Sunday 5 January 2020

Dushashi Apraadhi

 Abhi thane ki jeep ek mor par dheere se muri hi thi ki ek purani tata sumo use teji se side maarte hue nikali. Is takkar ne Jeep ko sarak se niche utaar diya. 

Suresh ne kisi tarah se Jeep ko palatne se bachaya. 

Suresh ne apni furti se naa sirf jeep ko palatne se bachaya balki use kuchh hi minutes me sarak par phir se le aaya. Jeep jaise hi sarak ke niche ruki, sab Suresh ke issare par turant jeep se utar gaye taaki jeep ko aasani se niche ke keechar waali zameen se upar laaya jaa sake.

Jab Suresh Jeep ko vapas sarak par chadha raha tha us waqt baaki log sarak par khare the. Unhe abhi jeep se utare chand seconds hi hue the. Jaise hi unhone Jeep ko sarak par chadhte dekha to sarak ke bicho-bich aa gaye taaki wo chalti jeep me chadh sake. 

Tabhi paas ke kacche raaste se kisi enjine ki tej awaaz sunai di.

Agle hi pal ek matador unke taraf kisi danav ki tarah jhapti.

Ghanshyam ke baayen khare Qadir ne sarak ki dusre kinaare ki aur challang laga di. 

Kishore apne taraf badhte maut ko dekh kar bilkul jar ho gaya tha. Ghanshyam  ne yeh dekh Kishore ko jakre hue daaye taraf challang laga di. 

Bhaagti metador ke achank side ke darwaaje khule aur revolver se kuchh round sarak ke dono aur gire police waalo ki aur jhapte.

Kisi tarah se police waalo ne unko chumne daurti goliyo se khud ko bachaya. 

Par ek goli bahoot hi sararti nikali. 

Suresh ne jeep abhi sarak par pahunchayi hi thi ki sararti goli uske labo ko pyar karne ko dauri. Suresh usi waqt apna sar baayen ghuma kar niche gire Qadir ko dekhne laga tha; jiske karan uske labo ko chumban dene aai goli uske kaano ko hawa deti hui gujar gayi.

 Jeep ke sarak par aate hi sarak chumate teeno policewaale jhapat ke jeep par sawar huye.

Sabke baithte hi Suresh ne jeep ko kisi khuta turaye gaai ki tarah daura di. 

Chand minutes me hi Jeep metador ke pichhe thi. 

Qadir ab tak thane me khabar de chuka tha. Thane khabar karne ke baad wo Aparijita ko phone karne hi wala tha ki aage bhagti metador se jeep par phir se goliya chalne lagi. 

Ek goli Qadir ke mobile kaan se lagaye dahine haath ko ragarti chali gayi. 

Goli lagte hi Qadir ke honto se cheekh nikal pari. Mobile Qadir ke haanto se nikal kar gir para.

Ghanshyam ke kaano me jaise hi Qadir ki cheekh pari uske jabre gusse me kas gaye. Usne Suresh ke kandho ke pakar kar issara kiya. 

Suresh ne jeep ki raftaar aur badha di. 

Dono taraf se lagatar goliya chal rahi thi. 

Ab tak jeep ke windscreen me dasiyo chhed ho chuke the. Par khushkismati se kisi ko duwara goli nahi lagi thi.

Aage bhagti metador bich-bich me mor par dikhni band ho jaati thi. Ghanshyam ko iss baat ki chinta satane lagi ki agar eisa chalta raha to aage kisi doraahe ya tiraahe par wo metador ko kho denge.
Qadir ko zakhmi dekh kar gusse se aagbabula huye Ghanshyam ne ek khatarnaak faisla liya. 

Ghanshyam kaafi kosis karke  bhi metador ke kisi bhi tyres ko nisana banane me kaamyaab nahi ho paaya tha. Metador ka driver use jhol deta hua chala raha tha;  jiske karan ek bhi goli tyre ko chhu bhi nahi paayi. Haan yeh jaroor tha ki metdaor ke pichhle hisse me goliyo ne bahoot saare ventilation ke liye chhed bana diye the.

Ghanshyam ke dimaag me achanka ek idea aaya tha. Driver kitna bhi expert kyu nahi ho use more par turn maarte hue kuchh seconds ke liye metador ko bagair jhol diye chalana mazboori tha, Ghanshyam ne isi pal ke liye risk uthane ka faisala kiya tha.

Ghanshyam ne kamar se belt ko khola aur khuli jeep ke apne taraf ke kinaare par lage rod se bandh diya. 

Aage baaye or murni waali ek mor aane baala tha. Ghanshaym belt ke fande me apna daaya haanth daal kar jeep se bahar adhleta sa ho gaya. 

Ghanshyam ke haanth me aag uglane ke liye revolver taiyar tha. Uske dushahash ko dekh kar Suresh ka kaleja munh ko aa gaya. 

Suresh Ghanshyam ko mana karne jaa raha tha par Ghanshyam ke chehre par phaili sakhti ne use bolne nahi diya. Wo samajh me kuchh-kuchhgaya Ghanshyam ka plan aa gaya tha.

Aage metador se abhi bhi lagatar goliya chal rahi thi. Unme se kai Ghanshyam ke aaju-baaju se gujre.
Tabhi aage bhaagi metador chand second ke liye mor par seedhi hui. 

"Dhaiye- dhaiye"  Ghanshyam ke revolver se 2 goliya nikali aur aage bhagti metador ke picchle tyres se takrai. 

Agle hi pal metador unbalanced hui aur sarak par ludhkane lagi. Sarak par metal ki ragar se chingaariya nikalne lagi. 

----------------------------------------------------------------------------

Tabhi policewaalo ko apni or aati hui Tata sumo dikhayi di. 

Tata Sumo ko wapas lautate dekh sab hairat me the.

Metador me sawar apradhiyo ne Sumo waale apradhiyo ko accident se chand miunutes pahle bata diya tha ki jeep me chaar policewaale hain jo unke pichhe lage hue hain. 

Sumo me bhi 3 apradhi the. Apradhiyo ne aapas me baatchit  karke decide kiya ki in chaar policewaalo ko ya to khtam kar diya jaaye ya phir unke jeep ke tyre burst kar di jaaye taaki wo uske pichhe naa aa sake. Isi plan ke tahat Sumo waale apradhi laute the. Agar metador ulat nahi jaati to dono gaariyo me sawar badmaas police party par bhaari parne waale the. Par ab shithti badli hui thi. Metador sarak par palti hui thi.

Tabhi Metador ke darwaaje khule aur usme se apne hi khun me lithre 4 apradhi nikale. 

Unme se ek ne nikalte bhi police waalo par goliya chalani suru kar di. Ghanshyam unhe giraftaar karna chahta tha par iss halat me bhi chalayi jaa rahi goliyo ne police waalo ka gussa buri tarh se bharka diya. 

Agle hi pal Sursh, Ghanshyam aur Kishore ke taraf se revolver aur rifle se goliya maut ban ke metador se nikal kar bhagte apradhiyo jhapti.

Ghanshyam ke chalai goliyo ne do apradhiyo ke sar me chhoti khirki bana di thi. Un saro  ke maalik apna munh phaare aasmaan ki aur tak rahe the. Lag raha tha jaise unhe yakeen hi nahi ho raha tha ki wo mar chuke hain. 

Kishore ki chaliye rifle ki goli ne ek apraadhi ke jaangh me chhed bana diya tha. Wo wahi gira hua police waalo ko maa-bahan ki gaali deta hua goliya chala raha tha. 

Tabhi Suresh ki chalayi 2 goliyo ne gire apradhi ke dil me 2 chhed bana diye. Agle hi pal maa...  kahata hua baaki ke words apne munh me rakhe hue hi wo narak ke darwaaze ko  knock kar raha tha.
Tab tak Sumo paas aa chuki thi. Sumo ke bich ke dono darwaje khule aur unme se 2 apradhi gun leke fire karte hue nikale.

Idhar metador ka ek bacha apradhi bhi unke paas tak pahunch chuka tha. Usne pahunchte hi apne saathio ko bataya ki metador  me koi aur zinda nahi bacha hai isliye unlogo ko nikalna hoga. 

Saare apraadhi mukabla karne ke vajaye bhaagne lage.

--------------------------------------

Ghanshyam bhaag rahe apraadhiyo ke piche daura.  

Bhaag rahe apradhiyo me se ek ne apne kandhe par latke bag me se ek bomb nikal kar policewaalo ki or uchhal diya. 

Bhagte huye bomb uchhalane ke kaaran bomb apne nissane par nahi gira. Bomb jeep ke peeche kuchh duri par jaa kar gira.  Bomb se kisi bhi policewwale ko koi nuksaan nahi pahuncha. Par Bomb ke range me jeep ka ek pichhla tyre aa gaya aur wo dhamake ke saath brust hua jiski aawaz bomb ke dhamake me dab gayi.

Ghanshyam ne thithak kar apne saathio ke salamati ka jaayza le phir se apradhiyo ke pichhe goliya barasta hua daura. 

Ghanshyam ko apne picche daurate dekh ek apradhi ne phir se bomb phekne ke liye nikala. Usne picche mur kar bomb ko Ghanshyam par phekna chaha.

Us apradhi ne abhi pin nikal kar bomb phekne ke liye haath uthaya hi tha ki uske sar me Ghanshyam dawra chalayi ek goli aa dhasi. Uske baad jo hua usne uske saath bhaag rahe 2 apradhiyo ko kuchh karne tak ka mauka nahi diya. 

Bomb mare apradhi ke haath se nikal kar gira aur girte hi phat gaya. 

Bomb ne 2 apradhiyo ke chhithre uda diye the aur ek ghayal hoke dur para tha. Bomb ke dhamake se paida hue force ne Ghanshyam ko thora dur peeche phenk diya tha. 

Apne saathiyo ko marte dekh kar zinda bacha  sumo ko bhaagne ki kosis karne laga.

----                *                   -----                       *   --------   * 

Aparijita  jab Abbas ke bunglow par pahuchi to use waha taala latakta mila. Usne Jungle ka raasta chhor sarak ke raaste se thana lautne ka decide kiya tha. Abhi wo sarak se kuchh dur hi thi ki use goliyo ki awaaz sunai di. 

Aparijita ne turant hi phone ko handsfree par daal kar thane me call lagaya. Dusre taraf Harilal tha.

"Harilalji, mujhe Abhaipur ki taraf se kuchh goliyo ki awaaz aa rahi hai.  Aap kuchh logo ko iss taraf turant bheje aur Ghanshyam ko bhi suchana de.  Kya thane me iski koi suchna hai?" 

"Madam, Qadir ne mujhe bola tha ki wo aapko suchna de dega, par ... !!" Harilal ki hairat se bhari awaaz aayi . 

"Ghanshyam sir, Qadir, Suresh aur Kishore round par nikale the jaha unki muthbher apradhiyo se Abhaipur ke paas ho gayi. Wo log apradhiyo ka pichha kar rahe the aur usi me dono taraf se goliya chal rahi thi.   Qadir ne yaha suchna di thi.  Qadir ne kaha tha ki wo aapko location ka detail deta rahega taaki aap ko bilkul updated khabar mile. Par lagta hai ki kisi wajah se wo aapko phone nahi kar paaya. 4 logo ki team bike se Chaila ki taraf nikale hai jinhe maine inform kar diya tha; unhone abhi-abhi update diya tha ki wo bhi udhar ki or chal pare hain."  

"Theek hai.  Aap mujhe unka laast location baatayen.  Main Qadir se baat karne ka prayash karti hoon."

Harilal ne jaldi-jaldi Aparijita ko last reported jagah ke baare me bataya. Aparijita ne cycle phir se jugle ke raaste par daal diya aur handsfree par Qadir ko try karne lagi. 

Aparijita ke pair cycle ke paddle par machine ki tarah kisi expert cyclist ki tarah chal rahe the.

Qadir ke mobile par ring jaane lagi. Iss waqt tak dusri taraf metador ka pichha jaari tha. 

Qadir ne Aparijita ka number dekhte hi apne dusre haath se mobile utha kar call receive ki. 

Qadir ne apni vartaman location Aparijita ko batayi. Aparijita ne call kaatne ke baad apni cycle ki disa thori badali aur andaaz ke anusaar ek mor par untak pahunchne ke liye use full speed par chalane lagi.  Yeh wahi mor tha jaha metador ke tyre burst karne me Ghanshyam ne safalta paayi thi.

Abhi Aparijita us mor se 200 meter ki duri par hi thi ki ek ke baad ek lagatar 2 bomb ke dhamke huye. 

----                *                   -----                       *   --------   * 

Dusri taraf usi waqt Ghansyam ko picche se motorcycle par Abbas aata hua dikhayi diya. 

Muthbher hota  dekh kar Abbas ruk gaya. Tab tak Aparijita bhi waha aa pahunchi.

Aparijita ne apne saathiyo ko sahi-salamat dekh kar chain ki saans li.  Abbas ne  unhe bataya ki Sumo me uske yaha kaam karne waali 2 larkiya aur uska budhha munim bandhak ke roop me hain.  

Idhar Sumo par swar apradhi ko sumo ko seedha karne ka mauka mil gaya tha. Use wo le bhaga. 

Ghanshyam uske picche goliya chalata hua bhaga. Par Goliya sirf sumo ke pichhli body ko hi chum saki.  Ghanshyam daur kar wapas Jeep tak pahuncha to usne pichle tyre ko baitha paaya. Usne gusse me jeep par hi 2 ghuse laga diye.

Ghanshyam aur Suresh ne Qadir  aur Kishore ko Abbas ke saath wahi chhora. Dono Abbas ke bike par Sumo ke picche chal pare. Unhone bhi sarak chhor ek pangdandi rupi raaste se aage badh  rahe the jo agale mor par sumo ke saath hi unhe pahunchane waali thi. 

Qadir  aur Kishore agle thane tak ab tak apradhiyo ki khabar bhej rahe the. 

Aparijita khud phir jungle ke raaste apne cycle ko aandhi-tufaan ki tarah chalati hui chal pari.  Aparijita ne abhi jo raasta liya tha wo kuchh daldali si thi jis par bike sahit 2 logo ka nikalna muskil tha. Par Aparijita us raaste me bare maharat ke saath cycle chala rahi thi. Aparijita ko pura yakeen tha ki wo bhagte apradhi ko nahar aane tak pakar legi. 

Abbas ke bina der kiye vaakya bata dene ke kaaran 2 minute ke andar hi Aparijita, Ghanshyam aur Suresh alag-alag raaste se Sumo ke picche lage hue the.

Agle mor par Ghanshyam ne jab bike ko sarak par chadhaya to wo Sumo se sirf  200 kadamo ki duri par the.

Sumo me sawar apradhi ne jab 2 policewaalo ko apne picche laga paya to wo sumo chalate hue pichhe mur kar bich-bich me goliya barsane  laga. Uski ek goli Suresh ke pet ke paas se uske shirt me chhed karti hui nikal gayi.

Ghanshyam, Aparijita aur Suesh aapas me confrence call ke jariye jure hue the. Unki baatchit handsfree ke jariye jaari thi. 

Aparijita ne Suresh ko Sumo ke tyre burst karne ko kaha. 

Suresh ne apna gun sidha karte hue sumo ke pichhle tyre ko nisana banana  chaha. Isi waqt Sumo se mundi nikale picche ki aur dekhe hue aparadhi ne bhi picche ki aur goliya chalayi.

Bike chala rahe Ghanshyam ko kuchh meter ki duri par sarak ke ek chhor se dusre chhor tak paani ki moti plastic pipe jaati dikhyai di. Pipe ko surakshit rakhne ke liye use ek cement ke pipe se gujara gaya tha jise mitti aur eeto ke dwara ghera gaya tha. Inki wajah se us jagah par ek bedhanga sa bilkul khara speed-breaker sa ban gaya tha. 

Ghanshyam chhah kar bhi iss apryatisht bedhange speed-breaker ke pass bike sambhal nahi paaya aur bike teji se upar ki uchhali. Isi lamhe me 2 fire hue. 

Pahla fire Suresh ke gun se hua tha; wahi dusri goli Sumo se apradhi dwara chalai gayi thi.

Bike ke hawa me uth jaane ke kaaran Suresh ki goli tyre par naa lag kar Sumo se mundi nikale apradhi ke gardan me jaa ghusi . Wahi apradhi dwara chalayi goli bhi target badal jaane se aake handle pakre Ghanshyam ke baaye panje ko chhute hui takrai.

Ghanshyam ke haath handle par se kuchh seconds ke liye bhahke jiske karan wo Suresh sahit bike liye-diye sarak par gir para. 

Bike kuchh dur tak sarak ke kinaare ghistati gayi. 

Ghanshyam ne apni nigaahe sarak par bike ke saath ghasitate hue bhi sumo par jama rakhi thi.

Sumo ko chala rahe apradhi ki gardan khirki se bahar jhul raha tha. 

Sumo teji ke saath sarak par nadi me bagair manjhi ke naau ki tarah bhaagi jaa rahi thi. 

Aadhe km ke baad hi nahar tha. Sumo nahar ki aur teji se kisi bayakul premika ki tarah bhaagi jaa rahi thi. 

Aparijita ke kaano me Ghanshyam aur Suresh ki cheekh sunai di. 

"Tumlog thik to ho!" Aparijita ki chinta bhari awaaz Ghanshyam ke kaano me aayi.

"Madam didi; hum thik hain. Par Sumo wala apraadhi mara gaya hai aur Sumo bagair driver ke nahar ki aur jaa rahi hai." Ghanshyam bagair saans liye bol para.

"Main bas pahunchne hi waali hoon. Tum log bhi phir se sumo ke picche lago." 

Jaha Ghanshyam gira tha waha se sarak bilkul sidhi rekha me aage jaa rahi thi.
----------------------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment