Sunday 12 January 2020

Harphanmaula Aparijita

Ghanshyam aur Suresh ke aankho ne jo dekha; us par unko viswaas nahi hua ki kanhi wo sapna to nahi dekh rahe hain. 

Achanak hi unhe sarak ke kinare ke ek pagdandi se aati Aparijita ki cycle dikhayi di. Sumo ab tak waha tak nahi pahunchi thi.

Jaisi hi Aparijita ki cycle sarak par pahunchi hi, Suno bhi waha pahunch gayi. 

Sport cycle lakh acchi kyu na ho Sumo ki speed ke maamle me mukabla nahi kar sakti thi. 

Ghanshyam aur Suresh ke dekhte- dekhte Aparijita chalti cycle ke seat par khari ho gayi . 

Jaise hi Sumo Aparijita ke paas se gujari wo chhalang laga kar uske chhat par kud pari. 

Nahar ab bas 300 meter ki duri par tha. 

Sarak nahar ke paas 30 degree ke angle par muri hui thi. 

Sumo sidhi bhaagi jaa rahi thi.  Agar Sumo ko roka nahi jaata to wo sidhe nahar me samane waali thi.
Nahar ke paas railing ko contract lene ke liye kuchh mahine pahle Dhanraj se jure ek thekedaar ne turwa di thi. Kisi wajah se wo contract abhi tak paas nahi hua tha. Abhi haal me hui baarish ke wajah se nahar  me kaafi paani tha.

Sumo me luggage rakhne ke liye chhat par ek roof rack laga tha. Chand seconds me hi Aparijita use pakre hue driver ki taraf waali khirki ki or latk driver ki taraf ka darwaaja khol diya. 

Ab tak nahar aur Sumo ke nich sirf 100 meter ki duri bachi thi.

Ghanshyam aur Suresh ke haath neeli chhatri wale se madad magne ke liye prathana ki sakal me mure. Wo us se koi karisma dikhane ki fariyaad kar rahe the kyuki ab koi karisma hi sumo me band logo ko bacha sakta tha. 

Tabhi karisma hua. 

Ghanshyam aur Suresh ne dekha ki Aparijita ne sumo se driver ki seat par baithe apradhi ko darwaaje se bahar phek diya. 

Agle hi pal Aparijita driver ki seat me ghusti dikhi.

Driver ke seat par baithte hi Aparijita ko jo dikha usne uske buri tarah chauka diya.

==========================================

Nahar ke pool par ek chhota truck lohe ki sariya laade khara tha jis se lohe ke sariye kai feet bahar nikale hujye the. Iss halat me Sumo ko pool ki taraf nahi mura jaa sakta tha. 

Yaha sarak ke dono aur nahar ka paani store rakhne ke liye 2 bare taalab sa banaya gaya tha jisme nahar se bhi jayada paani iss waqt bhara hua tha. 

Aparijita ne second me hi saara phaisala kar brake par maano khari ho gayi. Pure vatabaran me brake ki chichiyahat sunai di. 

Tej bhaagti Sumo nahar ke railing ke antim chhor par aakar ruki. 

Aparijita ne utar kar Sumo ki haalat dekhi. 

Agar Sumo 2 inch baad rukti to nahar me gote laga rahi hoti.    

Aparijita ne Sumo ke bich wale seats par nazar daali to use koi nazar nahi aaya. Aparijita  ghum kar pichhe ki aur gayi aur picche ka darwaja khola. 

Sumo ke picchle hisse me thus-thus kar kapre ke bundle bhare gaye the aur wahi haath-pair bandhe 2 jawan larkiya aur ek  buddha dikhayi pare. Unke munh bhi bandhe pare the. Unke upar bhi kapre daale gaye the jiske kaaran wo baahar se nazar nahi aa rahe the. 

Aparijita ne ek ek kar ke sabko bahar nikala. 

Qaid se rehai milte hi unki aankho me khusi ke aanso chamak uthe. 

Tabhi waha 3 bikes aake ruki. 

---------------------------------------------

2 bikes thane se aayi ki thi jinpar poolicewaalo ke saath abbas bhi aaya tha.  Abbas wala bike par Ghanshyam aur Suresh aaye the. 

Abbas wala bike Suresh chala kar laya tha. Ghanshyam ke haanto me rumaal bandha tha jo ki khun se lathpath tha. 

Abbas ko dekhte hi dono larkiya bhaijaan bolte hue uski or lapki aur uske gale lag kar rone lagi. Unke saath-saath Abbas bhi ro raha tha. Un sabko rota dekh kar buddha munim bhi apne aanso nahi rok paaya aur wo bhi unke saath rone laga. 

Aparijita ne rote Abbas aur uske saathiyo ko akela chhor apne saathiyo ke baare me khoj-khabar lene lagi. 

Ghanshyam aur Qadir ko turant doctor ke paas le jaane ke liye ek police bike rawana kar di gayi. Suresh ko bhi sarak par kuchh dur tak khistane ke karan kuchh kharoche aayi thi par wo abhi wahi rukna chahta tha. 

Tabhi ek bike par Japu, Amit aur Arjun bhi Japu ke bike par waha pahunche.  Unke 5 minute ke baad Gopu bhi ek bike par waha aa pahuncha.

Gopu ko bhi muthbher ki suchna mili thi. Wo turant hi daurta hua thane me pahuncha tha. 

Gopu ne hi Japu ko phone karke muthbher waali jagah pahunchane ko kaha tha. Usne jab suna ki Aparijita ko iss baat ki khabar der se mili to use Harilal par bahoot gussa aaya ki usne Qadir ki baat par viswaas kar liya aur apne taur par koi prayash nahi kiya.

Japu ne Aparijita se mile rupaiyo (Kalicharan waale) se chand din pahle hi ek nayi bike kharidi thi. Japu ke team ke paas iss waqt Jaaga wale chhote aur kaafi saktisaali hatiyaar the. Iss muthbher waali jagah ke sabse paas Japu tha. Isliye Harilal ko sabse pahle use khabar karna chahiye tha. Harilal nervous ho gaya tha aur muthbher waale matter ko dhang se handle kar paane me kuchh had tak naakam raha tha. 

Gopu ne Harilal ko kuchh bhi nahi bol Japu ko phone laga ke Phulpur ke paas waali nahar ki or jaane ke liye kaha tha. Use baakhubi pata tha ki jis taraf se apraadhi bhaag rahe hai unhe Phulpur ka pool paar karna hi parega . Usne Japu ko Qadir aur Kishore se contact me rahne ko kaha tha. Wo jaanta tha ki Ghanshyam iss tarah ke mamle me Suresh ko apne saath aage rakhega. Gopu ne phone karke raat ke duty waale staff ko bhi paristhithi ki gambhirta batate hue thane aane ko kah chuka tha.

Thane me iss waqt koi bike nahi thi. Issi dauran thane me ek banda bike lekar apne paasport ke verification ke liye aaya hua tha. Gopu ne us se uski bike maangi or Rohit ko lekar nahar ke liye chal para tha.

Aparijita ko Gopu ko waha dekh kar sukhad aascharya hua.

Japu ne  iske pahle use bata diya tha ki Gopu ne use yaha pahunchane ke liye kaha tha. Aparijita ke puchhane par Gopu ne bataya ki usne raat baale staff ko bhi bula bheja hai. 

Gopu ne ek baar bhi Harilal ki sikayat nahi ki balki usne bataya ki Harilal kaka Japu ko phone karne hi waale the ki usne waha pahunch kar phone kar diya. Aparijita ke tej dimaag se Harilal ki naakami chhupi nahi rahi thi. 

Abbas apne saathiyo se gale mil kar bahoot roya. Kucch der baad uski car lekar uska ek assitant waha pahuncha. 

Abbas apne saathiyo ko zald se zald iss jagah se dur le jaana chahta tha. Wo Aaparijita ke paas iss baat ki izzazat maagne pahucha.

Tabhi Abbas ki najar Sumo ke agle tyres par pari. Wo yeh soch kar hi kaanp utha ki ek second ki der bhi uske haanth-paau bandhe saathiyo ko sartiya maut de sakti thi. Wo policewaalo ka sukriya adaa kar hi raha tha ki Suresh ne use bataya ki kaise unki madam didi ne apni jaan par khel kar Sumo ko nahar me girne se roka hai. 

Aparijita ne Abbas aur uske saathiyo ko halki pucch-taachh ke baad saam ko thane aake detail me saari baaten batane ke hidayat dekar jaane ko kaha.  Usne Abbas ko aaswat kiya ki uska maal jo apradhiyo ke Sumo aur metador se baramad hua hai wo bhi use aasani se kagaji karyawaahi ke baad mil jaayegi.  Aparijita ne maangi gayi bike ke saath Suresh ko ek police waale ke saath doctor ke paas se hote hue thane jaane ko kaha. 

Takriban 2  ghante ke baad police team apne saath Sumo aur mare apradhiyo ko lekar thane ki aur chal pari. 

Police jeep ka tyre ab tak change kar diya gaya tha. Metador ko bhi seedha kar liya gaya tha jisme se kaafi maatra me fashion dresses mili thi.  Sabko police jeep me kisi tarah se thoos kar thane laaya gaya tha.

Aparijita ki cycle sahi salamat thi. Jab Aparijita ne cycle se Sumo par chhalang lagayi thi tab cycle ko usne sarak  ke kinare ki aur pair ke jhatke se dhakel diya tha. Cycle sarak ke kinare khari do jhariyo me phasi hui mili thi.  Aparijta ne sarsari taur par ek baar vardaat ki jagah ka muyana kiya aur cycle se teji se thane ki aur chal pari.

 -------------------------------------                       -------------------------------------------------------  

Aparijita ne aate hi sabse pahle Harilal, Japu aur ek constable ko Abhaipur iss saare baardat se juri jaankari ekkatha karne bhej diya tha. 

Aparijita ne thane aaye sabhi raat ke staff member ka short notice me thane pahunchane ka sukriya ada kar unhe wapas bhej diya. Raat ke staff ko night shift me 3 ghante baad aane ko kaha gaya  taaki wo apni neend puri karke aa sake. Dono shift ke bich ke 3 ghante Rohit, Harilal aur Aparijita hi thane me rahne waale the. 

Aaj ke muthbher me saare aparadhi maare gaye the. Aparijita ne mobile se liye gaye sabhi apradhiyo ki snaps Sonbhadra headquarter bhi bhej diya tha. Wo aaj ke vaardaat ke baare me soch rahi thi.

Taiyar kapre Sonbhadra se courier ke dwara aage bheje jaane wale the. Isliye apraadhi Sonbhadra ke raaste me bhi van loot sakte the par unhone Abhaipur me iss ghatna ko anjaam dene ka kathin raasta chuna tha. Apradhiyo ne bahoot risk lekar iss ghatna ko anjaam diya tha. Iska yehi bhi matlab ho sakta tha ki apraadhi khauf paida karna chahte the. 

Saam hote-hote Abbas apni car me dono larkiyo aur apne munim ke saath pahuncha. Munim apne saath loote gaye kapro ka list laaya jo wo Ghanshyam ko kapro ki list saup chuka tha. 

Abbas ne un dono larkiyo ka parichay apne raakhi bahan ke taur par Aparijita se karwaaya jo uske garment factory me supervisor ka kaam bhi karti thi.  Wo dono uske parosi Sharmaji aur Vermaji ki larkiya thi.

Munim ne bataya jab wo log godaam me delivery ke liye jaane waali taiyar maal ko check karke uska alag-alag packet banwa kar rakh kar faarig hi hue the ki aachank se un apraadhiyo ne unhe gher liya tha. Unhone guns ke bal par saara maal metador me load karwya tha. Phir unhone in sabko haanth-paaun baandh kar Sumo me daal kar  unke upar kuchh kapre iss tarah se daal diya ki wo uske nicche dab se gaye the.

Abbas jab waha pahuncha tha tab tak apraadhi nikal chuke the aur wo sirf unke picche urti hui dhool hi dekh paaya tha. Godaam me mauzod mazdooro ne use saara wakya bataya to wo un gaariyo ke picche bhaga par harbarahat me use thane khabar karne ya karwane ka use dhyan nahi raha tha. 

Aparijita thori der tak us se local competitor ke baare me jaankari leti rahi.  Abbas ke anusaar uska koi eisa competitor nahi tha jo itna bara kaand karwa sake. 

Ghanshyam ne munim dwara di gayi list ko baramad ki gaye maal ki list se milaan karwaya aur phir aake Aparijita ko iske baare me bataya. 

"Abbasji! Aapke dwara laayi gayi maal ki list se humlog santoost hai. Aap apna maal abhi le jaa sakte hain." 

Aparijita ki baat sunkar Abbas ko apne kaano par viswaas hi nahi hua. Itni aasani se use uska maal mil raha tha. Abbas to apne saath car me maal jaldi chhurane ke liye kaafi rupaiye bhi laaya tha. Usne chaha ki wo kuchh hazaar rupaiye police waalo ko de, par Aparijita ne lene se inkaar kar diya.

Aparijita ne Abbas ko bataya ki wo zald hi khud bhi chhanbin karne aayegi. Abbas dono larkiyo ke saath usi waqt chala gaya jabki munim kapro ko le jaane ke liye ek bailgaari par kapro ka load karwa raha tha. 

====================================

Premnagar, Chaila aur Abhaipur me vaardaat ki khabar jungle me phaili aag ki tarah phail chuki thi. Teeno gaun se kaafi janta mare apraadhiyo ko  dekhne aa pahunchi thi.

Aparijita ne 3 constables ki duty public ko control karne ke liye laga rakhi thi. Dinesh ko saadi wardi me apradhiyo ki laaso ko dekhne aayi janta ke bich ghum-ghum kar unki baato ko sunne ki duty di gayi thi. Thori hi der me Sonbhadra se postmortom ke liye laas le jaane ke liye ek gaari aayi.  Us gaari ke nikalte hi public ki bheer bhi chali gayi. 

Javed aaj gaun ke kisi kaam se Sonbhadra gaya hua tha. Uske paas Salma ka phone aaya. Salma ne use Abhaipur me hui muthbher ke baare me bataya aur lautate waqt thane hokar aane ko sakht hidayat diya.

Salma ne muthbher ki khabar milte hi Javed ne Aparijita ko uske baare me pata karne ke liye phone kiya tha. Aparijita ne use short me apni salamati aur apraadhiyo ke maare jaane ke baare me bataya.
Japu aur Harilal Abhaipur se laut kar apni report de chuke the. 

===========================================. 

Javed jab tak thane pahuncha tab tak raat ke 8.00 baj chuke the. Javed ko Aparijita ne muthbher ke baare me bataya. Usne Javed ko saare apraadhiyo ki tasweere bhi dikha unke baare me Javed ki rai maangi. 

Ek bhi chehra Javed ki jaankari me se nahi nikala. Aparijita ne un apraadhiyo ki tasweere Javed ke mobile par bhi transfer kar ke use paancho gao ke dukaandaro aur anya logo ko dikha kar unke baare me pata karne ko kaha.

Kal yehi puchhtachh wala program police waale bhi karne waale the. Par ho sakta tha ki police ke mamle me hone se kuchh log apna munh nahi kholte. 

Javed ne Aparijita ko aashwat kiya ki wo khud iss mamle me interest lega aur use pura viswaas tha ki agar kisi bhi gaun waale ko unke baare me kuchh bhi pata hoga to wo use jaroor batayega.

Ghanshyam ki bike thane me rakhwa di gayi thi. Kuchh dino tak Aparijita ne Japu ko Ghanshyam ko duty aane-jaane me madad karne ke liye kaha. Phir Ghanshyam aur Japu dono Japu ke bike par apne ghar ke liye nikal pare.

Ghanshyam aur Japu ke jaane ke baad Aparijita ne ek baar phir Sonbhadra phone karke aparadhiyo ke baare me puchh-taach ki.

=======================================

Sonbhadra police ke anusaar saare ke saare apraadhi ke khilaaf sangeen jurm register the. Inke khilaaf firauti, khoon, danga, rangdaari aur balatkar jaise mamle the. In apraadhiyo ka aapas me  koi link pahle kabhi nahi suna gaya tha. Har apraadhi ka UP ke alag-alag hisso me kauf tha. Aaj se pahle kabhi inhe apna illaka chhor kar kisi aur illake me baardaat karte bhi nahi suna gaya tha. 

Yeh saare apraadhi thore din pahle hi alag-alag jail se chhute the. Pahli baar inhe 2 din pahle Sonbhadra ke ek saste hotel me dekha gaya tha. Us hotel me Sonbhadra aur 2 aur district ki police 3 apraadhiyo ko dabochne pahunchi thi. Safalta-purvak giraftaari ke baad lautti Police team me saamil ek sub-inspector ki nazar in par pari thi. Usi ne inke baare me batate hue inpar nazar rakhne ki report Police HQ me ki thi. Jis par turnat action lete hue ek police sub-inspector ko iss kaam par lagaya gaya tha. Ab jaake jaanch karne par pata chala tha ki usne iss par jara bhi dhyan nahi diya tha. 

Ab itni bari vaardat ho jaane ke baad Sonbhadra me harkamp macha hua tha. Premnagar ke 3 police waalo ke zakhmi hone aur un par bomb se hamla hone ki khabar ne police ke uchh adhikariyo ke upar bhari dawab bana diya tha. 

Jis bande ne apraadhiyo ke upar nazar rakhne ki suchna ko nazarandaaz kiya tha, wo banda pahle se hi apne issi tarah ki 2 baar ki gayi harkarto ke karan police union ke nazar me khatak  raha tha.  Picche ki gayi uski harkat kisi ke liye bhi jaanleba saabit nahi hui thi; pa iss bar ki uski harkat Premnagar police ke liye bhaari pari thi.

Dono baar ek rashookhdaar  police adhikari ne use bacha liya tha. Iss bar union waale use chhorne ke mood me nahi the. Unhone media me laparwaahi ki wajah se hui baal-baal bache policewaalo ki kahabr saboot ke saath dene ki dhamki de rakhi thi. 

Bhaari dawab me us police waale ko demote karke aaj saam hi dusre district bhej diya gaya tha.

Aparijita ne apne report me Ghanshyam, Qadir aur Suresh ke liye puruskaar ki sifaarish ki thi.  

Aparijita ko police union ke secretary ka phone aaya tha. Usne union ki taraf se unhe unke safaltapuvak encounter ke liye badhayi di aur headquarter me hue ghatnakram ke baare me bataya. Aparijita ne apne staff ki taraf se unka sukriya ada kiya aur phir se aaj ke ghatna ki kariya jorne ka prayas karne lagi. 

Aparijita ko Abbas se Dhanraaj ke baare me bhi baat karni thi. Aparijita ne isse kal ke liye chhor diya tha.

 Aaj ke ghatna ke baare me ab kal hassil hone waali reports par hi kuchh kiya jaa sakta tha. Isliye, Aparijita ek baar phir se Sarfarosh ke agents ki file me jut gayi thi.

=====================================================

Aparijita pahle India ke North, North-East aur North-West ke Sarfarosh ke members ki reports check kar rahi thi.  Inme se kaio ko wo personally bhi janti thi. Wo members ke baare me available reports ko dhyan se padh kar unke baare me apna comment note karti jaa rahi thi. 

Aaj tak check kiye gaye reports ke anusaar kuchh purane members ab naye members ke group ko lead kar sakte the. Phir bhi Aparijita ne abhi sirf unke annual reports par apne comments daale the. 

Naye aur purane members ke group ko lead karne ke liye kai baato par dhyan dena jaroori tha. Saath hi group bhi eise banana tha jis se us group ke paas alag-alag field se aaye members ho, jo mil-jul kar har mamle ko dekh sake. Iss naye members waale list me wo members the jo pichhle 1 saal se Sarfarosh se jure the.  

Udhar Arpita takriban Sarfarosh ke sambhabhit members ki list ko khatam kar chuki thi. Chuki sambhabhit member kisi na kisi member dwara refer kiye gaye jo criteria acchi tarah se jaante the; isliye unme koi kami ki sambhavna kam hi thi. Iske alaba bhi Arpita ke haath yeh list aane ke pahle unke baare me dusre members se bhi unki rai li gayi thi.

 Iss tarah 2 level paar karne ke baad sambhabhit member ki puri medical history nikali gayi thi.  Medically fit paaye jaane ke baad saare sambhabhit members ki list aur unse realted saari details Delhi ke Sarfarosh ke HQ me Sarfarosh ke files me save kar di gayi thi. Inme se hi North India ke sambhabhit members ki files chhat kar Arpita ko di gayi thi.

================================

10.30 bajte-bajte night shift ke staff aane lage. 

11.15 baje tak saara night staff ki suchna ke saath Rohit ne Aparijita ke cabin par knock kiya.  

Raat 12 baje.

Aaj bhi Aparijita ko din bhar ki recording me kuchh khash nahi tha.  Chaila ki recording ke anusaar Shera aur Aagnivesh Phulpur ki or subah hi nikal pare the. Aparijita ne Phulpur waale khandhar me recording transmit karne ke liye kuchh nahi lagaya tha. Waha ki recording Saniwaar subah wo laane waali thi.

Aparijita sone hi waali thi ki phir kucch soch kar Arpita ka phone lagaya.

 "Sun!  Main kal raat tak annual reports check karke apna report submit kar doongi. Maine aaj ka target rakha tha par aaj yaha hue ek encounter ne mujhe utna waqt hi nahi diya."

Iske baad Aparijita ne thora sanchhep me aaj ke encounter ke baare me Arpita ko bataya.

"Sayad, kal Sonbhadra se kuchh bare adhikari bhi chhanbin karne pahunche isliye main aaj raat me hi subah 4 baje tak jaag kar jitna sambahv hai complete karne ki koisi karungi. Main aasha karti hoo ki kal raat 12 baje se pahle main apne comments ke saath report submit kar doongi. Tu bata tera naye members wala report kaha tak pahuncha ?" 

"Apu, Maine abhi thori der pahle apni report submit kar di hai. Sayad kal saam ya phir parso dopahar tak Ritesh, Ajay sir aur meri is par meeting ho. Saare bande theek hai;  unko jab ek achha lead karne wala milega tab unki kabliyat aur bhi nikhar kar aayegi."

 Arpita thori der tak chune gaye naye members me se kuchh ke baare me baat karti rahi. In members ke baare me Arpita ka andaaza tha ki wo aage chal kar Sarfarosh ke bahoot bare assest saabit honge.
"Apu, agar tu kahe to main inme se kisi ko tere aaj ke encounter me saamil aparadhiyo ko chek karne me laga doon? " Arpita ne puccha !

"Nahi rahne de ! Bahoot jaroorat parne par hi main Sarfarosh ke members ki madad lena chahti hoon. Pahle se hi kuchh log Jagga aur Aagnivesh wale matter par lage hue hai.  Behtar to hoga ki tu unme se kuchh logo ko naksali group se sanahubhuti rakhte logo par laga de. Kya Dr. Ritesh se tujhe naxalite dwara hire kiye gaye professional ke baare me kuchh pata chala?"

"Apu ! Dr. ne mujhse is par abhi koi baat nahi ki hai. sayad wo koi thos jaankari ke baad hi baat karenge. Naye members wali list bhi final karna jaroori tha; sayad iss karan bhi unhone mujhe distrub nahi kiya hoga. "

"Aru ! Parso saam tu aa rahi hai na; dono mil kar Ravibaar ko un gupt gufao ki aur chalenge." Aparijita ne pahle se banaye program ke baare me Arpita se puchha.

"Tere liye to main aag ka dariya paar kar jaao. Tumen bulaya aur hum chale aaye, jaan hatheli par le aaye re ...."  Arpita ne ek puraana gaane ke kuchh pankitiya gate hue kaha.

Thori der tak issi tarah hansi-mazak karne ke baad Aparijita ek baar phir se reports check karne lag gayi.

Friday subah 4.30 baje jab Aparijita ne laptop band kiya tab tak matra 10 members ki  reports aur chek karne baaki the. Aaj ki subah Aparijita ne drone ke saath jaane ka program postpone kar diya tha.  Aparijita ne Ghashyam ko 10 baje tak thane aane ki baat sms karke so gayi.

------------           *            ----------------------          *     -----------------------------    *

No comments:

Post a Comment