Saturday 2 May 2020

Tantrik Ki Kahani

Paanch baje Aparijita ke paas Arpita ka phone aaya. Usne bataya ki uski Ritesh aur Ajay Rai ke saath abhi thori der baad meeting hone waali hai. Meeting 2- 2.5 ghante chalne waali thi. 

9.30 bajte-bajte ek ek karke night shift ke staff aane lage. 9.40 par Gopu aaya jiske aate hi night staff ki team complete ho gayi.

Saam ko Aparijita ne Ghanshyam ko bata diya tha ki wo kal jungle me kaafi andar tak jaane waali hai. Ghanshyam ke uske akele jaane par chinta karne par usne use bataya ki wo nadi ke iss hisse me hi rahne waali hai aur uske saath kuchh expert log bhi honge jo unhe wahi milenge; lagatar do din ke encounter ke karan zakhmi staff ki ginti badh gayi hai jiske kaaran wo unhe saath lekar apni speed nahi kam karna chahti hai. Aparijita Ghanshyam  ko muskil viswaas dila paayi ki  khatre waali koi baat nahi hai. 

9.45 par phir se Arpita ka phone aaya. usne batay ki uski gaari me problem aa gayi hai. Arvind use lene aa raha hai, isliye use waha tak pahunchne me takriban 11 baj jayenge.

Aparijita saam se hi North India me mauzod naksali groups ke  baare me Sarfarosh me uplabdh jaankari laptop par padh rahi thi. 

Raat 11 baje.

Aparijita thane ke compund se apne quarter ki aur muri hi thi ki ek gaari ki thane ke compound ke paas rukne ki awaaz aayi.

Aparijita ne mur kar dekha to use Arpita aur Arvind car se utarte dikhe to wo udhar hi chal pari. 

Aparijita ke pahuchne tak Arvind car ki pichhli seats se Arpita ka bara sa suitcase utar chuka tha.  Aparijita ko dekhte hi Arvind ne greet kiya.  

Arpita ne apne kandhe par laptop taang rakha tha. Arvind ne pichhe ki seat se ek bara sa hotcase nikala. Hotcase ko dekhte hi Aparijita ko Arpita dwara ki gayi promise ki yaad aa gayi.

Arvind unhe goodnight kah kar nikal para. 

Arpita ko Arvind ke jariye Premnagar me aaj hue hungaame ki detail khabar thi. 

Arpita ne nikalte waqt kuchh agents ko kucch report collect karne ke liye kaha tha. Raaste me gaari kharab ho jaane ke kaaran wo apne schedule time par Premnagar pahunch kar unse report nahi collect kar paayi thi aur Arvind ke saamne wo iss topic par baat bhi nahi karna chahti thi. 

Arpita ne Aparijita se fresh hokar change karne ko kaha aur khud laptop le kar sabse video confrencing ke jariye report lene lagi.  

----------------------------------------------------

"Aur bata aaj meeting me kya hua."  Aparijita ne Arpita ki video-conference call khatam hote hi puchh dala.

"Hum dinner karte hue baat karenge, nahi to jo itne dur se special khana banwa kar laai hoon wo mazedaar nahi rah jaayega!"

Khana bakai lazzedaar tha. Dinner karte hue dono mission par baat karne lagi. 

"Apu, tu pahle tantrik ke baare me report sun ." Arpita murge ki taang Aparijita ki plate me daalte hue boli. 

"Aagnivesh ka sanyas se pahle ka naam Niranjan tha. Wo khandani raees pariwaar se hai. Uska baap ek bahut hi kaabil vakeel tha jisne court-cases se bahoot daulat ikkatha ki. Iske aalaba uske baap ne share market aur zameen ke businees se bhi bahoot daulat kamai. Chuki Niranjan ki ruchi vakalat me nahi thi, isliye uske samjhdaar baap ne bhi koi jor jabardasti nahi ki. Niranjan ke business me ruchi rakhne ke kaaran uske baap ne use usi ke liye proytashit kiya. Niranjan ko IIM me study ke dauran hi ek multinational comapny me kaafi acchi package par naukri mil gayi. Apne baap ke experience gain karne ke sujhab par usne wo job join bhi kar li thi."

Arpita ne haatho me pakri haddi ke tukre ko khali plate me dala.

"College ke waqt Nirajan kaafi bhogi pravirti ka tha. Uske group me jaydatar eise hi bigre raees larke-larkiya the.  Par Niranjan ne kabhi eisa kuchh nahi kiya jis se uska baap sharminda hota."Arpita ne bhune hue murge ka ek piece utahte hue kaha.

"To yeh bhogi Nirajan swami Aagnivesh kaise ban gaya!" Aparijita ne haath me pakre murge ki taang ka aakhri hissa chabate hue puchha. 

"Aagnivesh 5 saal job karne ke baad khud ka business suru karne aur apne baap ke paas rahne ghar laut aaya tha. Nirajan apne baap se bahut pyar karta tha, jisne bachpan me hi Nirajan ki maa ke gujar jaane ke baad maa-baap dono ka farz nibhaya tha.  Ek saam jab wo apne baap ke saath ek hill station se laut raha tha tab achanak uske car ke upar bahut bara patthar aa gira. Us patthar ke niche dab kar driver aur uske baap ki maut usi waqt ho gayi. Niranjan ko logo ne nikal kar hospital pahunchaya, jaha uski jaan to bach gayi par uske pair ko paralysis maar gaya tha."

Arpita ne dekha ki Aparijita apne haath rok kar uski baaten sunane me khoyi hui hai. Usne iss baar mutton ke bowl se kucch pieces utha kar dono ke plates me daale. Arpita ke issara karne par Aparijita ne phir se khana suru kiya. 

"Us accident ke baad lauta Niranjan aur pahle ke Niranjan me koi mel nahi tha. Car racing, stunt ka saukin Niranjan ab chalne-phirne ke liye power wheelchair ka mohtaj tha. Usne naye business ke baare sochna band kar diya tha. Wo naa hi kisi se milta tha aur naa hi kanhi jaata tha. 2 mahine baad wo ek baar phir se usi hillstation par, jisne uska sabkuchh chhin liya tha pahunch gaya. Daily saam ko wo dur tak apne wheel chair par nikal jaata tha. Par hillstation ka shant vatavaran bhi uske man me shanti nahi laa paya tha. 

Eise hi ek saam use lautne me kucch jayada der ho gayi. Hotel lautate waqt deka ki ek bike ko ek tempo side maarte hue nikal gaya. Bike dhakke se unbalance hui aur road ke dusre taraf railing ki or jhapti. Railing se takra kar bike teji se uchhali to us par swar banda uske jhatke se hawa me ur sa chala. Bike sawar wahi khare ek per se takra kar niche gir para. Idhar bike biker ke per se takrane se pahle hi niche khai me gir gayi thi. Niranjan teji se us taraf apne whellchair ko le gaya. Usne railing ke paas jaa kar jhanka to use bike-sawar sarak se thora niche chhatano me fasa hua dikha aur uske sar se teji se khun bah raha tha."

Baatchit karte rahne ke karan khane ki speed bahoot dheemi thi. Waise bhi aaj ke hungame ne Aparijita ko dhang se luch bhi nahi karne diya tha. Arpita ne salad ki plate khali dekh kar abhi apna haath udhar se hataya hi tha ki Aparijita ne use bhar diya. Arpita khate hue phir aage ki kahani batane lagi.

"Nirajan ne biker ko awaz di to usne chilla kar bataya ki uske ek paun ki haddi sayad tut gayi hai jiske karan wo upar khud se nahi aa sakta hai. tabhi us chaatan ka kuchh hissa tut kar niche gira to us bande ne Niranjan se jaldi kuchh karne ko kaha. 

Dur-dur tak sannata tha aur koi madad ki umeed nahi thi. Iss baat ke 100% sambhavna thi ki Niranjan ke hotel jaake madad lane se pahle wo banda tutati chataano ke wajah se khai me gir jaata. Aaj Niranjan ko apna mobile naa lane ka dukh hua jo wo logo ke phone call se bachne ke liye chhor aaya tha. Nirajan ko dhyan aaya ki kisi aur wajah se usne 1-2 din pahle ek rassi ka bundle wheelchair ke box me rakha tha. 

Niranjan ne jaldi se wo raasi us per se baandhi aur rassi ka sira niche latka diya. Usne wheel chair ko railing ke dewaar me iss tarah se adjust kiya ki wo niche naa gire. Phir Niranjan ne rassi ka dusra sira biker ki or uchhal diya. Us bande ne rassi ko apne kamar me baandh chilla kar Nirajan ko bataya. Uske baad Niranjan ne kis tarah biker ko bahar nikala wo use khud bhi nahi pata chala. Us waqt use lag raha tha ki jaise uske papa maut ke munh me phase ho aur use madad ke liye pukar rahe ho.  Upar aate hi biker khoon ke adhik bahne se behosh ho gaya. 

Niranjan se gaur se behosh biker ko dekha to paya ki biker ek adher sa banda tha jo side se dekhne par uske papa sa dikhta tha. Sayad yehi karan tha jiske karan Niranjan ko uske papa ki madad mangne jaisa laga tha. Nirajan ne jaldi se apne fisrt-aid box ki dawaio ki madad se uske maathe ke zakham se khoon bahne se roka. Ab musibat iss bande ko doctor tak le jaane ki thi. Bari muskil se Nirajan ne use wheel chair ke hattho par litaya aur use hotel ki aur lekar chal para. Raaste me hi Niranjan ko uska vafadar driver mil gaya jo der hone se use dhoondhta hua aa raha tha. Phir dono ne us bande ko hospital tak pahunchaya. " Arpita ne paani ka ek ghoont pite hue apni baat puri ki.

"Bravo, Nirajan ki himmat aur uske zazbe ko salam!" Aparijita ki hontho se nikal para.

"Hospital me pata chala biker ki haddi tuti to nahi thi phir bhi biker ko 2-3 hafte hospital me hi rahna parega. Nirajan us bande se milne daily hospital jaata aur uske saath kaafi baaten karta tha. Prashant naam ka yeh banda kaafi hasmukh aur dharmik pravirti ka tha. Niranjan jab Prashant ke paas hota to uski baato me apna saara gam bhul jaata.  Paanchwe din jab Nirajan hospital pahuncha to waha ek geruya kapre pahne bilkul safed baalo aur daadhi wale sadhu ko baitha paya. Prashant ne unka parichay apne guru ke roop me karwaya. Unhone Niranjan ko bataya ki wo Prashant ko apne ashram me le jaane aaye hai jaha wo jari-bootiyo se 2 din me chalne phirne lagega. Niranjan ko unki baato par viswaas to nahi hua tha par Prashant ke israr par wo use discharge ki khana-purti karke apni car se unhe chhorne chal para. Us sadhu ne jungle me apna ashram bana rakha tha jaha car se utar kar Prashant driver ki madad se pahuncha. Ashram ka shaant vatavaran Niranjan ko bahut bhaya. Niranjan ke zor dene par use bhi waha kuchh din rukne ka permission mil gaya."

Aparijita ko lagne laga tha ki sayad yehi sadhu Niranjan ka guru hoga par usne pucchne ke vajaye kahani ko apne raftaar se hi badhne diya. Arpita  jo paani ka ek ghunt bharne ko ruki thi aage batane lagi.

"Niranjan ka driver agle hi din Niranjan ka saman waha pahuncha gaya. Waha Niranjan ko pata chala ki inn sadhu ka naam koi nahi jaanta par jari-butiyo aur mantra-tantra ke jariye asambhav ko sambhav kar dikhane ke kaarn log unhe Adhbhutanand kahne lage aur yehi inka naam par gaya. Aascharyajanak rup se Prashant mantr-tantr aur jari-butiyo ke lep se chauthe hi din chalne-phirne laga. Niranjan ne usi saam Prashant ko sakuchate hue apne baare me Swamiji se baat karne ko kaha to Prashant ne bataya ki Swamiji ne khud hi use aaj raat 12 baje hawankund par akele aane ko kaha hai. Us raat Swamiji ne Niranjan ko hawankund ke jal rahi samidha ki pavitra rosni me uske pichhle jeevan ki kai tasweere dikhalyi or uski purvjanam me hui dosh ke baare me batlaya jiske karan uski yeh halat hui thi. Unhone use 3 mahine asharm me sadharn vayakti ki tarah rahne ko kaha aur aasha di ki sayad wo yaha se apne pairo par chal kar jaayega. "

Arpita ne apne shorta ki aur dekha jo kisi eisi chhoti bacchi ki tarah uski baaten sun rahi thi jaise koi bacchi naani maa se kahani sunti ho.

"Niranjan ne apne driver ko wapas bhej diya aur kisi sadharan insaan ki tarah waha rahne laga. Wo ashram me ho rahi gatividhiyo me shardgapurvak bhag lene laga. Saath me uska illaz bhi chal raha tha. Niranjan ko pata bhi nahi chala ki kab wo mantra-tantra me ruchi lene laga. 3 mahine pure hone ke 2 din pahle Niranjan ke pure sarir me lep laga ke use kuchh khash prakar ke paato ke bichhaban par leta diya gaya, phir uske upar se bhi kai dusre tarah ke patte daal diye gaye. 3 din baad jab lep utara to Niranjan apne pair ko hila paa raha tha. Agle ek hafte me wo dheere-dheere chalne bhi laga tha. Niranjan ne Swami Adhbhutanand se use apna sisya bana lene ke liye anurodh kiya. Niranjan ko Adhbhutanand ne bataya ki wo use tabhi sisya banyege jab wo pratigya karega ki wo eisho-aaram ko chhor kar unke kaam ko aage badhayega. Niarnjan ke turant taiyar ho jaane ke baawjud unhone use 60 din ke baad phir se vichar karke aane ko kaha. Niranjan 60 din baad phir waha vapas lauta aur agle 3 saal tak Swami Adhbhutanand ke samadhi lene tak unse tantra-mantra aur jari-butiyo ka gyaan leta raha. Swami Adhbhutanand ne shaktipaad ke jariye use apni kai vidhya sneh ke rup me bhi di jiske liye Niranjan ko koi sadhna nahi karni pari. Swami Adhbhutanand ke samadhi ke baad wo Sonbhadra aa gaya aur apni saari property ko bech kar usne Ashram banya. Niranjan ne apne business mind ka use karke eisa bandobast kiya ki use kisi se daan lene ki jarrorat nahi rahi aur saath hi usne apne itne dino ke bafadar driver ko bari daulat di!"

Ab tak Arpita aur Aparijita ka khana khatam ho chuka tha aur wo jhute bartan samet rahe thee.

"Apu, kuchh mahine pahle Aagnivesh ne kisi minister ko uske kisi galat baat par zalil karke apne ashram se nikalwa diya tha. Us minister ne khundak me CBI me complain kiya tha jiske karan Niranjan ki CBI walo ne bhi kaafi jaanch-partaal ki, unhe kuchh bhi galat nahi mila. Hamari abbhi tak ki jaanch me bhi wo paak saaf dikh raha hai. Tumhari yaha ki reports kya kahti hai?" Kitchen ke sink me bartan rakhte hue Arpita ne Aparijita se puchha.

Haath dhoo kar dono drawing room me laute to Arpita ne sidhe bedroom me chalne ko kaha.

"Aru, Yaha ke mukhbiro ya staff ne abhi tak uske baare me koi negative report nahi di hai. Aur naa hi ki jaa rahi recording me kuchh sandehjanak mila hai. Sirf AK-47 waali baat se us par sandeh ka karan bana hua hai." Aparijita boli. 

"Apu, maine uske ashram me rahne waale saare logo ki file check karwayi hai. Shera ke aalaba kisi ka bhi past bura nahi hai. Tumhe main bata chuki hoon ki kis paristhithi me Shera Aagnivesh se jura tha. Ho sakta hai ki isme Shera ka khud ka haath ho."

"Sayad tum theek kahti ho. Kucch din unpar aur nazar rakhti hoon phir sidhe Shera se pucch-taach karungi.  Are, tu uske kamar me tatto ke roop me likhe mantra ke baare me bhi batane wali thi ! "

"Wo Aghor panth ka mantra hai jiske baare me kaha jaata hai ki wo sarir-raksha ka mantra hai. Sonbhadra me  aane  ke 6 mahine baad hi Niranjan yaha ka kaam apne chelo ko saup kar aghor panth ke sadhak Meronath  se aghor tantra sikhne chala gaya tha. Wahi uski mulakat ek videshi professional tatto artist gori larki  Julie  se hui thi jo khud iss tantra ke marg me bahut aage badhi hui thi.  Meronath Aagnivesh ke guru ka bahoot bara prashansak tha aur use pata tha ki Aagnivesh Adhbhutanand ka sabse kaabil sisya hai aur use Swami Adhbhutanand ka kaam aage badhane ke liye chuna gaya hai.  Swami Adhbhutanand ne samadhi lene se pahle Meronath ke paas khabar bhijwaayi thi ki aane waale waqt me unka sisya unke paas aghor tantra ke baare me gyan lene aayega.  Meronath ne sadhana ke baare me Niranjan ko dil khol kar bataya aur use Julie ke sahayata se sidhh karne ko kaha. Jab saari theoretical gyan Meronath ne Aagnivesh ko de diya tab   Meronath ke aadesh par Julie Aagnivesh ke saath Aagnivesh ke aashram me aai aur takriban 1 saal tak ruk kar Aagnivesh ko Aghor tantra parangat hone me sahayata dekar wapas apne desh laut gayi." 

"Accha bata wo nakxali waale aur Jagga waale mamle me baat kaha tak pahunchi?" Aparijita ne puchha.

"Jagga ke baare me report hai ki use apne chhupaye hathiyaar le jaane ke liye 3 hafte ke baad kabhi bhi aane ki izzazat hai.  Usko parso hi ek 4 din baad ka time diya gaya tha par lagatar 2 din hue encounters ki wajah se aaj saam hi use 3 hafte ke baad kabhi bhi mauka dekh kar yaha se saare hathiyaar nikalne ke liye kaha gaya hai. Abhi use kisi bhi halat me Premnagar ke aas-paas bhi jaana allowed nahi hai.  Isliye Apu tu to 3 hafte uske taraf se nischint rah!"  

"Accha, Nakxal aur aatankbaadi group ke baare me kya report hai. Aaj to teri chief se iss par baat bhi hui hogi. " Aparijita ne Arpita ke baalo ko sahlaate hue kaha.

"Abhi tak Sarfarosh ke members ne nakxali  aur aatankbadio ki  ek list bana li hai jo iss sazish me saamil ho sakte hain. 3-4 din ke andar hamare paas pakki jaankari hogi ki wo kaun kaun se group hain. Hamari musibat yeh hai ki hum nakxalio ke group jaan kar bhi vishesh kuchh nahi kar sakte. Isliye hamara main target aatankvadio ko bare haadsa karne se rokna hai. Nakxals ko Central Reserve Police Force (CRPF) and dusre forces apne tarike se handle karenge. Us maare gaye naxali se mili suchna dusre security agency ko bhi di gayi hai aur wo apne taur par usme lage hue hain; par wo humse bahoot pichhe hain. Hume 3 eise professional ke baare me bhi jaankari mili hai jo iss kaam ka planning kar sakte hain aur training de sakte hain." Arpita bata rahi thi.

"Un me se ek ko yaha ke jungle se kuchh ajeeb sa lagab hai jiske karan wo ek baar training aur planning  karne ke baad yaha ke jungle me aake aaram karta hai aur satellite phone se apne team se contact me rahta hai. Halaki iss bar ke program ke anusaar jo bhi planner hoga wo ek baar final training dene aur plan samjhane ke baad apne team se contact nahi rakhega aur aage har team apne leader ke anusaar chalegi. Waise yeh bhi 3-4 din ke andar pata chal jaayega ki kaun sa professional hire hua hai. Hum puri kosis karenge ki kisi tarah hume training ki jagah pata chal jaaye to hum hamla karke unhe pakar len par yeh sambhavana nahi dikh rahi hai.  Tumhare reports ke recommandation ke base par 10 aur members ko kal se hi iss kaam par laga diya jaayega. Aasa hai ki 3-4 din me humare paas aur bhi thos jaankari hogi. "

------------  *      -------------

No comments:

Post a Comment