Monday 12 March 2018

Naya Mission Part1

Sarfarosh 

Disclaimer: This is a work of fiction. Names, characters, businesses, places, events, locales, and incidents are either the products of the author’s imagination or used in a fictitious manner. Any resemblance to actual persons, living or dead, or actual events is purely coincidental.


New Delhi 11 Am
Ek Rolls-Royce car Taj Hotel ke parking me pahuchti hai! Isse ek bahut hi khubsurat ladki chala rahi thi ! Uske chehre par aisi abha thi ki ek bar uska dedaar karke marne wala bhi phir se jee uthe ! Aayiye usse parichay kar len !!

Name :- Aparijita Singh
Height: 5 feet 7 inches
Eye Color: Black
Body Measurement: 34-25-36 inches
Color :- Milky white

Aparijita Rajshtan ke kisi rajware ki eklauti waaris hai. Har mahine wo lakho rupaiya ek charitable organistion ke through daan diya karti hai . Wo un chand beauty me se thi; jinhe beauty with brain kaha jata hai !! Aparijita criminal psychology me gold medalist hone ke saath saath martial arts me bhi prangat hai . Usne higher studies desh se bahar ki hai. Apne padhne likhne ke shauk ke karan Aparijita multiple field me acchi khashi knowledge rakhti hai. Aparijita ko melodious songs kaafi pasand hai. Usne music ki training bhi liya hai aur khud bhi accha gaa leti hai. Meaningful lyrics wale gaane Aparijita ko bahut hi pasand hai. Bachpan se hi yoga aur meditation ka avyasah karte rahne ke kaaran usme aam logo se jayada self control hai.

Taj me wo apne ek videshi mitr John se milne aayi thi jo ki usse uske videsh me study ke samay se jaanta tha . Uska irrada Taj me raat tak ruk uske saath bite palo ko ek baar phir se jeene  ka tha . 

Wo car se uttarne hi wali thi ki uska mobile vibrate kar utha. 

Aparijita ke chehre par ek second ko naakhushi ke bhaav umare. Magar turant hi wo apni zinda-dil mood me wapas aa gayi aur muskurate huye mobile utha liya. Aparijita ne usool bana rakha tha ki chahe kaisa bhi mood ho; wo phone karne bale ko wo khushdili se hi zawab degi. 

Caller ka number dekhte hi wo sanzida ho gayi aur kuchh pal baat karne ke baad car ko Connaught Place ki taraf mod diya!

Connaught Place me uski car ek multi-story building ke parking me pahuchi.

Ek private likhe lift se Aparijita 15th floor jo ki aakhri floor tha, par pahuchi. Saamne hi board par likha tha "Vandematram" ! 

Vandematram ek monthly magazine tha, jo investigative journalism ke liye jaana jata tha. Pura 14th and 15th floor Vandematram ke liye tha. 14th aur 15th floor tak sirf ek hi direct lift aati thi aur usme bhi ek security gaurd hota tha. Seedhiyo bhi 14th floor par grill laga kar lock kiya hota tha aur waha par 2 security guard hathiyaro ke saath pahra de rahe hote the.

Aparijita ke kadam Vandematram ke chief editor aur maalik Ajay Rai ke office ki aur badhe .

Vandematram ka investigative journalism me kaafi naam kamaya tha. Iski imaandari itni khari thi ki usme kaam karne wala adna chaprasi bhi bikayo nahi tha! Lekin Vandematram ka ek raaj bhi tha, jo kuchh hi logo ko pata tha. Vandematram ek govt secret organisation ka cover tha. Isme kaam karne wale 50% employee asal me secret agent the. Iss orgnisation ko Sarfarosh ke naam se jaana jata tha , jiske chief Ajay Rai the.

Ajay Rai ex miltery man the, jinhe Ashok chakra se nawaze gaya tha. Baad me unhone military intelligent me kaafi accha kaam kiya. Ek waqt aaya tha jab govt ki baaki investigation agencies local aur collision wale center govt ke dwab ke aage ghutne tekne lagi to President aur PM ne milkar ek eise sanstha banani chahi jo MI6 ki tarah ek dum gupt ho, aur wo kisi ke dawab me na aaye . Is tarah Sarfarosh ke neeb pari, aur Ajay Rai iske pahle chief bane. Iss organisation ka har member suruaati daur me Ajay Rai dwara personally  jaacha parkha gaya tha. Sarfarsoh me 21 se lekar 90 saal tak ke har profession se sambadhit log saamil the. Par en logo me ek cheej common thi ; aur wo thi desh par mar mitne ka zajwa. Sarfarosh ka har bande ke liye har riste se upar desh tha.

Aparijita ne door knock karke andar aane ke izzazat maangi. 

Izzazat milte hi wo salute kar ek chair kheech kar Ajay Rai ke saamne baith gayi!

Waise to Ajay Rai apne har agents ko apne pariwar ki tarah dekhte the. Magar Aparijita sabhi agents me unhe sabse jyada pasand thi. Aparijita ke talent ke aalaba bhi ek aur cheez thi jiske karan wo unke kaafi kareeb thi. Aparijita unke sabse khas dost, jo unke saath Miltery Intelligence me the aur ek mission me sahid ho gaye the,  ki beti thi aur unhone use goad me khilaya tha. Khud Ajay Rai ne apne parivaar ko ek aatankbaadi ghatna me kho diya tha. Jab unki mulakat ke dauran koi aur nahi hota to wo use beti hi kahte the. 

"Aao bete baitho. Tumhe aaj hi ek mission par kucch ghanto me nikalna hoga. Tumhe UP ke Sonbhadra district ke rural area ke ek Police station par station house officer (S.H.O.) ban kar jana hai. " Ajay Rai ne gambhir sawar me kaha.


S.H.O. ke roop me kaam ! Ye sunkar Aparijita ne accharya bhare nazro se unhe dekha.

Ajay ke aankho me ek paini si chamak khondhi.

"Uski tum chinta na karo. Tumhari appointment ek experiment ke taur par dikhaya jayega . Isme ye dikhaya jayega ki Rastrpati ke anusansa par ek behtarian investigation journlist ko kuch samay ke liye poice department me experiment ke daur par join karaya ja raha hai. Logo ko iss kahani par vishwas bhi hoga kyuki tumhara "Durga" penname se investigation journalism par likhe gaye articles ke kaaran acchi-khasi reputation hai. "


Itna kah kar Ajay thora gambhir ho gaye aur kuchh seconds chup rahne ke baad phir se bolne lage.

"Idhar kuch dino se intelligence report aa rahi hai ki Premnagar me desh virodhi apna paith jamana chahte hai. Wah tumhara kaam eisa hoga jo aam police wale nahi kar sakte hai. Isme Sarfarosh ki team bhi tumhare saath jaroorat parne par kam karegi, par jaydatar kaam tumhe akele hi karna parega."

"Eisa kya kaam ho sakta hai jo dusre police wale nahi kar sakte!"

"Sabse pahle to tum ye jaan lo ki Sonbhadra district ki khaas ahmiyat hai. Agar tum iske nakse ko dekho to payogi ki ye Bharat ka ek matra district hai, jo chaar other state ( Madhya Pradesh, Chhattisgarh, Jharkhand aur Bihar ) ko jorta hai. Aur to tum ye jaan lo ki Premnagar sahar nahi ek gaon hai . Wha ki aam janta abhi bhi desh virodiyo ke bahkabe me nahi aayi hai. Premnagar ke logo ne Aazadi ke jung me badh chadh ke hissa liya tha. Iska asar abhi ke new generation me abhi bhi hai. Waqt ke saath aaj ke halaat me new generation ki desh prem par waqt ki dhool ne apna asar dalna suru kar diya hai. Bhtake huye logo ko phir se desh-premi banane ke liye unki soyi pari deshprem ko sirf jagane ki zarurat hai. Sabse mahatpurn baat ye hai ki Sonbhadra me Sarfarosh ka subcenter establish hona hai . Ek kaafi naami surgeon hai jo iska kaam sambhalenge . Tumhe subcenter banane me unki madad karni hai. Ab to samajh hi gayi hogi ki yeh kaam koi aur nahi kar sakta."