Saturday 30 March 2019

Aparijita Ki Dimagi Chaal

2 din baad Premnagar me ek bari sabha ho rahi thi. Premnagar ke alaba Dadauli, Abhaipur, Chaila aur Phulpur se bhi log aaye the. Inn gaun ke sabhi mahatpurn logo ko khaas taur par bulwaya gaya tha. 

Javed khan mike se sabha ko sambodhit kar raha tha.

Premnagar se dur Arvind ke service station ke saath bane ek cabin me Aparijita, Arpita aur Arvind ki meeting chal rahi thi. Arpita sirf iss meeting ke liye khaas taur par Sonbhadra se aai thi.  

Halaki Javed ne Aparijita ko gaun ke meeting me rahne ko kaha tha par usne Javed ko yeh kah kar mana liya tha ki itni public ke bich jaane se wo sabke najro me aa jayegi aur wo abhi kuchh waqt tak eisa nahi chahti hai.

Police team ke Jagga dwara istemaal thikane ke talashi ke baad Aparijita akele ekaant me chhan-bin karne gayi thi. Aparijita ko bari cahalki se farsh me chhipaya gaye kuchh hathiyaar ke box aur ek diary mili thi.  Aaj subah hi Aparijita un boxes ko Arvind ke saath yaha le aayi thi.

-----------------------------------------------------------------

Gaun ki meeting me

Javed khan ne sabse pahle sabhi upasthit khaas logo se un gaun walo ko mala pahanwa kar  sanman karwaya jo badmaso se mukable me ghayal huye the. Uske baad usne unki aur baaki gaun walo ki himmat ki jam kar taarif karne ke baad aage bolna suru kiya.

“Aap log Ramdayal kaka ko jaante hi hain. Inhone hamare gaun ka naam pure desh me rosan kiya hai.  Inke wajah se hi log ab humare gaun ka naam jaanne lage hain.  Ramdayal kaka ne kisi ke jariye mujhse eisi peskas ki jise main naa naa kar saka.”

Ramdayal ekdam se achambhit ho gaya. Usne to koi peskas ki hi nahi thi. 

Ramdayal ko samajh nahi aa raha tha ki kyu Javed besir-pair ki baat kar raha hai. Halaki usne kosis kar apne ko sambhal apne chehre par koi bhaav aane nahi diya.

“Inhone 30 lakh ki rakam gaun ke liye diye hai. Wo rakam humne gaun ki awadi aur zaroorat ke hisab se panchayat me meeting karke paancho gaun me baat di hai. Hum gaun wale mehnatkash log hai. Agar  hum shramdaan de to iss rakam se hum kaafi kaam kar lenge. Ramdayal kaka ne apni gadhi pasine ki kamai hume di hai to humara bhi farz banta hai ki hum bhi kuchh pasina bahaye aur unke khun-pasine ki kamai ka maan rakhe!" 

Javed khan takriban 20-25 minute tak Ramdayal ki pahle ke yogdaan, gaun walo ki ekta, himmat jiase vishayo par bolta raha. Javed Khan ki bolne ki kala ka jaadu aur uske prati gaaun waalo ke vishwaas ke kaaran ek pal bhi eisa nahi aaya jab kisi ne sabha me uski kisi baat par ashamti jatayi ho.

Jaise hi Javed ka bhasan khatam hua gaun walo ne Ramdayal ko kandhe par utha liya.

Charo taraf “Ramdayalji Zindabad! Ramdayalji Zindabad!” ka naara lagne laga.

Ramdayal Aparijita ka karnaama dekh kar aascharyachakit tha. 

Ramdayal ne to samjha tha ki Aparijita ne fees ke taur par 30 lakh rakh liya hai; halaki iske liye use koi malaal bhi nahi tha kyuki Aparijita ne uske bete ki jaan nischit maut se bachayi thi. Par Aparijita ne to uski dhaarna ko galat saabit karte huye use logo ke bich nayak bana diya tha. Aaj eise-eise log bhi aakar Ramdayal ki taarif kar rahe the jo peeth piche uski burai karte phirte the.

Ramdayal ke anubhavi nazaro ne dil se ho rahi iss prasansa ko pehchaan liya tha.  

Ramdayal ke band hontho se Aparijita ke liye duaye nikal rahi thi. Uska sar us undekhe neeli chhatriwale ke prati shradha se jhunk raha tha jisne use yeh din dikhya tha.

-----------------------------------------------------------------------

Service station me

Gaaun me ho  rahi saari ghatna ki detail meeting me mauzud Gopu ne Aparijita ko de di thi. Halaki wo  nahi jaanta tha ki 30 lakh ki rakam Ramdayal ne nahi balki Aparijita ne Ramdayal ke naam se Javed Khan ko di hai. Kafi logo ne Javed se janana chaha tha ki wo kaun tha jiske jariye Ramdayalji ne rakam bhijwayi thi. Par Javed ne kisi ko bhi nahi bataya. Javed ne sabko yehi  kaha ki yeh us bande ki iccha thi ki uska naam kanhi naa aaye; isliye yeh raaj sirf Ramdayal aur wo jaanta hai aur yeh unhi ke saath-saath iss dunia se chala jaayega.    

Aparijita ne gaaun me hui  meeting aur uske baad ke mahaul ke baare me Arvind aur Arpita ko bataya.

“Tumne to kamal kar diya. Itni jaldi pure illake me apni chhap chhor di.” Arpita ne Aparijita ki pith thapthapte hue kaha.

“Nahi, isme mere karnaame se jayada paristhithio ka haath hai. Maine Ramdayal ke liye dusra plan socha hua tha jisme 1-2 mahine ka samay lagta. Par  Ramdayal ke bete ke apharan ne ek avasar diya to maine pahle ke plan me hi thora change kar agla plan bana liya. Sabkuchh planned way me hua to cheeje theek hoti chali gayi. Maine mauke ka fayada utha kar Javed ko Ramdayal ke 30 lakh gaun me kaam karwane ke liye de diya. Maine saath hi Javed ko yeh Idea bhi sarka diya ki agar gaun wale kuchh kaamo me apna shram-daan kare to limited rupayo se bahut jyada kaam kiya jaa sakta hai. Tum log dekh lena sirf 30 lakh ki chhoti rakam me inn pancho gaun me itna kaam hoga, jitna govt 1 karor ke fund se bhi nahi kara paati.”

Aparijita ke antim sabdo me itni dridhta jhalak rahi thi maano wo 100% jaanti ho ki gaunwale yeh kar ke dikhayenge .

“Yaar, tu to zaroorat se jayada vinamr ban rahi hai. Jis taraf se tumne iss ek avasar se itne kaam nikal liya, uski taarif to banti hi hai."  Arpita ne apne haanto me Aparijita ke haanth thaam thapthapate hue kaha.

Arpita Arvind se mukhatib ho use Aparijita ke kaarnaame ke baare me detail me batane lagi

"Arvind dhyan se dekho Aparijita ne iss avasar se kitne kaam nikal lia

Number 1, agar apharankarta apne maksad me kaamyab ho jaate to pura mission hi khatre me par jaata. Aparijita ne naa sirf apharn ko naakam kiya balki usme saamil jyadatar apradhiyo ko akele maar giraya.

Number 2, usne thane ke saare staff ko apne saath kar liya. Ab wo log Aparijita ke liye apni jaan bhi de sakte hai.

Number 3, Javed Khan jaisa gaun ka sabse bara influential banda iska murid ban chuka hai. Javed khan ke favor me hone se gaun walo ka saath ab Aparijita ke saath hai. Agar kal ko koi baat bigrati bhi hai to Javed gaun walo ko sambhalne me kaam aayega.

Number 4, Ramdayal ek baar phir gaun se jur gaya hai aur Aparijita ka aaj ke date me sabse bara fan ban chuka hai. Ramdayal ka saath indirectly hume mission me madad karega. Saayad hum Sarafarosh se jure dusre missions me bhi Ramdayal se indirectly kaam len.

Number 5, Javed ke dawara gaunwalo ko khabardaar kiya jaa chuka hai ki kuchh log yaha ashanti phailana chahte hai. Encounter ke baad Aparijita ne jis tarah se paristhithi ko sambhal gaaun waalo ko apne saath jora hai us se aaj ke date me police se jayada gaun wale chaukanne hai.  

Agar tum gaur karo to Aparijita ne jo kaam hafto me kar diya hume laga tha ki kai mahine lagenge. Apharan ko naakam karte huye us ghatna se itna kaam nikala jaa sakta hai eisa maine kya kisi ne  socha tak nahi tha.”

Arpita ke sabdo me thori si bhi chaplusi nahi jhalak rahi thi. Uske sabdo me waisa garv ka bhaav tha jo  apne kisi khaas ke acche kaam karne par dil se utpann hota hai.

“Madam, aapne Gopu ko kaise raaste par laya. 2-3 din pahle mai us se mila tha. Wo kaafi khusmizaz dikh raha tha.” Arvind ne Aparijita se puccha.

Arvind ke sawal par Aparijita aur Arpita dono ke chehre par muskan aa gai.

“Gopu ko raaste par laane me mujhse jayada khud uska haath hai. Koi bhi banda nirasa se bina apni iccha- sakti ke bahar nahi aa sakta hai. Is maamle me Arpita ka bhi bahut bara yogdaan hai.”

“Madam, zara detail me bataye.” Arvind ne utsukta dikhate hue kaha.

Aparijita  muskurate huye batane lagi.

“Mai  pahle hi din me  samajh gayi thi ki Gopu kaafi had tak apne nirasa se apne saathiyo ki madad se bahar aa chuka hai. Ab use bas thora iss tarah se push karna tha ki wo khud par niarasa haabi na hone de. Hota kya hai, jab  tumhare dimag me pahli baar nirasa ki lahar uthane lage aur usi waqt tumne use apne positive thinking se rok diya, tab to tum uspar kabu paa sakte ho; nahi to wo tumhe apne saath baha le jaati hai. Isko tum kuchh iss tarah samjho, tumne saant pani me ek kankar pheka tab kya dekhte ho ki pahle ek chhoti se circle banti hai aur phir wo circle paani me badhti chali jaati hai.  Aur agar tum us circle banati chhoti lahar ko pahle hi khatam kar dete ho to ye failab aage nahi jaa paata. Isliye yeh jaroori hai ki dimag me jab bhi eisi koi nirasa ki lahar sar uthane lage to hum use suru me hi sakratmak soch se kuchal de."  Aparijita ne Arvind ko samjhate hue kaha.

Arvind ne sar hila kar Aparijita ki baat par apni sahmati jatayi.

"Gopu ko maine pahle to uski manpasand hobby gaane se aur jyada jorna suru kiya. Wo ek budhimaan insaan hai; isliye use sidhe-sidhe ya ghuma-phira kar salaah dene se uske bidak jaane ka khatra tha. Ek din jab wo mere saath jungle ke routine round par tha tab maine waha ek sare hue paani se bhara ek chhota gaddha dekha jiske paas hi ek saaf pani ki naali bah rahi thi. Maine iss mauke ka fayada uthaya.”

Itna kah kar Aparijita muskurate hue Arpita ki aur dekhne lagi.

“Wo aapne kaise kiya madam?” Arvind ne utsukta se puchha.

Arpita bhi muskurati hui Arvind ki utsukta dekh rahi thi. 

Aparijita Arvind ko waha hui saari baat batane lagi.

"Main paani ke gaddhe ke paas ruk gayi aur gaur se pani  ko dekhne lagi." 
 
Gopu mujhe ruk kar paani ko dekhta paakar mere paas aa gaya.

“Madam aap paani me kaya dekh rahi hai.” Gopu ne aascharya bhare swar me puchha.
 
Main thori der chuup rahi phir sochne ki acting karte hue boli.

Main dono jagah ki paani ko dekh rahi thi to laga ki prakirti mata mujhe iske jariye kuchh batana chah rahi hain. Aur abhi-abhi mujhe samajh me aa gaya ki wo kaya batana chahti hain.”

“Mujhe bhi bataye madam; aapko paani ne chupke se kya bata diya” Gopu ne muskurate hue puccha.

“Yeh behta hua paani kah rah hai; hum dono ko dekho. Pahle hum dono ek jaise hi the. Wo wahi thahar gaya aur dhire dhire sar gaya; jabki mai nirantar bahte rahne ke kaaran aaj bhi theek hoon. Mujhe paani ki baat samajh me aa gayi ki yehi baat hum insano ki jindgi ke saath bhi hai. Jo baato ko pakar kar baith jaata hai; uska jeevan gaddhe me pare paani ki tarah sarne lagta hai. Par jo hamesa waqt ke saath aage badhta rahta hai, uska jeevan bhi nayi uchaayio ko chhuta rahta hai. Mujhe to lagta hai, Gopu ki agar hum prakirti ko karib se dekhte rahe to wo hume kitabi gyan se jayada sikha sakti hai. Tumhara kaya vichar hai.
 
Us din to Goup sirf sar hila kar rah gaya tha, par main jaanti thi baat zarur uske zehan ke kisi kone me surakshit rahte huye uske avchetan man par iska asar dikhayega. Dusre din maine Arpita dwara diya gaya ek number Gopu ko diya. Maine Gopu ko yeh bataya ki yeh number mere ek saheli ke bhai ka hai jo ek train accident me apna pura pariwaar kho chuka hai. Iss baat ka bahut andesha hai ki kanhi wo koi galat kadam naa utha le. Uska main Gopu se parichay karana chahti hoon. Larki hone ke wajah se wo mujhse khul kar baat nahi karta hai, par mere kahne par wo Gopu se baat karta rahega.  Gopu us se har din baat kare aur use Jeevan se ladne me madad kare taaki wo suicide naa kare. Pahle to Gopu nahi maana, par maine use uske bhale nature aur dusri cheezo ka baasta dekar taiyar kara liya. Phir aage Gopu ko Arpita ne sambhal liya jo us se mard ban ke baat karti thi. Iski detail tumhe Arpita hi batayegi.

Aparijita ne muskurate huye  Arpita ki or dekha.

“Mai use din me kai baar phone karti aur roti rahti ki main sucide kar lunga, mujhe charu taraf andher najar aata hai bagaira-bagaira ... Ek hafte me mujhe suicide karne se rokne ke liye Gopu ne mujhse bahut baaten ki. Kaise niraas naa ho zindgi se lare, iss par usne kai saare jhute-sacche kisse mujhe sunaye. Use pata hi nahi chala ki kab meri madad karte-karte khud uski zindgi se depression chala gaya aur zindgi ke prati uski soch bhi badalti chali gayi. Main bhi dheere-dheere use yakin dilane lagi ki us se baaten karke main pahle se behtar mahsoos kar raha hoon. Jab Aparijita se mujhe signal mila tab maine use batana suru kiya ki mera jindgi ke baare me najariya badal gaya hai aur main ek baar fir se zindgi ke aankho me aankho me aankhe daal kar apna jeevan jiyunga. Ek din maine use bataya ki mai naye mile job ke liye kuchh saalo ke liye videsh jaa raha hoon. Uske baad us sim ko maine destroy kar diya.” Arpita ne muskurate hue kaha.

“Waah, madam manna parega! Aap dono ne eisa plan banaya  ki Gopu ne khud apni jung nirasa se lari aur kaamyabi bhi paayi. Par Gopu ko pata bhi nahi chala ki wo nirasa se apni jung khud lar raha hai.” Arvind khud ko taali bajane se nahi rok paya.

“Chalo, purani baaten bahoot ho gayi. Ab kuchh aage  ki planning kar le. Encounter baali bakye se ek baat aachi hui ki ab gaun wale bahari logo ke baare me jayada satark rahenge. Unhe kuchh bhi sandehaspad lagega to wo police ko turant khabar karenge. ” Aparijita ne baat ko morte hue kaha.

---------------------------------------------------------------------------------------------------

Sunday 24 March 2019

Ramdayal Ka Hriday Pariwartan

 Aparijita Javed Khan ki bike le khet me pheka gaya bag aur waha gira apna sikari chaku utha apne quarter ki or chal pari. 

 Thore der baad Aparijita dusri dress pahan apne drawing room me baithi Ajay Rai se baat kar rahi thi. 

“Uncle, Abhi kuchh der pahle hi humne 5  badmaso ko maar  giraya hai. Main chahti hoo ki iske baare me police department koi media report naa jari kare. Ek baar media me khabar pahunch gayi to media waale din raat khabar chala chala kar iss area ko highlight kar denge aur  saath hi saath mera chehra bhi pure desh ke saamne aa jayega.” 

“Tum nischint raho. Kaam ho jayega.”  Ajay Rai ne Aparijita ko aashwat kiya.

--------------------------------------------------------------------------------------------

Aparijita thane pahunchi, uske haanth me rupaiyu se bhara bag bhi tha.  Usne bag se 30 lakh ki rakam nikal li thi. 

Abhi tak Ghanshyam aur baaki ke log thane nahi laute the. Aparijita ne Ramdayal ko thane  me aake us se milne ko kah ghayal logo ke baare me khoj-khabar li to pata chala saare  logo ko hospital se chuuti de di gayi hai.  Par Rohit ko abhi kuchh din rest karna parega.

Thori der me Ramdayal aur Ghanshyam dono jeep lekar waha aa gaye. Jeep me Ghanshyam charo badmaso ki lasse bhi le aaya tha.  

Ramdayal Ghanshyam ko raaste me mil gaya tha. Ghanshyam ne use kaise Aparajita aur unlogo ne badmaaso se mukabala kiya  detail me batata aaya tha.

Ramdayal Ko Kailash ne bata diya tha ki badmas use jaan se maarne wale the par Aparijita ne uski jaan apni jaan zokhim me daal bachai thi. 

“Madam, aapne mere bete ki jaan bacha kar mujhe kharid liya hai.  Agar mai aapke kisi bhi kaam aa saku to main apne aapko khushkismat samjhunga.”  Ramdayal ne Aparijita ke saamne haath jorte hue kaha.

“Ramdayalji , aap to meri jaroorat se jyada taarif kar rahe hain.  Iss me sabsa jyada taarif wala kaam to gaun waalo ne kiya hai. Unhone badmaso ko khader kar us makan me gher liya tha; agar wo waha nahi ghire hote to hum kabhi bhi unhe nahi dekh paate. Kuchh gaun waale badmasso se mukabla karne me ghayal bhi hue hain. Hum unhe gher tabhi paaye jab Javed Khan aur gaunwalo ne raasta band karke unhe nahar wale raaste se jaane ko mazboor kar diya." 

Aparijita Ramdayal ko samjha rahi thi ki unka kaam gaun waalo ke sahyaog ke bina sambhav hi nahi ho paata.  

"Hum policewale to gaun waalo ke sahyaog ke bina kuchh kar hi nahi paate. Main jaanti hoon ki aap gaun waalo se picche hui kuchh ghatnao se kuchh naraz hain. Par main yeh bhi maanti hoo ki zaroorat par jo aapke kandhe se kandha mila kar khara rahe, wohi saccha hiteshi hota hai. Aaj gaun waalo ne saabit kar diya ki wo aapko kitna pyar aur sanman dete hain. Wo aapke liye apni jaan par khel gaye.”   Aparijita Ramdayal aur gaun waalo ke risto par pari dhool bari budhhimani se saaf karne ki kosis kar rahi thi.

Ramdayal ki aankho me aanso bhar aaye.  Uska gala bhar aaya tha.

“Aap sahi kahti hain, madam. Inlogo ne jis tarah jaan par khel kar mere bete ko bachane ki kosis ki waise to aaj sage bhi karne se bachte hain. Abhi maine jab ek ghayal gaun wale se puccha ki kyo usne apni jaan khatre me daali to usne kaha, "kaka,  aapne itna bare aadmi hote hue jo hum gaun waalo ko izzat di aur har waqt madad ki unske badle ye to kuchh bhi nahi hai.''  Ramdayal ka gala bhar aaya tha.

“Sachh to ye hai madam, maine gaaun waalo ki mamooli madad hi ki hai; jaise kisi ke bachho ke liye school-collage ki fees de di, kisi ke liye kitabe  laa di, kabhi kisi ke illaz karwa diya aur kabhi-kabhi kisi ki larki ke saadi me baratiyo ko khilane ke liye apne yaha se anaaz bhej diya.”

Ramdayal bolte bolte ek baar ko ruka.

“Madam, jitna rupaiye maine gaun par kharch kiye uss se kahi jayada maine Dilli sahar me waha ke logo par kharch kiye hai. Par waha to jayadatar logo ne thanks bhi aaj tak nahi kaha. Maine peeth peeche logo ko yaha tak kahte suna ki ye sab mera dikhaba hai aur main kaale dhan ko safed karne ke liye ye sab kar raha hoo. Mujhe syad rupaiye ki chamak ne magroor bana diya tha. Iss liye kuchh chhoti baato ko apni prathistha ka prasn bana kar gaun waalo se dur hota chala gaya, jabki unhi baato ke liye maine Dilli waalo ko maaf kar diya tha.”

“Ramdayalji isme aapka utna kasoor nahi hai. Waqt humse eise khel khelta hai ki hum usme uljah kar galat dhaarna bana lete hain.” Ramdayal ko  Aparijita ne santawna dete hue kaha aur wo uske saath bag utha kar akeli bahar ki or chalne lagi.  

“Maine issme se kuchh rakam inaam ke taur par rakh li hai.” Aparijita ne Ramdayal ko bag thamate hue kaha.

“Madam, aap chahe to pura bag rakh sakti hai. Waise bhi kisi bhi aapke alaaba kisi policewale ko bag ke baare me pata nahi hai. Wo samajh rahe hain ki encounter ke dauran bag nahar me gir gaya hai. Agar aap bag rakh bhi leti to kisi ko pata nahi chalta.”

“Mujhe jitna jaroorat tha; maine wo nikal liya hai. Aasha karti ho ki aap gaunwaalo ka pyar yaad rakhenge.”
-------------------------------------------------------------------------------

Ramdayal ke jaane ke baad Aparijita thane me meeting kar rahi thi. 

Aparijita ne encounter me saamil har bande ki jam kar taarif ki. Aparijita ne ek baar bhi unki dwara ki gayi galtiyo ke baare me jikr nahi kiya. 

Aparijita ne apne banaaye rule, “Taarif sabke saamne aur criticism us vayakti ke saamne akele me karna”  ka hamesha paalan karti thi. 

Iss encounter ne thane me Aparijita ko a naye roop me sthaphit kar diya tha. Abhi tak thane ka staff uske multi-talented dimaag aur bhalmansahat ke kaayal the, ab wo uski dileri ke bhi kaayal ho gaye the. 

Aparijita ne Rohit ko jis tarah se nischit maut se bachaya tha uss se sabhi uske fan ban gaye the. 

Sabse phale Ghanshyam ne phir Rohit ne Aparijita ko "madam didi" kah kar sambodhit kiya.  Aparijita ne jab bhi staff ko ek pariwar ki tarah work karne ko kaha tha tab kuchh logo ne isse kori bhasanbaaji samajhta  tha. Par aaj ke encounter me unhone dekh liya tha ki unki madam unke liye apne jaan par bhi khel sakti hai. 

Aparijita ne meeting ke baad sabko ek-ek karke bulaya. 

Aparijita ne galti karne waalo ki pahle tarif ki, phir unhe samjhaya ki kaise unse kya galti hui aur kaise wo us galti ko dobara karne se bach sakte hain. Aparijita ka baatchit karne ka tarika eisa tha; jis se saamne wale ko yeh ek  sanjidgi se bhara suggestion laga na ki koi critcism.

Aparijita ke iss tarah se baat karne ka natija yeh huya ki jab bhi koi banda uski cabin se nikalta to uske chehre par apne dwara ki gayi karname par garv ki chamak hoti aur saath hi apni galti dobara naa duhrane ka dridh sankalp. 

Aparijita ne sabhi ko bata diya tha ki iss ghatna ke baare me usne media report nahi jaari karne ka request kiya hai taaki unlogo ka chaien media waalo ki chil-pau se kharab naa ho. Saath hi unhe hidayat di apne taur par unme se koi isse social media me phailaye. Aparijita ne sabhi ko itni acchi tarah se samjhane me kaamyab ho gayi thi ki kisi ne bhi media me apna chehra naa dikha limelight me naa aa paane par eitraaz nahi uathaya.

Aparijita ne Javed Khan ki gariyo ka tank full kara do constable se unhe Javed ke paas bhejwa diya. 

Encounter ke baad ki kaagazi karyawahi me saam ke 7 baj gaye the. 

Aparijita ne Javed Khan ko phone lagaya.

“Javed bhai, aapse kuchh jarori baat karni thi. Agar aap aa sake to accha hoga nahi to samay bataye main hi aa jayungi.”

“Madam,  abhi thora phasa hoon par mai 1 ghante baad thane aata hoon.” 

Javed Khan se baat karne ke baad Aparijita ne Gopu aur Harilal se akele rahne waale Rohit ke liye 1 hafte tak khane ka intazam karne ko kah iske liye w apne jeb se rakam de rahi thi.  Dono ne rakam lene se mana karte huye bataya ki unhe apne bhai ke madad ke liye koi madad nahi chahiye.

Idhar jab Rohit ko yeh sab pata chala to uske aankho se aanso bah nikale. Usne Aparijita aur Gopu ke liye peeche galat baaten kahi thi. 

Rohit ne jinlogo ki burayi ki thi, wahi log aaj uske liye jaan par khel gaye the; aur abhi bhi madad kar rahe the. Aankho se bahte paani ne uske dil ka mail saaf kar diya tha. Wo Gopu aur Aparijita se maafi maangna chahta tha par uska gala rundha hua tha. 

"Tumhe kuchh kahne ki jaroorat nahi hai. Tumhare aankho ke bahte paani ke saath galat baaten bhi dhul gayi. Gopu tum Rohit ko uske quarter tak chhor kar aayo." Aparijita ne Rohit ko dilasa de Gopu ke saath bhej diya.

Aparijita Javed Khan ke aane par apne quarter bhejne ko kah quarter ki or nikal pari.

----------------------------------------------------------------------------- 

“Aaiye, Javed bhai. Main aapka hi intzaar kar rahi thi.”  chai peeti hui Aparijita Javed ko aate dekh uth use drawing room me laati hui boli.

Aparijita ne Javed ko ek chai ka cup pesh kiya. 

“Madam, gaariyo ki tank full karane ki kya zaroorat thi. Gaari to gaun ke kaam me hi lage the.”

“Javed bhai, kaun sa main apne jeb se de rahi hoon. Humne aajkal thane me apne emergency ke liye petrol rakhna suru kar diya hai; yeh usi stock me se tha. Main nahi chahti ki hum eisa koi kaam karen jis se log hume aage madad  karne se pichhe haten. "  Aparijita ne muskurate hue kaha. 

Aparijita ki chaturai bhari baat par Javed bhi muskura para.

"Aap chhoriye us baat ko. Maine aapko yaha ek serious matter par baat karne ko bulaya hai. ” Aparijita ne serious hote hue kaha.

“Aap bataye, madam.” Javed ne sanzida hote hue kaha. 

“Badmasso ke baare me ab tak kaafi jaankari mil chuki hai. Aapne aur kucch gaun waalo ne sabhi maare gaye baadmaso ke chehre to dekhe hi hain.  Yeh to aapko pata chal hi chuka hai ki wo larki aur uske saath ke 2 bande yaha ristedar ban kar rah rahe the. Unke kiraye wale ghar ki talasi me hume kaafi hatiyar bhi mile hai. Lagta hai ki unki planning sirf firauti basulna nahi tha balki iss ke aage bhi unka kuchh bara plan raha hoga. Iss baat ki sambhavna se inkar nahi kiya jaa sakta hai ki unse jure kuchh log aas-paas ke gaun se bhi ho.”

Aparijita ne pal bhar ruk Javed ki or dekha jo puri sanzidgi se uski baaten sun raha tha.

“Humse ek bahut bari chuk hui. Humne jab pichhle 6 mahino me iss thane ke had me aane waale paancho gaun me aake basne walo ki list banayi tab inlogo ke naam usme nahi tha. Hume pata chala hai ki jisne ghar kiraye par liya tha usne gaun me inhe apna ristedar bata rakha tha.” Aparijita ne thori naarazgi bhare swar me kaha. 

“Madam, wo bechara inki baato me phas gaya tha. Inn logo ne use uske mare baap se apne gahre riste ki patti padhayi thi. Unlogo ne bechaare ko bataya tha ki wo gaun me ek gupt research kar rahe hai; isliye wo logo ko apna ristedaar bataye taaki log unse khul kar baat kar sake."  Javed ne gaunwale ke taraf se safai di.

“Jo bhi ho, par hume chot to ho hi gayi. Main nahi chahti ki iss baat ko lekar gaun me koi hungama ho, isliye main police ki taraf se iss mamle ko jayada tul nahi doongi. Par main chahti hoon ki aap panchayat me iss baat ko rakhe aur apni had me aane wale har gaun me pichhle 1 saal me jitne bhi log aa ke base hai; unki photo aur detail panchayat office me jama kara kar un details ki ek copy humen den. Panchayat se yeh niyam bhi pass kara de ki naye purane har kirayedaar ki jaankari panchayat office me zald di jaye.”

Aparijita ki baat sunkar Javed ne rahat ki saans li. 

Aparijita ne jab Javed ko aane ke liye phone kiya tha tab gaaun me uski bujurgo ke saath kiraye par ghar dilwaane waale ko police se bachane ke baare me meeting chal rahi thi.   

“Madam, mai iss kaam ki ahmiyat ko samajhta hoon. 3-4 dino me hi main yeh kaam kara deta hoon. Main kal hi ek meeting bula kar sabko bol dunga ki saare kirayedaro ka 2-2 photo aur detail parso tak har halat me panchayat me jaama karaye.” Javed saste me jaan chhutata dekh turant bol para. 

“Pata chala hai ki  ek tantrik Chaila aur Phulpur me barabar aata hai aur 2-2 din rukta bhi hai. Uske baare me bhi pahle kisi ne nahi bataya.”

“Arre madam, aap tantrik baba ke baare me baat kar rahi hain. Wo to kisi ke yaha rukte hi nahi hain. Monday subah ko wo Chaila aa ke jungle me bane ek mandir me aate hain. Waha Tuesday raat tak rukte hai, phir raat me 11 baje ghane jungle me sadhna karne chale jaate hai. Thursday ko wo Phulpur me aate hai aur waha jungle ke paas ek khandhar me rukte hai. Saturday subah unko lene unka ek chela aata hai aur wo car se apne ashram laut jaate hain. Aapko unpar kisi tarah ka shaq hai kya? ”  Javed ne ascharya bhare swar me puchha.

Aparijita ne Javed ki aankho me tantrik ke prati shardha ki jhalank  dekhi.

“Madam, wo to kisi se ek chawwani bhi nahi lete hain. Yaha tak ki phal-mithayi tak bhi nahi. Unhone mere ek jatil rog ki ek eisi desi illaz bataya ki saalo se taklif de raha rog jar se khatam ho gaya.” Javed ne usi tarah shardha bhare swar me kaha.

Aparijita yeh sun  muskurayi.

“Are, aap bhi kaisi baat karte hain, Javed bhai! Eise nirlobhi insaan ab milte hi kaha hain. Yeh to vastav me prashansa ke kaabil hai. Main to yeh kah rahi thi waise log jo yaha kiraye par to nahi rahte par yaha barabar aate-jaate rahte hai unke baare me bhi aap note banake  share karen. Ab har banda tantrik baba jaisa nirlobhi to nahi ho sakta hai; un me se kuchh apraadhi bhi ho sakte hain. Tantrik baba ka jikra misaal ke taur par kiya tha.” Aparijita ne baat sambhalte hue kaha. 

“Theek hai, madam. Mai yeh kaam bhi kar dunga. Aakhir apne illake ko surakshit rakhne me madad karna mera kartway hai.” Javed ne sahmati jatate hue kaha.

“Thankyou, Javed bhai. Police bhala janta ke madad ke kaise kaam kar sakti hai. Aapko ek chhoti si taklif aur deni thi ......”

 Aparijita kuchh der tak Javed Khan se ek khaas kaam ke baare me baat karti rahi. 
--------------------------------------------------------------

Saturday 23 March 2019

Kallo aur Aparijita Ka Aamna-Saamna

 Aparijita  railing ke upar chadh kar phansi jeep ke dusre taraf pahunch bhagti bike par goliya chalane lagi. Uski ek goli bike ke handle se takrayi.

Jagga ka haath pal bhar ko kaanp gaya.

Jagga bike sambhal nahi paaya aur bike gir pari.

 Jagga bike ke saath ghasitata hua aage chala gaya jabki Kallo us se kaafi dur picche gira tha. 

Sarak par ludhkat Kallo ke kamar me fansa revolver nikal kar sarak ke neeche se bahti ek naali me gir para. 

"Jagga, tu nikal par hum sabka badla inn sabse zaroor lena." Kallo ne Jagga se chilla kar kaha.

Kallo samajh raha tha ki agar wo Jagga ke paas pahunch kar uske saath bhagne ki kosis karega to dono me se koi bhi nahi bhaag payega. 

Jaha Jagga gira tha us se chand kadam ki duri par sarak mur gayi thi. Isliye Aparijita waha tak pahunche bagair bhaagti bike par goli nahi chala sakti thi jabki Aparijita ko waha tak pahunchane me bhi kuchh samay lag jaana tha.  

Jagga ne ek baar bebsi bhari nigaah se Kallo ki aur dekha aur bike utha kar bhag nikala. Idhar Kallo bhi jungle ki aur kheto se hota hua bhaga.

Aparijita daurti hui pahunchi par bike aage mor par mur chuki thi.

Ab tak baaki policewaale bhi waha aa gaye the.  Unhone Aparijita ko inform kiya ki unki gun bekaar ho chuki hai. Aparijita ne Gopu ko apni gun aur extra goliya di aur baakiyo ke saath mil kar police jeep ke wireless se aage ke chaunki ko Jagga ki khabar de use gherne ke liye kaha. 

Aparijita ne Dinesh aur Japu ko jeep hata ke raasta saaf karne aur Ghanshyam ke waha pahunchane par laaso ko thane le jaane ko kahne ko kaha.

"Madam, aap us badmas ke peeche akele jayengi. Hum me se kisi ko saath le leti." Japu ne chintit swar me puchha .

"Suresh hosh me nahi hai aur agar main kisi ko saath leke jayungi to yaha tum 2 log hi rah jayoge.  Jeep ko raaste se hatana  bhi 2 logo ke bas ki baat nahi hai. Bhagte badmas ke paas gun nahi hai; agar hoti to wo use ab tak hume istemaal kar chuka  hota. Wo girne se ghayal bhi hai. Main bas thori dur uska peecha karungi agar wo jungle me jayda andar ghus gaya to chinta mat karo main uske peeche naa jaa ke wapas aa jayungi. Tum logo ko apne madam par itna bharosa hona chahiye ki main usko sambhal lungi. Yaha tum log nihatte ho aur agar inka koi aur sathi gaun me hua aur yaha pahunch gaya to apne saathiyo ki laas dekh kar tumhe nahi chhorega."   Aparijita ne unhe samjhate hue kaha.

Thori naa-nukur karte huye sabhi apne-apne supurd kaam karne nikal pare.

Aparijita teji se Kallo ke picche bhagi. Use dur bhagta hua Kallo dikh raha tha jo jungle me ghush chuka tha.  

Aparijita dwara pahle gaaun ko samjhne par ki gayi mehnat aaj kaam aayi.  Aparijita ne ek dusra  shortcut pakra.

Aparijita Kallo tak bas pahunchane hi wali thi. 

-----------------------------------------------------------

Idhar Suresh hosh me aa chuka tha. Policewalo ko dekh kar pool ke niche chhipa larka bhi nikal kar unke paas aa gaya tha. Agle thane ko farar Jagga ki khabar dene ke baad sab mil ke police jeep ko sidha karne ki kosis kar rahe the. 

Aparijita ne teji se mor daur kar paar kiya.

Aparijita ab Kallo ke chand kadmo hi peeche thi. 

Kallo ko itni teji se bhagte dekh kar Aparijita  ko thora acharya hua kyuki bike se girne ke kaaran Kallo ko jabardast chot lagi honi chahiye thi. Aparijta nahi jaanti thi ki Kallo ko koi gambhir chot nahi aayi thi; sirf pair ki ek nas khich gayi thi jise usne ek pahalwan se shikhe ek desi tarike se khet me ghuste hi kheench-taan kar kaafi had tak sahi kar liya tha .

Kallo ne dard ko haabi hone se rokne ke liye gaanje (Marijuana) ki cigarette ka isstemaal kiya tha. Gaanja ke pinak me wo apna dard bhul chuka tha aur pahle se jyada teji ke saath daur raha tha. 

Kallo ne apne picche bhagti Aparijita ko naa sirf dekh liya tha balki uske bhai ko maarne wale ke taur par pahchan bhi liya tha. 

Kallo ke nazaro se yeh chhipa nahi tha ki Aparijita ke peeche aur koi nahi aa raha hai. Wo iss  mauke ka fayda utha kar apne bhai ki maut ka badla lena chahta tha.

Aparijita ne daurte hue Kallo ko peeche se haath se dhakel kar gira dena chaha. Par Kallo usi waqt thora baye kheesak kar ruk gaya jiske karan Aparijita apne veg me aage ki or girne jaisi ho gayi. Iska fayda uthate hue Kallo ne Aparijita ko peeche se pet se pakar kar jakar liya aur use lekar paas wali dhalau zameen par kud gaya. 

Kallo aur Aparijita dono teji se ek dusre se lipte dhalau zameen ludhakte jaa rahe the. Aparijita ne apne chehre ko zakhmi hone se bachane ke liye apne hatheliyo se apne chehre ko dhak liya.

Dono dhlan par ludhkte jaa rahe the ki tabhi Aparijita ka sar ek chhote se pathar se takraya.

Aparijita ke aankho ke saamne dhori der ke liye andhera saa chhane laga. 

Kuchh dur tak laudhkane ke baad dono ek dusre se chhitak kar alag-alag 2-3 feet ki duri par gire the.

Gaanje ke dam aur bhai ki maut ne Kallo me bahut jayada himmat aur gussa bhar diya tha. Idhar Aparijita ke ankho ke ssamne se andhera abhi puri tarah nahi hata tha. Wo Zameen par peeth ke bal pari thi. Uske chehre aur baalo me ghass-phush bhar gaya tha.

Kallo daurta hua aake Aparijita ke jaangho par baith gaya.  

Kallo ne  Aparijita ke shirt ko gale  ke niche se bayen haath ki mutthi se  pakar kar Aparijita ke sarir ko thora se utha dahine haath se uske chehre par chaante barsane laga . 

Chaanto ne gum ho rahe Aparijita ke hosh ko vapas thikane par laa diya. 

Aparijita ne apne jaangho par baithe Kallo ko dekha. Kallo ne josh me Aparijita ke haantho ka koi bandobast nahi kiya tha. 

Aparijita ne jhatke se apne dono haanth hawa me utha ek saath  Kallo ke dono kaano par jor se de mara. 

Kallo ke kaano me seetiya bajne lagi. Uska hosh uska saath chhorne ke liye tarpharane laga. 

Aparijita ne apne baye haath se Kallo ke seene par  ek jor ka punch maara. Punch ke jhatke se Kallo urta hua picche jaa gira.

Kallo pichhe ki aur girta hua apne saath  Aparijita ke shirt ke buttons bhi leta gaya tha. 

Jab Aparijita ka haanth Kallo ke dono kano par baje to Kallo hosh khone laga aur uski mutthi shirt se chhutne lagi thi. Kallo ne Aparijita ko apne giraft se  naa chhutne dene ke liye  Aparijita ke shirt ke dono chhoro ko collar ke paas se zoro se pakar liya tha. Par Kallo iske aage kuch karta uske pahle hi Aparijita ka punch use laga jiske jor se wo picche urta chala gaya tha. Punch itna jaandar tha ki shirt ke saare button pat-pat kar ke tutate chale gaye.

Dono ek dusre se dur zameen par pare apna hosh sambhalne me lage the.  

Aparijita abhi bhi puri tarah se apne hosh par kabu nahi paa saki thi isliye wo puri taqat se vaar nahi kar payi thi . Phir bhi us vaar ne Kallo ko chhati ka doodh yaad dila diya tha.

Kallo ne jaldi se jeb se dusri gaanje wali cigarette nikali aur ek hi kash me pura khatam kar diya. 

Kallo ek baar phir se khud ko hawa me urta mahsoos karne laga. Use lag raha tha ki agar abhi wo chahe to haanthi ko bhi dhobi-pachhar de sakta hai.

Idhar Aparijita bhi uth baithi thi aur saamne baithe Kallo ko ghur rahi thi jo dur baitha hua Aparijita ko kha jaane wali nazaro se ghur raha tha. 

 "Tu apne aap ko Jhansi ki Rani samajhti hai, mere bhai ko maar diya. Aaj main tera tetuya daba ke apne bhai ke maut ka badla lunga." Kallo daant pista hua chillaya.

"Abe jaa. Tere jaise kitne aaye aur gaye. Tera bhai bechara akela bore ho raha hoga; chal tujhe bhi wahi pahuncha deti hoon." Aparijita ne Kallo ko aur gussa dilaya.

"Char police walo ke saath gher kar hamare sathiyo ko maar kya diya, apne aap ko lady Dara Singh samjhne lagi. Dekh tera kya haal karta hoon. Ab tujhe maarne se pahle teri jawani ka ras nichorunga."

Kallo teji se Aparijita ki aur jhapta.  

Aparijita bhi ab tak khari ho chuki thi. 

Jaise hi Kallo uske karib pahuncha Aparijita ek taraf hat kar apne aage se nikalte Kallo ke  peechware me ek jabardast laat lagaya. 

Laat lagte hi Kallo kucch aage jake munh ke bal gira. 

Kallo ka munh ke andar khun bhar aaya. 

Kallo ne jaise hi khoon thooka to saath me 2 dant bhi zameen par pare dikhayi pare.

Nase ke pinak me Kallo ko yu laga maano uske tute daant use munh chhidha rahe hai ki "bara chale the bhai ki maut ka badla lene aur yaha humse bhi haanth dho baithe."

Gaanje ke pinak me Kallo apne daato ko santawna deta hua utha. 

Uthte waqt Kallo ne apne daayen haath me chhipa kar dhool utha li . 

Kallo teji se daurta hua Aparijita par jhapta. 

Ek baar phir Aparijita ne thora khisak ke uske picchaware me laat lagani chahi.  

Kallo daurta hua jaise hi Aparijita ke paas pahunchne wala tha; usne dhool Aparijita  ki ankho me phenk maara.  

Aparijita ki aankhe dhool ko apne aur aate dekh sahaj prawirti se aankho ko chot pahuchane se rokne ke liye band ho gayi. Phir bhi dhool ka kuchh ansh uski aankho me ghush gaya tha. 

Aparijita ne iske baawjud andaze par apni laat  ghumayi jo bhagte Kallu ke pichware ko hallo bol aayi.
Par iss baar vaar itna jordar nahi tha.

Aparijita bagair bokhalye turnat apne aankho me pari dhool nikalne ki kosis karne lagi.

Abhi Aparijita apne aankho ko saaf kar hi rahi thi ki Kallo ek baar phir jhapta.  

Aparijita ko abhi bhi kuchh seconds aur aankho ke liye chahiye the . 

Aparijita ne chaha ki wo kallo ke saamne se hat jaaye par tab tak wo uske samne aa chuka tha. Usne aate hi  Aparijita ke chehre par ek ghussa jarna chaha par Aparijita ke thora khisak jaane ke karan wo jhatke me hawa me ghussa lagate hue aage badh gaya. 

Apne paas se nikalte Kallo ke taang me Aparijita ne  taang maar di.

Kallo larkharate hue girne laga. 

Aparijita ne apni adhkhuli aankho se Kallo ki aur dekh ek chhalang laga kar uske paas aa gayi. 

Agle hi pal Aparijita ne ek jordar laat Kallo ke pet me lagaya jis se wo kisi football ki tarah urta hua kuchh dur jaake gira.

Kallo girte hi kisi kate murge ki tarah chhatpatane laga.

Jab tak Kallo sambhalta tab tak Aparijita ne apni aankhe iss had tak saaf kar li thi wo ab Kallo ko aasani se dekh sakti thi.  Wo kallo ki or badhi.

"Saali, apne aap ko tope samajh rahi hai. Kallo naam hai mera. Maine ab tak 40 rape kiye hain. Aaj pahli baar ek police wali ka rape karunga. Baakiyo ko to maine rape ke baad zinda chhor diya tha par tujhe zinda nahi chhorunga. Tujhe to mai tarpa-tarpa kar maarunga" Kallo daant pista hua bola.

Par Kallo yeh nahi jaanta tha ki eisa bol kar usne apni maut ki arji de di hai.

Aparijita ka usool pahla mauka milte hi balatkari ko maut ki neend sulana tha. Par abhi wo Kallo ko arrest karna chahti thi. Aparijita ne nirnay le liya tha ki Kallo se jaankari lene ke baad uska encounter kar degi.

"Accha. Wo teri bahan bhi bari sherni ban rahi thi. Par bechari ki gardan kakri ki tarah kamzor thi.  Haant lagate hi tut gayi."  Aparijita ne apne haanto se kakri torne ka action karte hue Kallo ko aur badhkaya.

“Haramzadi, tere kaaran hamari 4 mahine ki mehant  barbad ho gayi aur 4 saathi bhi gaye. Wo larki Rani thi, apne  boss Jagga ki honewali biwi. Dono agle mahine saadi karne wale the, par tere kaaran sab maare gaye. Yaha ke police walo me itni akal nahi thi ki wo itna plan kar ke hume gherte. Saali, ye sab tera kiya dhara hai. Aaj tera pahle rape karunga aur phir tujhe danda ghusha kar maar teri nangi laas gaun me taang aayunga." Kallo waha pare ek nukile danda Aparijita ko dikhate huye chillaya. 

Kallo bolta bhi jaa raha tha saath-saath Aparijita ko jakrane ke liye daav bhi laga raha tha. 

Kallo jaise hi Aparijita ke saamne aaya Aparijita ne ek jordar mukka uske pet me maara.

Kallo ke munh se ek lambi si karah nikali.

Kallo aage ki aur girne laga.

Aparijita aage badh Kallo ko rui ki tarah dhunane lagi. 

Ab waha sirf kallo ki cheekhe gunj rahi thi.  

Kallo jo abhi thori der pahle tak sher bana dahaar raha tha ab kisi mariyal kutte ki tarah kekiaa raha tha. 

Dhobi jaise kapro ko patak-patak kar dhota hai, Aparijita Kallo ki waishi hi ghuma-ghuma kar patakte huye dhunai kar rahi thi.

"Kyo bete. Aukat samajh me aa gayi . Mera rape nahi karoge." Aparijita ne gusse me Kallo ko ek zordar laat lagate hue kaha.

Kallo laat ke jor se kuchh dur jaa gira.  

Aparijita ke sabdo me jaise aag me ghee ka kaam kiya. 

Kallo apni saari takat laga khara ho chillata hua Aparijita ki aur bhaga.

"Haramzadiiiiii ….............." 

Yehi uski jindgi ke aakhri sabd saabit huye.

Jaise hi Kallo Aparijita ke paas pahuncha Aparijita ne ek taraf thora hat Kallo ke chehre par ek jordaar jhaapar lagaya.

Kallo wahi par 2-3 chakkar ghum ek taraf jaa gira. 

Kallo jaha gira waha ek per ki tooti sakha pari hui thi jis ka 3 inch ka ek nukila hissa baahar nikala hua tha. 

Kallo nukile hiise par eisa gira ki lakri uske gale ke aar paar ho gaya. 

Kallo wahi par 2-3 baar ediya ragarte huye tarap hamesha ke liye shaant par gaya.

Aparijita Kallo ka eisa anth to nahi chahti thi par upar wale ke marzi ke aage bhala kiski chalti hai. 

"Teri kismat acchi thi ki jo tu aasan maut mar gaya."  Aparijita ne Kallo ki laas ko ghurte hue kaha.

Aparijita ne safety pins ki madad se apne shirt ke buttons ki kami ko pura kar jungle se baaahar ki or chal pari.

----------------------------------------------------------------------------------

Idhar pool par Ghanshyam, Amit aur Arjun bhi aa chuke the. Unhone bari muskil se us naujawan ko Japu ke kahar se bacha kar jaane diya tha. Japu naujawan ko bike par Jagga ke bhagne ke liye dosi thahra uski bewkoofi ke liye use pit raha tha.  

Sabhi lagbhag bhagte huye pool paar kar kheto ke paas aa pahuche the. Wo Aparijita ki taalas me alag-alag ho nikalne hi waale the ki unhe ek khet se nikalti hui Aparijita dikhi. 

Aparijita ke baal bikhre hue the aur shirt ki haalat bhi kaharb thi. Aparijita ke chehre aur haantho par kuchh kharoche bhi dikh rahi thi jinse kanhi-kanhi khoon bhi jhalak raha tha.

“Madam” Ghanshyam chhikhta hua Aparijita ke paas pahucha. Baaki log bhi daur ke Aparijita ke paas aa use gher ke khare ho gaye.

“Are are! Ghabrao mat! Mujhe kuchh nahi hua hai. Wo badmas jiska naam Kallo tha, ke sath ladayi me shirt ke button tut gaye aur kuchh khroche aa gayi, bas. Uski laas waha pari hai, jaa kar utha lo.” Aparijita ne eise swar me kaha jaise yeh koi roj hone waali mamooli baat ho.

Arjun aur Amit Kallo ki body laane chale gaye. 

Aparijita ne Gopu aur Suresh se wireless message ka report liya.

“Dekho, mai inn phate kapro me to public ke bich nahi jaa sakti hoon. Isliye main inn kheto se hote hue pahle dusre raaste  se apne quarter jaa kar change karti hoon. Tum log saari laase lekar thane pahucho.”  

“Madam didi, Aap jayiye.  Hum sambhal lenge.” Ghanshyam ne  Aparijita ko ek naya sambodhan dete hue kaha.


Thursday 21 March 2019

Rakt Barsha


Agle hi pal ek beawaz sola nikal cigarette pita badmas ke dil me surakh kar gaya. Dhuye ki lat ne uski aaj jindgi dhuya kar di thi.  

Wo jeep se tek lagaye hi dher ho gaya. Abhi uska sarir zameen par gira bhi nahi tha ki Aparijita action me aa gayi.

Aparijita ne apne haantho me sikari chaku le rakha tha.

Aparijita ne uchhal kar sarak par pahuch ek jhatke me hi khirki se bahar jhakte badmas ki gardan ret di. 

Wo badmas bhi bagair kuchh bole hi dher ho gaya. Uski aankhe aachrya se khuli hui thi jaise use vishwas hi nahi ho raha ho ki maut eise bhi aa sakti hai.  

Apne picche aahat sun Rani picche mur kar abhi dekhna hi chahti thi ki Aparijita ki hatheyilo ne uska munh bheench liya. 

Idhar Ghanshyam aur Amit  ke saath-saath Rohit bhi jeep tak phunch gaya tha.  

Rohit ne darwaja khol kar mare hue badmas ko niche gira diya . 

Dusre taraf se Ghanshayam aur Amit tab tak dusre gate ke kareeb aa chuke the.

Ghanshayam aur Amit ne mil kar Kailash ko bahar nikala jo sadme me jaise jam sa gaya tha. 

Ghanshayam Kailash ko apne kandhe par daal teji se kheto ke andar bhaga . 

Aparijita ne Rohit ko bhi unke peeche jane ka issara kiya.   

Idhar jab Ghanshyam aur baaki log Kailash ko nikal rahe the tab tak Aparijita ne gate khol kar Rani ko sarak par khinch liya tha. 

Rani achhi fighter thi wo Aparijita se mukabla karne ki kosis kar rahi thi. 

Aparijita ka chaku bhi iss hatha-paai me gir gaya tha. 

Rani chilla kar apne saathiyo ko husiyaar karna hi chahti thi ki Aparijita ne uske munh par apne haath jamate hue uske gardan ko ek jhatke me kakri ki tarah tor dala. 

Aparijita ne jeep ke khule darwaje ki taraf jhaanka to use waha rupaiyo se bhara bag dikhai para.
Aparijita ne turant bag nikal kar khet ke andar phenk diya.  

Sabkuchh plan ke mutabik chal raha tha phir bhi ek garbar ho gayi.

Pata nahi kaise Jaaga ne kisi kaaran se pichhe mur kar dekha to usne  Rohit ko Amit ke picche  bhagte hue dekha. 

Rohit ne zarorat se jayada hi samay le liya tha. Plan ke mutabik Ghanshyam sabse aage tha; uske pichhe Amit tha jo Ghanshyam ko cover kar raha tha. Rohit ko Ghanshyam aur Amit ke madad ke liye unke peeche hona tha taaki wo Kailash ko surakshit pahucha zald waaps aa sake.

 Par Rohit jaane se pahle jeep ke pichhle hisse ke paas mare badmaas ka gun uthane ke baad mare badmaas ke belt me lage magazine ko nikalne laga tha. Usne oat bhi nahi le rakha tha jiski wajah se uska sirf sar hi jeep se chhipa tha. Yehi wajah thi ki jab wo Amit ke picche bhaga to Jagga ke nazaro me aa gaya. 

Jagga ne turant firing suru kar di.


Ek goli Rohit ke jaangh ko pharti hui nikal gayi.

Rohit wahi gir para. 

Tabhi dusri goli Rohit ke sar ko ragarti huye gujar gayi.  Rohit sar par lagi chot ke kaaran hosh khone laga tha. 

Aparijita ne jaise hi Rohit ko girte dekha wo turant apni revolver se Jagga ki taraf fire karte huye Rohit ke taraf bhaagi. 

Aparijita Rohit ke paas pahuch use apne kandhe par daal ek lambi chhalang laga khet me ghus gayi.

Jagga aur uske dono sathi firing karte huye jeep ki taraf bhaage aa rahe the. 

Aparijita teji se khet ke andar chuupai gayi bike ki taraf bhaag rahi thi. 

Aparijita ruk-ruk kar picche fire bhi kar rahi thi. 

Charwahe ke paas chhipa Arjun bhi golibaari hote dekh jeep ki taraf dana-dan fire karne laga. 

Aparijita ki furti dekh kar Amit aur Ghanshyam aacharyachakit the. Wo Rohit ko kandhe par daal eise daur rahi thi ki jaise usne apne kandho par insaan nahi balki koi phulo se bhari chhoti tokri rakhi ho.  

Amit bhi badmaaso ko aage badhne se rokne ke liye bich-bich me pichhe fire kar raha tha.

Teen taraf se khud par fire hote dekh Jagga khet me aane ki himmat nahi kar saka. 

Teeno badmaas jeep start kar aage bhaage.

Jagga ne driver ki seat sambhali hui thi. Rani aur unke 2 saathiyo ki laas jeep ke pichhle hisse me rakhi thi. Jagga ke saath aage Kallo baitha tha. Bich wali seat par Kallo ka chhota bhai baitha tha.

Aparijita ne kheto me bhagte hue Japu ko phone kiya.


"Japu, Ramdayalji ke larke ko chhura liya gaya hai. Par Rohit zakhmi ho gaya hai.  Isliye Kailash ke saath use bhi gaun bhej rahe hain.  Main unke peeche jaa rahi hoon. Baaki log peeche se aayenge. Tumlog jeep se nahar wale pool ka raasta band kar position le lo. Jeep me is waqt sirf 3 hi badmaas  hai. Jaise hi unki jeep aate dikhe jeep ke tyres ko burst kar unhe rokne ki kosis karna."  

Idhar Aparijita aur uske saathi apne bikes ke paas phunch chuke the. 

Aparijita ke kandhe par para Rohit ab tak puri tarah hosh kho chuka tha. 

"Plan me thori tabdili hai. Ghanshyam aur tumlog Kailash aur Rohit ko gaun waalo ke haatho me surakshit pahuncha kar teji se nahar wale pool par aao. Main wahi ja rahi hoon." Itna kah kar Aparijita teji se motorcycle ki aur bhagi.

Ghanshyam aur Ramdayalji ka larka Kailash moped par nikal pare. Amit aur ab tak waha aa pahuche Arjun behosh Rohit ke saath bike par unke peeche chal pare. Unki manjil 500 meter ki duri par unke intzaar me khare gaunwalo tak thi. Rohit aur Kailash ko gaaunwaalo ke hifaazat me chhor nahar wale pool tak sabhi zald se zald pahunchna chahte the.

Aparijita sarak ka raasta chhor kheto ke mer par apni bike teji se bhaga rahi thi. Patli mer par bike bhagaane me kafi dikkat aa rahi thi. 

Patli mer par utni speed me bike chalana kisi professional stunt karne waala hi kar sakta tha kyuki iske liye skill, himmat aur concentartion ki acchi taalmel ki jaroorat thi.

Jeep ko nikale kuchh minute bit chuke the. Isliye Aparijita ke paas jeep ko nahar se pahle pakarne ke liye shortcut lene ke aalawa koi chaara bhi nahi tha. 

Motorcycle rah-rah kar 1-1 feet uchhal rahi thi par Aparijita ke chehre par koi sikan bhi nahi dikh rahi thi. 

------------------------------------------------------------------

Dusri taraf Gopu aur Dinesh ek musibat me phas gaye the jiske karan wo Japu ke paas ab tak nahi pahunch paaye the.  Nahar wale pool se kuch peeche hi unki motorcycle ki chain tutne ke kaaran dono jhatake se sarak par gir pare the. 

Gopu aur Dinesh mamuli taur par ghayal bhi huye the. Dinesh ka mobile bhi sarak ke paas ki jhariyo me gum ho gaya tha jabki Gopu ka phone accident ki vajah se eisa band hoya tha ki on hi nahi ho raha tha.

"Dinesh, mera to phone hi band ho gaya hai aur tumhara mil hi nahi raha hai. Idhar motorcycle bhi chalne ki halat me nahi hai.  Udhar Japu aur Suresh hamara wait kar rahe honge. Hum unhe apne late hone ki khabar bhi nahi de sakte hai." Gopu ne karahte hue kaha.

"Gopu bhai, plan ke mutabik hume unke sath milkar badmaaso ko saamne se gherna tha,  madam aur baaki log peeche se gherne waale the. Par hamare naa pahunchne se Japu aur Suresh kamzor par jayenge."

"Chhor sarak ko, hum in pangdandiyo se chalkar Japu tak pahunchenge. Hum unhe akela nahi chhor sakte."  Gopu ne Dinesh ko ek pangdandi ki or issara karte hue kaha.

------------------------------------------------------------------
Gopu aur Dinesh ek dusre ko shahara dete hue uthe.

Dono apne hatiyar sambhale pangdandi par langrate hue bhagne lage. Dono ko taaja bane zakhmo ke kaaran dard ho raha tha par Japu aur Suresh ki chinta dono ko us haalat me bhi bhaga rahi thi.

Dusri taraf badmaas jeep se nahar ke pool tak pahunchne hi wale the.

Japu aur Suresh ne police Jeep pool ke anadar pahunchane ke raaste par khari kar position le  Jeep ke peeche khare the.

Aparijita khet ke raaste se nahar tak bas pahunchne hi wali thi.

"Saala,  ekbaar mujhe yaha se nikal jaane de phir ek-ek police walo ko chun-chun kar marunga. Haramzado ne bari husayari dikhayi. Pahle to saala main road se kacche raaste par bhej diya aur phir janwaro se raasta block karke launde ko churra liya. Rupaiya to nikal hi gaya. Rani aur 2 sathiyo ko bhi khona para." Jagga jeep chalata hua barbara raha tha.

Tabhi Jagga ko dur nahar ke pool par police jeep khari dikayi di.

"Saalo, apne ko bahut bara ser samajh rahe ho. Abhi dikhata hoon ki Jagga se panga lene walo ka mai kya haal karta hoon." Jagga gusse me chillaya.

----------------------------------------------------------------------

Jeep teji se nahar waale pool ke paas pahuch rahi thi.

Jagga ke issare pe Kallo ke chhote bhai ne Jeep ke picchle hisse me rakhe ek bare se bag se 3 AK-47 nikal sabko 1-1 AK-47 pakra diya.

 Kailash ko surakshit zald se zald nikalne ke chakkar me Aparijita aur uske saathiyo ne jeep ke pichhle hisse ki talasi nahi li thi.  Aparijita rupaiyo se bhara bag uthane ke baad kuchh karti uske pahle hi Rohit ki bewabkufi ke kaaran use waha se hatna par gaya tha.

"Tum dono seat ko  jor se pakar lo. Main police wali jeep me side se jor se takaar maar kar raasta clear karunga. Raasta clear hote hi tumlog police walo ko bhun dena." Jagga daant pissta hua bola.

Suresh ne jeep khari karne me thori galti kar di thi.  Jeep ko usne pool ke andar ke taraf se naa khara kar pool ke saamne aara khara kiya tha jiske karan agar police jeep ko thora sa dhakel diya jata to pool ka raasta clear ho jata. Par jeep ke iss position me rahne se ek fayda yeh bhi tha ki jeep ke peeche position lene ke liye kaafi jagah thi .

Suresh ne Gopu aur Dinesh ko dhyan me rakh kar eise position me jeep khari kiya tha par Gopu aur Dinesh ab tak nahi pahuche the. 

Gopu aur Dinesh ke naa pahunchne par Suresh jeep ko pool ke andar ghusane ke baare me soch hi raha tha ki badmaso ki jeep aandhi-toofan ki tarah apni taraf aati dekh usne jeep se door bhagne ki kosis ki.
-------------------------------------------

Jeep toofani raftaar se Suresh ki taraf jhapti aa rahi thi.

Japu ek per ke peeche se raaste par nisaana laage baitha tha. Usne turant hi jeep par firing suru kar diya. Theek usi waqt Jeep ke dahine taraf se kheto ki mer par motorcycle lagbahg urati hui Aparijita bhi prakat huyi.

Japu ki chalayi kai goliya jagga ke aas paas se gujari.

 Suresh ne bhi bhagte-bhagte firing ki.

Suresh dwara chalai ek goli Jagga ke kandhe me jaa ghusi; par usne jeep ki raftaar kam nahi ki.

Jagaa ne police jeep me teji se dhakka mara jiske kaaran police jeep pool ke raaste ke paas khare do pero ke beech jaa phas gayi.

Police Jeep ke piche position liya Suresh jhatke me door ja gira.  Uske dahine haanth aur mathe par chot aayi thi.

Suresh ke haath se gun bhi nikal kar police jeep ke niche dab gaya tha.

Suresh ke aankho ke saamne sar par lagi chot ke andhera chhane raha tha. Wo teji se apna hosh khota jaa raha tha.

Suresh ko girte dekh Japu daur kar Suresh ke paas pahunch use ghasitate huye apne position par laane bhaga.

Jagga apni jeep thora pecche karke pool se nikalne ki kosis karne laga.

Tabhi dahine taraf se Aparijita ki motorcycle hawa me aati huye dikhayi pari.

Aparijita ne hawa me uthe motorcycle se hi jeep ke agle pahiye par firing ki.

 Ek dhamake ke saath Jeep ka agla pahiya burst ho gaya.

Jeep unbalance ho chuki thi.

Jagga ne Jeep sambhalne ki kosis ki par jeep lahrati hui pool se jaa takrayi.

------------------------------------------------------------------

Jeep pool par buri tarah se ataki pari thi. Uska agla dahina pahiya  burst ho chuka tha aur baaya pahiya pool ke railing ko torte hue bahar jhul raha tha. 

Jeep pool me aari teerchi hokar phasi hui thi. Jeep ka aage ka sisa gayab ho chuka tha. Driver ki taraf wala agla darwaja anatho ki tarah ukhara zameen par para tha. 

Abhi Jagga aur uske sathi puri tarah se jhatake se ubare bhi nahi the ki Japu aur Aparijita dwara chalai jaa rahi goliyo ne unki khair-khabar leni suru kar di.

Jagga aur Kallo jaldi se driver ki taraf wali seat se  bahar nikal bhagne ki kosis karne lage. Par Japu aur Aparijita ki chalayi jaa rahi golyino ne unhe jeep ke aar me chhipane ko majboor kar diya. 

Kallo ka bhai abhi tak jeep ke andar se hi firing kar raha tha. Uske taraf ka darwaja takkar se jaam ho chuka tha. Usne do baar uth kar aage ki seat ki tarf aane ki kosis ki par dono baar do goliya uske kaano ko hawa deti hui gujar gayi.

Jagga aur uske sathiyo par abhi dahine aur baaye dono taraf se goliya chal rahi thi. 

---------------------------------------------------------------------
Aparijita dheere dheere jeep ki aur badh rahi thi. 

Jeep rah-rah kar hil rahi thi. Yeh lagne lag tha ki jeep bas ab nahar me girne hi wali hai.  Kallo apne bhai ko gaaliya dete hue kah raha tha ki iss se pahle Jeep nahar me gire wo waha se nikal jaye. 

Jeep me phasa Kallo ka chhota bhai Aparijita ko Jeep ki taraf badhta dekh bokhala gaya. Usne apne baaye taraf ke darwaje ko try kiya to use khulta paaya.

Kallo ka bhai harbara kar jeap se utar jeep ke peeche se ghera kaat kar Jagga ki taraf bhaga.

Abhi wo jeep ke pecche pahuncha hi tha ki Japu ki chalyi ek goli uske pair me jaa dhasi. 

Abhi bechare ke munh se aah bhi nahi nikali paayi thi ki tabhi Aparijita ki chalayi goli uske gardan me ghus gayi.

"Bhaiya, hamra bacha laa!" usne Kallo se guhaar lagai.

Japu per ke peeche se nikal kar jeep ki taraf badh pool ke bilkul sidhe aake khet me ghush kar ek pathaar ke aar se goliya chalane laga. 

Aparijita abhi bhi pool se thori duri par thi. 

Gopu aur Dinesh abhi bhi apne sathiyo se kuchh duri par the. Unke kaano me goliyo ki awaaz aa rahi thi. 

Kuchh hi palo me Gopu aur Dinesh ko Aparijita aur Japu badmaaso se loha lete dikhayi diye par baaki log kahi nahi dikh rahe the.

"Dinesh,  Madam aur Japu  badmasso se bhire hain; baaki log kisi vajah se saath nahi dikh rahe hai. Hume aur teji dikhani paregi." Gopu Dinesh ka haath pakar khichta hua kaha.

Pool ke dusri taraf se gaun ka ek naujawan motorcycle se chala aa raha tha. Wo agle kuchh minutes me pool par pahunchane hi wala tha. 

Naujawan ne mobile par full volume me ek English song laga rakha tha. Wo naujawan kisi call center me job dhundh raha tha par uski angreji zaroorat se jayada garib thi. Kisi ne use English gaane aur news sunane aur Hollywood ki movie dekhne ki salah  di thi.  Uske baad se wo har waqt kaan me earphone lagaye English gaane sunta logo ko dikhta tha.

Idhar Kallo apne bhai ke paas rengta hua pahunch gaya tha.

"Tu ghabra mat, munna. Hum tuhara bacha leb."  Wo apne bhai ko santawna de raha tha.

Kallo apne bhai ko khich Jagga ki taraf laane ki kosis kar raha tha.

------------------------------------------------------------------

Idhar Gopu ab Japu ke paas pahunchane hi wala tha. Usne Suresh ko ek per ke niche bekhabar leta hua dekha. 

Gopu aur Dinesh firing karte huye Japu ki madad karne uski taraf bhage. 

Dusri taraf Jagga aur Kallo 2 aur policewalo ko aate dekh kar bhokhala gaye. 

Theek usi waqt zakhmi Kallo ke bhai ne dam tor diya.

Kallo gusse me pagal ho kar Japu ki taraf daurna hi chahta tha ki  Jagga ne uska  haath pakar ke wapas kheech liya.

"Saale, marne jaa raha hai. Pahle 3 policeye the aur ab wo 5 ho jayenge. Yaha se nikalne ki kosis kar. Hum inse baad me gin-gin kar badla lenge. Ek baar wo dono police wale aake inse mil gaye to hum yaha se kabhi zinda nahi nikal payenge. Jeep se aage ka raasta band hai; isliye wo paidal hi idhar aa sakte hai. Udhar dekh aage kuchh dur baad jungle suru ho raha hai. Ekbaar hum jungle me ghus gaye to phir inke haanth nahi aayenge."  Jagga ne Kallo ko samjhate hue kaha.

--------------------------------------------------------------------------

"Japu bhai, daten rahu. Hum aa gaye hain."   Dinesh ne dur se hi hank lagayi.  

Gopu aur Dinesh ne hawa me golia chala kar badmaso ko dikhaya ki wo bhi hatiyarband hain.

Japu aur Aparijita ne kai baar aage badhe ki kosis ki par AK-47 ki burst fire ke aage mazbooran unhe picche hatna para. 

Idhar Jagga aur Kallo bhi phase pare the. AK-47 ki baaki magzines picche bag me pare the; par waha tak pahunchne ko kosis karte hi  Aparijita aur Japu ki goliyan unka chuban lene unki or lapkati thi. 

Dono taraf se ab goliyan ruk-ruk kar chal rahi thi jo kabhi-kabar tej bhi ho jaati thi. 

Ghanshyan, Arjun aur Amit moped aur motocycle par kuchh hi minutes me waha pahunchne wale the. Unke kaano me bhi golibaari ki awaaz aa rahi thi. 

Ghanshyam ne AK-47 ki burst fire se anumaan laga liya tha ki agar unhe der ho gayi to badmaaso ki toli Aparijita aur baaki sathiyo par bhari par jaayeegi. 

Ab tak excitement ke kaaran Japu ka zehan saari parishityio ko dhang se nahi samajh paya tha; par golibaari ke dheere hote hi usne gaur kiya to paaya ki agar wo dono badmaas jeep ki oat se bahar aa uspar jhapte to uska raam naam satya ho jaane wala tha. Iss baat ka dhyan aate hi Japu ke sarir ne pasina chhor diya.

Eisa nahi tha ki Kallo aur Jagga ko Japu ke position ki khaami pata nahi thi. Par Aparijita ne eisa position ne rakha tha ki unhe japu tak pahuchne ka irrada taygna para tha. 

Pool ki railing lohe aur lakri ke madad se bani thi, iss kaaran golia aasani se gap me se paar ho rahi thi. Jab bhi Jagga aur kallo jeep ki oat se nikal kar pool paar karna chahte to Aparijita aur japu dwara chalayi gayi goliyaa unhe hello bolne aa jaati.   

Japu ne Gopu aur Dinesh ko dekh kar khushi me pathhar ki oat se bahar aa daur kar un tak pahunchna chaha. Uski kismat acchi thi Jagga ki chalayi goli uske bajaye uski gun par jaa lagi.

japu ki gun ke naal ke chithare udd gaye. 

Japu bhag kar phir se pathaar ke peeche jaa chhipa. 

Jagga kafi accha nisanebaaz tha. Policewalo ki kismat aachi thi ki koi bhi uske direct nissane par nahi tha.

Dinesh aur Gopu kheto se hote huye Japu ki taraf bhaage.
Wo beech-beech me goliya bhi chala rahe the.
Abhi wo Japu ke paas pahunchne hi wale the ki Dinesh ki gun ein mauke par dhoka de jaam ho gayi.

Dinesh bhokhala kar achanak ruk kar apni gun theek karne ki kosis karne laga. Par uske achanak ruk jaane ke karan picche teji se daurta Gopu us se aa takraya aur paas ke khet me jaa gira. Khet me kisi fasal ke liye kafi paani jama kiya gaya tha jiske kaaran waha kaafi keechar ho gaya tha. 

Gopu ne khud ko keechar me girne se rokne ke chakkar me gun ko sahara ke taur par istemaal kiya. Natiza yeh hua ki gun keechar me buri taraf dhash gayi.   

Tabhi Jaaga ke madad ke liye call center ka sapne dekhta naujawan pake aam ki tarah uski jholi me aa gira.  

Wo naujawan motorcycle par full volumne me gaana sunte huye jhumata aa raha tha. Yaha itni goliya chal rahi thi par wo inse bekhabar jhumta hua pool par bas pahunchne hi wala tha. 

Naujawan gaane me puri tarah se dub chuka tha. Wo beech beech me bike par thora uchak-uchak kar apne kamar ko hilata aur "Shake It. Shake it." ka haank lagata jaa raha tha.  Is chakkar me uski bike bhi hil rahi thi par usko iski kaha parwah thi. 

Naujawan ki bike pool par jaise hi chadhi ek goli naujawan  ke gale ke paas se gujari aur uske earphone ko kaatati huyi nikal gayi .

Music band hote hi naujawan ne saamne dekha.

Agle hi pal naujawan ke hosh udh gaye. Saamne bhari golibari ho rahi thi. Aur wo sidhe us taraf mooh uthaye badha jaa raha tha.

Naujawan ne jor se brake laagya. Use pata tha ki rukte- rukte bhi bike badmasso ke paas phunch jayegi. 

Naujawan ne chalti bike se hi nahar me chhlang laga tair kar pool ke niche jaa chhipa. 

Naujawan tharr-tharr kaanpta hua jitne bhi devi-devta ka naam yaad aa raha tha; sabko chadhaba chadhane ka vaada kar raha tha.

Idhar bike ja kar Jagga se kuchh kadam ke duri par giri thi. Bike ka engine abhi bhi chal raha tha. Jagga ne Kallo ko issara kiya aur wo dono bike ke taraf bhage. 

Aparijita ne jab dono ko bike ke taraf bhagte dekha to wo bhi unke taraf jhapti. 

Ab tak Gopu keechar se gun nikal kar Japu tak pahunch chuka tha. 

Kallo peeche fire kar Jagga ko cover de raha tha. 

Jagga kandhe se AK-47 latkaye bike sidha kar raha tha.  

Jagga ne bike sidha karte hi kallo ko apne peeche baitha kar Jagga ne bike daura di.  

Aparijita ne bhagte badmaso ko dekh firing ki. 

Ek goli Kallo ke AK-47 par lagi aur uske haanth se AK-47 nikal kar nahar me jaa gira.

Aparijita ne phir se fire kiya. 

Ab tak bike pool ke aakhri chhor par aa chuki thi. Goli ne murte hue Jgga ke AK-47 ke strap ko kaat diya tha jiske kaaran AK-47 ne bhi Jagga ka saath chhor diya tha. 

Gopu, Japu aur Dinesh bhi pool tak aa chuke the par wo sabhi nihhate the. Japu aur Dinesh ki gun dhoka de gayi thi jabki Gopu ki gun keechar me buri tarah se lithri thi jiske wajah se fire karte hi uske phatne ki sambhawna thi.

Gherab

"Jeep me  4-5 nahi balki 6 badmas hain. Ramdayalji ka beta Kailash beech wale seat me 2 badmaso ke bich me  baitha hai. Peeche wale seat par bhi 2 badmaas hain. Inhi dono ne blocked raaste ko check kiya tha isliye aage bhi sayad wo dono hi  maveshiyo ko hatane ka kaam bhi kare." Aparijita paper par rough sketch banate hue apne saathio se mukhatib thi. 

"Peeche wale badmaso ke maveshiyo ko hatane ke liye jaane ke baad jeep me baithe bache 4 logo se hume teji se nipatna parega. Waise maveshiyo ko zaldi hatane ke liye 1-2 badmas sayad aur bhi aage jaa sakte hai. Hume pahli prathimkta har haalat me larke ko sahi salamat riha karwana hai." Aparijita apne saathiyo ke saath attack ki final planning ko duhra rahi thi.

"Ghanshyam aur Amit khet ke us hisse me chhip jayenge. Rohit aur main iss taraf honge. Arjun charwahe ke saath rahega aur chhip kar dhyan rakhega ki kaam charwaha plan ke mutabik hi kaam kare. Saara plan maveshiyo ki jeep ke saamne aane ki timing par depend karta hai. Main yaha se Arjun ko phone se issara karungi. Issara milte hi Arjun charwale ke saath milkar maveshiyo ko sarak par khader dega." itna kah Aparijita ne Arjun ko issara kiya.

Arjun bhagta hua charwahe ke paas pahuch use himmat badhane laga.

"Ghanshaym, tum mere issare ka intazar karna."  Aparijita ne ek silencer Ghanshyam ko dete hue kaha aur khud bhi apne revolver par ek silencer lagaya.

Sabhi uche-uche ganne ke kheto me chhup gaye.

Tabhi  jeep aati dikhayi di.

Aparijita ne maveshiyo ko haankne ke liye phone kar diya. 

Agle hi pal us kachhi sarak par saikro maveshi dikh rahe the. Maveshio ne pure raaste ko gher rakha tha. 

"Saala. Aaj ka din hi kharab hai. Pahle per ki vajah se raasta badlana para aur ab inn maveshio ke vajah se late ho rahe hain. Ye, Kallo tum dono aage jaa kar maveshiyo ko haank kar kheto me utaar do."  Jagga ne apne saamne maveshiyo ke jhund ko dekh khijte huye kaha. 

Yeh waqt maveshiyo ka charagah tak jaane ka tha isliye Jagga ko ek baar bhi nahi laga ki isme koi shadyantr(षड्यंत्र) bhi ho sakti hai. 

Jeep ke picche wale hisse se Kallo aur uska bhai nikal kar maveshiyo ko kheto me haankne lage.

Magar maveshi apne daily ke raaste se aasani se hatne ko taiyar nahi the. Kheto me utaar dene ke baad bhi unme se kuchh  vapas sarak par aa ja rahe the.  

Jagga yeh dekh kar aur kalap gaya. 

Jagga khud bhi utar kar gaaliya deta maveshiyo ko hatane pahuncha. 

Ab jeep me 3 log bache the. Driver ki seat par Rani aur beech wale seat par Kailash ke saath 2 badmas.

Idhar Jagga aur saathi maveshiyo ko bhagate-bhagate jeep se kuchh aage badh gaye the. Tabhi jeep me baithe 1 badmas ne 1 gaanje wali cigarette jalayi .

"Harami, tujhe kitni baar kaha hai ki yeh chhor de. Phenk isse bahar." Rani ne gusse me gaanje ki mahak paate hi us badmas ko jhirka. 

"Rani tu bhi hamesa iske picche pari rahti hai. Jagga jab pita hai tab to tere munh se kuchh nahi nikalta hai. Bhai, tu jeep ke bahar jaa kar pi." Dusre badmas ne beech ka raasta nikalta hua kaha. 

Cigarette jalane wala badmas jeep se baahar jaa cigarette phukne laga.

"Saale, agar Jagga ne use bahar dekh liya to hamari khair nahi. Tune use bahar jaane ko kaha aur wo harami bhi bina soche samjhe bahar chala gaya." Rani ne gusse me daant piste hue kaha.  

Rani ki baat ka us badmas ne koi notice na le khirki kholkar bahar dekhne laga. 

Khirki se baahar dekh raha badmas Aparijita ki taraf tha, jabki uska saathi Jagga ki nazaro se dur jeep ke pichhle hisse se tek laga kar cigarette phunk raha tha. 

Aparijita phone par Ghanshyam se dhire-dhire baat kar rahi thi. 

"Main miss call se tumhe issara karungi to tum pichhe wale badmas ko uda dena aur main idhar jeep ke paas pahunch kar dusre badmas ko dekh lungi. Dusre badmas ke dher hote hi tum log Kailash ko lekar khet me ghus jaana aur bheetar hi bheetar apne motorcycle tak pahunch kar gaon me Kailash ko 2 sipahiyo ke saath bhej dena.  Idhar hum sab mil ke baakiyo ko bhi nipta denge." 

Aparijita rengte huye khet me aage badhi. Usne Rohit ko wahi chuup kar jeep par nisana lagaye rakhne ko kaha tha taaki agar kuchh garbar ho to wo madad kar sake.

Aparijita ne jeep ke beech wale darwaje ke bilkul karib phunch kar Jeep par nigah daali. Udhar mauzud badmas khirki se mundi nikale aage maveshiyo ki or dekh raha tha.

Aparijita ne Ghanshyam ke phone par miss call di.

Sunday 17 March 2019

Agni-pariksha ka prarambh

Aparijita dwara banaye plan me Javed khan ka role kafi important tha. Javed waise to mazboot dil ka insaan tha par use iss baat kar dar sata raha tha ki agar wo gaun walo ke saath plan ke pahle stage dhang se naa nibha paaye to saara ka saara plan dhara ka dhara rah jaayega. 

Idhar Ramdayal naa sirf badmaso se samay lene me kamyab ho gaya tha balki Ramdayal ne badmaaso ko apne bete  se milne dene  ke liye bhi mana liya tha. Badmaaso ko kisi tarah Police ki bhanak lag gayi thi, iss baat ko bhi Ramdayal ne apni chalaki se sambhal liya tha. Apne bete se milne gaye Ramdayal ne badmaso ko vishwas dila diya tha ki usne apne bete ki slamati ke liye police walo ko riswat dekar iss mamle se dur rahne ki liye kaha hai. Police jeep ke wapas jaane ki khabar bhi badmaso ko mil chuki thi isliye unhone iss baat ko maan bhi liya.  

Aparijita ke signal milne par ek Ramdayal ka ek naukar motorcycle par ek khali bag Ramdayal ko dena aaya.

Ramdayal bag lekar apne jeep me ghush gaya. 

2-3 minute baad Ramdayal ne phone karke badmaaso ko rakam puri aa jaane ki khabar di.

Ramdayal ko badmaaso ne jeep us makan ke saamne lakar khara karne ko kaha jaha wo chhipe the.

Ramdayal ne Jeep us makan ke saamne khara kiya hi tha ki uska mobile baj utha.

Badmaaso ne Ramdayal ko jeep ke saare darwaje ko khol kar dikhane ko kaha. 

Ramdayal ke darwaje khol kar dikhane ke baad ek chehre naqabposh badmaas ne aake jeep aur rakam check kiya. Us badmas ne OK ka signal dete hi baaki badmaas Kailash ke saath aake jeep me baith gaye.

Sabhi badmasho ne chehre par naqab daal rakha tha. Kailash ke munh par bhi unhone rumaal bandh diya tha. Kailash ke dono haanth ek raasi se bandhe the. 

Kailash jeep ki or jaata hua Ramdayal ki or kaatar nigaho se dekh raha tha.

"Seth. Tera beta gaun ke sarhad par tumhe mil jayega. Agar kisi gaun wale ne piccha karne ki kosis ki to tere bete ki ek-ek boti kaat ke sarak par bhekta jaayunga." Badamaaso ke boss ne  Ramdayal ko dhamkate hue kaha.

Kailash ke aankho par patti baandhne ke baad badmaas jeep lekar chalte bane.  

Ramdayal ne turant Aparijita ko phone lagaya.

"Madam. Wo yaha se abhi-abhi nikale hain.  Wo paanch log hain aur unme ek larki bhi hai. Madamji! Kisi tarah se bhi mere bete ko bacha lijeye. Kailash mera eklauti santaan hai." Ramdayal kahte-khate ro para. usne itne der se jin  aansyun ko rok rakha tha wo sailab ban bah nikale.

"Aap chinta mat kijeye. Hamari pahli kosis hogi ki aapke bete ko sahi- salamat aazad kare aur uske baad hi hum badmasso ko pakarne ki kosis karenge."  Aparijita ne Ramdayal ko aashbat karte hue kaha.

---------------------------------------------------------------------------------------------

Gopu, Javed Khan aur kuchh gaun walo ne truck aur pero ke sahare main sarak ko block kar diya tha. Gopu sarak par nazare garaye apraadhiyo ke aane ke raaste par nazar rakhne ke aalaba kabhi-kabaar apne aas-paas bhi dekh leta tha.

Tabhi Gopu ki nazar bijli ke aari se per kaatne se bane lakri ke burado ki ek chhoti se dher par pari. Iske saath hi ek khaas jagah khare hone par wo jagah bhi aasani se nazar aa jaa rahi thi jaha se pero ko kaata gaya tha.  Agar badmaas udhar kisi tarah se aa jate to unhe pata chal jata ki yeh pero ko unka raasta rokne ke liye giraya gaya hai.  

Gopu ne Javed khan ko un jagaho ko dikhaya.

Zaldi-zaldi sabne mil kar toofan me gire kuchh daliyo aur pero se daliya tor kar iss tarah se phaila diya ki burado ka dher to chhip hi gaya saath hi wo jagah par bhi daalio ki wajah se jaana ab possible nahi tha jaha se kaate gaye pero ki jagah ko dekha jaa sakta tha. 

Abhi Gopu aur Javed iss kaam ka mauyana kar santust ho purane jagaho par aake khare hi huye the ki tabhi Gopu ke mobile baj utha.

Dusri taraf ek gaun wala tha jise badmaaso ki nigraani karte huye Gopu ko khabar dene ki duty di gayi thi. Uske anusaar agle 2-3 minute me hi badmaaso ki jeep Gopu aur Javed ke paas pahunchne waali thi.  

Gopu, Javed Khan aur Dinesh baaki gaunwalo ke saath pero ke peeche chale gaye gaye.

Gopu aur Dinesh apni-apni gun load kar position le chuke the. Gopu ne Javed ki aur dekha to use bhi apni licensee revolver le kar taiyar paaya.  

Badmaso ki gaari truck se 100 meter dur hi ruk gayi.

"Saale, yeh gaun wale kuchh jyada hi smart ban rahe hai. Kallo aur tu jaa kar pata kar.  Yeh per aandhi ki wajah se gire hain yaa gaun walo ne hosiyaari dikhayi hai."  Badmaso ka boss  gusse me ubalta hua apne 2 saathio se bola. 

Do badmas jeep se utar ke raaste me gire per ki taraf badhe. 

Done badmasso ne utarte waqt apne naqab utar diye the.

"Ka bhaiya! E ka garbar hai. E per kab gir gaya."  Kallo ne truck ke pass kulhari se tahni kaat te ek gaun wale se puchha.

"E dekho. Aankh ka andha naam nayansukh!" Ek gaun wale ne jhalaane ki acting karte hue kaha. 

"Kya matlab!"

"Videsh se aaye ho kya? Gaun ke taraf se aa rahe ho aur anjaan ban ke puchh rahe ho ki kya garbar hai. Kal raat me toofan aaya tha usi me per ukhar kar truck par aa gaya. Ab jab tak per ki chhatai nahi hogi truck kaise nikalega? " Dusre gaun wale ne apna haath rokte hue kaha.

"Naaraz kaahe hote ho dost. Kal saam pee kar so gaya tha; isliye toofan ka pata nahi chala."

"Bhaiya, ab aa hi gaye ho to jara madad karo to jaldi raasta saaf ho jayega." Gaunwale ne baat badhate hue kaha.

"Zaroor karta dost. Par hum thora zaldi me hain." Kahte huye Kallo waha se khisak kar apne saathi ke saath truck ke chaaro aur ghum-ghum kar dekhne laga. 

Kallo ghumta hua us jagah ke paas tak pahucha jaahe se kaate gaye pero ko dekha jaa sakta tha par betartib phaile daalio ki wajah se waha tak pahuch nahi paaya.   

Kallo aur uske saathi ko eisa karte dekh Javed Khan ne Gopu ki peeth thapthapai.

Kallo aur uske saathi wapas jeep ki taraf laute.

"Jagga. Hum dono ne check kar liya hai; per bakai toofan se gira hai. Isse saaf karne me gaun walo ko kam se kam 1-1.5 ghante lag jayenge. Yaha se thora picche ek kaccha rasta hai jo aage jake issi sarak par mil jata hai. Mai us raaste se parso hi gaya tha." Kallo ne  apne boss se kaha. 

"Chal baith. Ussi raaste se chalte hai." Jagga ne unhe jeep me baithe ka issara karte huye kaha.

Badmaaso ne Ramdayal ki jeep wapas mor kacche raaste ki or daal di.

Badmaaso ko nahar wale raaste me jaate dekh sabne chain ki saans li.

Aparijita ke plan ka pahla step kaamyabi se pura ho gaya tha.

Gopu ne turant Aparijita ko phone par iski suchna dete huye Dinesh ke saath Japu ke paas jane ke liye chal para. 

--------------------------------------------------------------------------

Idhar jeep ke andar.

"Jagga. Iss launde ne Rani ko pehchaan liya hai."  Kallo ne Jagga  ko bataya.

"To kya hua. Murda bhi kabhi bolta hain. Isko to waise bhi marna tha aur ab to chhorne ka sawal hi nahi hota hai." Jagga ne itne thande swar me kaha ki Kailash ka chehra double roti ki tarah safed par gaya. 

Jagga ke kahne ka andaz eisa tha  ki jaise wo kisi insaan ki nahi balki kisi makhhi-machhar ke maarne ki baat kar raha ho.

"Saali, tera iss launde par dil aa gaya tha kya jo apna chehra isse dikha aayi." Jagga ne jeep chala rahi larki ke gaal par thappar jamate huye kaha.

"Are, us makan me ghusne ke baad jab mai room check kar rahi thi tabhi ek chiriya waha se bhaagi uske pankho ke hawa se dhool mere aankho me ghush gaya.  Isliye mazburi me maine apna naqab aankh saaf karne ke liye utara tha. Tabhi iss haramzade ne dekh liya aur kahne laga ki tum to issi gaun ki ho; mujhe bacha lo."  Rani ne apne hontho ke kone par chhalak aaye khoon ko apne kehuni se saaf karte huye kaha.

"Aage se dhyan rakhiyo; eisi galti mai dowara bardast nahi karunga."  Jagga ne Rani ke khaa jaane waali nazaro se dekhte huye kaha.

--------------------------------------------------------------

Jeep kachhe raaste apne piche dhool ka baadal chhorte huye teji se aage badh rahi thi.

Jeep me aage ke seat par Rani aur Jagga baithe the. Beech wale seat me do badmaso ke bich ramdayalji ka beta Kailash baitha tha aur peeche Kallo ke saath ek aur badmas baitha tha jo Kallo ka saga bhai tha.

Sabhi ne apne apne naqab nikal diye the. 

Ab tak Gopu ke jariye Aparijita ko badmaso ke ginti aur baithne ke position ki jaankari mil chuki thi.

---------------------------------------------