiqat aur fasana mila kar ek acchi kahani sunaya tha. Iske saath me Aparijita ne chuninda logo ko apne saath rakhne ke liye zameen bhi taiyar kar li thi.

"Mai thori der me ek baar Ghanshyam, Gopu, Japu, Suresh, Dinesh aur Rohit ke saath jeep par ek round lagane ke bahane nikal kar dekhungi jungle me kaun kya kaam karne me jayada madadgaar hoga. Harilalji, Jab main aur Ghanshyam nahi honge to aapko thana sambhalna hoga. Agar mujhe mobile signal range se bahar ke ilaake me jaana para to Ghanshyam yahi honge. Aap sambhal to lenge?"

"Aap chinta naa karen, madam. Mai sabhal lunga. Waise bhi yaha thane me koi aata-jaata nahi hai. Aur agar koi emergency pari to main mobile par contact kar lunga." Harilal ne aaswat karte hue kaha. Jungle wale adventure se puri tarah dur hone par Harilal bara sakoon mahsoos kar raha tha.

"Bahoot accha. Maine aaj kuchh snaps utaare hai. Aaplogo dawra liye gaye snaps bhi mere paas hain. Mujhe kuchh jagaho ke baare me detail report chahiye."  

Aparijita laptop se projector ko attach kar  snaps dikhate huye baat kar rahi thi.

Snapps dekhte hue teeno un jagho ke baare me apni jaankari Aparijita se share kar rahe the. 

Aparijita ne unhe wo 2 bunglow ke snaps ko sabse ant me dikhaya.

"Madam, unme se bara wala Ramdayalji ka aur dusra Abbas ka bunglow hai. Forest department ne "Prakirti Ki God Me Nivash" karke ek scheme nikala tha. Iss scheme jungle ke bilkul karib bunglow banane ke liye zameen diya jaa raha tha. Par wo scheme jayada successful nahi hone ke wajah se baad me band ho gayi." Harilal un bunglow  ke baare me bata raha tha.

"Ramdayalji to agle mahine waha shift hone waale the par Abbas apne bunglow me aata-jaata rahta hai. Mujhe ab kam hi umeed lag rahi hai ki Ramdayallji iss apharan wale vakye ke baad us sunsaan jagah par rahne ke liye jaayenge." Ghanshyam ne apni rai batayi.  

Aparijita unse bunglow ki khubsurti aur dusre topic par baat karti rahi. 

-------------            *                            -------------- 

Ek ghante baad thane se ek jeep nikali jisme Aparijita ke aalaba  Ghanshyam, Gopu, Japu, Suresh,  Dinesh aur Rohit the. Arjun aur Amit duty par Phulpur gaye huye the. 

Aparijita ne Jeep se Gopu, Japu, Suresh aur Rohit ko alag-alag jagah jungle me utaara. Aparijita ne unse ek ghante baad mil kar unhone kya dekha, us jagah par phir kaise pahunch sakte hain aur inke saath waha se kitne jagaho par nazar rakhi jaa sakti hai jaisi baato ki report dene ko kaha.  Rohit ko ghayal hone ki wajah se ek chhota area diya gaya tha. Rohit ko Aparijita ne kisi pair par chadh kar khoj-bin karne se bhi mana kiya hua tha.

Aparijita Ghanshyam aur Dinesh baat kar rahi thi.

"Tum dono parso yaani Ravibaar subah meri friend Arpita se Sonbhadra me jaake milna. Meri us se baat ho gayi hai. Wo masterji ke illaz se related saari baato ko handle karegi.  Tumhare saath wo ek banda kar degi jo tum logo saara kaam jald nipatane me madad karega. Mujhe tum dono ki yaha bahut zaroorat hai isliye hum waha jayda time nahi laga sakte hain."

"Theek hai, madam." Dono ke sar hilane par Aparijita ne iss kaam se related kuchh aur nirdesh unhe de dono ko bhi 2 chhote-chhote area ka report aadhe ghante me laane ke liye bhej diya.

-------------------------------------------------------------------------------------------

Aparijita ne thane me laut kar sabko apne cabin me bula kar ek-ek kar sabko report dene ko kaha. Aparijita ne report sunte hi baaki team se report dene waale ke description se us jagah tak pahuchne ke baare me apni rai dene ko kaha.

Iss saari kabayat me sirf Gopu hi eisa shaksh nikla jiske bataye description se team jungle ke andar bataye jagah par pahuch paati. Gopu ke baad dusra number Ghanshyam ka aaya phir Japu ka. 

Ghanshyam aur Gopu aaj dekhe gaye area pahuch kar aur kis-kis jagah najar rakhi jaa sakti hai ye bhi bataane me bhi safal rahe; jabki  sesh log isme buri tarah fail rahe.

Theek saam 7 baje Javed saare naye aaye  logo ka detail ke saath eise kuchh logo ki list bhi de gaya  jin par kuchh sandeh tha. 

Raat 8.45 Arvind apne saath sport bike leke laaya Aparijita ke quarter pahucha. Arvind ke  saath uska ek mechanic bhi dusre bike se aaya tha jo abhi thane me baitha police walo se gapp maar raha tha.

Arvind ne bike me powerful silencer laga awaaz takriban khata kar dene ki baat Aparijita ko batai.  Iske aalba bhi usne bike me kaafi kucch extra gadagets lagaya tha jo kisi  anjaan ke lye sajawati item lagte.

 Aparijita ne Arvind se tantrik ke baare me bhi uski rai jaanne ke saath Javed se mili jaankari us se share ki. Aparijita ne Arvind ko Javed ki puri report share kar us par kaam karne ka nirdesh diya.

-----------------------------------------------------

 Dinner ke baad Aparijita Sarfarosh ke database  me Javed dawra di gayi logo ki jaankari dhoondhi jaha unke baare me koi jaankari nahi thi. Aparijita ne Sonbhadra ke local center ke database me Premnagar wale mission ki ek file taiyar kar abhi tak ki karyawahi aur jaankari save karne lgi.

In sab me raat ke 2 baj gaye the.  Aparijita ne abhi tak apne kapre tak nahi badle the.  Usne Arpita ke mobile par jaagte hone par call back karne ka message chhora.

10 second baad hi Arpita ki phone aa gaya.

"Kya local chief aaj aa gaye hain?" Aparijita ne puchha.

“Haan, wo aaj raat aaye aur mujhse unki baat bhi hui hai. Kal saam unhone Arvind aur tumse meeting ka time fix kiya hai." Arpita ne bataya.

Aparijita ne Arpita ko Dinesh aur uske maasterji ke baare me saari baaten batai. Baatchit ke dauran jab usne Arpita ko Kalicharan ko usne jaise handle kiya tha wo wakya bataya to Arpita ki hansi nikal pari.

"Yaar, manna parega ki tune use jabardast set kiya hai. Wo ab kisi kechuye ki tarah dubka rahega." Arpita ne haste hue kaha.

"Use set to kar diya hai par agar mere paas choice hoti to main us se nahi uljhati. Iss tarah ke chhote-chhote distraction mujhe yaha ka mission zaldi khatam nahi karne denge. Upar se Kalicharan ke right hand Durjan singh mujhe shaant baithne wala nahi laga. Mujhe pakka yakin hai ki wo zaroor Kalicharan se chhup kar badla lene ki kosis karega. Wo jaanta hai ki agar wo ek baar badla lene me kaamyaab ho gaya to wo Kalicharan ke aur bhi karibi ban jayega. Pahle hi Jagga ke roop me ek distraction tha; us par se ek naya namuna saamne aa gaya. Khair us se waqt aane par nipat lungi."

"Wo to main jaanti hoo!" Arpita ka sneh bhari awaaz aayi.

"Sun mere dimag me Dinesh ke masterji ko rakam dene ke baare me ek plan aaya hai jis se Dinesh ko unko samjhaane ke liye bahana nahi dhudhna parega. Jaisa  ki maine bataya tha ki Masterji ka beta aatankbaadiyo se larta hua sahid ho gaya tha. Tum Saitan singh ko uska training afasr bata kar bhejna. Saitan  singh waha batayega ki jab unka larka Himachal pradesh me posted tha to usne state govt ki lautari jeeti thi jo usne use yaani Saitan singh ko apne bachhe ke videsh me illaz karne ke liye de diye the jise wo apni aathrik haalat sudharne par lautane aaya hai ….."

Aparijita kuchh der tak Arpita ko Dinesh aur Ghanshyam se kaise deal karne ke baare me baaten karti rahi. Baato ke dauran Arpita aur Aparijita ne masterji ke madad ke plan ko puri tarah se thok-baja kar pura dursut kar diya. 

Ab tak raat ke 3.30 baj chuke the. Aparijita ne sone ka irrada chhor Arvind dwara laayi gayi bike nikaala. Subah wali bag uske saath tha par iss waqt laptop jaise gairjaruri item ki jagah usme kaafi  extra bulletes the. Revolver usne apne shirt ke niche shoulder belt se baandh rakha tha jabki shikari chaaku bag me rakha tha. 

Thane ke compund se Aparijita ne bina light jalaye bike bahar nikal  bike ko start kar kuchh dur aage badhte hi silencer ka kamaal dekha. Zara sa bhi awaaz raat ke sannate me bhi nahi aa rahi thi.

Aparijita ne bike Phulpur ke raaste par daal di. 

Aparijita ne bike ki headlight band  kar aankho par night vision glass laga rakha tha.

Aaj Saniwaar hone ki wajah se subah Tantrik Phulpar se jaane wala tha. Aparijita ab se pahle kabhi phulpur me kaafi andar tak nahi aayi thi. Halaki jeep se round ke dauran phulpur ke bahari hisso se Aparijita kai baar gujari thi. In sabke baawjud wo thane ke staff se baatchit se haasil jaankari aur online maps ke jariye yaha ke raasto ke baare me theek-thak jaankari rakhti thi.

Pura phulpur andhere me duba hua tha. Gaun me street light jaise kisi cheej ka naamu-nisaan nahi tha. Gaun ke andar base gharo me bhi bas ekka-dukka gharo me dheemi rosni ke bulb jal rahe the. 

Aparijita ne bike Phulpur se jungle ko jorte raaste par daal diya.

Luchh dur jaakar sarak khatam ho gayi thi. Aage ka raasta thori chauri pagdandiyo ke sakal me aage badhta dikh raha tha. Yeh pagdandiyo waala raasta bhi logo ke tantrik ke paas aane-jaane se bana hua lag raha tha. 

Aparijita ne bike issi raaste par daal di. 

Thori dur jaane ke baad Aparijita ne bike paas ke pero ke peeche chhupa diya. Aage raasta kuch aisa tha jis par bike ke tyres ke nissan saaf dikhte. 

Aparijita bag kandhe par daal raaste ke kinare-kinare ghaas par daurti hui khandahar ki taraf chal pari. Ghaas par chalne ke kaaran Aparijita ke pairo ke nisaan kisi ko nahi milne waale the.

Takriban 5 minutes ke baad Aparijita khandhar ke bahar kuchh dur par khari thi. 

Iss jagah se kuchh dekhna sidhe-sidhe possible nahi tha,  isliye wo ek per par chadh gayi. Kaafi upar tak chadhne ke baad  Aparijita ne khandhar ki or night-vision durbin se dekhna suru kiya. 

Khandhar ke andar halki rosni ho rahi thi.  

Rosni ek electric emergency lantern se aa rahi thi. Lantern ke paas hi ek banda baniyaan aur lungi pahne chatai ke upar karwat liye so raha tha. Us bande ke bagal me ek sarab ki khali bottle pari thi. Soye shaksh ka chehra saaf nahi dikh raha tha. Phir bhi Aparijita ne Japu dwara diye description se use tantrik ka sahayak ke roop me pahchaan liya tha.  Aparijita ne sahayak ke aas-paas ke cheezo ko dekhna suru kiya. Thori duri par use ek bara sa thaila dikhayi diya jiske andar kuchh khane-peene ki cheeze dikhayi de rahi thi. 

Aparijita ne khandhar ke baaki hisso ko dekhna suru kiya. Khandhar ke kuchh kamaro ki chhat sahi-salamat thi jiske kaaran uske andar jhaanka nahi jaa sakta tha. Khandhar ka illaka accha-khasha bara tha. Ek hisse me Aparijita ko halki rosni dikhayi di jo kam-jayada ho rahi thi.

Rosni ka dayra aur uske badhte-ghatate aakar se waha kuchh jalaye jaane ka aabhas Aparijita ko ho raha tha. Par uss hisse ko per se dekhna possible nahi tha. 

Aparijita ek baar phir khandhar ke chaaro or saavdhani se  dekh per se utar khandhar ki or chal pari.
5 minute ke andar Aparijita khandhar ke andar thi. 

Aparijita sahayak ke kamre ke  paas se gujari.  Kharrata bharta sahayak ek 25-30 saal ka 5.2 feet lamba sehatmand banda tha. Aparijita chupke se kamre ke andar aa thaile ke andar jhaanka to uske andar ek aur bag,  kuchh khane-peene ki cheeze aur ek bara sa chhura dikhayi para. 

Aparijita us jagah par ek saktisaali microphone install kar khandhar ke dusre kamro ki or badhi. 

Aage badhne par Aparijita ko ek kuchh saaf-suthri jagah dikhayi di.  Waha ek chhota sa hawankund bhi bana tha. Lagta tha ki iss jagah par tantrik logo se din me milta-julta tha. Aparijita ne yaha ke kuchh snaps lene ke baad dusre hisso ki or badh chali.

Jaydatar kamre buri halat me the. Aparijita ke kadam us hisse ki aur badh chale jaha se use aag wali rosni dikhayi di thi. Kuchh hi palo me wo us jagah ke paas thi.

Fiza me kisi ke dwara ki jaar rahi mantrochaar gunj rahi thi. Thori dur aage badhne par Aparijita ko ek kamra dikha jiski chhat salamat thi. Andar koi rosni nahi dikh rahi thi.  Aparijita us kamare ke andar jaa kar uska muyana karne lagi.

Kamra saaf-suthra tha. Kamre ke andar ek gadda bichha hua tha. Paas me hi ek videshi  sarab ki bottle rakhi hui thi jo sirf ek chautahi khali thi. Saath me ek band emergency latern aur tantrik  saamgri ka thaila para tha jisme kuchh books bhi dikh rahi thi. 

Aparijita ne yaha bhi ek microphone plant kar diya.

Aparijita ne apne kadam aage badhaye.

 Hawa me kacche maans ke jalne ki badbu aa rahi thi. Aage ek bara sa haal tha jiske sirf  chaaro dewaal hi sahi salamat the. Iske chhat ko kabhi banaya hi nahi gaya tha. Hall ke andar jane ke liye  2 raaste the jisme se kisi me bhi darwaaja saabut nahi tha. 

Aparijita ne unme se sabse picche wale se andar ki aur dekhna suru kiya. Hall me kanhi bhi koi gandgi nahi dikh rahi thi. Baaki khandhar ke viprit hall saaf-suthra tha. Hall ke bicho-bich ek hawankund bana hua tha. Aparijita ki or pith karke ek banda nanga baitha saamne bane hawankund me kuchh daalte hue mantra padh raha tha.  Yeh shaksh, ek 35-40 saal ka gore rang ka 6 feet lamba  sehatmand banda tha. Uske  sarir ko dekh kar kar lagta tha ki wo rojana barjish bhi karta hoga.   

Tantrik ke bataye huliye se ye banda  milta-julta tha. Usne hawankund ke saamne hi ek lohe ka trisul zameen me gaar rakha tha. Aparijita ne uske hawan samagri par dhyan diya to paya ki usme kachhe maans , phool-phal- patto ke saath sarab ki kuchh bottle bhi thi. 

Jis tarah se wo banda hawan kar raha tha us se saaf lagta tha ki use tantrik kiryao ka kuchh jyan hai kyuki waha koi  eisa nahi tha jise impress karne ke liye wo dikhaba karte hue wo hawan karta. Agle darwaje se jhaakna bebkufi hoti kyuki wo usi or munh karke baitha tha. Aparijita ne kamre ke andar jaane ka irrada chhor koi eisi jagah dekhne lagi jaha se wo is jagah par nazar rakh sake. 

Aparijita teji se us hall se aage badhi. 

Hall se aage kuchh dur tak khali jagah thi.  Takriban 100 feet ki duri par phir ek chhota sa kamra tha jiski chhat sahi-salamat thi. Kamre ko dekh kar lagta tha ki yeh kabhi chhat se pahedaari  ke kaam me aata hoga. Chhat tak jaane ke liye bani seedhi tut chuki thi. Aparijita ne uska ek chhakar laga chhat tak pahunchne ka raasta dhundh liya. 

2 minute ke baad Aparijita us kamre ki chhat par thi. Pura chhat pero ke patte se dhaka hua tha.  Saaf pata chal raha tha ki yaha lambe samay se koi nahi aaya. Chaat par bani railings  abhi tak kaafi hisse me sahi-salamat thi. Aparijita ne chhat par pari ek per ke hare patto bali chhoti daali se railing se sate  chhat ke ek chhote se hisse ko saaf kiya aur apni nazar us haal par jama di. 

Tantrik ke mantra padhne ki awaaz yaha tak nahi aa rahi thi. 

Aparijita  camera zoom karke tantrik ki photo utarne lagi. Hawankund ki rosni me Tantrik ka gatheela chamkata badan ek rahasaymai vatabaran bana raha tha. Tantrik ne apni aankhe khol rakhi thi aur ab teji se hawan samagri ko hawankund me daal raha tha. Lag raha tha jaise uski tantra kriya khatam hone wali thi. 

Agle 10 minutes me hi Tantrik hawankund ko saastang pranaam karta dikh raha tha. Pranam karke uske khare hote hi Aparijita ne uske full body ka snap utara. Tantrik ne naa sirf sarir ko mazboot banaya tha balki apne sarir ko saaf rakhne me bhi mehnat karta tha. Uske sar ke  aalaba aur kanhi baal nahi dikh raha tha. Uske sarir par kai tatto bhi dikh rahe the. Chhati ke dono hisso par koi tantrik mantra aur aakriti bani dikh rahi thi. Aparijita ne un aakritiyo par zoom karke unhe dekha. 

Aparijita ko tantrik ke kamar par belt ki sakal me matra likhe dikhayi diya. Aparijita ne zoom karke uski bhi snap le li. Tabhi tantrik picche mura to wo mantra wali belt picche bhi dikh pari. Halaki Aparijita ko kam hi umeed thi ki tatto rupi belt se kuchh pata chal sakta hai phir bhi usne kuchh bhi detail naa chhorne ki aadat ke anusaar wo snaps le liya. 

Aparijita ko darwaje se tantrik ki or aata uska sahayak nazar aaya.

Tantrik kuchh duri par utaar kar rakhe gaye apne kapre pahan raha tha. Uska sahayak waha bikhri saamagri samet raha tha. Sahayak hawankund ko bagair chhere   kuchh duri par rakhe gaye emergency lantern utha kar Tantrik ke saath hall se bahar aa gaya. 

Abhi tak Tantrik aur uske sahayak ke bich ek sabd bhi nahi kaha gaya tha. 

Aparijita ne unke peeche jaane ko koi kosis nahi ki. Wo log chhat wale kamre me pahunche.

Aparijita ne  microphone se baatchit sunnne ke liye use activate kar diya. Agle hi pal unki baatchit Aparijita ke kaano me earphone se pahunchne lagi jo saath-saath record bhi ho rahi thi.

"Guruji, Aap to itna gyani hain phir aapko ab itna hawan karne ki kya jaroorat hai?” sahayak ki awaaz aayi.

"Shera, Gyan ka koi ant nahi hai. Hume jo siddhi milti hai use time-time par active karte rahna parta hai. Iss tantra ki duniya me jo asaavdhaan raha wo jaan se gaya. Yaha log aapse sikh ke aage badhte hai aur ek din aapko hi issme pachhaar dete hain.  Isliye hamesa khud ko updated rakhna parta hai. Main yaha sirf apni purani siddhiyo ko jagrat rakhne ka kaam kar raha hoon taaki  jab main kuchh hafto baad naye siddhi ke liye baitho to main kamjor naa par jayu.” Tantrik ki awaaz Aparijita ko sunai pari.

“Guruji, aap kyu gaunwaalo ki madad karne me apna samay barbaad karte hain?” Phir se Shera ki awaaz aa rahi thi - “Agar aap unpar apni energy barbaad nahi karte to ab tak aapki jagaran ki sab kriya puri ho jaati aur aap nayi siddhi me lag jaate!” 

“Tumne dekha hai ki main kuchh ghante hi unke saath baithta hoon. Kuchh dino me purani siddhi ko jaagrit rakhne ka kaam nipat jaayega tab main sirf Chailla me hi rahunga aur 1-1.5 mahine me waha bhi logo se milna  band kar dunga. Iske baad main sirf kriya karne aayunga aur kisi se nahi milunga." Tantrik ki awaaz aa rahi thi. -"Ab main thora aaram karunga. 1 ghante me hawankund bhujh jayega tab tum saara kuchh samet lena. Issbar puja se sambhanthit kuchh bhi yaha nahi chhutna chahiye!” 

Aparijita ne tantrik ki baato se andaaza lagaya ki banda vastav me jaankar hai ya phir wo kaafi saatir banda hai jisne apna bhram-jaal phailane ke liye tantra ki acchi study ki hai.  Microfone me kisi ke chalne ki awaaz aa rahi thi jo kam hoti jaa rahi thi. Lagta tha ki tantrik ka  assistant Shera bahar jaa raha tha. Iske baad thori der shaanti chhayi rahi.  Aparijita wahi tek laga kar baith gayi. Usne tantrik ke baare me abi koi rai final nahi ki thi. 

Abhi tak Japu ne tantrik ke baare me koi negative baat nahi batayi thi. Japu ke taraf se report positive hi thi. Aparijita ka crime ke dunia ke tarah-tarah ke apraadhiyo se paala para tha. Isliye wo sirf abhi suni gayi baato ke upar bharosa karke tantrik ko shaq ke daayre se bahar nahi kar sakti thi.

Iss baat ki bhi sambhavna thi ki Shera tantrik ke asliyat se bekhabar ho aur tantrik sirf uski andh-shardha ka faayda utha kar use istemaal kar raha ho. Yeh bhi ho sakta tha ki kisi tarah se unlogo ko uske baare me pata chal gaya ho aur yeh sab Aparijita ko sunaane ke   liye  kaha jaa raha hai.

Aparijita ko ek dusre mission ki yaad aa gayi jaha aprradhi ko apne yaha microfone planted hone ki jaankari ho gayi thi aur wo iska faayda utha kar Sarfarosh ke junior agents ko galat jaankari de raha tha. Iska khulaasa tab hua tha jab ke junior agents ne Aparijita se jaankari share ki jisme Aparijita ko kuchh garbar laga. Jab Aparijita ne apne level par check kiya tha to pata chala ki us maha saatir apradhi ne junior agents ko bahoot bebkoof banaya hua tha.  

 Aparijita ne wait n watch ka nirnay kiya.  Aaj Aparijita us bande ko bhi dekhna chahti thi jo car lekar tantrik ko lene aata tha. 

6.30 baje ke karib Aparijita ko ek banda khandhar  ki or aata dikhayi diya. Yeh ek 20-21 saal ka dubla-patla banda tha.  Aparijita ne uske bhi kai snaps utaare. Kuchh hi palo me uske kaan me Shera ke kamre wale micrphone se awaaz aane lagi.

"Chhote guruji, Kaise hain aap."  car leke aane wale bande ka swar gunja. 

“Tujhe kitni baar kaha hai ki mejhe chhote guruji naa kaha kar par tere bheje me baat hi nahi utarti hai.” Shera gusse me bhunbhunata hua kah raha tha  - "Agar phir maine sun liya to yehi tujhe pit daalunga!"

“Hi-hi; Shera bhai aap to bura maan gaye. Main to yu hi mazaak kar raha tha."  naye bande ki hasne ki awaaz aayi.

“Raju tu koi baccha to hai nahi ki tujhe har baar smjhana pare.” Shera ki gusse bhai awaaz aayi. - "Chal pahle jaake hawansthan  ko saaf  karte hain phir guruji ke paas chalenge.  Tab tak sayad wo hamesa ki tarah chalne ke liye taiyar mile.”  Shera ne thora naram swar me kaha.

Kuchh hi palo baad Aparijita ko wo dono hawan wale sthan me dikhe. Dono baat karte hue saamagri ekttha kar rahe the. Us jagah par microphone nahi hone ke kaaran Aparijita unki baat nahi sun paa rahi thi. 15-20 minutes ke baad hi tantrik bhi waha dikhayi diya jo ab chalne ke liye taiyar tha. 

Ab tak takriban sara samaan samet liya gaya tha.  Shera tantrik ko taiyar dekhte hi bhaag kar chalne ke liye taiyar hoke aa gaya.

Dekhte hi dekhte teeno waha se sab kuchh bator kar baat karte hue nikal pare.  Unke waha se nikalte hi Aparijita zaldi se microphones samet unke peeche chal pari.

Unka kuchh kadam pichha karte hi Aparijita ke samajh me aa gaya ki wo log usi raaste par jaayenge jis se wo aayi thi. 

Kucch aur dur jaakar Aparijita ruk ek per par chadhne lagi.

Car me un teeno ke aalaba koi nahi tha. Aparijita ne per par se hi chhipe hue us car ki kai snaps liya. 

==================================================

Aparijita ke thane ke compund tak pahunchte-pahunchte 8 baj chuke the.  

Jab Aparijita bike se thane ke andar aa rahi thi usi waqt Ghanshyam use apni bike par aata dikhayi diya. 

Aparijita ne quarter me pahunch kar Ghanshyam aur Gopu ko phone  kar milne ke liye bulaya. 

"Gopu; Ghanshyam aur Dinesh ko mai kal se kuchh dino ke liye bahar bhej rahi hoon; isliye raat wali shift ki jimmedaari tumhe uthani hai  aur agar koi emergency aa gayi to mai madad ke liye ho  hi. Harilal ne lambe samay se night shift nahi ki hai, isliye uske umar ko dekhte hue use din ke shift me rakhna theek rahega."  

Aparijita thori der tak night shift aur tantrik ke baare me apni rai deti rahi.

“Gentlemen, mai ab thora aaram karna chahti hoon. Main pichhle 28 ghanto se jaag rahi hoon.  Aaj hi mujhe  spy gadgets laane bhi jaana hai. Isliye agar koi emergency ho tabhi use phone karen." Aparijita ne muskurate hue kaha.

Aparijita ki baat sunte hi dono hairan rah gaye. 28 ghante se upar jaag chukne ke baad bhi Aparijita ke chehre par uska nisaan tak nahi dikh raha tha.  Kal se kuchh der pahle tak ka sankshipt vivran sun aur kal saath bitaye samay ke kaaran wo samajh gaye the ki 28 ghante se jaagne ki baat sach hai.

Ghanshyam aur Gopu Aparijita ko salute kar turant waha se nikal gaye.

Unke jaate hi Aparijita Yog-Nidra ki madad se 4 ghante ke neend le khoyi energy prapt kar 1.30 baje phir se uth gayi.  Abhi Aparijita apne ko pura taro-taaja mahsoos kar rahi thi.  Usne 2 minutes me hi khud ko safar ke liye taiyar kar liya aur kandhe par ek bara sa khali bag lekar bike par Arvind ki garage ki aur chal pari.

1.42 me Aparijita ki bike Arvind ke garage me thi. Arvind taiyar hoke ek tata sumo lekar uska wait kar raha tha. Aparijita ne apni bike wahi chhori aur bag utha kar Arvind ki sumo me aa baithi.

Turant hi Sumo apni manzil ki or badh chali.  Arvind ne sarsari taur par ghari par nazar daurayi. Abhi theek 1.45 ho rahe the. Yeh dekh kar uske chehre par muskaan aa gayi.

Aparijita ke baare me Sarfarosh me mashoor tha ki agar usne koi time diya hai to wo itna accurate hoga ki us time par ghari milayi jaa sakti hai. 

------------------------------------------------------------

Saturday 14 September 2019

Rahasy ki khoj

Dusre din subah 4.30 baje hi Aparijita uth chuki thi. 20 minutes ke baad Aparijita thane ke bahar wali sarak par apni mountain cycle ke saath khari thi. 

Aparijita ne denim ki jeans aur shirt ke saath pair me ghutno tak aati jute daal rakhe the.  Jute ke andar bari safai se hunter knife chhupa hua tha.

Aparijita ne apne baal ek choti ki roop me bandha tha aur apne kandhe par ek bag daal rakha tha. Bag ke andar mobile, laptop, camera, doorbin, pani ki bottle, torch, ek majboot rassi aur eisi hi kuch aur cheeze pari thi.

Aparijita ne shirt ko in nahi kiya tha. Shirt ke neeche shoulder belt ke saath saffai se chuppai gayi ek fully loaded revolver tha. Revolver ke kaafi phaalto rounds bag me pare the. 

Aparijita ne aaj Gopu ko apne saath naa lane ka nischay kiya tha. Wo teji ke saath phir usi chabutare ki taraf chal pari. Usne aaj pahari par bane prakritik chabutare ke niche apni cycle nahi roki balki use teji se chalati hui chabutare tak le aayi.  

Aparijita dheere-dheere chabutare ke charo taraf cycle se round laga rahi thi.  Ek jagah wo ruk kar apne bag se laptop nikalne lagi. Usne laptop ko internet se connect kiya aur Arpita dwara bheji gayi file padhne lagi.

Arpita ne Aparijita ko kal baato ke dauran bataya tha ki 2 saal pahle ek videshi lekhak ne iss chabutare numa jagah ke baare me apne ek book me jikra kiya tha jise Arpita ne bhi kal hi padha tha. Usne likha tha suraj ki pahli kiran ke saath jungle ke ek hisse se tej rosni aasman ki taraf jaati hai jo ki bas kuchh seconds tak hi rahti hai. 

Arpita ne us book ka scan copy bhejne ki promise ke saath vaada kiya tha ki wo aur jitna detail available ho sakega bhej degi. Aparijita ne detail ke saath Sarfaroosh ke sources ke jariye pure area ke satellite images bhi bhejne ko  kaha tha. Arpita ne vaada kiya tha ki saari cheeze raat  2 baje se use bhej di jayegi. Aparijita jaanti thi agar Arpita ne kisi baat ka vaada kiya hai to wo kaam tai samay se pahle hi pura hoga.

Aparijita ka irrada pahle ek din baad aane ka tha par usne apna irrada badal diya tha.

Aparijita ka viswaas tha ki wo rosni kisi paurane bane mandir se aati hogi.  Usse pata tha ki logo ko aur aastik banane ke liye purane jamane ne  rajayo ke kahne par architect iss tarah se building ki design banate the ki usme kuchh khaas  khubi nazar aaye aur jise baad me chamatkar ka naam diya jata tha. Jaise Muhammad Ghazni dawara nasht karne se pahle Somnaath madir me hava me sthir Bhagvan Shiv ki mutri jo asal me chhat me lage vishalkay chumbak ke vajah se hava me latakta rahta tha. 

Govt ki akarmayta isme dikhti thi ki itni rahasymai baat ka jikra hone ke baad bhi uspar koi jaanch-partal nahi hui thi. Yaha tak ki Delhi-NCR ke khabariya channels jinhe actor-actress ke antarvastro ke ke baare me bhi pata hota tha; unhe bhi iski koi jaankari nahi thi ya kahe unhone is khabar ko jaanbujh kar nazarandaaz kar diya tha.

Jagga aur uske ssathiyo ko bahut baar jungle ke iss hisse ke andar aate -jaate dekha gaya tha jabki unka kiraye ka ghar waha se kaafi dur tha. Kisi ke puchhne par Jagga aur uske saathi logo ko batate the ki wo prakriti prem ke karan yaha aana pasand karte hai. 

Aparijita ko Jagga uar uske saathiyo dwara sunayi gayi kahani par ek paisa bhi yakin nahi tha. Aparijita ko pura yaqin tha ki ya to wo us mandir ke prachin murtiyo ke peeche the ya phir jungle ke gufao me unka koi interest tha. Jagga ka iss jagah itne mahine rahna bemaksad nahi ho sakta tha.  

Aparijita ne zaldi-zaldi saari di gayi jaankariya padhni suru kar di. Arpita ne uska kaam aasan kar rakha tha. Arpita ne saari jaankari ko bari khubsurati se iss tarah se arrange kiya tha ki Aparijita ko sambhabit jagah  ka andaza aasani se ho gaya. 

Subah ki pahli kiran ke saath rosni upar ko jaati dikhti thi iska matlab tha wo jagah chabutare se East ya phir North-East ya phir South-East me hona chahiye tha! In jaankariyo ke dam par Aparijita ne apne search ka dayra fix kar liya.

Aparijita ne apni kalai ghari par nazar daali. Mausam department ki di jaankari ke anusaar 10 minutes me hi suryoday hone wala tha. 

Aparijita janha iss waqt thi waha se North-East aur  South-East kone ka kuchh hissa khai ke kinaare uge bare pero se chhipa hua tha. Usne teji se apne nazare daurayi to uski nazar 300 meter ki duri  par ek bare chattan par pari jis par chadh kar aasani se wo apne baanchhit area ko dekh sakti thi.

Aparijita ne teji se apna saaman samet daur kar apni cycle utha teji se pandle maarte hue chattan tak pahunch bag samet chhalaang laga kar chattan par chadh gayi.

Abhi bhi Aparijita ke paas 5 minutes ka time tha. Usne camera aur apne mobile ko movie mode me recording par laga unhe North-east aur South-East ke angle par set kar diya. Usne durbin ko apne jaangho par rakh kar saant-chitt se aane wale nazare ka wait karne lagi.

Tabhi parkriti Aparijita par muskurai!

Jab Aparijita chattan par aake baithi thi tab tak dur jungle ke pero ke peeche aasman me prikriti ne lalima liya rajpath bana diya tha. 

Jaise hi  Suraj ne muskrate hue apne rath se dharti ki aur dekha, purab me jungle ke andar se ek tej safed rosni ne uchhal kar Suraj ke kadam chumna suru kar diya. 

Aparijita ne bagair apni najre hataye haath badha kar camera uthaya rosni ki taraf kar diya. Iss dauraan uska dhyan ek baar bhi nazaare se nahi hata. Chand seconds ke baad hi charan-vandna khatam kar ke wo rosni gayab ho gayi. 

Aparijita ne andaza lagaya to paya ki wo jagah jungle ke andar kam se kam 4-5 km ki duri par hoga. Jungle ke itna andar jaa kar andaze par khoj karne me kafi time lag jana tha aur sirf andaaze par wo apna jayada waqt iss kaam me nahi laga sakti thi. 

Haqiqat me sambhawit jagah us se jayada dur bhi ho sakti thi. Jungle ki andurani hisse ke banawat ke karan us jagah ko dhoodhna tedhi kheer ho sakta tha.  

Aparijita ne camera ka movie mode off kar panorama view me us karamati rosni wale illake ki snaps utarne lagi. Ab uske paas us karismayi rosini se related kafi jaankari thi. 

Aparijita ne cycle wahi chhora aur thora aur upar ki aur apna rukh kiya. Aaj  Aparijita  ka irada aur oncha jakar eisi jagah dhudhne ka tha jaha se Chaila ka bara hissa durbin se nazar aa sake. 

Thori  der me hi Aparijita ko uske kaam ki jagah dikh gayi. Ek jagah pahari se ek bari chattan is tarah nikali hui thi ki us par khare hokar saktisaali durbin se dekhne par Chaila ka bara sa hissa saaf dikhai deta. Aparijita ne Chaila ke kuchh khaash jagaho ko jyada gaur se dekh neeche utarne lagi. 

----------------------------------------------------------------

Aaj Friday tha. Apne routine ke mutabik tantrik Chaila se jaa chuka tha.

Aparijita Chaila ke paas Jungle me bana mandir ke paas maujod thi jo basti se 1 km ki duri par tha. Yeh mandir kisi jungle-devta ka tha jiske baare me logo ka viswaas tha ki wo bhatakti ruho ko jungle me hi rok rakhta hai. 

Mandir kuchh pilaars par khara tha aur upar pakki chhat thi. Bich me ek 10x10 ka kamra bana tha jisme  ek mitti ki ungarhi pratima thi jo sindur aur dusre pujan saamgri se laal ho raha tha.  Mandir se kuchh kadamo ki duri par ek 16x16 ka ek pakka bana kamra tha jisme darwaje ki jagah lohe ka ek grill wala gate laga tha . Gate me koi lock nahi laga tha. Mandir aur room ke bich ek balidan sthal bana hua tha .

Mandir  aur uske chaaro aur sannata pasra hua tha. Saaf pata chalta tha ki Chaila ke log kisi khash mauke par hi mandir aate hain. Aparijita ne cycle bahar wale kamre ke saath khari kar lohe ka gate khol room ke andar chali gayi. 

Kamre me darwaje ke level par ek cemented rake bana tha jise yaha local bhasha me machaan kahte the. Kamre ke andar deewar me almira rupi cemented self bana tha. 

Aparijita ne dewaaro me bane self ko check kiya. Wo saare khali the. Unpar bahut hi halki dhool dikh rahi thi jo ki bata rahi thi dhool kuchh din me hi jama hui hai. 

Aparjita  gate ke paas pahunch kar uchhal kar  machaan ko pakar  kar latak gayi aur apne badan ko dheere-dheere upar uthana suru kiya. Machaan khali dikh raha tha. Kamre me bhi mandir ki tarah electricity ka koi bandosat nahi tha. 

Machaan par dhool ki ek moti parat dikh rahi thi jo ki batata tha ki machaan tantrik dwara istemaal me nahi laya jata hai. Tabhi Aparijita ko laga ki dhool me kuchh nissan pare hai par andhere ke karan wo clear nahi dikh raha tha.

Aparijita ne bag se torch nikala aur us nissan ke neeche pahunch kar uchhal kar sirf baanye haath se machaan ko pakar kar jhool gayi. Dahine haath me usne torch pakar rakha tha. 

Aparijita ne apne sarir ko sirf baanye haanth ke jor par upar uthaya aur dahine se torch ki rosni me us jagah ko dekhne lagi. Waha jo nissan use dikha use pahchaan ke uski munh se seeti ki awaaz nikal gayi. Nissan bata raha tha ki waha 2 AK-47 type rifle rakhi gayi thi.

Aparijita sure nahi thi ki ye kaam Tantrik aur uske chele ka hai ya kisi aur ka. Par iss baat ko najarandaaz nahi kiya jaa sakta tha. Aparijita kamre ke chhat ko kuchh der dekhti rahi aur ek kaam ki jagah use dikh gayi. 

Kiro ne chhat ke ek kone me ek mitti ka ghar jaisa banya hua tha. 

Aparijita ne ab apna dhyan waha zameen par bichhi puyal ki bani bichhaban par daali. Zameen par 1.5 inch moti puyal bichhi hui thi jis par 2 log maje se so sakte the. Dhayan se dekhne par puyal par kuchh kambal ke rese dikhayi diye jo kambal ka istemaal hona bata rahe the.

Tabhi Aparijita ko puyal ke necche kuchh chamakti hui cheez dikhayi di. Puyal ko hatane par wo kaanch ki churi ka tukra nikala. 

Gaun me amooman viswaas tha ki Tantrik apne chele ki siwa aur kisi ke saath nahi hota hai. Pahle AK-47 ke nissan aur phir churi; in sab cheezo ne Aparijita ka Tantrik par shaq aur gahra kar diya tha.
Aparijita ne bahar jaakar kuchh zameen par gire patto ko jama kiya aur unhe laakar kamre me bikhra diya phir usne patte lakar machan par phekne suru kar diye.

Kuchh hi palo me machan par Aparijita ke hathelio se saaf hui dhool patto se dhak gayi aur saath hi uske aas-paas ki jagah bhi. Ab iss jagah ko dekh kar lagta tha ki jaise baccho ne khel-khel me kamre me chaaro taraf patte bhikra diye ho.

Aparijita mandir ke andar pahuch pratima ka muayana karne lagi. Partima ke paas hi ek bara sa hawankund tha. Paas hi ek chhota sa naali numa ek aur kund bana tha jisme desi sarab ka ek plastic ki thaili pari hui thi . Lagata tha jaise  iss kund ka istemaal sarab chadhane ke liye kiya jaata raha ho.

Aparijita mandir se bahar nikali. Mandir ko basti se jorne ke liye ek kachha rasta bana tha jispar ek bailgari aa jaa sakti thi. Wo raasta mandir par aake khatam ho jaata tha. Mandir se 2 aur pagdandi numa raasta nikalta dikhayi diya. Ek wo tha jis se Aparijita main sarak se jungle hote  hue mandir aayi thi aur dusra uske viparit disa me jungle ke aur andar chala ja raha tha. 

Sarfarosh ke reports ke nausaar isi pagdandi wale raaste me aage jaakar 2  prakritk  gufa the. Eisa viswaas kiya jaata tha ki  waha 2 aur gupt gufa hain par uske location ke baare me kisi ko koi jaankari nahi thi.

Aparijita ne apni cycle issi raaste par daal di. Raaste ka kam istemaal hone ki vajah se bura haal tha.

Agal-bagal ke jhaariyo se nikale tahniyo ne kanhi kanhi raaste ko gherna suru kar diya tha. Aparijita bari maharat se iss raste par apni cycle full speed me chala rahi.

Agle 15 minuts ke andar Aparijita ek gufa ke saamne khari thi. Usne cycle ko gufa ke bahar chhora aur bag ko kandhe par daal haanto me torch aur hunter knife liye andar aa gayi. 

Aparijita  bare hi satark kadamo se gufa ka muyana kar rahi thi. Lagta tha ki jaise iss gufa ke andar  kafi samay se kisi manavjaat ke kadam nahi pare the. 

Andar kuchh bare bil dikh rahe the. Tabhi ek bil se ek khargosh nikala aur apni aankhe mich-michate hue Aparijita ko dekhne laga. Khargosh Aparijita se uske ghar me aan use disturb karne ka kaaran puchhta sa laga.

Khargosh ko dekhte hi Aparijita ke chehre par muskaan aa gayi. Usne hunter knife ko phir se jute ke andar pahuncha diya.

Khargosh kuchh der Aparijita ko dekhta raha phir uchhal kar ek taraf bhaag khara hua. Aparijita ne khargosh ke bhagne ke raaste me torch ki rosni daali to paya ki us gufa ke andar ek dura  rasta hai jo thora kam uchayi ka tha.

10-15 kadam us raaste par chalne ke baad uchayi sirf 4 feet rah gayi thi.  Aparijita ab ghutno ke bal baith kar torch ki rosni me aage badh rahi thi. Takriban 12-14 kadam aur chalne ke baad wo surangnuma jagah aage se band ho gayi. 

Khargosh jaise Aparijita ke waha pahunchne ka hi wait kar raha tha. Aparijita ke waha pahunchte hi wo vapas bahar ki aur bhaag gaya. Aparijita us jagah ka muyana karne lagi. Us jagah aaram se kuchh log so sakte the.  Is surungnuma jagah ko dekh kar yeh saaf pata chalta tha ki isse insaano ne specially sone ke liye taiyar kiya hai. 

Aparijita ne surangnuma jagah ki chhat ko torch ki tej rosni me dekha. Chhat me chheni-hathori ke nisaan the jo kaafi purane the. Yeh kaam itni safai se kiya gaya tha ki Aparijita ki anubhavi aankho ne use pahchaan liya nahi to aam aadmi ko to wo prakritik hi lagti. Aparijita ko chaat ke bicho-bich ek devi murti ka sketch bana dikhayi dia. Sketch me kuchh phool bhi bane the.

Aparijita ko sketch me bane devi ke charano ke paas bane phool me kuchh bhed ka abhaash hua. Phool  aur charano ke paas ke jagah me kuchh phal aur ann ke daane ukere gaye the. Aparijita ne apne saktisaali camera se waha ki kai snaps tej flash me nikale. 

Tabhi uski nazar suragnuma jagah ki band munh par bane kuchh nisaan par pare. Use dekh kar lagta tha jaise kisi ne eisi hi masti me chheni chala kar kuchh bhi likh diya hai. Isi tarah ka nissan baayi aur dahine taraf ke deewal par bhi tha.

Pratyaksh taur par nissano  ke bich koi taal-mel nahi dikhta tha par Aparijita ko viswaas tha ki unme koi na koi sambandh jaroor hai.

Us jagah kaafi der se baith kar soch-vichar karte Aparijita ko achha-khasha samay ho gaya tha. 

Aparijita ko pyas mahoos hone lagi to wo bottle nikal kar paani peeni lagi. Tabhi uska purana dost khargosh phir andar aata dikh para.

Khargosh Aparijita ke paas se nikal kar us jagah ke band  munh par jaakar baith gaya. Uske taraf peeth karke Aparjita pani peete hue phir ek baar chaat par bani pratima ko dekhne lagi. 

Tabhi naa jaane kyu Khargosh ko kya masti sujhi aur wo daur kar Aparijita ke peeth par kuda aur phir se bhaag gaya. 

Aparijita ke haath se pani ki bottle chhitak kar door jaa gira. Bottle se kuchh pani chhat me bane pratima par bhi jaa laga. Uske baad jo hua us se Aparijita ki aankhe khuli rah gayi. 

Devi ke charano me bane 2 phool me ek naksa sa bana dikhayi dene laga. Naa jane wo kaisi kaarigari thi jo paani se bheegne se ubhar kar saamne aayi thi. 

Iss nayi dikhayi de rahi aakriti me 3 gufa bane dikhayi de rahe the.  Pata nahi wo kaun si cheez pathar me daala gaya tha jis se pani me bhigne se us par likhi gayi cheeze spast dikh rahi thi. Usme 2 chhote-chhote tir ke nisaan baaye aur daaye deewaro ki taraf the. 

Aparijita ne kuchh soch kar ek deewal ko pani se bhigona suru kar diya. 

Paani se bhigne ke baad deewal par ubhar aayi aakriti ko dekh kar Aparijita ka chehra khil utha.

Aparijita ne dusri deewal ko bhi pani se bhigoya.  Aparijita ne chhat aur dono deewaro ke jaldi-jaldi snaps uthar surangnuma jagah se nikal kar phir se gufa ke main hisse me aa gayi.

Khargosh phir ek baar uske paas aake khara ho use apni chhoti-chhoti kali aankho se ghurne laga. Aparijita ne iss khargosh ki sararat ke wajah se ek eisi cheej dhoondh nikali thi; jiske baare me use koi anumaan bhi tha. Usko to sapne me bhi yeh khayal nahi aane wala tha ki paani se bhigone par chattan bhi kuchh bata sakta hai.

Aparijita ne khargosh ko utha kar choom liya aur use vapas zameen par rakhte hi Khargosh bhaag kar apne bil me ghush gaya. Khargosh ke meharbaani se Aparijita ko un 2 gupt gufayo ki jaankari aur waha pahunchne ka raasta pata chal gaya tha. Surangnuma jagah ke chhat me gufa aur uske aas-paas ka chitra bana hua tha jabki baaye-daaye deewaro par uske baare aur hints likhe gaye the.

Aparijita waha se dusre gufa ki aur chal pari jiske baare me Sarfarosh ke report me jikra tha. 

Zald hi Aparijita dusre gufa ke saamne khari thi. Iske aas-paas ka najara dil ko chhu lene wala tha. Lagta tha jaise isse prakriti ne khass taur par shanti talash karne walo ke liye banaya tha. Thori dur par paani ka ek jharna tha jis se doodh ki tarah safed paani girta lag raha tha.

Yeh gufa andar se accha-khasha bara tha. Gufa ke andar
kuchh dur aage badhne par ek chhota sa
 pani ka kund tha jo ki pahari se aate ek chhote jharne se jaise paani ki dhaar se bana tha. Isse bhi ek jharna kaha jaa sakta tha. Lagta tha jaise us  jagah prakriti ne kund banane ke liye gufa ki chhat hi hata di ho par hakikat yeh thi ki lagatar girte paani ke kaaran saalo me gufa ki chhat us jagah se tut gayi thi. 

Tuti chhat ke karan gufa ke andar Surya ka prakash prayapt matra me aa raha tha. Jharne ke kaaran saaf bahta hua pani bhi uplabdh tha. Kund se paani kai prakritik naaliyo se hote hue bahar nikal raha tha. 

Andar Suraj ki rosni aane ke karan gufa ke andar ke sururaati hisse me rosni thi. Thora aur andar jaane par  rosni dheere-dheere kam hone lagi thi. Kuchh kadam aur chalne par  zameen par ek jagah jali hui lakri ki raakh dikhi aur paas hi kuchh rang-birange nisaan bane the.

Aparijita ne unhe gaur se dekha to paya ki raakh me kuchh haddi ke tukre bhi hai. Wo rang-birange nissan darasal kuch tantrik yantra ke the jo mitane ke prayash ke baawjood puri tarah nahi mite the. Pass hi mitti ke tute ghare aur kulhar pare the.

Tute kulhar ke andar jhaakne par Aparijita ko uske andar sukhe khun ki bund nazar aayi. Wahi paas me kuchh kaanch ke churi ke tukre najar aaye. 

Kuchh kadamo ki duri par sarab ki ek khali bottle bhi Aparijita ko pari dikhayi di.

In cheezo ko dekhne se lagta tha ki wo tantrik vastav me tantra-mantra ki kuchh jaankari rakhta hoga yaa sadhna karta hoga. Yeh gufa Jungle ke kaafi andar tha; isliye Chaila ke log yaha nahi aate the. Is wajah se tantrik ko yaha tantra ka dikhaba karne ki koi jaroorat nahi thi. 

Kuchh aur andar chalne ke baad Aparijita ne torch on kar li. Andar jaake gufa itni chauri ho gayi thi ki waha 70-80  log baith kar meeting kar sakte the. Aparijita baariki se ek-ek cheez dekh rahi thi. 

Gufa ko dekhne se pata chalta tha ki waha hal-filhal safai hui hai. Waise to pura gufa saaf tha par uska ek hissa jayada saaf dikh raha tha. Uss hisse ko dekhte hi Aparijita ne samajh liya ki yeh hi wo hissa hai jaha Tantrik aaram karta hoga. Yaha par bhi kanch ki churi ka ek tukra najar aaya.

Sirf churi ke tukre se yeh bata paana muskil tha ki yeh kisi aurat ke kalai se tut kar gire hai ya phir tantrik puja me iska ek saamgri ki tarah istemaal hua hai. 

Aparijita ne jab Tantrik ka jikra suna tha tabhi usne internet aur Sarfarosh ke online library me tantrik kriya se sambandhit jaankariya ikkatha karne lagi thi. Usne yeh jaan liya tha ki aajkal ke tantrik jayadatar left hand path wale hain jo sadhna me panchamakara  ko lekar sadhana karne wale hain. 

Panchamakara ko  Five Ms bhi kahte hain  jo paanch tatvo ka sanyukt naam hai.
    madya (wine)
    māṃsa (meat)
    matsya (fish)
    mudrā (parched grain)
    maithuna (sexual intercourse) 

Maithuna ker swaroop me bhi alag-alag tantra school ke kaaran difference hota hai. Kanhi par kriya ke dauran actual intercourse par paabandi hai par sadhna sadhak aur sadhika nagn hokar pure sayam se karni parti hai aur sayam tutne par sadhna bhagn maani jaati hai. Wahi dusre tantra school ke follower tantrik kriya ke dauran actual intercourse karte hain.  

Wahi kuchh tantra school pratikaratmak rup me iska istemaal karte hain jaha inka arth saatwik hota hain . Is pratikaratmak wale panth me bhi 2 tarah ke sadhak hain. 1 panth me jaha saadhak aur saadhika aapas me sadhna ke alaaba saaririk sambandh banane ko swatantra the to wahi 2sre panth me unke bich mata aur putra ka pavitra sambandh hota hai.

Aparijita ne thori der aur gufa ka andar se muyana kar bahar aa gayi. Wo 2 gupt gufayo ko talasane ka iraada aage ke liye chhor  phir Premnagar ki aur laut rahi thi.
---------------------------------------------------------------------

Sunday 8 September 2019

Team Work

"Tantrik ke baare me kya-kya pata chala hai?" Aparijita ne Ghanshyam se puchha.

"Madam didi, abhi tak to yahi lag raha hai ki wo kisi galat kaam me nahi hai."

"Mai is par abhi viswas nahi kar sakti. Agar us bande ko sirf logo ki madad karna hota to kisi ek gaun me ruk kar bhi kar sakta tha. In gauno ke bich itni bhi duri nahi hai ki log us tak nahi pahunch sake. Maine  aaj tak nahi suna ki kisi ne ghum-ghum kar uske tarah sadhana ki hai.  Upar se hafte me kuchh din wo kisi se bhi nahi milta hai. Mujhe uske inhi dino ke baare me puri report chahiye." 

"Japu tum abhi tak uske paas nahi pahunch paaye. Mujhe uski vajah yeh lagti hai ki Jab tum use apne pyar ki duhai dekar uske saran me aane ki baat karte ho to tumahre vyawhaar me wo nahi jhalkta hoga. Ab tum uske paas 2-3 din nahi jaoge. Tum Ghanshyam ko demonstration doge aur agar Ghanshyam ko lagega ki tum dhang se yeh kaam kar paoge to tumhe waha bheja jayega nahi to yeh kaam kisi aur ko de di jayegi. Aur tum jaante ho ki agar yeh kaam tumse chhin gaya to tum kya khone wale ho." Aparijita ki sabdo me chhupi chetawani Japu ne saaf-saaf mahsoos ki.

"Nahi, Madam didi. Is baar main aapko sikayat ka mauka nahi dunga." Japu ne thora harbarate huye kaha.

"Theek hai. Tum dono ek baat ka dhyan rakhna. Apne dimaag me pahle se yeh baat naa thoos lena ki wo tantrik bilkul pakhandi hai aur use kuchh nahi aata hai. Ho sakata hai ki wo desi jari-butiyo ka accha jaankar ho aur shayad Tantra-Mantra ka gyata bhi. Humlogo ne apne naukri ke dauran bare se bare gyani vayktiyo ko jurm ke raaste me jaata paaya hai; isliye us par shaq rakh kar uski gatividhiyo par nazar rakho; par eisi sthithi naa aane paaye ki logo ki bhaavnaaye bharak jaaye."

Aparijita unhe thori der tak tips deti rahi.  Uske baad usne Japu ko jaane ko kah use Dinesh ko bhejne ko kaha.

Aage chal kar Aparijita ka saamna Kalicharan jaise maha-saatir se hona tha; isliye wo uske baare me puri jaankari chahti thi. Aparijita ne us aandhi-tufaan baale raat ke dusre hi din Sarfarosh ke local members ko yeh jankaari ikkatha karne me laga diaya tha. Iss wajah se Aparijita ke paas kuchh eisi jaankari thi jo Dinesh ke paas bhi nahi thi.

"Dinesh, Maine tumhare gaun aur uske aas-paas ki thori jaankari nikalwaayi hai. Tumhare masterji ke baare me bhi doctors se consult karwaya hai. Doctors ke anusaar  masterji ke theek hone ki kucch aasha hai . Par isme bari rakam kharch hogi. Mujhe aas-paas ke do aur pariwaro ke baare me pata chala hai jinke jawan larke Kalicharan ke bete ke khilaf awaaz uthane ke jurm me uske dwara sataye gaye; aur aaj ke date me wo berojgaar hain."

Dinesh shaant baitha chup-chaap Aparijita ki baaten sun raha tha. Aparijita chand seconds ke liye chup hui. Aparijita ne table par rakhe paperweight ko ek baar latto ki tarah gumaya.

"Tumhare gaun aur aas-paas ke illake me local swari ke liye kuchh bhi sadhan nahi hai. Ghanshyam aur tum; masterji ke wife se milo aur unhe masterji ke illaz ke liye manao. Saath hi unse apne illake me Vikram chalwane ke liye kahna."

Yeh sunate hi Dinesh ki aankhe aascharya se phail gayi.

"Madam. Unke paas itni rakam kaha hai jo wo illaz karwayenge ya phir Vikram chalwayengi." Dinesh ne udas swar me kaha.

"Tum bhi bilkul ghonchu ho!" Aparijita ne haste hue pyar bhare swar me kaha.

Dinesh munh phaar kar Aparijita ki aur dekhne laga.

"Are bhai. Abhi taza-taza Kalicharan naam ke murge ko halal kiya hai; uski rakam kis kaam me aayegi. Tum dono ko bas eisa bahana dhudhna hai ki wo mana naa kar saken. Unke driver ke taur par  jin sataye larko ke baare me bola hai unhe hi rakhna hai. Main tab tak sayad koi raasta nikal lu taaki tumlogo ko masterji ki wife ko samjhane me jayada dikkat nahi ho."

Yeh sunate hi Dinesh ki aankhe khushi se chamkne lagi. Use pura viswaas tha ki Aparijita koi na koi eisa raasta zaroor nikal legi jis se masterji ke wife ko samjhana aasan ho jaaye. Wo iss baat se jayads khush tha ki 2 aur pariwaro ka bhala bhi hone wala tha. Tabhi Aparijita ke bolne se uska dhyan tuta.
"Wo  larke imaandaar hai par Kalicharan ke kauf ke kaaran unhe kaam nahi mil raha hai. Hamare paas itni rakam hai ki 4 auto aasani se kharide jaa sakte hai aur unke maintenance ke liye bhi rakam hai. Iss tarah se 3 pariwaro ka bhala ho jayega. Maine sahar ke bare hospital me baat kar li hai; tum log masterji ko lekar meri friend Arpita ke bungalow  par jaana baaki wo sab sambhal legi. "

Aparijita Ghanshyam aur Dinesh ko kuchh der tak samjhati rahi . Dono Aparijita ke cabin se lautate waqt masterji ke banaye gaye Aparijita ke plan se bahut hi khush the. Unke man me Aparijita ke liye aur bhi izzat badh gayi thi.

Dopahar me Javed ne phone kar bataya ki wo apne apne ek bimaar relative ko dekhne sahar jaana par raha hai; agar Aparijita chaahe to kisi ke haanto report bhej dega; yaa phir kal kisi waqt wo khud hi le aayega.

Aparijita ne Javed ko dusre din khud aane ko kaha.  

---------------------------------------

Saam tak tantrik aur Kalicharan ke baare me pata karne gaye staff bhi report leke wapas aa gaye. Aparijita ne sabko Ghanshyam ko report dene ke liye bhej diya. Aparijita ne dheere-dheere Ghanshyam ko jayadtar kaam deligate karna suru kar diya tha. Wo chahti thi us tak kaam kam pahunche taaki wo free hokar mission ka kaam kar sake.

Raat me Aparijita ke paas Arpita ka phone aaya.

“Apu, Jagga ko humne trace kar liya hai. Wo abhi Allahabad me hai. 2-3 din pahle ek accident me wo ghayal hua tha. Humne uske ilaaz ke dauran uske mobile ko humne bug laga ke usi tarah ke mobile se replace kar diya hai.  Hum Jagga se hone wali har baat ki recording kar rahe hain. Tumne jo diary di thi uske baare me issi ke jariye kuch baat pata chali hai.”

Arpita ke diary ke baare me jikar karne se Aparijita ke dimaag me us diary ka aksh ubhar aaya. Us diary ko eise likha gaya tha maano koi naya likhna sikhne wale ne use likha hai. Diary ko Hindi, English aur Numbers ke combination se tedhe-medhe dhang se likha gaya tha. Diary ko padhne par sidhe taur par koi matlab bhi nahi nikalta tha. Aur sabse bari khubi yeh thi ki pattern matching ka bhi koi natija nahi nikalta tha kyuki upari taur par unka koi pattern hi nahi tha. Agar wo diary uss tarah chippa kar nahi rakhi gayi hoti to sayad Aparijita use kisi bachhe ki karistani samajh ke nazarandaaz kar deti. 

“Haan yaar, wo diary to ek paheli thi; usme likhi gayi baato ka to koi fix pattern hi nahi tha." Aparijita utsuk swar me puchh rahi thi. - "Kya usme likhi gayi baato ka kuchh pata chala?”

“Tumne sahi pakra tha ki us writing me koi fix pattern nahi hai. Sabse maje ki baat to ye hai ki khud Jagga ko bhi nahi pata ki usme kya nirdesh diye gaye hai. Jagga ko wo diary encounter se ek din pahle hi diya gaya tha. Jagga aur uske boss ke baatchit se pata chala hai ki diary ke har page par likhe gaye har paragraph ka alag-alag pattern hai aur bich-bich me kuch special symbol use kiye gaye hain. Us diary ki kunji matlab usme use huye pattern ke baare me jaankari Jagga ko kaam karne ke ek din pahle di jayegi. Hum uspar 24 ghante nazar rakh rahe hain. Waise tumhare liye ek khuskhabri bhi hai!”

Arpita thore der khamosh rahi par Aparijita ne janane ki tarap nahi dikhayi to Arpita ke chehre par muskan chha gayi.

“Chal mai bata hi deti hu. Jagga abhi kuchh mahine tumhare ilaaake me nahi aayega. Uske boss ne use Premnagar ke illaake me aane se mana kar rakha hai. Jagga ko usne Allahabad aur Bihar ke kuchh district me troubleshoot ka kaam diya hai. Haan, ek baat aur. Us diary me kuchh hatiyaro ki delivery detail aur kuchh safedposh logo ke naam bhi hain. Jagga ke paas iss diary ki ek copy hai aur usne boss ko yeh nahi bataya hai ki asli diary uske haath se nikal chuki hai. Jagga ne apne boss ko bataya hai ki usne diary ki nakal bana ke apne paas apne adde par rakhi hai; aur asli diary encounter ke dauran paasha palate dekh nasht kar di thi. Uska boss nakal ki baat sunte hi aag-babula ho gaya tha. Usne aage se nakal banane se parhez karne ko shakht sabdo me kaha hai.”

“Iska matlab hai ki jab tak Jagga ko codeword nahi mil jaata hum us par haanth nahi daal sakte hai." Aprijita ne sochte hue jaise khud se kaha.  Aprijita ka tej dimaag saari parishthio par teji se nazar daura raha tha. 

 "Par call detail ke jariye uske boss tak to pahunch sakte the. Ek baar boss haanth lag jaye to saara mamla sulajh jayega. Boss tak pahunchne me kya problem hai.”  Aparijita ne puchha.

“Tum pahle Jagga ke boss ke kaam karne ke baare me suno jo hume Jagga aur uske ek naye saathi ke  baat-chit se pata chali hai. Apraadhiyo ko Jagga ka boss jyadatar contract ke roop me kaam deta hai; aur use sirf apne kaam se matlab hota hai. Wo apne kaam ke liye khass apraadhio ko chun ek rakam offer karta hai. 75% advance me deta hai aur 25% kaam hone par. Agar kisi vajah se kaam nahi hua to wo aankh band karke bande ko dosi na thahra situation ko samjhta hai; phir agar use lagta hai ki situation ke kaaran kaam hona possible nahi tha to wo bande ko maaf kar deta hai nahi to saaf. Jagga ne pichhle 5 saalo me sirf 10 baar uska kaam kiya hai. Jagga ko bharosa hai ki iss baar ke kaam ke baad uska boss sayad uske ganag ko apne gang me mila le. Aajtak kisi bhi contractor ne boss ka chehra nahi dekha hai. Call trace ki mehnat bhi bekar gayi kyuki har baar wo kisi na kisi ka number hack karke baat karta hai.  Kabhi wo kisi hospital ka number hota hai to kabhi kisi school ka. Ek do baar to uska number ek police thana aur museum ka bhi nikala hai. ” 

“Sayad uski awaaz ke analysis ko kuch pata chale?” Aparijita ne suggestion diya.

“Uska koi khas fayda nahi hai kyuki awaz instrument se change karke aati hai. Phir bhi hum uske bolne ke andaaz ko known criminals se match kar rahe hain. Jagga uske saath  5 saal se jura hai. Dusre apradhi bhi uss giroh se jure hain par iss giroh ke baare me kisi bhi security agency ko koi bhi khabar nahi thi. Iski umeed kam hi hai ki wo koi known criminal hoga. Hum Jagga par nazar rakh rahe hai aur uske Premnagar move karne se pahle tumhe khabar mil jayegi. ”

“Aru, maine tumhe Jagga ke Sonbhadra ke contacts check karwane ko kaha tha; us se kuchh pata chala?"  Aparijita ne Arpita ko short name se pukara jo sirf Aparijita aur Arpita ke priwaar ke log use karte the.

“Sonbhadra me Jagga ki 3-4 aparadhi kism ke logo se acchi patati thi; par wo sabhi kisi na kisi jurm me abhi jail ke andar hain. Unme se kisi ki bhi rihayi 6 mahine se pahle nahi hone wali hai. Iske aalawa ek Sakuntala naam ki vidwa ke yaha Jagga ko aate jaate dekha gaya hai. Log dabi juban se Sakuntala ke galat kaamo me saamil hone ki baat karte hain. Abhi Sakuntala par jyada chhanbin nahi hui hai. ”

“Theek hai. Tum Jagga aur uske boss par nazar rakhwana aur Sonbhandra ke safedposh muzrimo ka ek list banana suru karwa dena. Sayad  hume usi list se Jagga ke boss ya us se jure logo ka pata chal jaye. ”

“OK. Haan;  ek jaroori baat to rah hi gayi. Jagga Premnagar apne boss ke niresh par rah raha tha; isliye iss jagah ka uske boss ke planning me aham role hoga.  Apu parso dopahar tak tum yaha aa jana. Local chief parso subah aa jayenge. Usi saam 4 baje hamari unse meeting hogi.”

-------------------------------------

Raat ke dinner ke baad Aparijita aagle din ke routine ke baare soch rahi thi. Arpita dawara di gayi khabar ki Jagga yaha apne boss ke kahne se rah raha tha ; Aparijita ko chinta me daal diya tha.

Pahle Aparijita ko viswaas tha ki Ramdayalji ke larke ke apharan ke liye Jagga ka gang Premnagar aaya tha par ab lagne laga tha ki Ramdayal ke larke ka apharan aasan tarike se rupaiye paane ke liye  kiya gaya tha. Abhi sabse jaroori tha ki Jagga ke Premnagar lautne se pahle  teji se Premnagar ko theek se dekh-bhal liya jaaye. 

Aparijita thane ke saare staff ko Premnagar ko khgalne par laga unlogo ke niji jaanpahchan ke daayre me uplabdh jaankari use karna chahti thi. Kalicharan ke bete ke mamale ke kaaran Ghanshyam aur Dinesh ko kucch din Premnagar se bahar rahna parne wala tha; ya to phir Dinesh ke maasterji ke mamle ko kuchh samay ke liye thandhe baste me daalna parta. Par Aparijita Dinesh ke masterji ke madad ko aur aage nahi dhakelna chahti thi. Aparijita ne apne sources  ka use karke kaam ko kam din me karwane ka nischay liya. Agle din ka program bana Aparijita neend ke aagos me chali gayi.
--------------------------------