Saturday 25 January 2020

Gayatri Fashion

Friday Subah 10 baje.

Aparijita ne Harilal aur Japu dwara kal Abhaipur me encounter se related chhanbin ki detail report li. Unke jaane ke baad usne baaki staff ko ek-ek karke bula kar unse kal ki muthbher ke baare me unke apne vichaar aur unse milne wale gaonwaalo  ke vichar sune.

Baaki staff se nipatne ke baad Aparijita ne Ghanshyam ko bulaya.  

"Madam didi ! Mukhbiro se mile suchna ke anusaar bhi en apraadhiyo ko iss se pahle kabhi yaha nahi dekha gaya tha. Unke anusaar kisi bhi gaun me kisi ko iss tarah ke bardaat ka andesa bhi nahi tha. Haan ek mukhbir ne bataya ki us se Sonbhadra ke ek bande ne baato ke dauran Abhaipur ke baare me baat karte hue kuchh logo ke baare me bataya tha. Use dekhte hi wo log chup ho gaye the.  Sonbhadra wala banda kanhi bahar gaya hua hai aur aaj saam tak lautne ki umeed hai. Mujhse raat me ya kal subah wo mukhbir apne bande se baat kar report dega. "

 "Theek hai. Tum use mare apradhiyo ki tasweero ka print nikal kar de do. Use batao ki agar uski khabar kaam ke kaabil lagi  to use alag se 10,000 ka inaam diya jayega. Us se baat karke use Sonbhadra jaake us bande se milne ko raaji karo taaki wo us bande se baat karke sara detail leke aaye. Hume iss ghatna ke mastermind ko pakrna hi hoga." 

Aparijita ki baato par haami bharta Ghanshyam waha se nikal gaya. Ghanshyam jis mukhbir ki baat kar raha tha use mukhbir ke taur par Ghanshyam ke aalaba koi aur nahi jaanta tha. Ghanshyam ne use phone karke thane ke bahar milne ko bulaya.

Aadhe ghante baad mukhbir ki Ghanshyam se thane se thori dur par baat ho rahi thi. Ghanshyam ne use printout dete hue Aparijita ke offer ke baare me batate huye  use Sonbhadra jaane ke raaji kar liya. 

Ghanshyam ne mukhbir ko Sonbhadra aane-jaane ke liye rakam dene ke liye bhi peskas ki jise use vinarmta se thukra diya.  Ghanshyam ne pichhale saal us mukhbir ko Sonbhadra me ek jhute case me phasne se bachaya tha. 

"Sahab, Main ab mukhbiri nahi karta hoon. Aapka mere upar ahsaan hai. Mujhe baad me pata chal gaya tha ki aapne bahoot bhaag-daur karke mujhe us jhute case se bachaya tha. Us dauran aapke hi wajah se mere pariwaar ko yaha ke thanedaar ne paresaan nahi kiya tha.  Un harami badmaaso ne aap par jaan se hamla kiya tha to mera farz hai ki main aapko us kaand me saamil logo ki suchana du. Mujhe koi inaam bhi nahi chahiye. "

Mukhbir Ghanshyam ko kal saam tak khabar dene ko kah kar chala gaya. Mukbhir se mil kar lautate huye Ghanshyam ke aankho ke saamne se purani ghatna kisi moviue reel ki tarah gujarti chali gai.

Us mukbhir ki patni ne mukbhir ke jhoothe case me giraftaari ke baad  Ghanshyam se madad ki guhar ki thi. Tab Ghanshyam ne Sonbhadra me apne parichit policewaalo ki madad se pure waakye ki khabar li thi.  Aur jab use pata chala ki mukhbir ko jhuta phasaya jaa raha hai to usne kaafi prayash karke mukbhir ko us case se bahar nikalwaya tha. Iss dauarn usne uske pariwaar ki aarthik madad bhi ki thi. Premnagar ke pichhle thanedaar ko bhi usne bekaar me mukhbir ke pariwaar ko naa tang karne ko mana liya tha.

----------------------------------------------------------------------------------------

11 baje Aparijita thane ki ek bike par Abhaipur ki aur jaa rahi thi. Usne aaj puri vardi pahan rakhi thi. Saath me hi thane ki hi dusri bike par Japu aur Harilal the. 

15 minute ke andar hi wo log Abbas ke godaam ke paas khare the. Godaam ke gate ke upar "Gaytri Fashions" ka board laga tha.  Naam ke saath hi ek bahut pyara sa logo laga tha jisme G aur F kafi sundar tarike se banaya gaya tha. 

Godaam me unhe budha munim mila jo wha kaam kar rahe mazdooro se baaten kar raha tha. Aparijita ko munim bhala insaan laga tha. Aaj usne dekha ki jab mazdooro ne  use chacha kahte hue kal ke baare kuchh mazak bhi kiya to usne use lekar koi issue naa bana hasta hua unhe batata raha ki kaise wo kal golibaari ke dauran jaan ab gayi tab gayi soch raha tha. Uske baat khatam hote hi jor ka thahaka gunja jisme uski hansi bhi saamil thi. 

Budha munim mazdooro ko wapas kaam par lagne ko kah kar mura hi tha ki use teeno policewaale dikh pare. Wo turant hi unke taraf lapka.

Aparijita thori der tak us se kal ki vaardat ki jagah dekhte hue baat karti rahi.  Waha kaam kar rahe mazdooro se bhi ek-ek karke usne pucch-taachh ki.

Saare mazdooro se puchh-taachh ke baad Aparijita ne munim ko tailoring ke kaam jaha ho raha tha waha le chalne ko kaha.

Munim ne bataya ki wo jagah gaun me thora aur andar ki taraf hai. Munim ne andar se ek cycle nikali aur unhe apne picche aane ke liye kahne laga. Aparijita ne use Harilal ke pichhe bike par baith kar unhe jaldi le jaane ke liye kaha. 

Gaun ke andar kuchh dur jaane ke baad ek  bara sa 2 manzila makan dikh para. Makan ke bahar "Gayatri Fashion" ka bara sa board laga tha.

Makan ke andar jaane par niche ek bara sa haal mila jisme takriban 40-50 larkiya aur aurate kaam kar rahi thi. Aparijita ko dekhte hi unme kaana-phushi suru ho gayi.  Unme se kai to baat karne ko bhi utsuk dikhi par munim ne aankho ke issare se unhe mana kar diya. Upar ka hissa bhi niche ke haal jaisa hi tha jisme 2-3 lakri ke cabin bane hue the. Upar bhi 30-35  larkiya aur aurate kaam kar rahi thi.
Dono haals me kataar se silayi machine lagyi hui thi aur saath hi kuchh tables bhi lagi hui  thi jinke upar kahi kapre pare the, to kanhi press karne ka intazaam tha.  Aparijita ne niche waale haal ke ek hisse me khana khane ke liye intazaam dekha tha jaha 2 TV bhi lage the. Thori  doori par  4-5 toilets bhi bane the.  Aparijita ne umeed nahi ki thi Abbas apne staff ka itna khayal rakhta hoga.  

Aparijita ne upar Abbas ke cabin ko ek baar sarsari nigaah se dekha jaha 2 auroto ki tasweere lagi hui thi, unke niche 2 bahoot hi manmohak sugandh waali agarbatti jal rahi thi. Cabin me ek taraf ek bara sa book-self rakha tha jo fashion magazine se ata para tha.

 Aparijita iss cabin ke paas waale bare cabin me baith gayi jiske darwaaje par meeting-room likha tha.  

Aparijita ne munim ko saare workers ki list banane ke liye kal hi bol diya tha. Aparijita ke uske baare me puchhate hi munim ne apni jeb se nikal kar ek bara sa kagaj ka tukra use diya. Munim ke anusaar 2 aurato ko chhor kar saari aurate kaam par aayi hui thi.  

Aparijita ne munim ko ek-ek kar waha kaam karne aayi saari aurato aur larkiyo ko bhejne ko kaha. Aparijita takriban 2-2.5 ghante unse baat karti rahi.  Sabne Abbas ki kaafi taarif ki thi. Kuchh to use bhaiya kah kar bhi bula rahi thi. 

Sharma aur Vermaji ki larkiyo se to Aparijita kal hi mil chuki thi. Kal to dono hadse ki wajah se sahmi-sahmi si thi par aaj wo normal lag rahi thi. Unse baat karne par Aparijita ne jaana ki wo dono graduate hain aur Abbas ko wo dono bachpan se hi rakhi baandhti aayi hain. Abbas ne unki padhayi me bhi madad ki thi. Garduation ke dauarn jab unlogo ne fashion technology ka  kaam sikhne ki ichha jaahir ki to Abbas ne isme bhi kaafi madad ki aur Sonbahdra ke sabse naami institute me unka admission karwa diya tha aur kanhi se pairawi lagwa kar unki fees bhi maaf karwa di thi.  

In larkiyo ke jaane ke baad Aparijita ne munim ko bula kar unke baare me puchha. Munim ke anusaar Abbas ki in dono rakhi bahno ne sagi bahan ki tarah Abbas ko payar aur samman diya hai. Abaas aur in 2 larkiyo ki hi mehnat ka natija tha ki aaj iss chhote gaun me Mumbai aur dusre jagaho se orders aa rahe hai. 

Abbas ne rakhi bahno ko aadhe-aadhe staff ko manage karne ka kaam de rakha tha. Aajkal Abbas ka kaam orders laane ke liye bhaag-daur karna aur orders mil jaane ke baad un orders ke baare me apni bahno ko shamjhana rah gaya tha. Yaha ka saara kaam uski rakhi bahno ne sambhal liya tha.  Abbas yaha se thora nischint hote hi orders lene ke liye dur-dur tak jaane laga tha aur jiske karan uske paas kaafi orders aane lage the.

Munim ne aage bataya ki Abbas ko idhar kuchh mahino me Mumbai aur dusre jagah ke orders se kaafi fayda hua tha. Abbas ne pichhle hi mahine apne sabhi staff ko gifts aur rupaiye dekar apne satff ke saath isse saajha kiya tha. 

Munim ke anusaar sayad kisi ne socha hoga ki agar yeh dono larkiya naa rahe to Abbas ka kaam manda ho jayega aur isi liye saath taiyar maal ke saath-saath un sabki apharan ki kosis ki gayi thi.
Aparijita ne munim ki rai par kuchh bhi nahi kaha.  

Abbas kucch kapre lekar unko cutting karne apne ekaant me bane  bunglow me gaya tha. Bikul naye tarah ke  design ke kapre ya to Abbas kaatata tha ya uski rakhi bahne. Abbas apne free hone ki baat kah kar wo kapre aaj apne saath le gaya tha. 

Munim ko bula kar Aparijita ne use Japu aur Harilal ke saath un mahilayo ka statement dilwaane  ko kaha jo ghar se Abbas ke liye kaam karti thi. Japu aur Harilal ko usne yaha se un mahilayo ka bayan lene ke baad sidhe thane jaane ko kah khud Abbas ke bunglow ki taraf chal pari.  

----------------------------------------------------------------------------------

Darwaje par knock hone ke 2 minut baad Abbas ne darwaja khola aur apne saamne Aparijita ko dekh kar chaunk para.  

"Are madam !!  Aapne kyu takleef ki ? Mujhe bola liya hota to main hi thane aa jata." Abbas ne andar aane ke liye Aparijita ko jagah dete hue kaha. 

Bunglow me ghuste hi saamne ek khubsurati se design kiya hua drawingroom cum diningroom tha.  Waha karine se sofa lage hue the. Sofa ke paas ek table par cutting kiye hue kapre aur us se related material rakhe dikh rahe the.

"Kal dhang se saari baat nahi ho paayi thi. Mujhe kuchh aur detail me baat karni hai. kal ki baardat ke aalaba bhi kai baaten hai jo main akele me hi puchhna chahti thi." Aparijita ne ek single sofe par baithte hue kaha.

Abbas ne kapro se bhare table ko side me kiya aur Aparijita ke paas ke bare sofe par baith gaya.

"Madam, aapne  mere taiyar maal ko aasani se bagair thane ke chakkar lagwaye mujhe lauta  diya. Aapke jagah koi dusra thanedaar hota to apne maal ko chhurane me mere jute ghis jaate aur tab bhi bagair riswat ke main unhe chhura nahi pata. Aapne meri bahno ko bacha kar mujh par bahoot bara upkaar kiya hai."   Abbas ke sabdo se sachha aabhar dikh raha tha. 

"Are Abbas bhai! Aap bhi kaisi baaten karte hai.  Jis tarah aapne Abhaipur ki mahilayo ko kaam sikha kar unhe apne pairo par khara karwaya, us se naa sirf unhe rojgaar mila balki unke gahro ki maali halat bhi acchi hui hai. Iss wajah se aapki taarif to sara Premnagar thana karta hai . Aur eise aadmi ke prati hamara bhi to kuchh farz banta hai."

Har insaan ki chahat hoti hai koi uske kaamo ki log taarif kare. 

Aparijita ne insaan ki isi rag par haath rakha tha. Iske aalaba bhi Aparijita ke dil me Abbas ke liye uske workers se uske baare me jaan kar ek jagah ban gayi thi. Abbas ke tailoring house me kaam karnewaali mahilayo ne use bataya tha ki Abbas ne din raat ek karke unhe kaam sikhaya aur ek baar kaam sikh jaane ke baad unko jo salary Abbas ne Abhaipur me diya wo Sobhadra me koi nahi deta hai . Jabki wo jaanta tha ki abhi mil rahi salary se aadhi par bhi waha ki aurate khushi-khushi kaam karti kyuki yaha unhe ghar sambhalne me bhi koi dikkat nahi ho rahi thi.

Abbas ke baare me Aparijita ne jitna sabse pahli waali report se jana tha aur baad me thane me suna tha; uske baad jab usne saare workers se baat ki to use laga ki Abbas ne jo josh aur junon dikhaya hai wo sirf rupaiye kamane ke liye nahi ho sakta tha. 

Aparijita ne filhaal uske baare me thore der baad baat karna thik samjha. 

"Abbas bhai, hamari jaanch-partaal me pata chala hai ki kal maare gaye sabhi badmaas  aapas me ek-dusre se kuchh hi din pahle mile the. Iske pahle wo ek-dusre se bilkul anjaan the. Yaha tak ki  5 din pahle tak inhe ekktha tak nahi dekha gaya tha.  Yeh saare badmaas 10 din pahle tak UP ke alag-alag jail me band the. Hume abhi yeh to nahi pata ki wo log  issi kaam ke liye ikkathha hue the ya phir kisi aur kaam ke karne ke waiting period me yeh kaam utha liya tha.  ....  ... " 

Aparijita bahoot hi sanjidgi se Abbas ko kal ka encounter ki pechadgi se baakif kara rahi thi.  Kal police head-quarter se mile reports aur aaj Abbas ke tailoring house me ki gayi chhanbin se  Aparijita ko 1-2 logo par shaq to tha par jab tak unse link karta koi aur saboot nahi mil jaata, tab tak Aparijita use apne tak hi simit rakhne ka soch chuki thi.

Abbas bhi bahoot sanjidgi se Aparijita ki baate sun raha tha.  Jaise-jaise Aparijita point dar point apni baat rakhti jaa rahi thi Abbas un baato se sahmat hota jaa raha tha. Abbas ke sar bagair uske jaane sahmati me hil raha tha. 

"Abbas bhai,  Ab to aap samjah gaye honge ki case kitna uljha hua hai.  Aapke madad ke bina yeh solve nahi ho payega aur saath me iss tarah ki baardat ka khatra bhi bana rahega."  

"Main samjhta hoon madam. Aapko jo bhi puchhna hai wo aap puchhiye;   main apne jaante puri kosis karunga ki aapko sahi jaankari doon taaki iss tarah ki ghatna phir naa ho. " Abbas zaldi se bol para.

Aparijita us se kaafi der tak kal ki ghatna ke pahle aur baad Abhaipur me logo ka reaction aur ghatnao ke baare me puchh-taachha karti rahi . Abbas se Aparijita  ne us ghatna ke baad us se milne aaye ya phone par baat karne waalo ke baare me bhi jaankari li.   

Kal ke Abbas aur aaj ke Abbas me kaafi antar tha. Kal jaha wo thora jyada chintit aur nervous lag raha tha wahi aaj wo bahoot relax dikh raha tha. Kal Abbas se baat karne ke dauran hi Aparijita ne samajh liya tha ki Abbas se aur koi kaam ki baat pata nahi chalegi; par jab wo thora relax ho jayega tab sayad wo kuchh aur kaam ki baat bata sake. 

Yehi sach bhi saabit hua tha. Abbas uska maal sahi salaamat mil jaane ke karan aaj relax tha. Usme sone par suhaga jaisa kaam yeh hua tha ki uski buying party ne kal ki ghatna ko janane ke baad khud hi aakar maal le jaane ko offer diya tha. Halaki Abbas ne khud hi saam tak maal pahuchane ki baat kahi thi jise party ne narmta se mana kar diya tha. 

Aaj subah 9 baje Abbas saara maal buying party dwara bheje gaye truck me load karwa kar apne iss bulglow par aaya tha. Party naa sirf uske transportation ke jhamele se bachaya tha balki nagad payment bhi de gayi thi.  Abbas ki buying party uske tailoring house ke management aur waha ke kuchh workers se baat karke bahoot prabhabit hui thi aur jaate-jaate wo pahle se  bhi bara ek naya order de gayi thi.

Abbas ne Aparijita ke har swal ka imandaari se zabab diya.  Abbas ki baato se Aparijita ke dimaag me kal ki ghatna ko lekar jo uski rai bani thi wo aur pukhta ho gayi thi.  

No comments:

Post a Comment