Saturday 7 March 2020

Dhanraj aur Abbas ki kahani

Abbas ne Dhanraj se apne relation ke baare me ek bhi baat ab tak nahi ki thi aur naa hi kisi bhi uske employee ne ispar kuchh batya tha. Abaas aur Dhanraj kaise ek dusre se jure ye janna Aparijita ke liye jaroori tha. Iske baare me puchhne se pahle Aparijita baat-chit ko aur jyada dostana maahool me badalna chahti thi.

"Abbas bhai, Apne design hume nahi dikhyaoge?"

"Kyu nahi dikhayunga madam! Mujhe to dikha kar khushi hi hogi! Mere saath aayiye!"  kahta hua Abbas sofe se uth kar niche bane ek hisse ki or badh chala. 

Aparajita bhi uske pichhe-pichhe chal pari. 

Jald hi wo log ek bare se khubsurti se sajaye hue  bed room me the.  

Abbas kamre me mauzod wall-almirah ko kholne laga. Iss tarah ke 4 wall-almirah ko usne ek-ek kar khola aur kuchh dress nikal kar bed par rakha. Usne phir dresses ko 2 alag-alag hisso me saja diya.

"Madam! Yeh wo designs hain jinko dekhne ke baad Promod babu ne apne yaha mujhe job offer kiya tha. Maine inhe kisi ko nahi becha. Jab competition ke baad inke liye offers aaye to maine kharidaao ko dusra bana kar diya. Halaki kam samay me delivery dene ke liye mujhe kaafi mehnat karna para magar maine inhe apne se juda nahi kiya. Yeh hi wo designs the jinhone aage chal kar mere liye tarrki ke raaste khole the."

Abbas baat karte-karte kaparo ko bare pyaar se sahlata jaa raha tha jo yeh batane ke liye kaafi tha ki use apne pahle milestone design se kitna pyaar hai.

"Madam! Aur idhar jo 2 dress aap dekh rahi hain, inhe  bhi award mila tha. Yeh mera as a designer pahla award tha jo maine course ke baad paya tha. Maine Promod babu se kah kar inhe apne paas yaadgaar ke taur par rakh liya tha. Baad me mere kuchh aur designs ko award mile magar wo mere dil me wo jagah  naa bana sake jo inhone banya hai."  Abbas ki aankho ki chamak bata rahi thi ki wo apne inn designs se kitna lagaab rakhta hai.

"Yeh baastav me acche designs hai. Aur ...." Aparijita ne Abbas ki designs ki taarif karni suru kar di. Wo designs vaastav me taarif ke kaabil bhi the. 

Aparijita sirf kori taarif nahi kar rahi thi; wo saath-saath kapro ke fabric par bhi apne comment de rahi thi. Aparijita ne kapro ki silaai aur usne huye kadhai aur designer doriyo par baat karni suru ki to Abbas bhochhaka sa rah gaya. Wo saath hi saath kuchh fabric par kaise kaam kiya gaya hoga ispar bhi comment kar rahi thi. 

Aparijita kaafi baarik chhezo par apni rai de rahi thi. Abbas ko kisi jaankar se saabasi mile kaafi lamba waqt ho gaya tha. Isliye aaj jab usne Aparijita ko apni taarif karta paya to use bahoot santusti mili. Iske pahle bhi wo gaunwaalo aur kuchh distributors se taarif sun chuka tha par unke taarif karne ke andaaz se hi wo samajh jaata tha ki unhe kapro ke fabric aur uspar kiye gaye kaam ka baare me dhela bhar bhi nahi pata hai aur wo log sirf bahari look ki pransasa kar rahe hai aur uske peeche ki kaarigari ki keemat ko koi mahatav nahi de rahe hai.

"Madam! Main abhi bhi Promod babu ke liye har festival aur naye saal ke liye design karta hoon. Aaiye main unhe aapko dikhata hoon. "

Abbas ke sabdo me wo baccho jaisi khushi jhalak rahi thi jo kisi bacche me tab nazar aati hai jab wo school me first hone par sabko apna report card dikha raha hota hai. Aparijita ke tarif ke tarike ne jaadu ki tarah kaam kiya tha. Aur yeh tarika bahoot hi simple tha, "Sachhi taarif karo".

Bedroom ke andar se hi ek dusre room me jaane ke liye darwaja tha. Abbas ke picche-picche Aparijita bhi us kamre me pahuchi. Yeh ek bara sa study tha. Jisme ek kone me computer table lagi thi jisme ek bare screen ka monitor ke saath ek desktop PC laga tha. Paas ke table par ek laptop bhi dikh raha tha. Ek kone me wifi router laga tha.

Study me kai book-almirah dikh rahe the jisme fashion se juri magzines bhari hui thi. Study ke ek kone me mard aur aurato ke kai dummies rakhi thi. Ek aurat ki dummy ko ek bara hi khubsurat sa gown pahna gaya tha. Uske paas hi ek bara sa white-board laga tha. Aparijita ne gaur kiya to use  chhat se ek camera bhi laga dikhayi diya. Study me ek aur darwja dikhayi diya aur uske location se hi samjah me aa raha tha ki wo darwaja sidhe drawing-room me khulta hoga.

"Madam! Yaha main wo designs karta hoon jinke kharidaar mahanagaro me rahta hain aur jo 50,000- 100,000  rupaiye sirf ek function me pahne ke liye lagane ko taiyar rahti hai. Main yaha projector, dummy aur computer ke help se Promod babu ya kuchh khash customers ke liye taiyar designs ka demo deta hoon. Main aapko iss saal  ke kuchh designs dikhata hoon."

Abbas ne laptop on karke use projector se jor diya aur white board par design dikhane laga. Designs 3-D effect me software ki madad se dummy ke upar pahna kar dikhaye jaa rahe the. Abbas saath hi saath kis designs me kya fabric use hue hai yeh bhi batata jaa raha tha. 

Thore der tak dono  inn dress se related baat karte rahe.

"Abbas Bhai! Aapki iss safar me Dhanraj jaise  bande se kaise dosti ho gayi." Aparijita ne jab Abbas ko khul kar baaten karte paaya to sawal puchh dala.

"Shauk se nahi madam, mazboori se. Dhanraj neta hai aur uski Sonbhadra me bahoot chalti hai. Jab tak Ram bhaiya the tab tak uski himmat nahi hui ko kuchh kahta kyuki Ram bhaiya ki iss pure Vidhan-sabha khestra me bahut hi acchi image aur hold thi. Ram bhaiya  ke jaane ke kuchh mahine baad wo mujhse mila aur ishaaro me mujhe uske saath milne ko kaha." Abbas Sanjida swar me bata raha tha - "Main uske sabdo me mili dhamki samajh gaya tha ki agar main uska saath nahi du to wo mere kisi distributor tak maal pahuchane nahi dega. Ram bhaiya use bilkul pasand nahi karte the aur yeh baat sabko maloom thi. Maine issi baat ka fayada uthate hue use iss baat par mana liya ki main use chhup kar support karunga taaki gaunwaale bharke nahi; nahi to mera dhanda band ho jaayega. Main hi jaanta hoon ki maine use kaise manya tha. Baad me maine yeh bunglow waali zameen kharid li aur yaha aa kar rahne laga taaki agar kabhi wo ya uske biradari ke log mujshe mile to bhi yeh baat chhupi rahe. " 

"To aap uski kaisi madad karte ho ?" 

"Har saal parv-tyohar par main use kuchh mahangi sarab aur dusre tohfe bhent kar aata hoon. Aur bich-bich me uske liye kuchh parche bhi chhapwa deta hoon. Wo ek baar Mumbai ke ek businees man ke private party me gaya tha. Waha se lautne ke baad use bhi party dene ka shauk lag gaya hai. Mera naya kaam us party me aane wale mehmaano aur party theme ke liye design karna hai. Uske biradari ke kuchh aur log bhi partiya karne lage aur mujhe unke liye bhi kabhi kabhi design karni parti hai. Agar Ram bhaiya aur Gaaytri maa ki iss gaun ki behtari ke liye dekhe khawab ka khayal nahi hota to main use kab ka laat maar kar nikal deta." 

Abbas ke chehre par kathorta chha gayi thi.  Aparijita ne dheere se Abbas ke haanto par apna haath rakh kar use thapthapte  hue santawna di.

"Abbas Bhai! Yeh to aap bhi mahsoos kar rahe ho ki tum dheere-dheere Dhanraj ke changul me phaste jaa rahe ho. Ab uske saath-saath aapko uske biradari ke dusre logo ke liye bhi kaam karna par raha hai. Chaahe aap laakh apna daaman bachayo lekin kajal ki khothri me jaane waalo ko daag to lagta hi hai.  Iske pahle ki bahoot der ho jaaye aapko jald se jald is se nikalne ka raatsa dhoondna parega." 

"Madam, main kai mahino se is par soch raha hoon; par koi raatsa nahi sujh raha tha. Main khud mahsoos kar raha hoon ki main dheere-dheere iss daldal me aur gahra phasta jaa raha hoon. Maine pichhe 1-2 meeting bahana bana kar miss kiya tha tab Dhanraj ne dhake-chhupe sabdo me mujhe chetawani bhi di thi. "

"Abbas bhai, yeh thik hai ki aapka Abhaipur me bahoot izzat hai, isliye Dhanraj ki koi chaal yaha aasani se kaamyab nahi hogi. Agar aapko Dhanraj ke changool se nikalna hai to aapko baaki gaun me bhi apne hamdard bana kar iss se aahista-aahista nikalna hoga. Aapko Javed aur Dhanraj wala bakya to pata hi hoga. Dhanraj chhah kar bhi Javed ke khilaaf kuchh nahi kar paya tha aur ulta use hi safai dete ghumna para tha."

"Madam, aap hi kuchh raasta nikaliye taaki main Gaytri maa ke sapne aur unke naam ko aur phaila saku. Ram bhaiya iss saal Holi ke samay aaye the. Sanyanas le lene ke karan wo ghar me naa ruk kar ek mandir me ruke the. Unse milne par mujhe pata chala ki unhone aadhyatmik taur par kaafi pragati kar li hai. Wo saamne baithe logo ki dil ki baat samjh lete hain. Dharmik grantho par unki pakar bhi kaafi jabardast hai. Unhone mujhe bola tha ki tumhe paresaani se nikalne me ek mahila madad karegi jo bahar se aayegi. Abhi mere samajh me aa raha hai ki wo aapke baare me hi bhavisya-vaani kar rahe the. Madam, please mujhe iss jhamele se nikaliye nahi to main kayamat ke din zabab nahi de payunga !" Abbas ne achank se Aparijita ke saamne haath jorte hue kaha.

"Abbas bhai, main yeh to nahi jaanti ki aapke  Ram bhaiya ne kiske baare me kaha tha par aapki madad ke liye koi raasta dhoodhne ka prayash karungi. Mai maanti hoon ki  sabko sudharne ka ek mauka to milna hi chahiye."

Abbas ke chehre par thora sakoon dikhne laga. Usne duniya dekha tha. Aparijita ke Premnagar aane ke baad kaise waha ka mahool badla tha, uske picche ke actual reason us se chhupi hui nahi thi.
Aparijita ke pahale encounter ki jab khabar mili thi tabhi Abbas ke dil me eek aas ki kiran jaagi thi, ho na ho yehi wo mahila hai jiske baare me Ram bhaiya bata rahe the. Usne encounter me sahyog karne waale kuchh gaun waalo se mil kar encounter ke baare me detail ekkatha kiya tha. Gaun waalo ne use bataya tha ki kaise Aparijita ne aate hi chand minutes me hi saara plan taiyar kar liya tha. 

Abbas ne encounter ke baad hue ghantnakram ko kaafi baariki se analysis kiya tha. Aparijita ne 5 gaun ke logo ko ek saath laane ke liye bari chaturai se sabke nazaro se chhip kar anjaam diya tha. Abbas ke tej dimaag ne use samjha diya tha ki Aparijita ek sadharan SHO se kahi jayada hai. Wo khud Aparijita se milna chahta tha par use Ram bhaiya ki baat yaad thi. Ram bhaiya ne use bataya tha ki waqt aane par wo mahila khud us se contact kar legi.

"Abbas bhai, jab aap Dhanraj se bahar jaane ki kosis karoge to wo gusse me kuchh kadam uthayega. Iss kaam me koi bhi plan eisa nahi ban sakta jo ekdam full-proof ho. " Aparijita ne baat aage badhate hue kaha.

"Madam mai samjhta hoon aur iske liye taiyar hoon." Abbas ka sthir zabab aaya.

"Theek hai! Ab aap mujhe uske baare me aur uske kaam ke baare me jo aap jaante ho, sab batayo. "
Abbas dheere-dheere Dhanraj ke baare me batane laga.

"Madam chuki maine uske kaale dhando se thori duri bana rakhi hai, isliye main uske iss tarah ke meetings aur usme saamil logo ke baare me jayada detail me nahi jaanta hoon. Usne paas ke dusre gaun me apna bara sa farm-house banaya hua hai; jo aata to isi vidhan-sabha me hai par uska thana alag hai. Waha ka thanedaar Dhanraj ke hukum ka gulam hai. Iss farm-house par main kai baar uski private party me gaya hoon tab waha mauzod logo ke baatchit se pata chala ki Dhanraj prostitution chhor kar har tarah ke galat dhandhe me hai. Dhanraj prostitution ki kamai ko nafarat karta hai jabki baaki galat dhandho se koi parhej nahi hai. Usne apne aadmiyo ko sakht hidayat de rakhi hai ki koi bhi larki ke chherchaar ya balatkar naa kare, nahi to wo use nahi chhorega. Uska manna hai ki iss tarah ki ghatnayo ka public me pata chal jaana uske khupiya tarike se chal rahe baaki dhandho ki taraf musbiat khari kar denge. " 

Abbas laptop par farm-house ke kucch snaps Aparijita ko dikhane laga. Usne uske baad kuchh party images ka slidshow laga diya.

"Waise to Dhanraj ne party me photo lena mana kar rakha hai. Kai baar party me hone waali gatividhi bhi leak hona bahoot musibat khari kar sakti hai. Par aajkal selfie lena logo ka kaafi bhaa raha hai, isliye kuchh khash kism ki party ke aalba mutual agreement se photo lena allowed hai; phir bhi dusre ke izzazat ke bina snaps lena waha mana hai. Maine eise hi mauke par li gayi snaps ka ek collection bana rakha hai taaki isse kabhi aare waqt me istemaal kar saku."

"Abbas bhai, snaps ka slide-show phir se suru kare aur usme dikh rahe bando ke baare me bhi batate jaye! "

Abbas slide-show suru karke usme dikhne waale logo ke baare me batane laga.  

"Madam, iss baali snap me jo madam sofe par baithi dikh rahi hain wo Renu hai jo Sonbhadra me rahti hai!  Renu ke husband ki maut 5 saal pahle ho gayi thi tabse wo apne pati ke  transport aur dusre dhando ko khud hi sambhal rahi hai. Usne apne pati se dhandhe ki baarikya sikhi thi. Wo takriban 30-32 saal ki hai par apne fitness ke karan 24-25 saal ki dikhti hai. Usne apne bete ko boarding school me bhej diya hai. Sonbhadra me usne kuchh NGO bhi khol rakhe hain jo accha kaam kar rahe hain aur meri jaankari ke anusaar isme wo koi beimaani nahi karti. Sonbhadra me hi uska ek dusra bunglow bhi hai jaha wo apni aur apne dosto ke liye private parties karti hai. Kabhi-kabhi wo kai dino ke liye issi ekant bane bunglow me rahti hai. "

"Abbas bhai! Aapne Renu ka jikra kuchh jayda kiya."  Aparijita ne muskurate hue puchha.

"Aapne theek samjha, madam! Main Renu ko pasand karta hoon aur wo bhi mujhe!"

 Baat-chit karte hue slide show khatam ho gaya. iss dauran Abbas Renu aur Dhanraj ke aalaba party me dikh rahe logo ke baare me kaafi kuchh bata chuka tha. Tabhi Aparijita ki nigaah snaps waale ek aur folder par pari jise abhi tak dekha nahi gaya tha. Aparijita ka us par dhyan dilane par Abbas hasta hua batane laga.

"Madam, party me maine Vikram ka snaps dikhaye the. Yeh usi ki special demand baali folder hai. Uske paas pustaini kaafi dhan hai aur Dhanraj ke saath partnership se bhi usne kaafi kamaya hai. Wo kuchh khas logo ke saath theme based party karta hai. Us party ke liye wo mujhse dress design karwata hai." Abbas foolder open karke dresses ke slide-show chalate hue bata raha tha.  

 "Halaki mujhe usne iske liye payment bhi kiya tha, par maine us se sirf lagat hi liya tha kyuki Vikram ke jariye mujhe kuchh bare clients bhi mile hai. Iss party me Renu kabhi aai aur naa hi kabi aayegi. Haan, Dhanraj uske har eise party me zaroor hota hai. Mainuske bahoot jor dene par 1-2 baar gaya hoon. Main waha ke khulepan ko nahi jhel pata. "

Abbas us party me kaise-kaise log aate hai aur wo kaisi-kaisi harkate karte hain bata raha tha. 

Aparijita ko yaha aaye hue kai ghante ho gaye the aur yaha aake use Dhanraj ke baare me kaafi jaankari mili thi. Use lag raha tha ki Premnagar ki fiza me bilkul chhupe dhang se zahar phailane me uska zaroor haath hona chahiye yaa phir uske jaankari me to hona hi chahiye. Usne Dhanraj ke against Abbas ka istemaal karne ka nischay kar liya tha aur Abbas tabhi khul kar uske saath aa sakta tha jab use Dhanraj ka dar naa ho.

"Abbas bhai, main kuchh plan banati hoon taaki yeh lage ki aap logo ko support karne nahi gaye balki log aapke paas aaye aur tab aapne unki madad mazboori me dabab ki wajah se ki. Iss bich aap Renu ko aapke  iss bunglow par kuchh samay bitane ke liye manao. Baatchit ke dauran uska man Dhanraj ke baare me tatolo. Main  1-2 din me aapke bunglow me chhote khufiye camere laga jayungi jo aapke dwara on kiye jaane par recording suru kar denge. Jab bhi Dhanraj ke group ka koi bhi member yaha aaye tab aap use on kar dena. Use off unke jaane ke baad hi karna kyuki unke sensor itne sensitive hai ki wo koi harkart naa hone par khud hi hiberbnate state me chale jaayenge. Kya aap taiyar ho?  " 

"Madam, mai puri tarah se taiyar hoon! "

"Theek hai, main ab nikalti hoon. Recording me kya nikal kar aata hai, uspar hum aage ka program decide karenge !"

---------------------------------------------------------------------------------------------------
Takriban 4 baje Sonbhadra se 2-3 Police ke bare adhikaari aaye. Unhone encounter me saamil sabhi police staff ki tarif ki aur unhe bharosa dilaya ki wo unke saath hain.  Sonbhadra me ek team un mare apradhiyo ke baare me jaankari juta kar 2-3 din me apni report submit karne waali thi. Police union ke dabab ko kam karne ke liye yeh adhikari yaha aa kar yaha ke staff ko dilasa de rahe the ki wo inke saath hai aur bata rahe the ki kothai baratne waale adhikari oa demote karke tabadala kar diya gaya hai.

Suresh aur Ghanshyam ne jab adhikario ko Aparijita dwara pool par kiye kaarnaame ki jaankari di to wo log Aparijita ki taarif kiye bagair nahi rah paaye. Aparijita ne baat-chit ke dauran apni demand rakhi.

"Sir, iss se pahle ke muthbher me aur isme me bhi hamare hatiyaao ne dhoka diya hai. Upar se mukhbiro ke anusaar thane par aage bhi hamle ho sakte hai. Us sththi me hume unka saamna karne me dikkat aayegi. Agar adhunik hatiyaar sambhav nahi ho to kam se kam durust hathiyaar hume diya jaaye taaki hum unka mukabala kar sake."

Aparijita ke demand par wo log kuchh der aapas me baat karte rahe. Phir unme se ek bola.

"Aap jaanti hain ki adhunik hatiyar muhaiya karane me samay lagega. Par iss shant mahaul me itni jaldi-jaldi 2 encounter ho chuke hain, islye hum aaplogo ko uplabdh durust hathiyaar dilwaa dete hai. Aap hume un hathiyaaro ki list bhej den jinki replacement honi hai. Hum 2-3 din ke andar hi replacement bhej denge."

Jaate waqt wo log Aparijita sahit saare encounter me saamil logo ko inaam ka cheque dete gaye. 

Adhikariyo ke jaate hi Aparijita ek baar phir se apne pending annual report me lag gayi. Raat 11 baje tak usne report complete karke Sarfarosh ke server par submit kar di. Usne aaj ek baar bhi Arpita se baat nahi ki thi. Waise bhi wo kal raat yaha aane waali thi; tab  wo kaafi detail me baaten kar sakti thi.
Agnivesh se related recording me aaj bhi kuchh nahi mila tha. 

================================================================

Saniwaar ki subah ek hungame ke saath hui.

No comments:

Post a Comment