Saturday 14 September 2019

Rahasy ki khoj

Dusre din subah 4.30 baje hi Aparijita uth chuki thi. 20 minutes ke baad Aparijita thane ke bahar wali sarak par apni mountain cycle ke saath khari thi. 

Aparijita ne denim ki jeans aur shirt ke saath pair me ghutno tak aati jute daal rakhe the.  Jute ke andar bari safai se hunter knife chhupa hua tha.

Aparijita ne apne baal ek choti ki roop me bandha tha aur apne kandhe par ek bag daal rakha tha. Bag ke andar mobile, laptop, camera, doorbin, pani ki bottle, torch, ek majboot rassi aur eisi hi kuch aur cheeze pari thi.

Aparijita ne shirt ko in nahi kiya tha. Shirt ke neeche shoulder belt ke saath saffai se chuppai gayi ek fully loaded revolver tha. Revolver ke kaafi phaalto rounds bag me pare the. 

Aparijita ne aaj Gopu ko apne saath naa lane ka nischay kiya tha. Wo teji ke saath phir usi chabutare ki taraf chal pari. Usne aaj pahari par bane prakritik chabutare ke niche apni cycle nahi roki balki use teji se chalati hui chabutare tak le aayi.  

Aparijita dheere-dheere chabutare ke charo taraf cycle se round laga rahi thi.  Ek jagah wo ruk kar apne bag se laptop nikalne lagi. Usne laptop ko internet se connect kiya aur Arpita dwara bheji gayi file padhne lagi.

Arpita ne Aparijita ko kal baato ke dauran bataya tha ki 2 saal pahle ek videshi lekhak ne iss chabutare numa jagah ke baare me apne ek book me jikra kiya tha jise Arpita ne bhi kal hi padha tha. Usne likha tha suraj ki pahli kiran ke saath jungle ke ek hisse se tej rosni aasman ki taraf jaati hai jo ki bas kuchh seconds tak hi rahti hai. 

Arpita ne us book ka scan copy bhejne ki promise ke saath vaada kiya tha ki wo aur jitna detail available ho sakega bhej degi. Aparijita ne detail ke saath Sarfaroosh ke sources ke jariye pure area ke satellite images bhi bhejne ko  kaha tha. Arpita ne vaada kiya tha ki saari cheeze raat  2 baje se use bhej di jayegi. Aparijita jaanti thi agar Arpita ne kisi baat ka vaada kiya hai to wo kaam tai samay se pahle hi pura hoga.

Aparijita ka irrada pahle ek din baad aane ka tha par usne apna irrada badal diya tha.

Aparijita ka viswaas tha ki wo rosni kisi paurane bane mandir se aati hogi.  Usse pata tha ki logo ko aur aastik banane ke liye purane jamane ne  rajayo ke kahne par architect iss tarah se building ki design banate the ki usme kuchh khaas  khubi nazar aaye aur jise baad me chamatkar ka naam diya jata tha. Jaise Muhammad Ghazni dawara nasht karne se pahle Somnaath madir me hava me sthir Bhagvan Shiv ki mutri jo asal me chhat me lage vishalkay chumbak ke vajah se hava me latakta rahta tha. 

Govt ki akarmayta isme dikhti thi ki itni rahasymai baat ka jikra hone ke baad bhi uspar koi jaanch-partal nahi hui thi. Yaha tak ki Delhi-NCR ke khabariya channels jinhe actor-actress ke antarvastro ke ke baare me bhi pata hota tha; unhe bhi iski koi jaankari nahi thi ya kahe unhone is khabar ko jaanbujh kar nazarandaaz kar diya tha.

Jagga aur uske ssathiyo ko bahut baar jungle ke iss hisse ke andar aate -jaate dekha gaya tha jabki unka kiraye ka ghar waha se kaafi dur tha. Kisi ke puchhne par Jagga aur uske saathi logo ko batate the ki wo prakriti prem ke karan yaha aana pasand karte hai. 

Aparijita ko Jagga uar uske saathiyo dwara sunayi gayi kahani par ek paisa bhi yakin nahi tha. Aparijita ko pura yaqin tha ki ya to wo us mandir ke prachin murtiyo ke peeche the ya phir jungle ke gufao me unka koi interest tha. Jagga ka iss jagah itne mahine rahna bemaksad nahi ho sakta tha.  

Aparijita ne zaldi-zaldi saari di gayi jaankariya padhni suru kar di. Arpita ne uska kaam aasan kar rakha tha. Arpita ne saari jaankari ko bari khubsurati se iss tarah se arrange kiya tha ki Aparijita ko sambhabit jagah  ka andaza aasani se ho gaya. 

Subah ki pahli kiran ke saath rosni upar ko jaati dikhti thi iska matlab tha wo jagah chabutare se East ya phir North-East ya phir South-East me hona chahiye tha! In jaankariyo ke dam par Aparijita ne apne search ka dayra fix kar liya.

Aparijita ne apni kalai ghari par nazar daali. Mausam department ki di jaankari ke anusaar 10 minutes me hi suryoday hone wala tha. 

Aparijita janha iss waqt thi waha se North-East aur  South-East kone ka kuchh hissa khai ke kinaare uge bare pero se chhipa hua tha. Usne teji se apne nazare daurayi to uski nazar 300 meter ki duri  par ek bare chattan par pari jis par chadh kar aasani se wo apne baanchhit area ko dekh sakti thi.

Aparijita ne teji se apna saaman samet daur kar apni cycle utha teji se pandle maarte hue chattan tak pahunch bag samet chhalaang laga kar chattan par chadh gayi.

Abhi bhi Aparijita ke paas 5 minutes ka time tha. Usne camera aur apne mobile ko movie mode me recording par laga unhe North-east aur South-East ke angle par set kar diya. Usne durbin ko apne jaangho par rakh kar saant-chitt se aane wale nazare ka wait karne lagi.

Tabhi parkriti Aparijita par muskurai!

Jab Aparijita chattan par aake baithi thi tab tak dur jungle ke pero ke peeche aasman me prikriti ne lalima liya rajpath bana diya tha. 

Jaise hi  Suraj ne muskrate hue apne rath se dharti ki aur dekha, purab me jungle ke andar se ek tej safed rosni ne uchhal kar Suraj ke kadam chumna suru kar diya. 

Aparijita ne bagair apni najre hataye haath badha kar camera uthaya rosni ki taraf kar diya. Iss dauraan uska dhyan ek baar bhi nazaare se nahi hata. Chand seconds ke baad hi charan-vandna khatam kar ke wo rosni gayab ho gayi. 

Aparijita ne andaza lagaya to paya ki wo jagah jungle ke andar kam se kam 4-5 km ki duri par hoga. Jungle ke itna andar jaa kar andaze par khoj karne me kafi time lag jana tha aur sirf andaaze par wo apna jayada waqt iss kaam me nahi laga sakti thi. 

Haqiqat me sambhawit jagah us se jayada dur bhi ho sakti thi. Jungle ki andurani hisse ke banawat ke karan us jagah ko dhoodhna tedhi kheer ho sakta tha.  

Aparijita ne camera ka movie mode off kar panorama view me us karamati rosni wale illake ki snaps utarne lagi. Ab uske paas us karismayi rosini se related kafi jaankari thi. 

Aparijita ne cycle wahi chhora aur thora aur upar ki aur apna rukh kiya. Aaj  Aparijita  ka irada aur oncha jakar eisi jagah dhudhne ka tha jaha se Chaila ka bara hissa durbin se nazar aa sake. 

Thori  der me hi Aparijita ko uske kaam ki jagah dikh gayi. Ek jagah pahari se ek bari chattan is tarah nikali hui thi ki us par khare hokar saktisaali durbin se dekhne par Chaila ka bara sa hissa saaf dikhai deta. Aparijita ne Chaila ke kuchh khaash jagaho ko jyada gaur se dekh neeche utarne lagi. 

----------------------------------------------------------------

Aaj Friday tha. Apne routine ke mutabik tantrik Chaila se jaa chuka tha.

Aparijita Chaila ke paas Jungle me bana mandir ke paas maujod thi jo basti se 1 km ki duri par tha. Yeh mandir kisi jungle-devta ka tha jiske baare me logo ka viswaas tha ki wo bhatakti ruho ko jungle me hi rok rakhta hai. 

Mandir kuchh pilaars par khara tha aur upar pakki chhat thi. Bich me ek 10x10 ka kamra bana tha jisme  ek mitti ki ungarhi pratima thi jo sindur aur dusre pujan saamgri se laal ho raha tha.  Mandir se kuchh kadamo ki duri par ek 16x16 ka ek pakka bana kamra tha jisme darwaje ki jagah lohe ka ek grill wala gate laga tha . Gate me koi lock nahi laga tha. Mandir aur room ke bich ek balidan sthal bana hua tha .

Mandir  aur uske chaaro aur sannata pasra hua tha. Saaf pata chalta tha ki Chaila ke log kisi khash mauke par hi mandir aate hain. Aparijita ne cycle bahar wale kamre ke saath khari kar lohe ka gate khol room ke andar chali gayi. 

Kamre me darwaje ke level par ek cemented rake bana tha jise yaha local bhasha me machaan kahte the. Kamre ke andar deewar me almira rupi cemented self bana tha. 

Aparijita ne dewaaro me bane self ko check kiya. Wo saare khali the. Unpar bahut hi halki dhool dikh rahi thi jo ki bata rahi thi dhool kuchh din me hi jama hui hai. 

Aparjita  gate ke paas pahunch kar uchhal kar  machaan ko pakar  kar latak gayi aur apne badan ko dheere-dheere upar uthana suru kiya. Machaan khali dikh raha tha. Kamre me bhi mandir ki tarah electricity ka koi bandosat nahi tha. 

Machaan par dhool ki ek moti parat dikh rahi thi jo ki batata tha ki machaan tantrik dwara istemaal me nahi laya jata hai. Tabhi Aparijita ko laga ki dhool me kuchh nissan pare hai par andhere ke karan wo clear nahi dikh raha tha.

Aparijita ne bag se torch nikala aur us nissan ke neeche pahunch kar uchhal kar sirf baanye haath se machaan ko pakar kar jhool gayi. Dahine haath me usne torch pakar rakha tha. 

Aparijita ne apne sarir ko sirf baanye haanth ke jor par upar uthaya aur dahine se torch ki rosni me us jagah ko dekhne lagi. Waha jo nissan use dikha use pahchaan ke uski munh se seeti ki awaaz nikal gayi. Nissan bata raha tha ki waha 2 AK-47 type rifle rakhi gayi thi.

Aparijita sure nahi thi ki ye kaam Tantrik aur uske chele ka hai ya kisi aur ka. Par iss baat ko najarandaaz nahi kiya jaa sakta tha. Aparijita kamre ke chhat ko kuchh der dekhti rahi aur ek kaam ki jagah use dikh gayi. 

Kiro ne chhat ke ek kone me ek mitti ka ghar jaisa banya hua tha. 

Aparijita ne ab apna dhyan waha zameen par bichhi puyal ki bani bichhaban par daali. Zameen par 1.5 inch moti puyal bichhi hui thi jis par 2 log maje se so sakte the. Dhayan se dekhne par puyal par kuchh kambal ke rese dikhayi diye jo kambal ka istemaal hona bata rahe the.

Tabhi Aparijita ko puyal ke necche kuchh chamakti hui cheez dikhayi di. Puyal ko hatane par wo kaanch ki churi ka tukra nikala. 

Gaun me amooman viswaas tha ki Tantrik apne chele ki siwa aur kisi ke saath nahi hota hai. Pahle AK-47 ke nissan aur phir churi; in sab cheezo ne Aparijita ka Tantrik par shaq aur gahra kar diya tha.
Aparijita ne bahar jaakar kuchh zameen par gire patto ko jama kiya aur unhe laakar kamre me bikhra diya phir usne patte lakar machan par phekne suru kar diye.

Kuchh hi palo me machan par Aparijita ke hathelio se saaf hui dhool patto se dhak gayi aur saath hi uske aas-paas ki jagah bhi. Ab iss jagah ko dekh kar lagta tha ki jaise baccho ne khel-khel me kamre me chaaro taraf patte bhikra diye ho.

Aparijita mandir ke andar pahuch pratima ka muayana karne lagi. Partima ke paas hi ek bara sa hawankund tha. Paas hi ek chhota sa naali numa ek aur kund bana tha jisme desi sarab ka ek plastic ki thaili pari hui thi . Lagata tha jaise  iss kund ka istemaal sarab chadhane ke liye kiya jaata raha ho.

Aparijita mandir se bahar nikali. Mandir ko basti se jorne ke liye ek kachha rasta bana tha jispar ek bailgari aa jaa sakti thi. Wo raasta mandir par aake khatam ho jaata tha. Mandir se 2 aur pagdandi numa raasta nikalta dikhayi diya. Ek wo tha jis se Aparijita main sarak se jungle hote  hue mandir aayi thi aur dusra uske viparit disa me jungle ke aur andar chala ja raha tha. 

Sarfarosh ke reports ke nausaar isi pagdandi wale raaste me aage jaakar 2  prakritk  gufa the. Eisa viswaas kiya jaata tha ki  waha 2 aur gupt gufa hain par uske location ke baare me kisi ko koi jaankari nahi thi.

Aparijita ne apni cycle issi raaste par daal di. Raaste ka kam istemaal hone ki vajah se bura haal tha.

Agal-bagal ke jhaariyo se nikale tahniyo ne kanhi kanhi raaste ko gherna suru kar diya tha. Aparijita bari maharat se iss raste par apni cycle full speed me chala rahi.

Agle 15 minuts ke andar Aparijita ek gufa ke saamne khari thi. Usne cycle ko gufa ke bahar chhora aur bag ko kandhe par daal haanto me torch aur hunter knife liye andar aa gayi. 

Aparijita  bare hi satark kadamo se gufa ka muyana kar rahi thi. Lagta tha ki jaise iss gufa ke andar  kafi samay se kisi manavjaat ke kadam nahi pare the. 

Andar kuchh bare bil dikh rahe the. Tabhi ek bil se ek khargosh nikala aur apni aankhe mich-michate hue Aparijita ko dekhne laga. Khargosh Aparijita se uske ghar me aan use disturb karne ka kaaran puchhta sa laga.

Khargosh ko dekhte hi Aparijita ke chehre par muskaan aa gayi. Usne hunter knife ko phir se jute ke andar pahuncha diya.

Khargosh kuchh der Aparijita ko dekhta raha phir uchhal kar ek taraf bhaag khara hua. Aparijita ne khargosh ke bhagne ke raaste me torch ki rosni daali to paya ki us gufa ke andar ek dura  rasta hai jo thora kam uchayi ka tha.

10-15 kadam us raaste par chalne ke baad uchayi sirf 4 feet rah gayi thi.  Aparijita ab ghutno ke bal baith kar torch ki rosni me aage badh rahi thi. Takriban 12-14 kadam aur chalne ke baad wo surangnuma jagah aage se band ho gayi. 

Khargosh jaise Aparijita ke waha pahunchne ka hi wait kar raha tha. Aparijita ke waha pahunchte hi wo vapas bahar ki aur bhaag gaya. Aparijita us jagah ka muyana karne lagi. Us jagah aaram se kuchh log so sakte the.  Is surungnuma jagah ko dekh kar yeh saaf pata chalta tha ki isse insaano ne specially sone ke liye taiyar kiya hai. 

Aparijita ne surangnuma jagah ki chhat ko torch ki tej rosni me dekha. Chhat me chheni-hathori ke nisaan the jo kaafi purane the. Yeh kaam itni safai se kiya gaya tha ki Aparijita ki anubhavi aankho ne use pahchaan liya nahi to aam aadmi ko to wo prakritik hi lagti. Aparijita ko chaat ke bicho-bich ek devi murti ka sketch bana dikhayi dia. Sketch me kuchh phool bhi bane the.

Aparijita ko sketch me bane devi ke charano ke paas bane phool me kuchh bhed ka abhaash hua. Phool  aur charano ke paas ke jagah me kuchh phal aur ann ke daane ukere gaye the. Aparijita ne apne saktisaali camera se waha ki kai snaps tej flash me nikale. 

Tabhi uski nazar suragnuma jagah ki band munh par bane kuchh nisaan par pare. Use dekh kar lagta tha jaise kisi ne eisi hi masti me chheni chala kar kuchh bhi likh diya hai. Isi tarah ka nissan baayi aur dahine taraf ke deewal par bhi tha.

Pratyaksh taur par nissano  ke bich koi taal-mel nahi dikhta tha par Aparijita ko viswaas tha ki unme koi na koi sambandh jaroor hai.

Us jagah kaafi der se baith kar soch-vichar karte Aparijita ko achha-khasha samay ho gaya tha. 

Aparijita ko pyas mahoos hone lagi to wo bottle nikal kar paani peeni lagi. Tabhi uska purana dost khargosh phir andar aata dikh para.

Khargosh Aparijita ke paas se nikal kar us jagah ke band  munh par jaakar baith gaya. Uske taraf peeth karke Aparjita pani peete hue phir ek baar chaat par bani pratima ko dekhne lagi. 

Tabhi naa jaane kyu Khargosh ko kya masti sujhi aur wo daur kar Aparijita ke peeth par kuda aur phir se bhaag gaya. 

Aparijita ke haath se pani ki bottle chhitak kar door jaa gira. Bottle se kuchh pani chhat me bane pratima par bhi jaa laga. Uske baad jo hua us se Aparijita ki aankhe khuli rah gayi. 

Devi ke charano me bane 2 phool me ek naksa sa bana dikhayi dene laga. Naa jane wo kaisi kaarigari thi jo paani se bheegne se ubhar kar saamne aayi thi. 

Iss nayi dikhayi de rahi aakriti me 3 gufa bane dikhayi de rahe the.  Pata nahi wo kaun si cheez pathar me daala gaya tha jis se pani me bhigne se us par likhi gayi cheeze spast dikh rahi thi. Usme 2 chhote-chhote tir ke nisaan baaye aur daaye deewaro ki taraf the. 

Aparijita ne kuchh soch kar ek deewal ko pani se bhigona suru kar diya. 

Paani se bhigne ke baad deewal par ubhar aayi aakriti ko dekh kar Aparijita ka chehra khil utha.

Aparijita ne dusri deewal ko bhi pani se bhigoya.  Aparijita ne chhat aur dono deewaro ke jaldi-jaldi snaps uthar surangnuma jagah se nikal kar phir se gufa ke main hisse me aa gayi.

Khargosh phir ek baar uske paas aake khara ho use apni chhoti-chhoti kali aankho se ghurne laga. Aparijita ne iss khargosh ki sararat ke wajah se ek eisi cheej dhoondh nikali thi; jiske baare me use koi anumaan bhi tha. Usko to sapne me bhi yeh khayal nahi aane wala tha ki paani se bhigone par chattan bhi kuchh bata sakta hai.

Aparijita ne khargosh ko utha kar choom liya aur use vapas zameen par rakhte hi Khargosh bhaag kar apne bil me ghush gaya. Khargosh ke meharbaani se Aparijita ko un 2 gupt gufayo ki jaankari aur waha pahunchne ka raasta pata chal gaya tha. Surangnuma jagah ke chhat me gufa aur uske aas-paas ka chitra bana hua tha jabki baaye-daaye deewaro par uske baare aur hints likhe gaye the.

Aparijita waha se dusre gufa ki aur chal pari jiske baare me Sarfarosh ke report me jikra tha. 

Zald hi Aparijita dusre gufa ke saamne khari thi. Iske aas-paas ka najara dil ko chhu lene wala tha. Lagta tha jaise isse prakriti ne khass taur par shanti talash karne walo ke liye banaya tha. Thori dur par paani ka ek jharna tha jis se doodh ki tarah safed paani girta lag raha tha.

Yeh gufa andar se accha-khasha bara tha. Gufa ke andar
kuchh dur aage badhne par ek chhota sa
 pani ka kund tha jo ki pahari se aate ek chhote jharne se jaise paani ki dhaar se bana tha. Isse bhi ek jharna kaha jaa sakta tha. Lagta tha jaise us  jagah prakriti ne kund banane ke liye gufa ki chhat hi hata di ho par hakikat yeh thi ki lagatar girte paani ke kaaran saalo me gufa ki chhat us jagah se tut gayi thi. 

Tuti chhat ke karan gufa ke andar Surya ka prakash prayapt matra me aa raha tha. Jharne ke kaaran saaf bahta hua pani bhi uplabdh tha. Kund se paani kai prakritik naaliyo se hote hue bahar nikal raha tha. 

Andar Suraj ki rosni aane ke karan gufa ke andar ke sururaati hisse me rosni thi. Thora aur andar jaane par  rosni dheere-dheere kam hone lagi thi. Kuchh kadam aur chalne par  zameen par ek jagah jali hui lakri ki raakh dikhi aur paas hi kuchh rang-birange nisaan bane the.

Aparijita ne unhe gaur se dekha to paya ki raakh me kuchh haddi ke tukre bhi hai. Wo rang-birange nissan darasal kuch tantrik yantra ke the jo mitane ke prayash ke baawjood puri tarah nahi mite the. Pass hi mitti ke tute ghare aur kulhar pare the.

Tute kulhar ke andar jhaakne par Aparijita ko uske andar sukhe khun ki bund nazar aayi. Wahi paas me kuchh kaanch ke churi ke tukre najar aaye. 

Kuchh kadamo ki duri par sarab ki ek khali bottle bhi Aparijita ko pari dikhayi di.

In cheezo ko dekhne se lagta tha ki wo tantrik vastav me tantra-mantra ki kuchh jaankari rakhta hoga yaa sadhna karta hoga. Yeh gufa Jungle ke kaafi andar tha; isliye Chaila ke log yaha nahi aate the. Is wajah se tantrik ko yaha tantra ka dikhaba karne ki koi jaroorat nahi thi. 

Kuchh aur andar chalne ke baad Aparijita ne torch on kar li. Andar jaake gufa itni chauri ho gayi thi ki waha 70-80  log baith kar meeting kar sakte the. Aparijita baariki se ek-ek cheez dekh rahi thi. 

Gufa ko dekhne se pata chalta tha ki waha hal-filhal safai hui hai. Waise to pura gufa saaf tha par uska ek hissa jayada saaf dikh raha tha. Uss hisse ko dekhte hi Aparijita ne samajh liya ki yeh hi wo hissa hai jaha Tantrik aaram karta hoga. Yaha par bhi kanch ki churi ka ek tukra najar aaya.

Sirf churi ke tukre se yeh bata paana muskil tha ki yeh kisi aurat ke kalai se tut kar gire hai ya phir tantrik puja me iska ek saamgri ki tarah istemaal hua hai. 

Aparijita ne jab Tantrik ka jikra suna tha tabhi usne internet aur Sarfarosh ke online library me tantrik kriya se sambandhit jaankariya ikkatha karne lagi thi. Usne yeh jaan liya tha ki aajkal ke tantrik jayadatar left hand path wale hain jo sadhna me panchamakara  ko lekar sadhana karne wale hain. 

Panchamakara ko  Five Ms bhi kahte hain  jo paanch tatvo ka sanyukt naam hai.
    madya (wine)
    māṃsa (meat)
    matsya (fish)
    mudrā (parched grain)
    maithuna (sexual intercourse) 

Maithuna ker swaroop me bhi alag-alag tantra school ke kaaran difference hota hai. Kanhi par kriya ke dauran actual intercourse par paabandi hai par sadhna sadhak aur sadhika nagn hokar pure sayam se karni parti hai aur sayam tutne par sadhna bhagn maani jaati hai. Wahi dusre tantra school ke follower tantrik kriya ke dauran actual intercourse karte hain.  

Wahi kuchh tantra school pratikaratmak rup me iska istemaal karte hain jaha inka arth saatwik hota hain . Is pratikaratmak wale panth me bhi 2 tarah ke sadhak hain. 1 panth me jaha saadhak aur saadhika aapas me sadhna ke alaaba saaririk sambandh banane ko swatantra the to wahi 2sre panth me unke bich mata aur putra ka pavitra sambandh hota hai.

Aparijita ne thori der aur gufa ka andar se muyana kar bahar aa gayi. Wo 2 gupt gufayo ko talasane ka iraada aage ke liye chhor  phir Premnagar ki aur laut rahi thi.
---------------------------------------------------------------------

No comments:

Post a Comment