Sunday 22 September 2019

Tahqiqaat


Aparijita ne apne cycle ko seedhe thane le jaane ke vajaye uske pahle ek kacche raaste par daal diya tha. 

Raaste ko dekh kar hi lag raha tha ki wo kaafi kam istemaal hota hai. Yeh raasta thora aage jaakar  90 degree par mur rahi thi. Mor par agal-bagal se nikli jhaariyo aur per ki tahinya yu nikali hui thi jis se dur se  raasta  khatam hone ka bhram hota tha.

Aparijita jhud kai dino khud is mugalte me thi ki raasta aage band ho gaya hai. Par aaj Aparijita ka irrada iss raste ko aakhir tak ek sarsari nigah se dekhna tha.

Raasta matra 12-14 feet chaura tha jo kanhi-kanhi betartib badh aaye pero aur jhaariyo ki wajah se kam ho jaata tha. 

Kuchh dur aage badhne par Aparijita ko saamne ek khubsurat bunglow bana dikhayi diya. 

Chauri sarak bunglow par aake khatam ho gayi thi.  Bunglow ke aage ek dusri 7-8 feet chauri raah jaa rahi thi. Iss dusre raaste me sarak design karne walo ne bich-bich me sarak jayada chauri kar di thi taaki jaroorat parne par ek gaari waha ruk kar pass de sake. 

Yeh saara intzaam bata raha tha ki iss hisse ko pure planning ke saath design kiya gaya hai. Sirf ek  bunglow ke liye electricity bhi laayi gayi thi.  

Aparijita ne thora aur aage badhne par raaste ko aage Dadauli me khatam hote paaya. 

Aparijita wapas laut kar bunglow ko dekhne lagi.

Bunglow eento ki chahardiwari se ghiri hui thi. Bunglow ke andar jaane ke liye ek lakri ka gate tha jis par ek bara sa taala latak raha tha. Gate aur chahardiwari dono itni unche the ki raaste se kuchh bhi andar dekhna mumkin nahi tha. 

Aparijita ne gate ke jheerio se andar jhanka to use bunglow ke chharo taraf se hota hua ek khubsurat baagicha dikhayi para. Baagicha bahoot hi khubsurti ke saath sawara gaya tha aur lagta tha jaise iski dekh-bhaal hoti rahi ho. 

Bunglow ka peeche ka hissa to raaste se nahi dikh raha tha par anumaan lagaya ja sakta tha baagicha picchle hisse me bhi hoga. Aparijita raaste se jitna sambavh ho sakta tha ghumte huye  bunglow ka muyana karne lagi.

Buglow ke chhat par khubsurti railing daali gayi thi aur chhat par ek jhoola jhulane ke liye lohe ke jhoola stand bhi dikh raha tha. Jhoole ke paalna bahar se nahi dikh raha tha; isliye batana muskil tha ki waha paalna laga bhi hai ya nahi. Yeh jhoola iss tarah se laga tha ki usme baithe logo ko raaste se dekhna mumkin nahi tha. Buglow ka chhat  par bhi 2 kamre bane dikh rahe the. 

Aparijita ko yeh bunglow bahut pasand aaya. Lagta tha ki jaise iss jagah ko aaramgaah ke taur par design kiya gaya hai. 

Premnagar aur  Dadauli dono ki main aabadi yanha se kaafi dur thi; haalaki yeh hissa Premnagar me hi aata tha. 

Chaaro aur saanti thi. Mand-mand hawa ke saath aati hui phulo ki khusbu Aparijita ke man ko bhaa rahi thi.

Aparijita ke jehan me barbas yeha rahne ka khawhish jaag uthi. Aparijita apne aap ko iss khubsurat jagah ke kuchh snaps utarne se nahi rok paayi. 

Aparijita wapas lautne waqt thane naa laut aage badh Abhaipur ke illake me jaa pahunchi.

Aparijita ki manjil Abhaipur nahi thi. Aparijita Abhaipur ke andar nahi gayi balki uska agla parav waisa hi ek aur bunglow bana jo Abhaipur ke awaadi se dur tha. Yaha bhi sirf bunglow ke liye electricity pahunchayi gayi thi. 

Abhaipur ka yeh bunglow pahle dekhe gaye bunglow  se kam area me bana tha.  Iss bunglow tak pahunchane wali kachhi sarak yehi khatam ho jaati thi. Yeh bunglow pahle dekhe gaye bunglow ki tarah khubsurat nahi tha. Iske chhat par koi kamra nahi tha. Par yaha bhi eento ki boundary-wall bani thi.

Bunglow ke baad jungle ka illaka suru ho raha tha. Aparijita ne thori der jagah ka muyana kar aage Phulpur ki aur chal pari. Phulpur jaane se pahle usne iss bunglow ke bhi kuchh snaps utaare. 

Phulpur me Aparijita ne kucchh jagho ka muyana kar wapas thane ki aur laut pari. 

Aparijita ne apne raat me banaye plan ke anusaar apne list ki saari jagaho ka muyana kar liya tha. 

-----------------------------------------------------

lautate-lautate Aparijita ko 1 baj gaye the.  Aparijita ke list me mauzud jyadatar kaam wo apne maathato se karwa sakti thi; par Aparijita maanti thi ki accha leader wohi hota hai jo apne actions se example de kar dikha de ki kaise kaam hota hai naa ki baith kar apni haankta rahe.  Aparijita ka kaam abhi samapt nahi hua tha wo kaafi lamba chalne waala tha. 

Aparijita drawing-room ke sofe par baithi laptop me notes banane lagi. Kal uski meeting Sarfarosh ke local chief se honi tai thi aur iske liye kal use ek baar phir Sonbhadra jaana tha. Usne Arpita ko phone lagaya .

"Mujhe kal lautne tak kuchh cheeje chahiye. Uska list me tujhe mail kar rahi hoon.” Aparijita ne kaha aur Arpita ko list send kar di.

“Iss list me se 2 ko chhor kar jayadatar cheeze yaha mauzod hai  aur  baaki  2 bhi saam tak flight se local headquarter ke baaki cheezo ke saath aane wali hai. ” Arpita ne list ko padhte hue kaha.

“Theek hai. Main kal tujhse sab collect kar lungi.” Aparijita ne kaha aur call ko disconnect kar diya.

Arpita se baat khatam hote hi Gopu ne darwaze par knock kiya. Gopu ko baithe ko kah kar Aparijita ne Ghanshyam ko phone lagaya. 

Ring hote hi dusre taraf se Ghanshyam ki chintit awaaz sunai di.

"Madam didi, aap kanha hai ? Subah se aapke quarter me taala laga hua tha. Gopu ko maine abhi aapke yaha bheja hai."

“Main aaj kuchh jagaho ka muyana karne gayi thi. Thori der pahle hi lauti hoon. Tum Harilalji ke saath mere qurater aa jaao. Maine abhi tak breakfast bhi nahi kiya hai, isliye breakfast aur lunch ab saath hi hoga. Gopu mere paas hi hai."

Mobile rakhte hi Aparijita ka mobile phir se baj utha. Dusre taraf Javed tha.

"Madam, mai abhi-abhi sahar se lauta hoon. Agar aap kanhe to saam ko aapke paas aa jaata hoon."

“Javed bhai, aap aarama karne ke baad aayen. Kya aapki list mukammal ho gayi hai?"  

“Jee haan, madam. Isme kuchh aur naam bhi jore hain jo sayad paak-saaf ho; par unpar thora sandeh kuchh logo ne jataya hai."

“Aap aaram se saam 7 baje tak aayie, tabhi baith kar baaten karenge. Aane ke pahle ek baar phone kar lijeyga.” 

Aparijita ne abhi mobile table par rakha hi tha  ki ek baar phir se mobile bol utha.

Ringtone bata raha tha ki Iss bar ka call  Aparijita ke personal number se aaya hai. 

“Maa'm, aapke liye ek sport bike ka bandobast ho gaya hai. Maine use dhang se test  kiya hai. Main use lekar khud raat 9 baje tak aap tak pahunchunga !!” dusre taraf Arvind tha.

"Theek hai tabhi baaki baaten karenge."  Aparijita ne kah kar phone kaat diya.

Tabhi darwaje par Ghanshaym ki aaawaz aayi.

“Madam didi!"

“Aa jaayo ,Ghanshaym darwaja khula hai. ” Aparijita ne jawab diya.

Ghanshyam aur Harilal andar aate hi Aparijita ko salute kiya. Aparijita ke unhe saamne baithne  ka issara kiya.

-----------------------------------------------------------------------------------------

"Aaj jo main baat karne jaa rahi hoon; jab main yaha naa bhi rahu wo aap teeno se bahar nahi jaana chahiye." Aparijita ka gambheer swar kamre me gunja.

“Aap nischint rahe madam! ”  Harilal ne  jawab diya jiska anumodan Ghanshyam aur Gopu ne gardan hila kar kiya.

"Main police me aane se pahle ek investigator journalist thi.  Govt ke ek project ke tahat  maine  ek challenge ki tarah iss Job ko accept kiya hai. Maine apne journalist  wale kaam ke dauran har tarah ke logo se contacts banaye hai. Isme military intelliegence  se lekar RAW aur CBI jaise govt organisation se jure log bhi hain; saath hi private detective agencies ke log aur crime ki dunia ko chhor chuke log  bhi mere sampark me hain. Apradh chhor chuke log kabhi kuchh rupaiyo ke badle yaa kisi purane ahsan ka badla chukane ke liye apni jaankari mujhe share karte rahe hain."  Aparijita sach aur jhoot ko mila kar ek thos kahani suna rahi thi. 

Teeno shrotayo ke chehre se saaf jhalank raha tha ki Aparijita ki kahani par wo vishwaas kar rahe hain. 

“Madam, rupaiyo ki baat to samajh me aati hai par aap unpar kaise ahsaan karti thi?" Harilal ne puchha.

"Harilalji,  aap khud police me hain; isliye aapko pata hoga ki agar kabhi koi high-profile logo se related crime hota hai to sabse pahle police ka kahar unlogo par tootata hai jinhone kabhi eisa crime kiya tha. Bhale hi mauzuda samay me wo sudhar gaye ho par Police unhe nahi chhorti. Kabhi-kabhi police uparwaalo ko khush karne ke liye unke saath buri tarah pes aati hain aur agar asli apraadhi nahi milta hai to kisi ko bali ka bakra bana kar pesh kar diya jaata hai. Chuki wo banda pahle se hi iss tarah ke crime me saza paaya  hota tha isliye koi hungama bhi nahi khara hota hai. Maine eise kai logo aur unke pariwaar ko in kathin paristhithiyo me madad ki hai. Apradh ka raasta chhor sarafat ki zindgi gujaarne ki chahat rakhne waale kai logo ko maine dhang ki jagah naukari bhi dilwayi hai. Aajtak unlogo ne mujhe sikayat ka muaka nahi diya hai."

Aparijita ke yeh sab kahte hi teeno ka sar shram se jhuk gaya. Police me saamil chand bharast logo ki wajah se  unko janta se kai baar taane sunne ko milta tha. Teeno eise kai case ke baare me jaante the jisme asali apraadhi naa milne ke kaaran nirdosho ko unke seniors ne bali ka bakra bana kar pesh kar diya tha.

"Desh aur kanoon ki hifazaat bhi kai baar kanoon ke dayre me rah kar karna muskil ho jaata hai. Eise kai mauko par maine military intelliegence se lekar RAW aur CBI walo ki madad ki hai. Chuki sarkari paabandi aa jane ke karan unke haanth bandh jaate the; wahi mere upar wo paabandi lagu nahi ho paati thi; aur kabhi hui to bhi maine uska koi na koi tor nikal hi leti thi. Iske badle me unhone bhi jarrorat parne par mujhse jaankari share ki hai. Kai baar spy gadgets dekar meri madad bhi ki hai. Maine Jagga ke maamle me bhi unki madad li hai. Unho bataya hai ki Jagga abhi Allahabad me hai."
"Madam, to der kis baat ki hai! Hume waha bhej dijeye. Hum abhi use griftaar karke le aate hain."  Gopu ne Aparijita ki baat bich me kaatate hue kaha.

"Aur griftaar karke kaun sa teer maar loge. Apharan ke dauran wo nakab pahane hue tha isliye kisi bhi gaunwale ki gawahi nahi milegi. Sirf humlogo ne uska chehra dekha tha; jo koi bhi khurrat wakil apne haq me istemaal karega. Ab yeh batayo ki use chhurana kisi kaabil wakil ke liye kya  muskil kaam hoga? ” Aparijita ne unki aur dekhte hue poocha.

"Aap sahi kah rahi hain, madam. Hum use griftaar to kar sakte hai par uske against koi thos saboot nahi hai.  Upar se jeep par uske koi ungliyo ke nisaan bhi nahi mile. Pata nahi usne eisa kaise kiya tha?” Ghanshyam ne sochte hue kaha.

"Mai unke karib tak pahunch gayi thi. Maine Jagga aur Kallo dono ne skin ke color ke dastaane pahane dekha tha. Kallo ka dastaana to bike se girne ke dauran phat gaya tha; jo usne bhagte waqt utaar bheka tha. Chuki wo already mar chuka tha isliye maine uske dastaano ke baare me tumlogo se jikar nahi kiya tha. Ab tumlog jara thori der chup karo aur mujhe apni baat puri kar lene do. uske pahle agar kisi ka aur koi sawal hai to abhi puchho."  

Aparijita ne antim sentence thora shakhat sabdo me kaha. 

Thori der kamoshi chhai rahi.

“Good!” Aparijita ne teeno ko ghurte hue kaha. 

Aparijita ab apne us point par aa gayi jiske liye usne itni bhumika baandhi thi. 

“Maine jab Jagga ke baare me pata karwana suru kiya to pata chala ki wo jitna zameen ke upar   hai; us se kai guna zameen ke nicche hai. Iske aalawa itne bare jungle ka chhanbin karna bina new generation high quality spy gadgets ke madad ke naamumkin ki had tak muskil hai."

Aparijita ek pal ko chhup hui. Usne apne shrotao ki aur dekha jo bare gambhir mudra me uski baaten sun rahe the.

"Jagga wala matter hatiyaro ke milne se desh ki surakhasa ka matter ban gaya hai; isliye Govt ki surakhasa agencies isme madad karengi; par yaha ka matter hume dekhna hoga. Jagga ke upar wo log puri nigah rakhenge. Mujhe spy gadgets kal mil jayenege. Main un spy gadgets ki jaankari secret rakhna chahti hoon isliye unhe main akele me istemaal karungi. Agar jaroorat pari to us dauran Ghanshyam aur Gopu me se kisi ek ko saath rakhungi." 

Aparijita ne paani ka ghunt pine ke bahane apne shrotao ke chehre ka jaayza liya. 

"Agle kai hafto tak mai in kaamo me itna busy rahungi ki thana me jyada waqt dena mere liye possible nahi hoga. Ghanshyam aur Harilalji aaplogo ko thane ki jayadatar kaam dekhna parega. kya aap dono sambhal lenge?" Aparijita ne Ghanshyam aur Harilal ki aur dekhte hue puchha.

“Madam, hum sambhal lenge. Hum samjhate hai ki ek baar jungle me ghusne ke baad kam se kam 4-5 ghante wapas lautne me lag jayenge jis se banda bhaut  thak bhi jaayega." Harilal  ne jaldi se kaha. 

Harilal ne apni duty jungle me naa lagne se raahat ki saans li.

"Ab Jagga ke baare me aur jaan lo. Wo filhaal ek bare giroh ke liye kaam kar raha hai; par wo giroh se baahar dusre kaam karne ke liye bhi swtantra  hai. Wo ek lambe kaam ke liye Premnagar aa kar ruka tha par mauka dekh ke aasani se rupaiye kamaane ke liye usne apharan ke kaam me haath daal diya. Jagga ke upar najar rakhne wale uske jariye giroh ke sargane tak pahunchne ki kosis kar rahe hain. Jaghga ne yaha aur bhi hatiyaar chhupaye hain jinhe hume bina ho-halle ke khojna hai. Saath hi hume uske  yaha mauzud madadgaaor ko bhi dhudhna hai. Yaha ke kisi madadgaar ke bagair Jagga yaha ke raasto aur dusri baaten nahi jaan sakta tha. Chaanbin waale team me main encounter me saamil members ko rakhungi kyuki wo aajmaaye hue hain. Unke strength aur weakness ke baare me main kuchh had tak jaanti hoo."  Aparijita ne white board par apne team me saamil logo ke naam likhte hue kaha.

Apne akele kaam karne ka bahana aur Arpita dwara milne waale gadgets ko istemaal karne ke liye Aparijita ne haqiqat aur fasana mila kar ek acchi kahani sunaya tha. Iske saath me Aparijita ne chuninda logo ko apne saath rakhne ke liye zameen bhi taiyar kar li thi.

"Mai thori der me ek baar Ghanshyam, Gopu, Japu, Suresh, Dinesh aur Rohit ke saath jeep par ek round lagane ke bahane nikal kar dekhungi jungle me kaun kya kaam karne me jayada madadgaar hoga. Harilalji, Jab main aur Ghanshyam nahi honge to aapko thana sambhalna hoga. Agar mujhe mobile signal range se bahar ke ilaake me jaana para to Ghanshyam yahi honge. Aap sambhal to lenge?"

"Aap chinta naa karen, madam. Mai sabhal lunga. Waise bhi yaha thane me koi aata-jaata nahi hai. Aur agar koi emergency pari to main mobile par contact kar lunga." Harilal ne aaswat karte hue kaha. Jungle wale adventure se puri tarah dur hone par Harilal bara sakoon mahsoos kar raha tha.

"Bahoot accha. Maine aaj kuchh snaps utaare hai. Aaplogo dawra liye gaye snaps bhi mere paas hain. Mujhe kuchh jagaho ke baare me detail report chahiye."  

Aparijita laptop se projector ko attach kar  snaps dikhate huye baat kar rahi thi.

Snapps dekhte hue teeno un jagho ke baare me apni jaankari Aparijita se share kar rahe the. 

Aparijita ne unhe wo 2 bunglow ke snaps ko sabse ant me dikhaya.

"Madam, unme se bara wala Ramdayalji ka aur dusra Abbas ka bunglow hai. Forest department ne "Prakirti Ki God Me Nivash" karke ek scheme nikala tha. Iss scheme jungle ke bilkul karib bunglow banane ke liye zameen diya jaa raha tha. Par wo scheme jayada successful nahi hone ke wajah se baad me band ho gayi." Harilal un bunglow  ke baare me bata raha tha.

"Ramdayalji to agle mahine waha shift hone waale the par Abbas apne bunglow me aata-jaata rahta hai. Mujhe ab kam hi umeed lag rahi hai ki Ramdayallji iss apharan wale vakye ke baad us sunsaan jagah par rahne ke liye jaayenge." Ghanshyam ne apni rai batayi.  

Aparijita unse bunglow ki khubsurti aur dusre topic par baat karti rahi. 

-------------            *                            -------------- 

Ek ghante baad thane se ek jeep nikali jisme Aparijita ke aalaba  Ghanshyam, Gopu, Japu, Suresh,  Dinesh aur Rohit the. Arjun aur Amit duty par Phulpur gaye huye the. 

Aparijita ne Jeep se Gopu, Japu, Suresh aur Rohit ko alag-alag jagah jungle me utaara. Aparijita ne unse ek ghante baad mil kar unhone kya dekha, us jagah par phir kaise pahunch sakte hain aur inke saath waha se kitne jagaho par nazar rakhi jaa sakti hai jaisi baato ki report dene ko kaha.  Rohit ko ghayal hone ki wajah se ek chhota area diya gaya tha. Rohit ko Aparijita ne kisi pair par chadh kar khoj-bin karne se bhi mana kiya hua tha.

Aparijita Ghanshyam aur Dinesh baat kar rahi thi.

"Tum dono parso yaani Ravibaar subah meri friend Arpita se Sonbhadra me jaake milna. Meri us se baat ho gayi hai. Wo masterji ke illaz se related saari baato ko handle karegi.  Tumhare saath wo ek banda kar degi jo tum logo saara kaam jald nipatane me madad karega. Mujhe tum dono ki yaha bahut zaroorat hai isliye hum waha jayda time nahi laga sakte hain."

"Theek hai, madam." Dono ke sar hilane par Aparijita ne iss kaam se related kuchh aur nirdesh unhe de dono ko bhi 2 chhote-chhote area ka report aadhe ghante me laane ke liye bhej diya.

-------------------------------------------------------------------------------------------

Aparijita ne thane me laut kar sabko apne cabin me bula kar ek-ek kar sabko report dene ko kaha. Aparijita ne report sunte hi baaki team se report dene waale ke description se us jagah tak pahuchne ke baare me apni rai dene ko kaha.

Iss saari kabayat me sirf Gopu hi eisa shaksh nikla jiske bataye description se team jungle ke andar bataye jagah par pahuch paati. Gopu ke baad dusra number Ghanshyam ka aaya phir Japu ka. 

Ghanshyam aur Gopu aaj dekhe gaye area pahuch kar aur kis-kis jagah najar rakhi jaa sakti hai ye bhi bataane me bhi safal rahe; jabki  sesh log isme buri tarah fail rahe.

Theek saam 7 baje Javed saare naye aaye  logo ka detail ke saath eise kuchh logo ki list bhi de gaya  jin par kuchh sandeh tha. 

Raat 8.45 Arvind apne saath sport bike leke laaya Aparijita ke quarter pahucha. Arvind ke  saath uska ek mechanic bhi dusre bike se aaya tha jo abhi thane me baitha police walo se gapp maar raha tha.

Arvind ne bike me powerful silencer laga awaaz takriban khata kar dene ki baat Aparijita ko batai.  Iske aalba bhi usne bike me kaafi kucch extra gadagets lagaya tha jo kisi  anjaan ke lye sajawati item lagte.

 Aparijita ne Arvind se tantrik ke baare me bhi uski rai jaanne ke saath Javed se mili jaankari us se share ki. Aparijita ne Arvind ko Javed ki puri report share kar us par kaam karne ka nirdesh diya.

-----------------------------------------------------

 Dinner ke baad Aparijita Sarfarosh ke database  me Javed dawra di gayi logo ki jaankari dhoondhi jaha unke baare me koi jaankari nahi thi. Aparijita ne Sonbhadra ke local center ke database me Premnagar wale mission ki ek file taiyar kar abhi tak ki karyawahi aur jaankari save karne lgi.

In sab me raat ke 2 baj gaye the.  Aparijita ne abhi tak apne kapre tak nahi badle the.  Usne Arpita ke mobile par jaagte hone par call back karne ka message chhora.

10 second baad hi Arpita ki phone aa gaya.

"Kya local chief aaj aa gaye hain?" Aparijita ne puchha.

“Haan, wo aaj raat aaye aur mujhse unki baat bhi hui hai. Kal saam unhone Arvind aur tumse meeting ka time fix kiya hai." Arpita ne bataya.

Aparijita ne Arpita ko Dinesh aur uske maasterji ke baare me saari baaten batai. Baatchit ke dauran jab usne Arpita ko Kalicharan ko usne jaise handle kiya tha wo wakya bataya to Arpita ki hansi nikal pari.

"Yaar, manna parega ki tune use jabardast set kiya hai. Wo ab kisi kechuye ki tarah dubka rahega." Arpita ne haste hue kaha.

"Use set to kar diya hai par agar mere paas choice hoti to main us se nahi uljhati. Iss tarah ke chhote-chhote distraction mujhe yaha ka mission zaldi khatam nahi karne denge. Upar se Kalicharan ke right hand Durjan singh mujhe shaant baithne wala nahi laga. Mujhe pakka yakin hai ki wo zaroor Kalicharan se chhup kar badla lene ki kosis karega. Wo jaanta hai ki agar wo ek baar badla lene me kaamyaab ho gaya to wo Kalicharan ke aur bhi karibi ban jayega. Pahle hi Jagga ke roop me ek distraction tha; us par se ek naya namuna saamne aa gaya. Khair us se waqt aane par nipat lungi."

"Wo to main jaanti hoo!" Arpita ka sneh bhari awaaz aayi.

"Sun mere dimag me Dinesh ke masterji ko rakam dene ke baare me ek plan aaya hai jis se Dinesh ko unko samjhaane ke liye bahana nahi dhudhna parega. Jaisa  ki maine bataya tha ki Masterji ka beta aatankbaadiyo se larta hua sahid ho gaya tha. Tum Saitan singh ko uska training afasr bata kar bhejna. Saitan  singh waha batayega ki jab unka larka Himachal pradesh me posted tha to usne state govt ki lautari jeeti thi jo usne use yaani Saitan singh ko apne bachhe ke videsh me illaz karne ke liye de diye the jise wo apni aathrik haalat sudharne par lautane aaya hai ….."

Aparijita kuchh der tak Arpita ko Dinesh aur Ghanshyam se kaise deal karne ke baare me baaten karti rahi. Baato ke dauran Arpita aur Aparijita ne masterji ke madad ke plan ko puri tarah se thok-baja kar pura dursut kar diya. 

Ab tak raat ke 3.30 baj chuke the. Aparijita ne sone ka irrada chhor Arvind dwara laayi gayi bike nikaala. Subah wali bag uske saath tha par iss waqt laptop jaise gairjaruri item ki jagah usme kaafi  extra bulletes the. Revolver usne apne shirt ke niche shoulder belt se baandh rakha tha jabki shikari chaaku bag me rakha tha. 

Thane ke compund se Aparijita ne bina light jalaye bike bahar nikal  bike ko start kar kuchh dur aage badhte hi silencer ka kamaal dekha. Zara sa bhi awaaz raat ke sannate me bhi nahi aa rahi thi.

Aparijita ne bike Phulpur ke raaste par daal di. 

Aparijita ne bike ki headlight band  kar aankho par night vision glass laga rakha tha.

Aaj Saniwaar hone ki wajah se subah Tantrik Phulpar se jaane wala tha. Aparijita ab se pahle kabhi phulpur me kaafi andar tak nahi aayi thi. Halaki jeep se round ke dauran phulpur ke bahari hisso se Aparijita kai baar gujari thi. In sabke baawjud wo thane ke staff se baatchit se haasil jaankari aur online maps ke jariye yaha ke raasto ke baare me theek-thak jaankari rakhti thi.

Pura phulpur andhere me duba hua tha. Gaun me street light jaise kisi cheej ka naamu-nisaan nahi tha. Gaun ke andar base gharo me bhi bas ekka-dukka gharo me dheemi rosni ke bulb jal rahe the. 

Aparijita ne bike Phulpur se jungle ko jorte raaste par daal diya.

Luchh dur jaakar sarak khatam ho gayi thi. Aage ka raasta thori chauri pagdandiyo ke sakal me aage badhta dikh raha tha. Yeh pagdandiyo waala raasta bhi logo ke tantrik ke paas aane-jaane se bana hua lag raha tha. 

Aparijita ne bike issi raaste par daal di. 

Thori dur jaane ke baad Aparijita ne bike paas ke pero ke peeche chhupa diya. Aage raasta kuch aisa tha jis par bike ke tyres ke nissan saaf dikhte. 

Aparijita bag kandhe par daal raaste ke kinare-kinare ghaas par daurti hui khandahar ki taraf chal pari. Ghaas par chalne ke kaaran Aparijita ke pairo ke nisaan kisi ko nahi milne waale the.

Takriban 5 minutes ke baad Aparijita khandhar ke bahar kuchh dur par khari thi. 

Iss jagah se kuchh dekhna sidhe-sidhe possible nahi tha,  isliye wo ek per par chadh gayi. Kaafi upar tak chadhne ke baad  Aparijita ne khandhar ki or night-vision durbin se dekhna suru kiya. 

Khandhar ke andar halki rosni ho rahi thi.  

Rosni ek electric emergency lantern se aa rahi thi. Lantern ke paas hi ek banda baniyaan aur lungi pahne chatai ke upar karwat liye so raha tha. Us bande ke bagal me ek sarab ki khali bottle pari thi. Soye shaksh ka chehra saaf nahi dikh raha tha. Phir bhi Aparijita ne Japu dwara diye description se use tantrik ka sahayak ke roop me pahchaan liya tha.  Aparijita ne sahayak ke aas-paas ke cheezo ko dekhna suru kiya. Thori duri par use ek bara sa thaila dikhayi diya jiske andar kuchh khane-peene ki cheeze dikhayi de rahi thi. 

Aparijita ne khandhar ke baaki hisso ko dekhna suru kiya. Khandhar ke kuchh kamaro ki chhat sahi-salamat thi jiske kaaran uske andar jhaanka nahi jaa sakta tha. Khandhar ka illaka accha-khasha bara tha. Ek hisse me Aparijita ko halki rosni dikhayi di jo kam-jayada ho rahi thi.

Rosni ka dayra aur uske badhte-ghatate aakar se waha kuchh jalaye jaane ka aabhas Aparijita ko ho raha tha. Par uss hisse ko per se dekhna possible nahi tha. 

Aparijita ek baar phir khandhar ke chaaro or saavdhani se  dekh per se utar khandhar ki or chal pari.
5 minute ke andar Aparijita khandhar ke andar thi. 

Aparijita sahayak ke kamre ke  paas se gujari.  Kharrata bharta sahayak ek 25-30 saal ka 5.2 feet lamba sehatmand banda tha. Aparijita chupke se kamre ke andar aa thaile ke andar jhaanka to uske andar ek aur bag,  kuchh khane-peene ki cheeze aur ek bara sa chhura dikhayi para. 

Aparijita us jagah par ek saktisaali microphone install kar khandhar ke dusre kamro ki or badhi. 

Aage badhne par Aparijita ko ek kuchh saaf-suthri jagah dikhayi di.  Waha ek chhota sa hawankund bhi bana tha. Lagta tha ki iss jagah par tantrik logo se din me milta-julta tha. Aparijita ne yaha ke kuchh snaps lene ke baad dusre hisso ki or badh chali.

Jaydatar kamre buri halat me the. Aparijita ke kadam us hisse ki aur badh chale jaha se use aag wali rosni dikhayi di thi. Kuchh hi palo me wo us jagah ke paas thi.

Fiza me kisi ke dwara ki jaar rahi mantrochaar gunj rahi thi. Thori dur aage badhne par Aparijita ko ek kamra dikha jiski chhat salamat thi. Andar koi rosni nahi dikh rahi thi.  Aparijita us kamare ke andar jaa kar uska muyana karne lagi.

Kamra saaf-suthra tha. Kamre ke andar ek gadda bichha hua tha. Paas me hi ek videshi  sarab ki bottle rakhi hui thi jo sirf ek chautahi khali thi. Saath me ek band emergency latern aur tantrik  saamgri ka thaila para tha jisme kuchh books bhi dikh rahi thi. 

Aparijita ne yaha bhi ek microphone plant kar diya.

Aparijita ne apne kadam aage badhaye.

 Hawa me kacche maans ke jalne ki badbu aa rahi thi. Aage ek bara sa haal tha jiske sirf  chaaro dewaal hi sahi salamat the. Iske chhat ko kabhi banaya hi nahi gaya tha. Hall ke andar jane ke liye  2 raaste the jisme se kisi me bhi darwaaja saabut nahi tha. 

Aparijita ne unme se sabse picche wale se andar ki aur dekhna suru kiya. Hall me kanhi bhi koi gandgi nahi dikh rahi thi. Baaki khandhar ke viprit hall saaf-suthra tha. Hall ke bicho-bich ek hawankund bana hua tha. Aparijita ki or pith karke ek banda nanga baitha saamne bane hawankund me kuchh daalte hue mantra padh raha tha.  Yeh shaksh, ek 35-40 saal ka gore rang ka 6 feet lamba  sehatmand banda tha. Uske  sarir ko dekh kar kar lagta tha ki wo rojana barjish bhi karta hoga.   

Tantrik ke bataye huliye se ye banda  milta-julta tha. Usne hawankund ke saamne hi ek lohe ka trisul zameen me gaar rakha tha. Aparijita ne uske hawan samagri par dhyan diya to paya ki usme kachhe maans , phool-phal- patto ke saath sarab ki kuchh bottle bhi thi. 

Jis tarah se wo banda hawan kar raha tha us se saaf lagta tha ki use tantrik kiryao ka kuchh jyan hai kyuki waha koi  eisa nahi tha jise impress karne ke liye wo dikhaba karte hue wo hawan karta. Agle darwaje se jhaakna bebkufi hoti kyuki wo usi or munh karke baitha tha. Aparijita ne kamre ke andar jaane ka irrada chhor koi eisi jagah dekhne lagi jaha se wo is jagah par nazar rakh sake. 

Aparijita teji se us hall se aage badhi. 

Hall se aage kuchh dur tak khali jagah thi.  Takriban 100 feet ki duri par phir ek chhota sa kamra tha jiski chhat sahi-salamat thi. Kamre ko dekh kar lagta tha ki yeh kabhi chhat se pahedaari  ke kaam me aata hoga. Chhat tak jaane ke liye bani seedhi tut chuki thi. Aparijita ne uska ek chhakar laga chhat tak pahunchne ka raasta dhundh liya. 

2 minute ke baad Aparijita us kamre ki chhat par thi. Pura chhat pero ke patte se dhaka hua tha.  Saaf pata chal raha tha ki yaha lambe samay se koi nahi aaya. Chaat par bani railings  abhi tak kaafi hisse me sahi-salamat thi. Aparijita ne chhat par pari ek per ke hare patto bali chhoti daali se railing se sate  chhat ke ek chhote se hisse ko saaf kiya aur apni nazar us haal par jama di. 

Tantrik ke mantra padhne ki awaaz yaha tak nahi aa rahi thi. 

Aparijita  camera zoom karke tantrik ki photo utarne lagi. Hawankund ki rosni me Tantrik ka gatheela chamkata badan ek rahasaymai vatabaran bana raha tha. Tantrik ne apni aankhe khol rakhi thi aur ab teji se hawan samagri ko hawankund me daal raha tha. Lag raha tha jaise uski tantra kriya khatam hone wali thi. 

Agle 10 minutes me hi Tantrik hawankund ko saastang pranaam karta dikh raha tha. Pranam karke uske khare hote hi Aparijita ne uske full body ka snap utara. Tantrik ne naa sirf sarir ko mazboot banaya tha balki apne sarir ko saaf rakhne me bhi mehnat karta tha. Uske sar ke  aalaba aur kanhi baal nahi dikh raha tha. Uske sarir par kai tatto bhi dikh rahe the. Chhati ke dono hisso par koi tantrik mantra aur aakriti bani dikh rahi thi. Aparijita ne un aakritiyo par zoom karke unhe dekha. 

Aparijita ko tantrik ke kamar par belt ki sakal me matra likhe dikhayi diya. Aparijita ne zoom karke uski bhi snap le li. Tabhi tantrik picche mura to wo mantra wali belt picche bhi dikh pari. Halaki Aparijita ko kam hi umeed thi ki tatto rupi belt se kuchh pata chal sakta hai phir bhi usne kuchh bhi detail naa chhorne ki aadat ke anusaar wo snaps le liya. 

Aparijita ko darwaje se tantrik ki or aata uska sahayak nazar aaya.

Tantrik kuchh duri par utaar kar rakhe gaye apne kapre pahan raha tha. Uska sahayak waha bikhri saamagri samet raha tha. Sahayak hawankund ko bagair chhere   kuchh duri par rakhe gaye emergency lantern utha kar Tantrik ke saath hall se bahar aa gaya. 

Abhi tak Tantrik aur uske sahayak ke bich ek sabd bhi nahi kaha gaya tha. 

Aparijita ne unke peeche jaane ko koi kosis nahi ki. Wo log chhat wale kamre me pahunche.

Aparijita ne  microphone se baatchit sunnne ke liye use activate kar diya. Agle hi pal unki baatchit Aparijita ke kaano me earphone se pahunchne lagi jo saath-saath record bhi ho rahi thi.

"Guruji, Aap to itna gyani hain phir aapko ab itna hawan karne ki kya jaroorat hai?” sahayak ki awaaz aayi.

"Shera, Gyan ka koi ant nahi hai. Hume jo siddhi milti hai use time-time par active karte rahna parta hai. Iss tantra ki duniya me jo asaavdhaan raha wo jaan se gaya. Yaha log aapse sikh ke aage badhte hai aur ek din aapko hi issme pachhaar dete hain.  Isliye hamesa khud ko updated rakhna parta hai. Main yaha sirf apni purani siddhiyo ko jagrat rakhne ka kaam kar raha hoon taaki  jab main kuchh hafto baad naye siddhi ke liye baitho to main kamjor naa par jayu.” Tantrik ki awaaz Aparijita ko sunai pari.

“Guruji, aap kyu gaunwaalo ki madad karne me apna samay barbaad karte hain?” Phir se Shera ki awaaz aa rahi thi - “Agar aap unpar apni energy barbaad nahi karte to ab tak aapki jagaran ki sab kriya puri ho jaati aur aap nayi siddhi me lag jaate!” 

“Tumne dekha hai ki main kuchh ghante hi unke saath baithta hoon. Kuchh dino me purani siddhi ko jaagrit rakhne ka kaam nipat jaayega tab main sirf Chailla me hi rahunga aur 1-1.5 mahine me waha bhi logo se milna  band kar dunga. Iske baad main sirf kriya karne aayunga aur kisi se nahi milunga." Tantrik ki awaaz aa rahi thi. -"Ab main thora aaram karunga. 1 ghante me hawankund bhujh jayega tab tum saara kuchh samet lena. Issbar puja se sambhanthit kuchh bhi yaha nahi chhutna chahiye!” 

Aparijita ne tantrik ki baato se andaaza lagaya ki banda vastav me jaankar hai ya phir wo kaafi saatir banda hai jisne apna bhram-jaal phailane ke liye tantra ki acchi study ki hai.  Microfone me kisi ke chalne ki awaaz aa rahi thi jo kam hoti jaa rahi thi. Lagta tha ki tantrik ka  assistant Shera bahar jaa raha tha. Iske baad thori der shaanti chhayi rahi.  Aparijita wahi tek laga kar baith gayi. Usne tantrik ke baare me abi koi rai final nahi ki thi. 

Abhi tak Japu ne tantrik ke baare me koi negative baat nahi batayi thi. Japu ke taraf se report positive hi thi. Aparijita ka crime ke dunia ke tarah-tarah ke apraadhiyo se paala para tha. Isliye wo sirf abhi suni gayi baato ke upar bharosa karke tantrik ko shaq ke daayre se bahar nahi kar sakti thi.

Iss baat ki bhi sambhavna thi ki Shera tantrik ke asliyat se bekhabar ho aur tantrik sirf uski andh-shardha ka faayda utha kar use istemaal kar raha ho. Yeh bhi ho sakta tha ki kisi tarah se unlogo ko uske baare me pata chal gaya ho aur yeh sab Aparijita ko sunaane ke   liye  kaha jaa raha hai.

Aparijita ko ek dusre mission ki yaad aa gayi jaha aprradhi ko apne yaha microfone planted hone ki jaankari ho gayi thi aur wo iska faayda utha kar Sarfarosh ke junior agents ko galat jaankari de raha tha. Iska khulaasa tab hua tha jab ke junior agents ne Aparijita se jaankari share ki jisme Aparijita ko kuchh garbar laga. Jab Aparijita ne apne level par check kiya tha to pata chala ki us maha saatir apradhi ne junior agents ko bahoot bebkoof banaya hua tha.  

 Aparijita ne wait n watch ka nirnay kiya.  Aaj Aparijita us bande ko bhi dekhna chahti thi jo car lekar tantrik ko lene aata tha. 

6.30 baje ke karib Aparijita ko ek banda khandhar  ki or aata dikhayi diya. Yeh ek 20-21 saal ka dubla-patla banda tha.  Aparijita ne uske bhi kai snaps utaare. Kuchh hi palo me uske kaan me Shera ke kamre wale micrphone se awaaz aane lagi.

"Chhote guruji, Kaise hain aap."  car leke aane wale bande ka swar gunja. 

“Tujhe kitni baar kaha hai ki mejhe chhote guruji naa kaha kar par tere bheje me baat hi nahi utarti hai.” Shera gusse me bhunbhunata hua kah raha tha  - "Agar phir maine sun liya to yehi tujhe pit daalunga!"

“Hi-hi; Shera bhai aap to bura maan gaye. Main to yu hi mazaak kar raha tha."  naye bande ki hasne ki awaaz aayi.

“Raju tu koi baccha to hai nahi ki tujhe har baar smjhana pare.” Shera ki gusse bhai awaaz aayi. - "Chal pahle jaake hawansthan  ko saaf  karte hain phir guruji ke paas chalenge.  Tab tak sayad wo hamesa ki tarah chalne ke liye taiyar mile.”  Shera ne thora naram swar me kaha.

Kuchh hi palo baad Aparijita ko wo dono hawan wale sthan me dikhe. Dono baat karte hue saamagri ekttha kar rahe the. Us jagah par microphone nahi hone ke kaaran Aparijita unki baat nahi sun paa rahi thi. 15-20 minutes ke baad hi tantrik bhi waha dikhayi diya jo ab chalne ke liye taiyar tha. 

Ab tak takriban sara samaan samet liya gaya tha.  Shera tantrik ko taiyar dekhte hi bhaag kar chalne ke liye taiyar hoke aa gaya.

Dekhte hi dekhte teeno waha se sab kuchh bator kar baat karte hue nikal pare.  Unke waha se nikalte hi Aparijita zaldi se microphones samet unke peeche chal pari.

Unka kuchh kadam pichha karte hi Aparijita ke samajh me aa gaya ki wo log usi raaste par jaayenge jis se wo aayi thi. 

Kucch aur dur jaakar Aparijita ruk ek per par chadhne lagi.

Car me un teeno ke aalaba koi nahi tha. Aparijita ne per par se hi chhipe hue us car ki kai snaps liya. 

==================================================

Aparijita ke thane ke compund tak pahunchte-pahunchte 8 baj chuke the.  

Jab Aparijita bike se thane ke andar aa rahi thi usi waqt Ghanshyam use apni bike par aata dikhayi diya. 

Aparijita ne quarter me pahunch kar Ghanshyam aur Gopu ko phone  kar milne ke liye bulaya. 

"Gopu; Ghanshyam aur Dinesh ko mai kal se kuchh dino ke liye bahar bhej rahi hoon; isliye raat wali shift ki jimmedaari tumhe uthani hai  aur agar koi emergency aa gayi to mai madad ke liye ho  hi. Harilal ne lambe samay se night shift nahi ki hai, isliye uske umar ko dekhte hue use din ke shift me rakhna theek rahega."  

Aparijita thori der tak night shift aur tantrik ke baare me apni rai deti rahi.

“Gentlemen, mai ab thora aaram karna chahti hoon. Main pichhle 28 ghanto se jaag rahi hoon.  Aaj hi mujhe  spy gadgets laane bhi jaana hai. Isliye agar koi emergency ho tabhi use phone karen." Aparijita ne muskurate hue kaha.

Aparijita ki baat sunte hi dono hairan rah gaye. 28 ghante se upar jaag chukne ke baad bhi Aparijita ke chehre par uska nisaan tak nahi dikh raha tha.  Kal se kuchh der pahle tak ka sankshipt vivran sun aur kal saath bitaye samay ke kaaran wo samajh gaye the ki 28 ghante se jaagne ki baat sach hai.

Ghanshyam aur Gopu Aparijita ko salute kar turant waha se nikal gaye.

Unke jaate hi Aparijita Yog-Nidra ki madad se 4 ghante ke neend le khoyi energy prapt kar 1.30 baje phir se uth gayi.  Abhi Aparijita apne ko pura taro-taaja mahsoos kar rahi thi.  Usne 2 minutes me hi khud ko safar ke liye taiyar kar liya aur kandhe par ek bara sa khali bag lekar bike par Arvind ki garage ki aur chal pari.

1.42 me Aparijita ki bike Arvind ke garage me thi. Arvind taiyar hoke ek tata sumo lekar uska wait kar raha tha. Aparijita ne apni bike wahi chhori aur bag utha kar Arvind ki sumo me aa baithi.

Turant hi Sumo apni manzil ki or badh chali.  Arvind ne sarsari taur par ghari par nazar daurayi. Abhi theek 1.45 ho rahe the. Yeh dekh kar uske chehre par muskaan aa gayi.

Aparijita ke baare me Sarfarosh me mashoor tha ki agar usne koi time diya hai to wo itna accurate hoga ki us time par ghari milayi jaa sakti hai. 

------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment