Saturday 23 November 2019

Prem Ka Mandir

Mandir ke aas-paas ka batavaran bahut hi shaant tha. Mandir ke paas pahunchte hi Aparijita ne bahut hi shaanti mahsoos ki. Yeh ek chhhota sa khubsurat mandir tha. Mandir ke gate se andar aate hi Aparijita ne jo dekha; us se uski aankhe khuli ki khuli rah gayi.

Mandir ke boundry ke andar ek jagah 15x10 ka sirf 1 taraf se band ek kamra sa dikhayi diya. Yeh kamra 4 pillars par khara tha. In pillers ko  dudh jaise chamakdar aur saaf sangmarmar se dhaka gaya tha.  Har piller par Prem aur Visha-bandhutat ki baaten likhi gayi thi. Kamre ke chhat se niche ek sangmarmar se dhaki patti par "Samadhi Mandir" likha tha.

Samadhi mandir itni khubsurati ke saath banaya gaya tha ki wo koi phullo ka guldasta lag raha tha. 

Aparijita ke pair khud ba khud "Samadhi Mandir" ki taraf badh chale. 

Purab (East) ke deewal ke aadhe hisse me cemented jaali lagi thi; jis se chhan kar rosni andar aa rahi thi.  Purab  ke deewal ke saath hi abdar kuch lohe ke self rakhe the. In selfs    me books rakhi dikh rahi thi. 

Waha jis tarah ki books rakhi hui thi unhe dekh kar kisi ki aankhe aascharya se khuli rah jaati. Waha alag-alag rake me 3 pramukh dharmo ki pustake rakhe dikh rahe the. 

Samadhi mandir 2 chhote-chhote aayatakar(rectangular) aakriti bane the aur uske saamne 2 pradeep jal rahe the. Dono pradeepo ke bich me ek agarbatti ke stand me ek bahut hi shaanti pradan karne wali manmohak  sugandh wali agarbaati jal rahi thi. 

Iss mandir ke andar 2 aasan par ek purush aur ek stri baithe the. wo apne saamne dharmik kitabo ko rakh kar padhne waale lakri ke stand par rakhe pavitra granth par haanth rakhe hue ek dusre se kuchh kah rahe the. 

Aparijita ne dur se hi iss purush ko pahchaan liya tha. Yeh Javed tha aur aankhe band kiye baitha tha. Javed ke saath baithi stri bhi aankhe band kiye uska baaya haanth thaame baithi thi. Dono ke band autho ki muskaan ek-dusre ke prati laagav bata rahi thi.

Aparijita unhe wahi chhor kar mukhya mandir ki aur badh gayi.

Mardin me puja-archna kar Aparijita phir samadhi mandir ki or badh chali.  

Javed theek usi waqt Samadhi-mandir se nikal kar bahar aaya. Javed apne saamne achanak Aparijita ko dekh kar chaunk gaya. 
"Good-evening madam! Aakhir aapko bhi "Prem ke mandir" ne aakarshit kar hi liya". Javed ne muskurate huye kaha.

"Inse milye yeh meri shareek - e - hayat  Salma begum hain." Javed ne apni patni se Aparijita ka parichay karate hue kaha.

"Salma, yeh wahi bahadur madam hai jinhone Ramdayal kaka ke larke ko sahi-salamat churraya tha aur saath me badmaaso ko bhi maar giraya tha." Javed ne Salma ko Aparijita ka parichay dete hue kaha. 

"Are, Yeh to aapki bahut taarife karte hain. Aapse milne ki bahut chaahat thi. Maine inse kai baar aapse milwaane ko kaha bhi tha!" Salma ne Aparijita ka haanth thaamte hue bare pyar se kaha. 

Salma ke chehre par baccho jaisi bholi khushi thi. Uska chehra khushi se damak raha tha. 

"Mera to ji chaah raha hai ki main aapko gale laga loon." Salma ne Aparijita se muskurate hue kaha.

"Arre !! To roka kisne hai." 

Aparijita ne muskura kar kaha aur khud  aage badh kar Salma se gale lag gayi.

"Javed ko main bhai kahti hoon; isliye aapko bhabhi kahungi." Aparijita ne Salma se gale milte hue kaha.

"Mujhe khushi hogi." Salma ki kushi se bhari khil-khilati awaaz aayi.

"Ek baat batao, bhabhi! Javed bhai se meri taarife sun kar aapko kuchh jalan ya shaq nahi hua ki Javed bhai sayad mere taraf jhukne lage hain!" Aparijita ne Salma ko chherte hue kaha. 

"Jaha bharose ki diwaar majboot ho waha iss tarah ke vichaar dimag me nahi aate.  Mujhe khud se jayda in par bharosa hai." Salma ne pyar bhari nazaro se Javed ki aur dekhte hue kaha.

Kuchh palo tak Javed aur Salma ek dusro ko dekhte hi rah gaye. Lag raha tha jaise unhe pata hi nahi hai ki agal-bagal kya chal raha hai.  Jab chand minute eise hi gujar gaye to Aparijita ne thora khaash kar unka dhyan apne aur kiya.

"Javed bhai, aap aur mandir me! " Aparijita ne Javed se puchh hi dala.

"Madam, yeh jo aap sthan dekh rahi hai; yeh hamari Rani maa aur Raja saheb ki samadhi hai. Yaha par unke chita-bhasam ka luchh ans rakha gaya hai." Javed Aparijita ko Samadhi-mandir ki baare me  bata raha tha - "Par yaha undono ki puja nahi hoti; balki har dharm ke vivahit jore apne dhamrik pavitra  granth  par haath rakh kar apne banane wale se dua karte hai ki hamare Raja Shaheb aur Rani maa jaise marte dam tak ek saath jiye; waise hi nemat hume bakshe!  Yaha par Premnagar thane me aane wale 5 gaun ke aalaba bhi dur ke gaun se vivahit jore aate hain." 

Tabhi ek aur vivahit jora waha aaya. Unko privacy dene ke liye teeno waha se hat kar thore dur khare ho kar baat karne lage.

"Madam, aapko sayad pata nahi hoga; par gaun ka naam Premnagar inlogo ke prem se hi para hai. " Javed ne Aparijita ko aage bataya.

"Javed Bhai, aapne to meri utsukta badha di hai." Aparijita ne Javed se iske pichhe ki kahani jaanani chahi -  "aap mujhe unke baare me thora aur  bataye." 

"Madam, main us waqt chhota tha jab Raja saheb aur Rani maa yaha ghumne aaye the. Unhe yaha ka mahaul itna accha laga ki unhone iss jagah par ek khubsurat si chhoti haveli banwaayi. Uske baad se wo har saal kuchh mahine yaha bitate the."  Javed ne ek jagah ki aur isshara karte hue kaha.

"Unhone yaha ke logo ke bhalai ke liye hospital aur school banwaaye. Unke prayas ke karan hi Premanagar me pakki sarak ban paayi thi. Iske aalaba bhi unhone bahut kaam kiye.  Raja sahab Sonbhadra ke purane saahi vans ke the; phir bhi unke andar jara bhi aham nahi tha. Hum sabko lagta tha ki wo hamare bich ke hi aadmi hai."

Javed jaise-jaise batata jata tha waise-waise uska chehre par gambhirta chhati jaa rahi thi.

"Ek baar gaun me koi rog phail gaya tha; tab Rani maa ne hamari bahut madad ki thi. Unhone sahar se mahngi fees dekar docotors ko yaha bulwaya tha aur khud jaa kar ek-ek ghar me sabka khoj-khabar leti rahi thi. Tab se hum chhoto ke saath-saath gaun ke bujurg bhi unki mamtamayi nature ke karan unko Rani maa kahne lage. " 

Javed ne ek baar ghum kar samadhi ki aur shardha se apne haath jore.

"Holi me unke taraf se saara gaun unke yaha nimantrit hota tha.  Holi ke dusre din jaha aajkal panchayat hoti hai; waha saam se manoranjan ka program hota tha. Rani maa aur  Raja sahaeb dono ko gaane ka sauk tha. Wo naa sirf accha sunte the balki accha gaate bhi the. Mujhe Holi ke dino me unka gaaya gaana aaj bhi yaad hai."

Javed yaado me khoye hue kah raha tha. 

"Us gaane ka ek-ek bol jaise unki amar prem kahani kahte hai. Main aapko wo gaa ke sunata hoon. "
Javed wahi mandir ke bahar ek neem ke per ke niche bane cemented bench par baith kar gaana sunane laga.  Salma bhi uske saath baithi uske haath thaame uske saath gaa rahi thi.

 tumhe main agar apna saathi bana lu
bata do mera saath doge kaha tak
 Lyricist: S H Bihari
Singer(s): Asha Bhosle, Mohammed Rafi
Youtube link

Gaana khatam ho gaya par sab statue ki tarah chup-chaap baithe rahe. Aakhir Aparijita ko hi chuupi torni pari.

"Javed bhai, aage kya hua?"

"Madam, Jis saal me 18 saal ka hua tha, usi Holi ke  dusre din ki subah hamare dil me naa bharne wala ghab de gayi. Us din dur ke gaun me circus aaya hua tha.  Raja saheb  ne apne yaha ke naukro ko chhuti dekar circus dekhne bheja tha. Kai naukro ne mana bhi karna chaha tha par "kuchh hi ghanto ki baat hai, circus yaha nahi aate" kah kar Raja saheb ne un sabko dher saara rupaiye dekar circus dekhne bhej diya tha."

Javed ka swar rudhne laga tha.

"Naukro ke jaane ke ghante bhar baad hi ek saath lagatar kai dhamke hue. Saara gaun un dhamko ki awaaz se kaanp gaya. Thore der me hi hume pata chala ki dhamaka raja saheb ki haweli me hua hai."

Javed ne apne aakho ke kore par chhalak aaye aanso ko puchha.

"Jab hum yaha pahunche; tab tak yaha sabkuchh samapat ho chuka tha. Wo farishtey jo hum besaharo ke liye sahara ban ke aaye the; ab humse dur jaa chuke the. Puri haweli khandhar me badal chuki thi. Baad me pata chala ki ek dusre saahi vans ke gundo me puri haweli me dynamite laga diya tha."

Javed ne apne rudhe gale ko saaf kiya. 

"Hum us khandhar bane haweli me apne Rani maa aur Raja saheb ko dhundh rahe the. Ek chhat ke malbe ke nicche se wo mile. Unhone jindgi ke aakhri lamhe me bhi ek-dusre ka saath nahi chhora tha. Wo ek dusre ko gale lagaye baithe the aur unke upar puri chhat giri hui thi. Wo ek-dusre ke haanth thaame ek dunia ko alvida kah chuke the."

Javed ab apna rona nahi rok paya. Uske aankho se moti tapakne lage.

"Us din gaun me kisi ghar me chulha nahi jala. Sahar se bare Raja saheb aaye aur unke sav ko Varanasi le gaye. Gaun se mere abbu aur kuchh log unke saath gaye. Antin sanskar ke baad mere abbu jo us waqt yaha ke mukhiya the, ne bare Raja saheb se kucch ans chita-basham ka dene ka anurodh karte huye bataya ki gaun wale apne farishto ki yaad me ek mandir aur unki samdhi banwana chahte hai.  Bare Raja saheb ne naa sirf bhasm diya balki iss Radha-Krishan mandir aur samadhi mandir bhi banwaya." 

Javed kaafi der tak chup baitha  raha.

"Javed bhai, par yaha to mujhe koi haweli ka khandhar dikhayi to nahi de raha hai." Aparijita ne us jagah ki aur isshara karte kue kaha;  jaha Javed ne haweli ka jikra kiya tha. Waha iss waqt ek bara sa khubsurat phulo ka bagicha tha.

"Madam, gaun ke logo ne mil kar yeh tai kiya tha ki gaun ka naam Raja saheb aur Rani maa ke amar prem ko yaad karte hue badal kar Premnagar kar diya jaaye. Iske liye abbu ne kagaji karyawahi ki aur bare Raja shaheb se mil kar isme madad maangi.  Officialy gaun ka naam Premnagar ho jaane par bare raja saheb yaha hume yeh khuskhabri dene aaye the. Usi din aabu ne unhe bataya tha ki haweli ke khandhar me dusre gaun ke kuchh badmaas kabhi-kabhi juye khelte hain aur dusre galat kaam karte hain. Bare raja shaheb ne saara malwa waha se hatwa kar yeh baagicha bana kar mandir ko daan kar diya.  Yaha ke phulo se hi mandir ki puja hoti hai aur gaun me kisi ke yaha shaadi-vivah, antim sanskar yaa samohik puja hone par bhi yaha se hi phool jata hai."

Aparijita ne iss amar prem-kahani ko mantramugdh hokar suna tha. Use ek pal ko laga jaise wo premi jori ek-dusre ke haath thaame us baagiche me ghumte hue gaana gaa rahe hai.

"Madam, samadhi mandir banne ke baad se hi vivahit jore yaha aa kar dua maangte hai. Humare gaun me rasm hai ki saadi ke baad sasuraal aate hi saas, bahu aur bete ko lekar yaha aati hai aur apne dhram ke granth par haath rakh kar Raja shaheb aur rani maa jaisa pyar ki dua maangte hai.  Salma aur main bich-bich me yaha aate hai aur hum apne banane wale se dua karte hai ki hume ek-dusre ke bagair naa jina pare. Hum iske sath hi apne farishto ki aatma ki shaanti ke liye bhi dua karte hain. "

Javed fir se chhup ho gaya tha.  Mahaul ko halka karne ke liye Aparijita ne Salma ko toka. 

"Aur aap bhabhi yaha kya dua karne aati hain ?"

"Main dua karti hoon ki mujhe inse ek pal kam jindgi mile taaki mujhe inke bagair ek pal  bhi naa rahna pare!"  Salma ne Javed ki aur dekhte hue kaha. 

Thori der tak baat karne ke baad Salma ne Aparijita ko apne ghar aane ke liye mana liya.

Aparijita  Javed aur Salma ko ek-dusre ke haath thame jaate dekhte rahi. 

Javed aur Salma se baat karte hue kaafi saam ho chuka tha. Aparijita apne quarter ki aur laut chali. Jab wo mandir ke baagiche ke paas se gujar rahi thi tab use laga jaise ek khubsurat jora baag me phulo bich gaate hue ghum raha hai. Aparijita ko iss bar yeh uski kalpna nahi lagi . Mandir se lautate waqt uske kaano me madhur geet ki awaaz aa rahi thi.  

 tumhe main agar apna saathi bana lu
bata do mera saath doge kaha tak
zameen se jaha aasmaan mil raha hai
na chhod enge daaman tumhara vaha tak

Saturday 16 November 2019

Aagnivesh aur research center


Report ke anusaar tantrik ka ek bara ashram Sonbhadra me tha jaha wo bahar ke logo se bahoot kam milta-julta tha. Yaha tak ki jo log donation dene ke naam par bhi us se milna chahte the; wo us se bhi nahi milta tha. Par yaha Premnagar me koi bhi us se mil sakta tha. Tantrik ke vyabhaar me iss antar ka koi na koi kaaran to zaroor hona chahiye tha. 

Tantrik ke khilaf Sonbhadra ke police station me kisi ne aaj tak  report nahi likhayi thi. Tantrik ke baare me Sunday aur aaj bhi ek agent ne thora aur gahrai me jaa kar chhanbin ki thi. Usne tantrik ke ek bhakt se bhi baatchit kar thore der pahle hi Aparijita ko apni report phone par di thi. 

Agent ko bhakt se pata chala tha,  tantrik ko log "Aagnivesh" baba ke naam se jaante hai. Wo bhakt kisi rohani takat se pirit apne beti ke illaz ke liye uske paas gaya tha. Uske jaane par sabse pahle us se medical report dikhane ke liye kaha gaya tha. Bagair doctor se illaz karwaaye aane waale logo ke rohani illaz ki manahi thi. Agar doctor se marj naa  sambhle tabhi yaha kisi ko dekha jaata tha. Agar pirit vyakti ko koi roohani takat paresaan nahi kar rahi hoti thi to yeh bhi jaanch karke bata diya jata tha.

Bhakt ne kuchh aur bhi tantrik ke niyam-kayde bataye the,  jaise wo kisi bhi aurat ya larki se akele me nahi milta hai aur naa hi uske kisi sisya ko iski izzazat thi. Dusra uske milne ke baad kisi bhi tarah ka daan dena pure illaz ke dauran mana tha. Jaydatar maamle uske sisya hi dekhte hai aur agar unse naa sambhle tabhi tantrik khud saamne aata tha.  

Agent ne Aparijita se vada kiya tha ki wo 2-3 din me aashram se jure logo se mil kar aur bhi detail me report dega. 

--------------------------------------------------------------------------------------------
Raat 10 baje. 

Aparijita dinner bagaira se nipat ke aaj hui recording dekh rahi thi. Is recording me Japu  bhi tha. 

Japu ne apna role baakhubi nibhaya tha par tantrik ne use tantra-mantra ki jagah khud aage badh kar Anupama ki maa se baat karne ko kah diya tha. Usne Japu ko tantra-mantra ka chakkar chhore aur kisi samjahdari se baat karne me maahir shaksh ke dwara baat aage badhane ka salah diya tha. 

Japu ne iss par bhi jor diya tab tantrik ne use jhirak diya tha. Tantrik ne Japu ko kisi aur baba ko dhoondh ke liye kaha jo rupaiyo ke liye preamio ko milane wala kaam karta ho. 

Video recording se tantrik ke karyapranali samjhne me Aparijita ko kafi madad mili. 

Aparijita ne abhi  tak ka tantrik  Aagnivesh ka kriya-kalapo ka study kar uska routine note kiya.

Aagnivesh  takriban 8 baje subah hi aa gaya tha.  Aane ke thori der baad wo mandir ke paas bane kuye se paani lekar nahane ke baad 1 ghante tak koi mantra-jaap karta raha tha .

Takriban 11.30 baje Aagnivesh madir ke saath bane kamre me sone chala gaya. 3.30 baje Aagnivesh uth kar munh-haath dho kar mandir me aake baith gaya tha. 

4.00 baje se log Aagnivesh  se milne aane lage. Aagnivesh ke saamne ek chhoti si dari bichhi hui  thi.
Shera kisi ko bhi tantrik ke paas nahi jaane de raha tha. Wo pahle pucch-taachh karta aur phir kisi ko aage jaane de raha tha. Aagnivesh mandir ke ek kone me uttar (North) ki aur munh karke baitha tha.
Shera ek baar me ek se jayada logo ko nahi jaane deta tha. Aagnivesh ne Shera ko iss tarah logo ko bhejne li liye kaha tha jis se koi Aagnivesh se baat kar rahe banda ya bandi ki baat naa sun sake.  

Aparijita tantrik dwara di jaa rahi salah ko gor se sun rahi thi. Aagnivesh ya to kisi deshi jari-buti  ke baare me batata ya phir unhe Iswar se karm karte hue madat ke liye kahne ko kahta. Jo log uske paas kisi chamatkaar ki umeed liye hue aate unhe wo wahi jhirak raha tha. 

Aagnivesh 6.30 baje tak logo ke saath baat karta raha. Logo ki baatchit se Premanagar thane ke 5 gaun ke aalaba bhi dur-dur se aaye logo ke aane ki baat pata chali.  In sabko dekhne ke baad to koi bhi  Aagnivesh ko sandeh se bari kar deta par AK 47 ka uske kothri me hone ki nissani ne Aparijita ko Aagnivesh ko clean chit dene se rok raha tha. 

Aparijita ne jab recording dekhna suru kiya tha tab live-footage me Aagnivesh kamre me baitha rechargeable  light ki rosni me koi bahut hi purana granth padh raha tha; jabki Shera khana banane me vyast tha. 

Aparijita ne recorded footage dekhne ke baad live footage par dhyan lagaya. Aagnivesh khana khane ke baad Shera ke saath mandir se kanhi dur jaa raha tha.  Thore der me hi wo log camera ke zad se bahar ho gaye.  Javed aur Japu ke report ke anussar Aagnivesh  aaj mandir me rukne waala tha. 

Takriban 20 minute ke baad gufa me lage yantro ne signal dena suru kar diya. Kuchh hi der me  Aagnivesh aur Shera gufa ke andar dikhne lage. 

Gufa me chhipaye yantro ne waha ho rahi baatchit ko transmit karna suru kar diya tha. 

Aparijita ko unki baatchit se pata chala ki  Aagnivesh ne aaj aachanak apna program change kar aaj hi yaha aane ka faisala kiya tha. Isliye usne saam ko hi raat ke tantrik-pujan ke liye ssari saamagri manga li thi.

Aagnivesh Shera ko iss week Phulpur ke  khandhar me antim saadhna karne ke baare me bata raha tha.  Aagnivesh iske baad Phulpur nahi jaane waala tha. 

Aagnivesh ke plan ke mutabik agle hafte se  Aagnivesh sirf iss ilaake me Mangalwaar (Tuesday) ko aane wala tha aur Raviwaar (Sunday) subah ko chale jaane wala tha. Isme bhi sirf  Mangalwaar ko wo logo se milne wala tha. Mangalwaar ki hi raat gufa me sadhana karne aake yehi se wo Raviwaar ko sahar laut jaane wala tha.

Shera ko Gufa me rahne ki anumati abhi bhi nahi di gayi thi. Shera ko Aagnivesh    Mangalwaar ki dopahar me hi saaf-safai kar  dene ka nirdesh diya taaki use aaj ki tarah  raat me safai na karna pare.
Raat 11.30 baje Shera gufa ko saaf karke Aagnivesh ke liye sone ke liye puyaal ka bichhona tayiar karke chala gaya. 

Aparijita ne pahle socha tha ki wo kal yaani Mangalwaar ki subah gufa me  gadgets ko lagayegi kyuki mandir me gadgets lagane me kaafi der ho gayi thi . Phir usne apna irrada badal kar ek saath hi unhe laga diya tha. Aaj uska fayda mila.

Chuki sabkuchh record ho raha tha isliye Aparijita ne raat jaag kar bitaane se accha so jana samjha.  Japu ko bhi usne iss duty se rihai dene ka nischay kar liya. Recording me saaf dikh raha tha ki Japu ne apne taraf se puri kosis ki thi. Waise bhi ab gadgets ke karan kisi aur ki zaroorat nahi thi.

 Aparijita ka irrada phir subah 5 baje uth kar drone ke saath thora inspection karne ka tha.    

==========                      ===========================           =============

Mangalwaar subah 

Aparijita ne ek baar phir micro-drone ko suryoday ke samay chamakne wali rosni waale illake me bhej rakha tha.

Aaj drone ka daayra usne pichhle reading se mile result ke anussar kuchh kilometer ke radius me hi rakha tha. 

Par aaj bhi us rosni ka koi shrot ka pata nahi chala . Par iss kabayat se ab jaanch ka dayra thora aur chhota ho gaya.

Aparijita ne drone ka rukh us gufa ki aur kar diya jaha Aagnivesh ruka hua tha.  

Aparijita ne drone ko 2 pero ke bicch iss tarah sthir kiya ki wo aasani se nahi dekha jaa sakta tha. Agar dikh bhi jaata to wo  apne design ke kaaran koi use bara panchi hi samjhta.

Thori der me hi Shera gufa ki aur aata dikh para.  Usne gufa ke bahar se awaaz lagayi.  Bahar aaye Aagnivesh  ke  chehre par raat bhar ka jaagran saaf dikh raha tha. 

Aagnivesh thori der baad ek or chal para.

Drone lagatar Aagnivesh  par nazar rakhe hue tha. 

Aagnivesh sauch aur daaton ke baad Jharne me nahane ke liye chala gaya. 

Aparijita ne Aagnivesh ko jab nitya-karma ke liye baithte dekha to usne drone ko un 2 gupt gufao ki or mor diya jinka gupt map ke dwara jikra kiya gaya tha.

Jald hi Aparijita ne us jagah ko dhoondh nikala. Gufa me bana map bilkul perfect tha. Map ke saanketic (hidden/tricky) nissano ko Aparijita solve karke perfect map taiyar kar saath laayi thi. 

Dono gufao tak anjaan bande ka pahunchana lagbhag naamumkin tha. Ek to wo khai jaise jagah  me bane the jaha pahunchana chaaro taraf sidhi chikni chaantano ke  wajah se lagbhag naamukin tha.  Aur dusra wo upar se dikhte bhi nahi the.  Yaha tak yaa to kisi rassi ke sahare latak kar pahuncha jaa sakta tha yaa phir kai kilometer jungle me  ghum kar niche se waha pahuncha jaa sakta tha. 

Itni massakat ke baad bhi aam aadmi un gaufao ke chuppaye hisse tak nahi pahunch sakta tha. Gufa 10 feet jaane ke baad hi ek chattani dewaar ke saamne khatam ho jaati thi.   Saanketic bhasha me diye gaye hint ko Aparijita ne waha talasha to use wo kunji bhi mil gaya jo gufa ke andar chhupe dunia ko kholta tha. 

Chattan par kuchh aakriti bani thi.

Zald hi Aparijita ne wo point dhundh nikala jise dhakelne par ek darwaaja khulta tha. 

Pata nahi kitne saalo se kise aadamjaad ke pair waha naa pare ho.  Ho sakta tha ki lambe samay se naa istemaal hone ke kaaran us hisse ko dhakelna akele Aparijita ke dwara possible nahi ho pata. Upar se kanhi bhi koi eisa hint nahi tha jis se yeh pata chalta ki gufa ke andar kya hai.  

Aparijita ne kisi partner ke saath gufa ke andar jane ka nischay kiya. 

Drone ka rukh ek baar fir Aagnivesh wali gufa ki or tha. 

Aagnivesh gufa ke bahar ek patthar par baitha bhojan kar raha tha. Bhojan ke baad Aagnivesh gufa me chala gaya jabki Shera mandir ki aur laut para.

Aparijita ne gufa ke andar lage  gadgets ke live feed ko dekha to paya ki Aagnivesh gufa me lagaye gaye bichhaban par let gaya hai . Uske paas me hi uska mobile phone rakha hua tha. 

Thori dur par raat me ki gayi saadhna ke dauraan jalayi gayi hawan samagri samet kar ek bare plastic ke bag me rakhi hui thi. 

Yaha aur kuchh dekhne ke liye nahi tha. Aparijita ne botanists dwara ki jaa rahi experiment ka illaka dekhne ke drone ka rukh mor diya. Usne apne paas uplabd papers se us jagah ka location ka ek andaaza lagaya tha.   

 Aparijita ne experiment ki jagah ke baare me bilkul sahi andaza lagya tha.

Zald hi drone experiment ki jagah par pahunch gaya. Drone ke live footage me ek bara sa illaka kaante daar taaro se ghira dikhyai para. Saaf pata chal raha tha ki kaante-daar taaro ko jungli jaanwaaro ko rokne ke liye lagaya gaya tha. 

Iss ghire illake me andar aane ke liye sirf ek hi gate tha; jis par ek bara sa  taala latka hua tha. 

Drone  dheeme rafttar me us illake ka chakkar laga raha tha.  

Ek jagah Borewell ke dwara paani ka bandobast dikhayi diya. Andar kai jagah baans ke khambo, puyal aur miiti ki khappr se chhoti-chhoti jhopariya bani thi. Wahi 2-3 chhote-chhote eento ki khotharia bhi bani thi. Par waha kisi ke hone ki koi nissani nahi dikh rahi thi. Pure illake me tarah-tarah ke paudhe lage hue the jinme se kuchh ko Aparijita ne aaj tak nahi dekha tha. 

Is ghire illake ke paas hi 3 quarters bhi bane hue the. Waha abhi sannata pasra hua tha. Aparijita ne drone ko un quarters ki mor diya. 

Drone quarters ke aas-paas udh raha tha.  

1 quarter ke bahar office likha hua tha. Saath me hi ek lakri ke signboard par research project ka naam bhi likha tha. Is se saaf pata chal raha tha ki is quarter ko hi office ki tarah istemaal kiya jaa raha tha. 

Office ke chaaro aur bhi sannata pasra tha. Office ke aas-paas ki jagah ko  dekh kar hi lagta tha ki kai dino se yaha koi nahi aaya hai.

Baaki dono quarters ke darwaajo par bhi taala latka tha. Aparijita ne drone ko un quarters ke chhato se gujaara to paya ki quarters ke aangan ko chatt se lohe ke grill se ghera hua hai. Sayad yeh bandobast junglee jaanwaro ya bandro ko quarter  me ghusne se rokne ke liye kiya gaya tha. 

Quarter ke aangan per ke paato se bhara para tha.  In sabko dekh kar lagta tha ki saayad kai hafto se inn quarters me koi nahi aaya hai. Par kaantedaar taar se ghire area me kai eise phoolo ke paudhe the jinhe waqt-waqt par paani jaroor chahiye tha. Inse Aparijita ne anumaan lagaya ki koi na koi yaha daily aa ke paudho ko paani de jaata hai. 

Aparijita ne drone ke acmera ko zameen par zoom kiya to paaya ki gate ke paas cycle ke tyres ke nisaan bane hai jo  baare ke andar tak gaye hue the.  Quarter ke peeche ek 8-10 ka feet ka kaccha raasta dikhayi para jo jungle ke aur andar ki or jaa raha tha. 

Aparijita ne drone ko usi raaste ke baare me pata karne ke liye uske upar se jungle ki or mor diya.

Raasta bas kaam chalayu tha. Saaf pata chal raha tha ki mahino se us par car ya jeep jaisa koi vahan nahi gujra hai. Insabki wajah se raaste ke bich-bich me bhi uche-uche ghaash-phush ug aaye the. 

Takriban 1.5 km ke baad ek aur kaante-daar taar se ghira hissa dikh para. Yeh hissa pahle waale jitna bara nahi tha. Paas hi lakri aur eento se bana ek  chhota sa ghar bana tha. Ghar ko dekh kar saaf pata chal raha tha ki yaha koi rahta hai. 

Ghar ke deewalo se kaante-daar taar bandh kar uske saamne ke hisse ko ek boundry ka skal de diya gaya tha. Ghar aur ghire research area ke taar ke paas ek khaas kism ke paudhe laagye gaye the jo is tarh se uge hue the ki unko paar kar ke ek chhota sa khargosh bhi nahi jaa sakta tha.

Sayad yaha ke ghar me rahne wala banda phulo ka bhi sokin tha. Us chhote se ghar ki chaardewari ke andar kai tarah-tarah ke phulo ke paudhe dikh rahe the.  

Drone dwara lagatar live footage bhej raha tha. 

Darwaje pa koi taala nahi laga tha. Kamre ke andar se light bahar tak aa rahi thi.  Raaste me Aparijita ko research-center se yaha tak aati electricity ke khambe nahi dikhe the.  Aparijita ne isse suljhane ke liye jayada maatha-pachhi karna theek nahi samjha. Usne  apna dhyan research ke liye ghire hisse par lagya.

Yaha ke aur main research-center ke paudho me kaafi difference tha. Dhyan se dekhne par mitti ke color me bhi kuchh fark dikhayi de raha tha.  Aparijita ne iss chhote research-center ke aas-paas ke footage paane ke liye drone ko ek daayre ke andar hi ghumana suru kiya. 

Aparijita ko Kucch hi dur par ek prakritik jharna dikh para. 

Tabhi Aparijita ko us chhote ghar se ek 35-40 saal ka gora 5.8 feet lamba sehatmand aadmi nikalta dikh para.  Us skash ne sleeping gown pahan rakha tha.  

Wo shaksh us chhote se garden me ek tin se ghire shed me ghus kar ek paani dene wala pipe nikal kar bahar rakhne ke baad ek baar phir se shed me ghush gaya.

Jab wo aadmi tin ke shed se bahar aaya tab tak garden me lage nal se paani aane laga   tha. Isse us shed me paani se related motor ya eisa hi kuchh aur arrangement hone ka Aparijita ne anumaan lagaya.  

Wo aadmi koi gaana gungunta hua garden me paani dene laga. Paani dete hue us bande ke chehre par prasantata dikh rahi thi.

Aparijita ko aaj jitna drone ke jariye janana tha wo jaan chuki thi. Usne drone ko wapas kiya aur apne quarter ke aur laut pari. 

Saam ke samay Aparijita apne quarter se  apne cycle se Premnagar ke prasidh Radha-Krishan ke mandir ki aur jaa rahi thi.  '

Mandir thane se adhik duri par nahi tha. Thane ke paas se ek kachhi sarak ke jariye waha tak kam samay me pahuncha jaa sakta tha. 


Sunday 10 November 2019

Gupt Daan

Aparijita ne parso raat hi Sarfarosh ki online book libarary se Hindustani tantra se jure tantra ki ritual par jitni jaankari thi use apne laptop me download ki thi. Aaj subah kuchh aur books libarary me upload ki gayi thi; jise wo download kar rahi thi. 

Aparijita ko koi galatphami nahi thi ki wo chand kitaabe padh kar tantra ko samjhane lagegi; par use viswaas tha ki sayad is se yeh pata chal jaaye ki tantrik tantra ki kis shakha se sambandhit hai; yeh jaan kar sayad wo tantrik ko aur jayada samajh sake. 

Aparijita aaj ke jayadatar modern logo ki tarah tantra ko sirf dhakosla nahi maanti thi. Uska manna tha ki yeh bhi ek science hai jise aujha aur laalchi logo ne apne phayede ke liye iss buri tarah se istemaal kiya hai ki wo aaj ke din nahut buri tarah badnaam tha aur koi bhi padha-likha vaykti isme parna nahi chahta hai. Iske aalaba wo yeh bhi maanti thi kuchh alokik sakti aur pret-aatmaye bhi hoti hai. Iska ek kaaran yeh bhi tha ki videsh me padhayi ke dauran wo kuchh students ke saath planchet ke jariye pretaatmayo se sampark kar chuki thi.

Aparijita ne Raj naam ke constable ko bula bheja. 

Raj ka ek dur ke ristedaar Chaila me rahte tha. Raaj bahut kam us ristedaar ke paas aata jata tha; saath hi duri banaye rakhne ke liye Chaila me nahi rahta tha. Usne bahana banya hua tha ki uske paas bike nahi hai isliye raat me jaroorat parne par wo Chaila se thana jungle hote hue nahi aa payega. 

"Raj, mujhe pata chala hai ki idhar pichhle 2-3 mahine me tum kai baar Chaila gaye ho aur kai baar waha ruke bhi ho." Raj ke aate hi Aparijita ne kaha.

Raj thori der shaant raha. Wo samjah nahi paa raha tha ki us se yeh sab kyu puchha jaa raha hai. Usne apni gradan dheeme se haan me hilaayi.

Raj abhi tak khara tha. Aparijita samajh gayi ki wo aachanak ke iss swaal-jabab se nervous ho gaya hai. 

Aparijita ne use baithne ko kaha.

Raj ke baithte hi Aparijita use samjhaane lagi.

"Tum kyu nervous ho rahe ho. Main Premanagar ke aalaba baaki 4 gaun ke baare me apne staff se janana chahti hoon. Javed humari madad kar raha hai par wo police wala nahi hai. Hum me se kai log Premnagar me rahte hain ya aate-jaate hain, isliye Premnagar ke baare me hume kaafi kuchh pata hai. Main baaki 4 gaun se jure logo se waha ki jaankaari jama kar rahi hoon. "

Aparijita ke baato se Raj ka teji se dharkta dil kuchh normal hua. 

Raj ne Aparijita ko Chaila ke baare me jo kuchh bhi jaanta tha, bataya.

Aparijita ne issi tarah baaki teen gaun ke baare me baaki staff members se pata kiya.

Aparijita ko iss baat par aascharya ho raha tha ki abhi tak aisi koi bhi jaankari nahi mili thi jo tantrik dwara logo ko bharkaye jaane ki aur issara karti thi. Par intelligence ki report ko jhutlaya bhi nahi jaa sakta tha. 

Aparijita ko Arpita ne baato ke dauran bataya tha ki jis ke report upar yeh mission suru hua tha, us shaksh ka murder ho gaya tha. Yeh pata nahi chala tha ki murder issi report ke wajah se hui thi yaa kisi aur wajah se. Magar wo report Intelligence bureau se hote huye aage  Sarfarosh tak aayi thi. Intelligence bureau aaj ke date me iss report par kuchh nahi kar raha tha.

Aparijita ne aaj ke pahle bhi kai baar apne staff members se ghuma-phira kar tantrik ke baare janana chaha tha par zabaab sabne tantrik ke accha hi kaha tha. 

Aparijita ne local MLA Dhanraj  ke baare me bhi pata karwaya tha. MLA picchle mahine se kisi hill station par apna illaz karwa raha tha.  MLA ke 2-3 hafte me laut aane ke baare  me baaten chal rahi thi.   

Issi tarah Chaila ke Lallan jis par report me shaq jataya gaya tha, ke baare me bhi koi complain nahi aayi thi jabki report ke anusaar aajkal uske paas kanhi se kaafi rupaiye aa rahe the. Pahle wo sarab ki bhatti aur juye ka addaa chalata tha. Par Chaila aur Premnagar ke log use aahkal sudhra bata rahe the. Sunane me aaya tha ki Lallan aajkal sahar me kisi thekedaar ke yaha nokri karne laga hai jaha wo uske liye kaccha maal kharidta tha. Lallan ne kuchh kharidaari Chaila aur aas-paas ke gaun se bhi acche daam de ke ki thi; isliye jinhone use maal becha tha wo ab uski taarif karne me koi kasar nahi chhor rahe the. 

Aparijita ne Javed ko phone laga waqt milne par thaane me us se milne ko kaha. 

Javed ne saam 7 baje aane ki haami bhari.

Javed ke aane tak Aparijita laptop par Sarfarosh ke library me download ki gayi books padhti rahi. 

Javed ne jaise hi uske cabin par knock karke awaaz lagagi; Aparijita ne bookmaark laga kar books ko band kar Javed ko aane ko kaha.

Aparijita ne ek constable ko apne khud ke rakam se staaf ke acche kaam ke inaam ke taur par thane me lagwaai gayi tea machine se 2 chai dene ko kaha.  

 Aparijita generally kisi ko iss tarah ke kaam ke liye nahi bolti thi par Javed ko baitha chhor kar uska khud chai laana accha nahi lagta; isliye usne aaj ek constable ko iske liye kaha tha. Aparijita ko laga tha ki sayad wo constable iska bura maan jaayega par iske viprit wo iss baat se khush ho raha tha ki madam didi ne use koi personal kaam bola tha.

"Javed bhai. Aapke dwara di gayi list ko humlog check kar rahe hai. Main yaha aane se pahle jab yaha ke baare me jaankari ikkatha kar rahi thi; tab is illake ke MLA ke baare me suna tha ki wo aapko badnaam karna chahta tha. Par mujhe aaye hue kai hafte ho gaye par abhi tak in sahab ke darsan bhi nahi hua. " Aparijita ne chai peete hue Javed ki dukhti rag ko chhera. 

"Eisi koi baat nahi hai, madam. MLA sahab ne to apni safai de di thi. Unke anusaar us bande se unka koi baasta nahi tha. Yeh bhi sach hai ki kisi ne MLA sahab ko us bande se baat karte nahi suna tha." Javed ne thora dabe awaaz me kaha.

Aparijita ne Javed ke kahne ke tone se samajh liya ki Javed MLA jaise takatbar dusman ke against kuchh khul kar nahi bolna chahta hai. 

"Javed bhai, aap mujhse Dhanraj ke baare me khul kar baat kar sakte hain. Aapki tarah main bhi iss illake me shanti chahti hoon. Aur yeh tab tak possible nahi ho sakta hai jab tak ki main yaha ke baare me theek se jaan naa loon!" Aparijita ne Javed ko aashwat karte hue kaha . 

Jab Aparijita ne jab dekha ki Javed MLA ka naam bhi nahi le raha hai tab usne MLA ka naam  lete hue kaha. 

"Javed bhai, aap mujh par bharosa kar sakte hai. Aap mujh se Dhanraj ke baare me khul kar baat karen." Aparijita ne phir se Javed ko aashwat karte hue kaha. 

Aparijita ke  aashwat karne par Javed kuchh der chup raha, phir dhire-dhire usne batana suru kiya.

"Dhanraj aajkal ke dusre politician ki tarah hi hai.  Halaki Premnagar thane me aane wale paancho gaun me uska utna pravab nahi hai, phir bhi yaha bhi uske kuchh samarthak hain. Unme se kisi ne use bharka diya tha ki Javed ya Ramdayal me se koi agle election me uske khilaf khara ho sakta hai. Usne apne ko safe karne ke liye wo gandi chaal chali thi jisme yaha ke kuchh gaunwalo ne bhi saath diya tha; lekin ab wo baat purani ho chuki hai. Waise bhi abhi wo UP se bahar hai aur sayad agale mahine hi laute." 

Javed ne apne taur par kosis ki Aparijita uske itna kahne ke baad  topic drop kar de. Aparijita ke liye iss topic ko eise hi drop karna possible nahi tha. 

Intelligence report file karne wale ke murder ho jaane aur kisi ka naam atmosphere kharab karne wale ke taur par naa lene ke kaaran yeh ek paheli ban gayi thi. Aparijita ne us agent ke record check karwaye the. Report ke n ausaar wo puri acchi dhang se jaanch-partal ke baad hi report file karta tha; isliye uski report ko nazarandaaz karna bahut bari galti ho sakti thi.

Logo ko bare taur par bargalaane ki kosis bina kisi influence bale bande ke sambhav nahi thi. Yaha par waise 2 log hi dikh rahe the. Pahla nazar ke saamne tantrik tha jiske baare me abhi tak  koi galat report nahi aayi thi . Dusra local MLA Dhanraj tha jis se Aparijita ki abhi tak mulaakat nahi hui thi. 

Dhanraj is se pahle bhi Javed aur Ramdayal baale maamle me ghusa hua tha; jisme gaunwalo ki ekta ke karan use naakam hona para tha. Ho sakta tha ki wo usi se chidh kar unko alag-thalag karna chahta ho. Dhanraj apni chaal pit jaane ke baad shant hokar baith gaya hoga iss baat par Aparijita ko katai viswaas nahi tha. Wo apne apnubhav se jaanti thi,  iss tarah ke log haar milne ke baad aur bhi khatarknaak ban jaate hain.

"Javed bhai, ho sakta hai ki Dhanraj ab sudhar gaya ho phir bhi us se satark rahne ki jaroorat hai." 

"Madam, wo ab to gaun bhi kam hi aata hai."  Javed ne iss tarah se jawaab diya jaise wo iss topic par  ab aur baat nahi karna chahta ho - "Usne to kuchh gundo ko bhi acche raaste par laa diya hai." 

Gundo ko sudharane wali baat par Aparijita ke kaan khare ho gaye. Use apne staff members par gussa bhi aaya ki kisi ne bhi itni mahatpurn baat nahi batayi thi.

Aparijita ne apne chehre ke bhav ko shant banye rakha aur utsukukta bhare swar me Javed se baat karne lagi.

"Are, yeh to kamaal ho gaya! Matlab Jayaprakash Narayan(known for surrendar of dacoits) ka naya avtaar.  Please, mujhe batayie ki yeh kaam Dhanraj ne kaise kiya."

Javed samjah nahi paa raha tha ki Aparijita ne yeh vayang me kaha hai ya sach me Dhanraj ki taarif kar rahi hai.

"Madam, Chaila me pahle sarab ki avaidh bhatti Lallan naam ka local gunde aur uske kuchh chele-chapato  dwara chalaya jata tha. Maine kai baar use band karane ki kosis ki, aur iske liye pichhle thanedaar se bhi mila tha. Par in sabka  koi fayada nahi hua kyuki thanedaar khud Lallan se mila hua tha. Mere bolne par Lallan jawaab deta tha ki uske paas koi kaam nahi hai; isliye wo iss dhande me hai aur wo apna dhandha shanti se chalata hai."

Javed batate hue ek pal ko ruka aur Aparijita ke chehre ki aur dekha.  Abhi bhi Aparijita ke chehre par koi eisa bhav nahi tha jis se Javed uske man ki actual thah paa sake. Aparijita ke chehre par sirf utsukta ka bhav dikhayi de rahe the.

"Ek din Dhanraj kisi kaam se Chaila gaya tha. Chaila ki aurto ne sharab ke kaaran unke parivaar me ho rahe kalah ke baare me Dhanraj ko bataya. Dhanraj Lallan se milne uske bhatti par gaya.  Dusre din sabne dekha ki sarab ki bhatti band ho gayi hai. "

Javed 2-3 seconds ke liye chup hokar Aparijita ki chehre or dekha kaha utsukta ke bhaav aur jayada badhi dikh rahi thi. 

"Lallan ne sabko bataya ki netaji ne uski naukari sahar me lagwa di hai. Sarafat ka kaam mil jaane ke karan ab wo saare galat dhande chhor raha hai. Lallan ne bhatti torte waqt gaun waalo ko dhamkaya tha ki  agar kisi ne sarab ki bhatti iss ilaake me kholne ki kosis ki to wo use isi bhatti ki tarah tor daalega. Tab se aaj tak Chaila me sarab ki bhatti nahi lagi."  

Javed itna kah kar Aparijita ki or uska reaction jaanne ko dekhne laga.

"Yeh to usne bahoot accha kaam kiya hai.  Chor ko chori se bhi dur kar diya aur usi ko pahredaar bana ke baaki choro ko bhi aane nahi diya."

Aparijita ke iss jawaab par Javed ne phir se uske chehre ko gaur se dekha ki kanhi usme koi vayang to nahi chhipa hai;  par Aparijita ke chehre par eisa koi bahv nahi tha. 

Javed  iss larki ke buddhimani ka kayal tha aur use lag raha tha ki in sab puchh-taachh ke pichhe kuchh eisa hain jo wo samjah nahi paa raha hai. Javed ne apne dimaag me aa rahe vicharo ko jhatak diya. Use naa jaane kyu yeh vishwaas ho chala tha ki yeh larki jo bhi karegi us se gaun ka bhala hi hoga.

"Ho sakta hai ki Dhanraj aur Lallan ka hirday pariwartan ho gaya ho!" Aparijita sanjida swar me baat kar rahi thi -  "Phir bhi main  chahti hoon ki aap unke baare me jo bhi jaante hai use mujhe bataye taaki kal ko koi unke past ke kisi mudde ko utha kar unko phir se galat raaste par le jaane ya phasane ki kosis kare to main waqt rahte kuchh karwaai kar saku."

Javed ne thore der tak Lallan aur Dhanraj se related apne paas uplabdh saari jaankari Aparijita ko deta raha. 

Aparijita ne apni baak-patuta se Javed se anjaane me aur bhi baaten nikalwa li. 

Aparijita ko undono ke hirday pariwartan waali baat par jara bhi bharosa nahi tha. Upar se intelligence report me bhi unke khilaaf baaten thi.  Aparijita ne Javed ko wahi samjhane diya jo wo Aparijita ko samjhate dekhna chahta tha.  Javed ne baato ke duran Dhanraj ke ek supporter ke roop me Abhaipur ka Abbas ka bhi naam liya; jo Dhanraj ke yaha hone waale jayadatar meeting me rahta hai.

Javed jab jaane laga to Aparijita ne use kuchh der rukne ko kaha. Javed ko bara sukhad aascharya hua jab Aparijita ne use ek bag diya.

"Javed bhai, Harilalji se  mujhe pata chala tha; aap yaha ek library aur hall banana chahte hai jaha log aake kuchh padh sake aur  chhoti-moti baithak laga sake. Aapni sarkari madad ke liye bhi prayash kiya. Sarkar se fund  naa milne ke karan aap yeh kaam nahi kar paa rahe hain. Maine baato ke dauran apne ek doctor parichit ke NRI friend se iska jikra kiya tha. Mujhe aaj hi yeh 10 lakh ke rakam aapke iss nek kaam ke liye bheje gaye hai."

Apariita ne Kalicharan se mile 10 lakh Javed ko de diya. Iske saath usne Javed ko kuchh salah bhi diya. Uski har salah direct  nahi thi . Usne har salah baatchit ke duarn eise saza kar pesh kiya tha jo saamne wale ko uske yojna ke behtari me kucch extra input lage. Aparijita jyadatar waqt Javed ki hi sunti rahi aur bich-bich me "agar aap eisa karen to sayad aur behtar hoga"  jaise salah baatchit ke dauran Javed ko sarkaya.

Javed ka chehra jaate waqt khushi se  chamak raha tha. Usne jaate waqt garamjosi se Aparijita se haath mila thanks bola.

"Are, Javed bhai! Isme thanks wali kya baat hai. Mujhe pata hai ki aapke pariwaar ke logo ne desh ke aazadi ke liye bahut kurbania di hai. Aap naye generation ke logo dwara itni kurbaanio se mili azaadi ka mahtab naa dete dekh kar dukhi the aur chahte the yaha aazadi ke jung se jure saahitya ho taaki log ye na bhule ki hume aazadi kitni kurbaanio ke baad mili hai."

Aparijita baat karte hue ghum kar Javed ke paas aa gayi thi. Usne Javed ke kandhe par haath rakhte hue kaha.

"Haan, Madam ab bhi meri aankhe apne pariwaar aur dusre swatantra sananio ki kurbaani aur jhele gaye dukh ko yaad kar bhar aata hai. Saath hi iss baat se sar fakra se uncha ho jaata hai ki main eise pariwaar se aata hoon jinhone apne khoon se iss vatan ka karz chukaya hai. "  Javed ke andar se zazbaato ka sailab baahar nikal raha tha -"Par aajkal ke bacche baat-baat par kahte hai ki is se to achha angrejo ke gulam hi the." Javed ne bhare gale se kaha.

"Mujhe viswaas hai ki aapke parayas se wo phir se apni zameen se jur jaayenge.  Aap paancho  gaaun ke bare bujrgo se milte rahiye aur unhe bhi samay-samay par library aur baithak me aane ko kahe taaki nayi aur purani peedhi kuchh samay saath bitaye. "

Javed ka sar sahmati me hila.  Javed itna jayada zazbaati ho gaya tha ki uske mooh se bol nahi nikal paaye. 

"Are Javed bhai, Isme mera bhi to fayda hai. Log agar aapas me milte-julte rahege to  kisi ko apbaah phailane ki himmat nahi hogi. Jisse yaha shanti rahegi aur mujhe Jawani me hi pension ka maza milega!"

Aparijita ne mahaul me base sanzidgi ko dur karne ke liye halka sa thahaka lagate hue kaha. 

Javed ne jaate-jaate Aparijita se vada liya ki udghatan ke liye us meharban doctor sahab ko aana hi parega jinke mitr ne itni bari rakam daan di hai.

Javed ke jaane ke baad Aparijita iss mission aur report me di gayi baato ka vartamaan   stithi se milaan kar rahi thi.

⦁    Report ke anusaar yaha ke jungle me apraadhi chhupne ke liye aate the.  Jagga ke roop me aparadhi gaun tak apni pahunch banane me kaamyab ho gaye the. Jagga aur uske saathio ko jungle ke andar aate- jaate bhi dekha gaya tha. Jungle ke aur chhanbin ki zaroorat thi.

⦁    Report me pocher ke jariye gaaunwaalo ko bharkaye jaane ki aasanka jatayi gayi thi. Drone se dekhe gaye Dadauli ke footage se yah jaahir tha ki waha ke baasinde jungle ke hirano ko apne baccho ki tarah maante hai aur agar unhe kuchh ho gaya to wo gusse me kuchh bhi kar sakte hai. Aparijita dwara abhi chali gayi library aur baithak waali chaal se ab paancho gaun waale aapas me milte rahne waale the; jiske karan turant hi Dadauli ke log jos me koi kadam nahi uthane waale the. Abhi tak Aparijita ke jungle adventure me kisi pocher ka nisaan tak nahi mila tha; par iska kaaran yeh bhi ho sakta tha ki pocher giroh abhi nadi ke dusre or sakriya ho ya unhone abhi apni gatividhi kam kar rakhi ho.

Aparijita ne Drone ke jariye nadi ke dusre taraf ke hisse par kuchh din tak nazar rakhne ka  faisla liya.

⦁    Gaun ke fizao me zahar gholne ki baat bhi report me thi jiska abhi tak koi thos saboot nahi mila tha. Thori bahoot narazgi to har jagah hoti hai. Javed aur Harilal ko iss baare me pata nahi tha to iska matlab isme bilkul naye umar ke naujawan ho sakte the jinse inlogo ka jayda vaasta nahi parta hai. Is maamle me Tantrik, Dhanraj, Abbas ya Lallan me se koi ya sab involve ho sakte the. 

Aparijita ne faisala liya ki wo khud gaun me kuchh logo se milegi tabhi use unse ki gayi baato ke jariye andruni baaten pata chalegi. Aparijita ko ab eisa raasta dhundhna tha jis se wo bagair jayada logo se mile bahut kuchh pata kar sake. Aparijita ko aurato ke andar apni pahunch banani jayada aasan lagi aur saath hi aurato ke baatuni sawabh se use jaankari milne ki jayda sambhavana lagi.

Aparijita ne Gopu ke gaun bhar ke mama hone ka bhi fayada uthane ki sochi. Jayadatar gharo me uski pahunch hone ke kaaran naujawaano ke andar aa rahe badlaab wo unke ghar waalo se jaan sakta tha. 

⦁    Botany se jure experiment ke baare me kisi ne kuchh jikra nahi kiya tha. Aparijita ne isse nazarandaaz karna theek nahi samjha aur apne taur par iski chhanbin karne ki thaani.

⦁    Mission ka sabse mahatpurn kaam Sonbhadra me Sarfarosh ka local center banana tha. Jis par kaam suru ho chuka tha aur uska jimma Arpita ke mazboot kandho par tha. Dr. Ritesh ke baare me usne Ajay Rai aur Sarfarosh ke files se jaankari li thi. Aparijita ko vishwaas tha ki Arpita ke saath mil kar wo zald hi ek fully functional subcenter khara kar lega. Kisi bhi madad ke liye Aparijita unke paas mauzod thi. 

⦁    Is mission me kisi aam Policewaale ki jagah Aparijita ko bhejne ka sabse bara reason tha ki  kisi tarah se gaun ke haalat ko iss tarah se badla jaaye taaki koi aasani se unhe larwa naa sake. Aparijita ne iska safaltapurbak suruaat kar di thi. Use poora viswaas tha ki wo aage bhi safal rahegi. 

Is maamle ko handle karne me Aparijita ne  kamaal dikhya tha. Saara kuchh planned way me hone ke baawzud iss tarah se ho raha tha jo zara sa bhi asawabhik nahi lag raha tha. In paancho  gauno me shanti bani rahe iske liye zaroori tha ki iske fizao me chuppe zahar failane wale pakar me aayen. Aparijita ko umeed thi zald hi wo unhe pahchaan legi.

=============================================

Aaj Sombar tha aur tantrik sayad subah hi Chaila aa chuka tha. Tantrik aur Shera dwara ki jaane waali baatchit ke anusaar sayad jald hi tantrik ka yaha ka routine change hone wala tha.

Sunday 3 November 2019

Team work

Aparijita ne bike Jungle se hote huye Chaila ke pass mandir ki or mor diya. Aaj Aparijita ne kuchh dur baad hi sarak chhor kar jungle me bike utaar diya tha. 

Jis din Aparijita ne mandir ki chhanbin ki thi; usi din usne jungle me mandir tak pahunchne ke liye kuchh dusre raaste bhi dhoond nikaale the. 

Jungle ka sarak aur basti ke karib ka area ghana (dense) nahi tha. Par wo eisa bhi nahi tha koi waha apni bailagaari daura len. Haan, waha itni jagah jaroor thi jispar cycle ya bike chalayi jaa skati thi. 

Chuki yeh raaste daily istemaal me nahi aate the; isliye jaha-taha pero ke ug aane ki wajah se bagair thora mure aage badha nahi jaa sakta tha. Yehi karan tha ki agar thori duri ka raasta ho tabhi log jungle ke andar se jaate the nahi to sarak ka hi istemaal karte the.

Aparijita jab bhi Jungle ke aas-paas ke illake me gayi; usne hamesa alternative raaste dhudne ki kosis ki jise wo jaroorat parne par istemaal kar sake. Iske aalaba nature-lover hone ke kaaran wo khud sarak ke bajaye in raasto ko pasand karti thi jin par use kuchh chhote junglee janwaar aur rang-birange panchhi dikh jaate the.

Aparijita ne jungle ke raaste se mandir tak pahunchne se kuchh dur pahle hi bike rok diya. 

Mandir ke aas-paas ki zameen thori nam aur bhurbhuri thi. Aparijita mandir ke aas-paas apne bike ke tyres ke nisaan nahi chhorna chahti thi. Ek chhota sa bag lekar Apu aur Aru ki jori paidal hi mandir ki aur chal pari. 

Mandir me abhi umeed ke mutabik koi nahi tha.  

Dono ne bag se nikal kar waha microphone aur camere lagane suru kar diya. Thore hi der me mandir aur uske paas bane room me microphone aur camere lag chuke the. Yeh gadgets bahut hi chhote  the jo sirf guptchar agencies use karti thi. Camere chhote hone ke baabjood night vision ki ability se lais the.

Microphone aur camere dono bahut dheemi aawaz hone par khud hi active ho jaane wale khashiyat se lais the. Inke dwara collect ki jaa rahi feed takriban 500 meter  dur tak rakhe instrument me save ki jaa sakti thi. Iske aalaba instrument ko  5 km dur se bhi control kiya jaa sakta tha, jabki instrument aage lagaye gaye gadgets ko handle karta. 

Aparijita ne jungle ke guafao ke andar bhi spy gadget laga diya.  Gufa me dono ne microfone aur camera fit karne ke baad patthar ke color se milte color se us jagah ko eise paint kar diya ki drill ki hui jagah pata hi nahi chal rahi thi. Unhone zameen par paper bichha kar chhote-chhote surakh kiye tha. Drill se paida hui dhool ko gufa me bah rahe paani me baha diya gaya. 

Aparijita aur Arpita laut kar projector ki madad se white bord par drone dwara li gayi footage ko dekhte huye discuss karte hue kal subah ke liye  action plan bana rahi thi. 

=======================================================

 Dinner ke baad Aparijita ne Ghanshyam ko phone karke detail me report li. Saitan Singh ne apna  role baakhubi nibhaya tha. Dinesh ke sahyog se wo log masterji ke patni ko unki baato par yaqin dilaane me kamyaab ho gaye the.  Sarfarosh ke local member ko bhi aaj saam ko masterji ke patni se milwa diya gaya tha jo unhe yeh samjhane me kamyaab ho gaya tha ki unki gaariyo ka maintenance se lakar chalwaane ka sirdard uska hai aur unhe sirf apni gaariya deni hai jiske badle unke account me har mahine advance hi payment kar di jaayegi. 

Sabhi log Dinesh ke yaha hi ruke the aur praso yaani Tuesday raat tak waha ka saara kaam nipata kar wo log Wednesday ki subah masterji ko lekar sidhe Dr. Ritesh ke hospital me pahunchne waale the. 

Ghanshyam Wednesday saam tak wapas aake duty join karne ki baat kar raha tha. Aparijita ne Ghanshyam aur Dinesh ko sidhe Thrusday thane aane ko kaha.

"Aru, Saitan Singh ne apna role dhang se nibhaya hai. Use ab maali aur chowkidaar wale kaam se chhutkara dekar Sarfarosh ke missions me direct active role diya jaa sakta hai."

Arpita ne Aparijita ki baat par sahmati jatai.

Arpita Ritesh dwara Nirmala ko di jaa rahi encouragement se bhi khush thi. Wo dil se Nirmala ka bhala chahati thi. Kuchh hi dino me Nirmala ne apne vaywahar aur bahaduri se Arpita ke dil me jagah bana li thi.  

Arpita ne Nirmala aur Saitan Singh ki aankho me ek dusre ke liye pasandigi bhi dekhi thi par dono me se kisi ne bhi aage badh kar baat karne ki pahal nahi ki thi. 

Arpita jaanti thi abhi nahi to kuchh din baad dono me se koi ek zaroor pahal karega. Dono akele the isliye dono ko dilo me jeevansathi ki taalash thi. Arpita ne yeh baat Aparijita ko batayi. 

Arpita ne aaj ke din ki report Sarfarosh ke local members se li. Wo kaafi der tak unse aage ke kaam par baat karti rahi. 

Arpita ne phone mic par rakha tha taaki Aparijita bhi waha ki gatividiyo se baakif rahe. Halaki Aparijita ne pure call ke dauran ek bhi sabd nahi bola. Call khatam hone ke baad dono iss topic par kaafi der tak baat karti rahi.   

=====================================

Dusre din subah 5 baje dono taiyar hoke bike se ek baar phir chanutarenuma jagah par  pahunch gayi.
Aaj drone ka range suryodai ke samay aasmaan ko chhuti kirano waale area me kuchh Km ke range me tha. Arpita Sonbhadra se suryodai ke samay ke iss vismaykaari drisya ko dekhne ke liye aayi thi. 

Jaise – jaise suryodai ka samay najdik aa raha tha; sada chahkane waali Arpita ka chahakna kam  hota jaa raha tha.

Suryodai se ke chand minute pahle Arpita ekdam  khaamosh ho taktaki laga kar Aparijita dwara bataye gaye jungle ke hisse ko dekh rahi thi. 

Tabhi Suraj ne muskuraate hue apni aankhe kholi. 

Aasman ne Suraj ke sawagat me laalima liye galiche ko bichha diya. 

Suraj ki pahli kiran parte hi jungle se rosni ki kiran apne devta ke charan-vandna karne ko upar ki aur uthi. 

Arpita ne utejnna se Aparijita ka haanth thaam liya. Rosni ki kiran ko aankho se aujhal hote hi Arpita ne Aparijita ko gale laga liya.

“Yaar, yeh to laajwaab tha. Eisa maine sirf aaj tak kahaniyo me hi suna tha. Teri wajah se aaj maine yeh naa bhulne waala drishay dekh bhi liya."  Arpita ne khusi se chahkte hue kaha.

"Waise sach to yeh hai ki main bhi yeh khubsurat nazaara tumhaare wajah se hi dekh paayi hoon.  Agar tune report me iska jikra nahi kiya hota to mujhe kabhi pata nahi chalta. Yaha to sayad kisi ko abhi iske baare pata tak nahi hai." Aparijita ne Arpita ki taarif karte hue kaha.

Halaki drone rosni ka shrot ka footage nahi bhej paaya tha. Aaj ke footage se itna confirm to ho gaya tha ki Aparijita ne jis area ke baare me anumaan lagaya tha wo theek tha. Par abhi bhi wo daayra kuchh kilometer ka tha jise aur kam karne ki jaroorat thi.

Aparijita ne ek baar phir paancho gaun ka sarsari taur par drone ke jariye subah ho rahi gatividhiyo ko dekha. 8 baje ke karib dono wapas Aparijita ke quarter me lauti. 

Aparijita ne breakfast ke baad Arpita ko Arvind ke garage par chhora. Yaha dono ne  Arvind se kuchh der kal decide hue kaamo par baaten kar Arvind ko kuchh aur jimmedaari saupi. Iske baad dono apne-apne raaste nikal pari.

Aparijita laut ke phir 2 ghante soyi. Dopahar me 1 baje wo taiyar hoke thaane me aayi. Usne aate hi Harilal ko apne cabin me bulaya.  

==========================================

Ghanshayam aur Dinesh ke aalabaa kisi ko bhi masterji ka help ki detail nahi pata tha.  Dono ko spasht nirdesh tha ki puchhane par sabko yehi batana hai ki masterji ko acche hospital me treatment ke liye bharti karwaane gaye the. 

Aparijita ne Harilal ko Ghanshyam ke laut aane tak dopahar 3 se raat 8 baje tak thane me Harilal ki help ke liye khud mauzod rahne ki baat batayi. 

"Madam, aap befikra hoke chhanbin kijye. Main yaha sambhal lunga."  Harilal ne viswaas bhare swar me kaha.

"Mujhe pata hai ki aap sambhal lenge. Abhi hamare paas 2 log kam hain aur agar main ek baar jungle ke andar chali gayi to sayad mobile network bhi naa mile; isliye abhi 2-3 din main dur tak nahi jaayungi. Mujhe kuchh ebooks yaha ke guafao ke baare me mile hai jiske study ke liye bhi mujhe time chahiye. Main in dino me use khatam kar lungi." Aparijita ne Harilal ko kaha.

Harilal waqt aane par kisi kathin paristhithi ko sambhal paayega  yaa nahi; is par Aparijita ko pura viswaas nahi tha. Haa, Harilal aur Ghanshyam dono mil kar kisi bhi situation ko control kar sakte the.

"Harilalji, maine iss paper par un bahar se aake rahne waale logo ke naam aur pate likhe hai jo puri tarah se javed ke anusaar clean nahi hai. Aap 4 logo ko inke baare me pata karne ko laga dijeye." 

Aparijita ne Javed ki di file se note kiya hua paper Harilal ko dete hue kaha.

"Iske aalaba aap unlogo ke baare me jaankaari ekttha karen jo kisi bhi rajnaitik party ya vaykti ke baare me badh-chad kar bolte hain yaa phir andh-bhakt hain.  Iske liye dusro ke aalaba aap khud inn gauno me aapke jaankaro se mil baatchit me unke baare me pata karen. Humlogo ne abhi tak iss tarah ke kisi bande ko bilkul bhi nahi jancha-parkha hai." 

Aparijita ne iss tarah Harilal ko agle 2-3 din ke liye active chhanbin ke kaam me laga diya.

Aparijita ne Harilal ko kuchh had tak sach bataya tha. Kal subah hi Aparijita ne Sarfarosh ke litearture department se jure members ko Premnagar ke jungle se sambahdhit har uplabdh samgri ko use uplabdh karwaane ka nirdesh bhijwaya tha. 

Ram Prasad Bismil ke sanghtan se jure members bhi Premnagar aate-jaate rahe the. Isliye Aparijita ne unse sambahdhit jaankari bhi upload karne ke liye nirdesh diya tha. Halaki iss baat ki kam sambhavna thi krantikaario se juri sacchi kahani book ke sakal me jayada mile kyuki azaadi ke pahle angrezo se apna rahasya chhupane ke liye note karke jaankari rakhne se bacha jaata tha. Aur azaadi ke baad naye bane neta kisi krantikaari ki jai-jaikar hone dekar apni nayi saji dukaan band nahi karana chahte the. 

Aparijita ne krantikaario ke vans se jure Premnagar ya uske aas-paas rahne waale logo ko ki chhoti si chhoti jaankari uplabdh karaane par jayda jor diya tha. Halaki Aparijita ke apne staff me se kuchh log krantikaario ke peedhi se aate the par unme se kisi ke pariwaar me eise log abhi jinda nahi the jo is maamle me uski koi madad kar sakte.

Drone se chhan-bin

Raat 10 baje Aparijita  Arpita ko kal aur aaj kheeche gaye snaps dikhate huye baat kar  rahi thi. 
Aparijita ne Arpita ko aaj ke audio recording bhi sunai .

Dono ne Sarfarosh ke server me tantrik ke baare me jaankari dhundhi; par tantrik ke aalaba us se jure kisi ka bhi jikar nahi tha. Tantrik se juri jaankari  bhi bahoot kam thi. 

Report ke anussar tantrik ka aashram Sonbhadra me hi ek ekaant jagah par tha. Ashram me aam logo ke liye kuchh khas samay ko chhor kar pravesh nishedh tha. Aashram ka kharch aashram ke zameeno par lagaye gaye phalo ke baago  ki aamdani se hota tha. Aashram me desh aur videsh se tantra sikhne purush aur mahila shisyo ke aane ka jikra tha. 

Tantrik ka naam tak iss report me nahi tha jo yeh batane ke liye kafi tha ki tantrik ne abhi tak eisa kuchh nahi kya tha  jis se uspar Sarfarosh ka focus banta.  Arpita ne Shera aur Raju ke baare me bhi database search kiya tha; par koi jaankari nahi mili. 

Aparijita ne tantrik ke badan par gude mantra ka jikra Arpita se kiya.

"Chal mantra bata" kah kar Arpita mantra note karne lagi.

Mantra note karne ke baad unhone usko web par search kiya jiska koi natija nahi nikala. Tabhi Arpita ko ek lady researcher ki yaad aayi, usne  1-2 din me us se consult kar mantra ki aur jaankari prapt karne ka  pryaash ka vaada  Aparijita ko kiya. 

====================================

Breakfast ke baad Arpita aur Aparijita ne Saitan singh ko bula kar aaj ke kaam ke baare me detail me bataya.  

9 baje Ghanshyam aur Dinesh saadi dress me waha pahunche. 

Arpita aur Aparijita ne Ghanshyam aur Dinesh ko  Saitan Singh ko aage rakh kar baat karne ke liye kaha. Un teeno se kal ek aur banda milne waala tha jo unke pichhe se saara kaam waha ka sara kaam sambhalne wala tha. 

Ghanshyam, Dinesh aur Saitan Singh ke nikalte hi Sarfarosh ke IT team ke experts aa gaye the. 

Arpita ne unka parichay Aparijita se karwaya.  

Kal kaafi saaman aaya tha jiske madad se experts ne 2 baje tak ek temporary office set up kar diya jo kal saam tak sthayi  roop se parichalan me aane waala tha. 

Lunch karne ke baad Arpita Aparijita ko XUV me Preamnagar chhorne chal pari.  Aaj raat Arpita ka Premanagar rukne ka irrada tha.  Raaste me ruk kar Arvind se unhone bike le XUV uske yaha hi chhor di. 

Arpita ko Aparijita ne apne quarter me chhor kar thaane chali aayi. Aparijita ne Harilal ko apne cabin me bula kar ab tak ki report lete huye use batay ki use spy-gadgets mil gaya hai.  

Aparijita takriban 2 ghante thaane me bita  apne quarter aayi. Arpita iss bich Sarfarosh ke baaki members ke saath baat karke kal ki meeting me tai hui baato par amal karne ko kah chuki thi.

Aparijita ke aate hi wo uth khari hui aur dono phir ek baar bike par nikal pari. 

Bike ki disa paharinuma chabutre ki aur tha. Arpita ne kandhe par ek bag utha rakha tha jisme Aparijita dwara mangayi gayi cheeze thi. 

Aparijita ne Arpita ko us illake ki aur issara kiya jaha se rosni footati dikhi thi. Arpita ne bag se surveillance drone nikala jo microdrone category me aata tha.  Iss drone me night vison capacity bhi thi aur use smartphone ya tablet ke jariye 15 km ke radius me control kar istemaal me laya jaa sakta tha.  Iska power backup accha tha jiske karan isse continously 6 ghante tak uaraya jaa sakta tha. 

Unhone drone ko marked area me chhor diya. 

Drone teji se apne destination ki aur chal para. 

Drone video recording ke saath- saath live footage bhi lagataar bhejta jaa raha tha.

Drone dwara bheji jaa rahi video footage kaafi clear the. 

Sarfarosh dwara istemaal kiye jaa rahe drones me se yeh done sabse nayi peedhi ka tha. Abhi tak drone ke iss series ka Sarfarosh ke kisi mission me istemal nahi hua tha.

Drone ko iss tarah se design kiya gaya tha ki wo upar urta hua koi bara sa giddh (Himalayan  Vulture ) panchhi ki tarah dikhta tha.  

Jungle ke andar kuchh kilometer jaane ke baad jungle kaafi ghana hota chala gaya tha. Jungle ke bare per upar jaakar phail jaane ke karan aapas me ek dusre ke kaafi karib aa gaye the. Isliye tej urte drone se koi  khaas madad nahi mil rahi thi.

Aparijita ne drone ko jungle ke andar se bahne wali nadi ki aur mor diya. 

Nadi me kisi tarah ke hulchul nahi thi aur naa hi dur-dur tak koi nazar aa raha tha.  

Aparijita drone ko nadi ke bicho-bich paani se sirf 8 feet ke uchayi par laa uski speed kam kar di. 

Arpita aur Aparijita drone ke chaaro taraf ke camere se aati footage dekhne lagi.

Nadi ka paani jo kai jharno se mil kar bana tha; itna saaf tha ki nadi ke tali ke kankar tak saaf dikh rahe the. 

Nadi 10-12 feet se jayada gahri nahi thi. Nadi me kuchh kachhuye tairte dikh rahe the.

Drone kuchh aage badha to usne rang-birabgi machhliyu ke kuchh jhund ki footage bheji. Yeh drisya itna khubsurat tha ki Arpita ne drone ki speed thori aur kam kar di taaki is naazare ko der tak dekha jaa sake. 

Aparijita ne drone ko dakshin disha me bhej diya. Kuchh dur tak jungle ke area ko paar karne ke baad drone iss taraf se bahne wali nadi ke upar ud raha tha.

Drone ke kucch aage badhne par dur se  Dadauli gaun dikhne laga. Aparijita ne drone ko unchai par utha diya. Drone ab unke saamne Dadauli ka nazara dikha raha tha. 

Aaj tak Aparijita  Dadauli ke  andar tak nahi gayi thi. Dadauli me pakke makan kam dikh rahe the. 

Dadauli ke har ghar ke saath ek chhota sa bagaan(garden) zaroor tha. Iske saath hi saath har ghar me kuchh mavesi bhi dikh rahe the jo Dadauli ke logo ke  prakriti-prem ko darsha rahe the.

Aparijita drone ko dheemi speed me  Dadauli ke upar uraati rahi.

Drone ab jungle se sate  Dadauli ke hiiso ke upar se ur raha tha. Tabhi kuchh Aparijita ko dikha. 

Aparijita drone ko ek jagah rok kar wahi par halke-halke chakkar lagwaane lagi.

Neeche ek budha bargad ka per dikh raha tha jiski jatayo ke bich kisi gramin-devta ka chatt-vihin mandir bana tha.  

Mandir ke aas-paas kuchh aurte aur unke saath jungle ke kuchh hiran(deer)  bhi dikh rahe the. 

Hiran(deer ) bekauf  aurto ke haath se patte kha rahe the. In aurto ke chehre par wo santusti dikhayi de rahi thi jo kisi maa ko apne bachho ko khilate waqt hota hai. Saare vatavaran me mamta aur sneh ki aabha phaili hui thi. 

Arpita aur Aparijita dono iss drisya ko mantarmungdh ho kar dekh rahi thi.

Thori der baad Arpita aur Aparijita ko hosh aaya aur dono ek-dusre ko dekh kar muskura pari. 

Iske baad Aprijita ne  Drone ka mukh pahle Abhaipur aur phir aage Phulpur ki aur kar diya. 

Sarsari taur par dono gaun ka muyana karke drone ko vapas bula liya gaya tha.  

Drone ko vapas utaarne se bas kuchh pal hi pahle Aparijita ne use Chaila ki aur mor  diya. Aparijita ne kuchh der tak Chaila me ho rahi gatividhi dekh kar drone ko vapas lauta liya.

Arpita aur Aparijita ne kal subah aakar drone ko khaas ek hi illake me kafi dheemi gati me bhejne ka nischay kiya jo ki Sunday ka din tha. 

Tantrik dusre din subah hi Chaila aane wala tha. Uske aane se pahle hi Aparijita waha ki baaten jaanne ke liye kuchh bandobast kar lena chahti thi.

Subcenter ke chief se mulakat


Arpita ne Arvind aur Aparijita ka parichay Nirmala se karate huye Nirmala ki  badmaaso se bahaduri se mukabla waala baakya bataya. 

Arvind aur Aparijita ne Nirmala ki dil se tarif ki. 

Arpita naye ban rahe subcenter ki jaankari dete huye waha ho rahe kaam ke baare me bata rahi thi.

Arpita ne bunglow ke ek hisse me ban rahe ek chhote office ko dikhaya jaha naye agents office set kar rahe the jo Arpita ki vaastavik ohde se naawakif the.  Arpita ko naye agents sirf apne reporting officer ke taur par jaante the.

Aparijita basement me huye tabdili ko dekh kar bahut khush hui.  Basement ke hisse ko pahle se jayada bara kar diya gaya tha.  Basemant upar bane hisse se bahut jayda faila hua tha. Morden technogies se lais complete server room basement me puri tarah se parichaalan me aa chuka tha. Waha ek opertion theater bhi mauzud tha. 

Arpita ne basement ke ek hisse me bane kuchh kamre dikhaye jo kisi ko qaid rakhne me kaam aane wale the. Waha  kai kamre eise bhi the jo entrogation ke liye specially banaye gaye the. Ek hisse me unka anumination house bhi tha jaha saare latest hatiyaar uplabdh the. Qaidkhane waale kamro ke paas ek conference-hall bhi dikha jiske kuchh chair me haath jakarne ka bandobast tha. In chairs ki mauzudgi aur waha lage instruments bata rahe the ki yaha qaid kisi qaidi se baatchit karne ke liye isse specially banaya gaya hai. 

Arpita unhe basement ke garage waale hisse me le gayi. Garage ka shutter usne andar se band kar diya aur ek chhupe button ko dabaya. Button ke dabte hi garage ka ek hissa kisi lift ki tarah niche jaane laga. 

Lift basement se ek floor niche jaa kar ruki. Arpita ne unhe bataya fully loaded truck ka bhaar bhi yeh lift utha sakti hai.    

 Niche waale basement me jayda kamre nahi the. Iska bhaut jyada bhaag khali dikh raha  tha. Ek hisse me kuchh sports bike aur kuchh bare-bare boxes rakhe dikh rahe the. Yaha bhi ek confrence  haal bana tha jo upar waale se kai guna bara tha. 

----------------------------------------------------------------------------------------

Arpita ne  Arvind ko Aparijita aur apne kaam ki jaroorat ki cheezo ki ek list thamate huye unhe ekktha karne ko bhej Aparijiita ke saath confrence haal me baith gayi.

"Abhi aas-paas ke logo se baat chal rahi hai jo final stage par pahuch chuki hai. Aas-paas jagah hamare paas aate hi bunglow ke bache hisso aur naye haasil jagah ko mila yaha nursing home se lekar kai tarah ke office khole jaayenge. Yaha se UP ke aalaba Madhya-Pradesh, Chhattisgarh, Jharkhand  aur  Bihar par aasani se nazar rakhi jaa sakti hai. Waise kuchh mahine baad pura North India ka command center yehi hone waala hai.  Delhi ke baad ye dusra sabse bara Sarfarosh ka center banega. Baad me  South India me bhi isi tarah ka subcenter banne wala hai.  ..." Arpita Aparijita ko Sarfarosh ke future plan ke baare me batate huye uski rai jaanani chahi.  

 Aparijita ne apechha ke anurup hoi rahe kaam aur bhavisya ke kaam ki rup-rekha par apni rai rakhi jise Arpita ne turant note kar liya.

"Accha sun, maine tere teacher wale kaam ko pura set kar diya hai. Dinesh ke district ka ek local agent aur Saitan Singh mil kar saara kuchh sambhal lenge. Main chahti hoon ki kal subah wo log tumhare saamne yaha se jaye taaki unhe agar kuchh puchhna ho to bejijhak puchh sake. Tu aaj yehi ruk jaa. Mujhe tujhse kai vishayo par baaten karni hai jo abhi hone wali meeting ke wajah se nahi ho payegi." Arpita ne sanjidgi se kaha.

Aparijita ne Ghanshayam ko phone kar  kal Dinesh aur usko yaha milne ko kaha. 

---------------------------------------------------------

Buglow ke drawing hall me Arvind, Arpita aur Aparijita baithe baaten kar rahe the. 

Tabhi  45-50 saal ka gora chitta tandarust khusmijaj dikh rahe local chief ne waha pravesh kiya.  Local center ka chief hone ke baawjud Arpita aur Aparijita us se zarurat parne par us se report maang sakti thi.  

"Aparijita aur Arvind inse milo. Yeh Dr. Ritesh hai jo yaha ban rahe subcenter ke naye local chief hai. Inhone surgery me desh-videsh me kaafi naam kamaya hai. Inka ek bahut bara hospital Sonbhadra me hai. Desh ki vartmaan haalat ko badalne ki chaahat me inhone Sarfarosh join kiya tha."

Dr. Ritesh ne sabse haste hue haath milaya. Ritesh thore der me hi sabse eise ghul-mil gaya jaise unhe barso se jaanta ho.  Arvind thora sakucha raha tha kyuki wo yaha sabse junior  tha.

"Are bhai, tum itna sankoch kyu kar rahe ho. Main tumhara chief hoon; iska matlab yeh to nahi ki tumse hans kar baat bhi nahi kar sakta. Kaam me main koi kotaahi bardast nahi karta hoon; par saath me unnecessary apne logo ko tension bhi nahi deta hoon.  Sarfarosh me sabhi ek pariwaar ki tarah kaam karte hai tabhi hum safal hote rahe hai. " Ritesh ne Arvind ke kandhe par haath rakhte hue kaha.

Ek ghante tak meeting chalti rahi jisme jayadatar Arvind se hi report talab ki jaati rahi. Ritesh ne Arvind ko kuchh naye kaam saupe aur uski report sidhe Arpita ko  karne ka nirdesh de  use lautne ko kah diya gaya.

==========================================

Aparijita, Arpita aur Ritesh,  Nirmala dwara banayi gayi pakore ka aanand le rahe the. Arpita me Nirmala ka praichay Dr. Ritesh se karaya. Arpita ne Dr. Ritesh ka parichay apne pita ke karibi mitr ke roop me Nirmala ko diya.

"Aapse  milke bahut khusi hui. Arpita se aapki himmat aur logo ko madad karne ki aapke zazbe ki bahut taarif suni hai. Mera yaha ek hospital hai. Aap waha har saam ko aao. Main aapko first-aid ke baare me training dilwa dunga aur thori bahut jaankari nursing ka bhi dilwa dunga. Iss training se se aap jaroorat parne par kisi ki aur bhi acchi tarah madad kar paayengi. Rupaiye - paise se to kai log madad karte hain par asli test to tab hota hai jab apna pasina baha kar kisi ki madad karni parti hai. Kya aap taiyar ho?" Ritesh ne Nirmala ki tarif karte hue puchha.

"Main chahti to hoon par mere nahi rahne par madam ko bahut takleef ho jaayegi. Isliye main nahi aa payungi." Nirmala ne sakuchate huye kaha.

"Are tum meri fikar naa karo. Tum uncle ke yaha kal se  hi jaana suru kar do. Yaha saam ko waise bhi koi khaash kaam to rahta nahi hai." Arpita ne turant kaha. 

Nirmala khuhi-khushi waha se chali gayi. 

"Chief ne Saitan Singh ko Sarfarosh ke kaam me aur active role dene ke liye kaha hai. Arpita dwara diye gaye kai chhote-mote kaamo ko usne bakhubi nibhaya hai. Kal ke mamle ko bhi wo dhang se handle kar lega eisi umeed hai." Ritesh ne Arpita ki aur dekhte hue kaha.

Arpita ne Aparijita ko Saitan Singh dwara kiye gaye haal ke kaamo ke baare me bataya.

"Hume Nirmala ki umar ki ek aurat ki jaroorat hai jo jaroorat parne par kisi ke ghar naukarni ya nurse banke jaa sake." Ritesh Niramala ke baare me apne vichaar bata raha tha - "Uska sansaar me koi nahi hai. Wo nidar hai aur dusro ke madad ke liye jaan par khel jaati hai. Main dheere-dheere use Sarfarosh ke rang me dhaalne ki kosis karunga."  

-------------------------------------------------------------------

5 minutes baad.

Ajay Rai se video conferencing ke jariye sabki baat ho rahi thi.  

Arpita aur Ritesh ko Ajay ne saath mil kar iss local center ko functional banane ki jimmedaari saupa. Aparijita ki main focus point Premnagar mission tha, par use  samay-samay par subcenter ke kaamo me  bhi help karne ka nirdesh diya gaya.  

Takriban 2 ghante tak meeting  chali jisme Ajay ne Arpita aur Ritesh ki kai dusre agents se video confrencing ke jariye baat karwaayi. Aparijita agents ki online meeting ke dauran online hidden hote huye sabki baaten observe kar rahi thi. 

Ajay Rai se meeting khatam hone ke baad Arpita ne sabko coffeemaker se coffee bana ke serve karte huye computer se jure ek touch-screen par India ka map dikhate huye baat kar rahi thi.

Arpita screen par map ko chhota-bara karke un jagho ke baare me  bata rahi thi jaha Sarfarosh ke members dikhaba ke liye koi aur kaam kar rahe the. Oat waale offices me  courier service se lekar resturant tak the. Screen par sabhi jagahe ek  chamkile taare ke rrop me dikh rahe the. 

Agle 90 minutes tak vichaar-vimarash chalta raha. Kuchh jagaho ko mark kiya gaya jaha ke purane agents ko promote karke unke under kuchh naye agents diye jaane the.  Cover ke liye jin business ko chalaya jaa raha tha unme se kuchh ko aur jayada logo ke oat ke liye phailane ka bhi nirnay liya gaya.

Dinesh ke maasterji ko help karne ke bahane ek company  sthapit kar  logo se auto, car aur truck lease par leke unhe kuchh khas-khas illake me chalwaane ka sujhaab Arpita ne diya. Iss se Sarfarosh ke apne members, khabariyu aur dusre kaam ke logo ko rojgaar aur cover dono mil sakta tha. 

Arpita ka sujhab turant maan liya gaya.
==========================================