Sunday 18 August 2019

Sathe Shathyam Samacharet (शठे शाठ्यं समाचरेत् )

Aparijita ne dono ko thane me naye bane  Interrogation room me band karwa khud Gauri ko apne quarter chhor aayi.

Idhar dono abhi tak apni hi haanke jaa rahe the. Dono ki talashi lekar sab saaman zapt kar unke phone ko switch off kar diya gaya tha.

“Haan to dosto!! In dono kauravo ke saath kya salook kiya jaaye!” Aparijita ne apne saathio se puccha.

“Madam, Ek baar dono ko mere hawale kar dijye. Dono haramzado ko maar kar main phansi chadhne ko taiyar hoon. Aaj ye thane ke compund me ghush kar hamari bahan ke saath eisi harkat kar rahe hain to kal yeh aam public ko kya samjhenge.” Rohit gusse se ublata hua kah utha.

“Madam didi, Humne kabhi fake encounter nahi kiya hai. Par aaj inhe maar kar wo jurm bhi karege; bhale anjaam kuchh bhi ho!” Ghanshyam ne aage jora.

Aparijita ne baaki bache Gopu aur Japu ki aur dekha kyuki Dinesh ne apna irrada pahle hi bata diya tha.

"Madam didi; Inhe chhorne ka to sawal hi nahi uthata hai. Aaj to inko khatam karke hi maanege" Japu ne gusse se kaha.  

"Haan, madamji ab chaahe jo saza ho hum to isse nahi chhorenge. Koi thane me aake hamari bahan utahye aur yaha se jinda bach ke chala jaaye; yeh to nahi ho sakta hai!" Gopu bhi apne saathiyo ke rai me saamil hota hua bola. 

"Ok! Jab pancho ne phaisala de hi diya hai to main kaun hoti hoon jo phaisala badalu! Waise bhi jab us(mahabharat wala) Dhritarashtra ke kaurav nahi bache to is Dhritarashtra ke bhi kaha se bachege. In kauravo ka bhi wahi harsh hoga." 

Aparjita 2 seconds ke liye chuup ho apne saathio ki or dekhte huye shaant kintu dridh swar me boli- "Par mere tarike se. Main nahi chahti hoo ki panch-pandav me se koi kam ho jaaye. "

Abhi tak panch-pandav policewale udherbun me the ki pata nahi Aparijita kaya karegi. Par jab unhone baat khatam karte huye Aprijita ko muskurate dekha to unke chehre par chamak aa gayi.

"Japu aur Dinesh pahle yeh dekho ki inhone apni gaari park kaha ki hai aur kanhi inke saath koi aur to nahi hai."  Aparijita ne gaari ki chabhi Japu aur Dinesh ko dete hue kaha.

Japu aur Dinesh laut kar car ki location aor koi teesra naa hone ki baat bata hi rahe the ki Rohit Aparijita ke nirdeshanusra wardi pahan kar lauta.

Aparijita, Japu aur Dinesh ke saath car ko check karne chal pari.

Aparijita ko car ki talasi me sarab ki kuchh bottle, ek video camera, 2 chaadre aur kuchh porn magzine mile. 

"Gopu tumhe wo pahari to yaad hai jis par chabutra numa jagah hai. Japu aur tum cycle se abhi waha inke mobiles leke chale jaao. Jab us jagah se aadhe km ki duri rah jaaye to mobiles on kar dena. Rohit thane me hi rahega .  Dinesh aur Ghanshyam un dono se darne ka dhong karenge aur phir unhe unki hi car me kuchh der baad aayenge. Main picche se apni moutain bicycle leke aayungi. Saare log apni mobile yahi chhor jaayenge . Waha kaise kya karna hai sab suno!"

Aparijita ke plan batate hi sab ke sab plan ke mutabik apne-apne duty par lag gaye. 

------------------------------------------------------
Thane me Dinesh aur Ghanshyam ne milkar undono ko khub ullu banaya. 

Dinesh ne undono ko yaqin dila diya ki usne sab setting kar li hai. Uski bas itni darkhawast hai ki wo Kalicharan se kah kar uska transfer sahar ke kisi kamaai wale thane me kara de. Dinesh ne car se mili bottle se dono ko khub pilaya. 

Ghanshyam ke baare me Dinesh ne dono ko bataya ki wo bhi set hai; par thora unse dara huya hai kyuki usne unhe jam kar pita tha. 

Dono Ghanshyam ko sarab ke nase me puchkaarte huye promotion dilane ke baat karne lage. 

"Are, darta kyu hai! Hum jo baithe hai idhar tumhaare baap! Tu ghabra mat; hum tumhe inspector banwa denge. Par yaar, tune wo larki bhaga di; uspar hamari kai dino se nazar thi."

"Sirji, Aaplogo ki kirpa rahi to main inspector jarror ban jayunga. Ab sahabji apne afsar ka itna hukum to manana to parta hai na. Ab aap log bhi to hamari afsar ke baare me ulta-sidha bol rahe the.  Wo to gusse me aap dono ka encounter karna chahti thi par maine unhe samjha-bujha ke rok liya." Ghanshyam ne apne gusse ko chhupate huye chaplusi bhare sawar me kaha.

"Yaar! Teri inspector to jabardast item hai. Ek bar mil jaaye to life ban jaye. Chal murgi kab tak bachegi; baapu se kah kar uska transfer bapu ke paas hi kara lunga aur phir kisi din mauka dekh kar .." ye kahte hue kalicharan ke beta ungliyo se bhadde ishara karte hue thahaka lagane laga.

Ghanshyam se yeh bardast nahi hua; agar Dinesh ne kandha daba kar Ghanshyam ko rok nahi liya hota to ab tak Kalicharan ke bete ke daat farsh par dikhayi de raha hota.

"Ab raat kaise gujaregi! Tune larki bhi bhaga di aur wo Inspectorni to milne se rahi." Businessman ke launde ne nase me haank lagai. 

"Hii hii ! Aap kaisi baat karte hai, sirji! Humne aapke liye uska bhi intazam kiya hai ; aakhir aaplog khush honge tabhi to hume bhi inaam milega." Dinesh ne apni baayi aankh dabate huye unhe bargalane laga - "Abhi gaun me ek mast itam aayi hai. Saali, sahar me 3-star hotels me dhanda karti hai; aur yaha sarif banke ghumti hai. Sahab ne use ek case ke dauran sahar me range  haantho pakra tha. Us waqt uske client ne paise dekar aur usne sahab ke saath raat guzaar kar apni jaan chhurayi thi. Wo abhi gaaun aai hui hai. Sahab ne use aap dono ke liye bulwaya hai. Par uske liye aapko gaun ke bahar chalna parega. Wajah to aap samajh hi gaye honge." Dinesh ne apni baayi aankh dabate huye dono se kaha.

---------------------------------------------------  

Thori der baad Dinesh aur Ghanshyam dono ko usi ke car me leke chabutarenuma jagah par pahunche.

Us jagah par ghaas par chaadre biccha kar dono ko Dinesh aur Ghanshyam ne baitha - pilane ke baad unhe uksa kar unse  Kalicharan aur uske saathi dost businessman ke kacche-chhito ko khulwaya. Dono ko pata hi nahi chala ki car ki headlight on kar waha video camera me unki baate aur harkate iss tarah se record ki jaa rahi thi ki wo self mode unke dwara hi record kiya lagne waala tha.   

Dono ne eise-eise raaj khole jinhe ek bug ke maadhyam se sun rahi Aparijita dang rah gai. Agar yeh raaj public me aa jaaye to sarkar girne ki naubat aane ke saath-saath kitne hi purush aur mahila afasar, businessman, patrkaaro aur netao ka naa sirf ghar tutne waale the balki kaio ko to jaan bhi gawani par sakti thi.

Agle act me Gopu waha pahunch unhe aur sarab pine ko mazboor kar unhe khare paaun taiyar kiya hua saza suna us par amal karne ko dono ko mazboor karta hai.

----------------------------------------------

Kaam ki baaten record hote hi recording band kar Dinesh dono ko unki hi car me baitha tab tak sarab pilata hai jab tak ki wo tunn hokar behosh naa ho gaye.

Dinesh car se nikalte hi Aparijita ko koyal ki awaaz me issara kar aane ka signal deta hai.

 Aparijita aake car me lage Dinesh ke haanto ke nissan ko saaf kar jagah-jagah dono larko haanto ke nisaan chhore.  Dinesh aur Ghanshyam ne aate waqt bahut saavdhani barat apne haatho ke nisaan car me rahne nahi diye the par Dinesh ant samay laparwahi barat gaya tha. 

Aparijita ne haatho me gloves pahan car ke saath kuchh chher-chaar ki. 

"Gopu aur main yaha wait karenge. Max 1-1.5 ghante me car me itni jahrili gas ban jayegi ko dono ki maut ho jaye. Inke maut confirm hote hi hum dono bhi laut aayenge." Aparijita ne teeno ko bhejte hue kaha.

Japu, Dinesh aur Ghanshyam ek cycle par hi laut gaye. 

Aparijita aur Gopu wahi wait karte rahe aur ek baar un dono larko ki maut confirm hote hi thana laut aaye. 

Thane me Aparijita ne ek chhoti si meeting kar sabko hidayat di ki sab iss ghatna ko eise bhool jaye ki jaise wo kabhi huya hi nahi tha. Ab aage jo bhi hoga wo sirf aur sirf wo sambhalegi. 

Aparijita ne police jeep nikali. Aparijita ne jeep kai baar iss tarah chalaya ki car ke pahiyo se thane ke aas-paas bane nissan bilkul mit gaye. 

Jeep khari karte hi Aparijita torch lekar un jagho ko check karne lgi jaha jharap hui thi. Gopu nisabd yodha ki tarah uske saath tha. 

Halki-halki bunde parni suru ho gayi thi. Aparijita ki mehnat bekar nahi gayi.

Aparijita  ko waha se businessman ke bete ka ek I-card mila. Tab tak  joro ki baaris suru ho gayi thi. Phir bhi dono dhunte rahe par aur kuch nahi mila. 

Ab tab tak Aparijita aur Gopu buri tarah bhing gaye the. Aparijita ne wo I-card jala use flush kar daala.

Halaki Aparijita ki jeep wali mehnat bekar hi gayi kyuki tej baaris dusre din subah tak hoti rahi. Baarish ke kaaran thane ke picchle ki sarak pura paani me dub gaya tha.

--------------------------------------------------------------------
 Dusre din subah ..

Gauri ki aankh khuli to wo apne aap ko Aparijita ke quarter me paake bahoot hairan huyi.

"Tumhe kuchh yaad bhi hai ki kal raat ko tumne kya gul khilaya tha." Aparijita ne Gauri ko chai dete hue kaha.

"Raat me mujhe laga ki kisi ne darwaja khatkhatya hai. Maine dekhne ke  liye darwaja khola hi tha ki mere sar se kuchh takraya; uske baad mujhe kuchh yaad nahi hai. Dekhiye sar kitna suj gaya hai." Gauri ne apna sar pakarte hue kaha.

"Tumne to kal bechare Rohit ko dara hi diya tha. Kal tumhare darwaje ko kisi ne nahi khatkhaya tha balki tej hawa me ek per ki tooti daali  tumhare darwaje par jaa lagi thi. Tumhari badkismati se jab tumne darwaja khola tabhi tumhare chhat par rakha lohe ka rod ludhkta hua tumhare sar par jaa gira aur tum wahi behosh ho  gayi thi." Aparijita Gauri ko pahle se discuss hua kahani suna rahi thi.- "Bhala ho Rohit ka ki wo bore hokar bahar nikala to tumhara darwaja khula dekh kar check karne chala gaya. Waha par tumhe behosh dekh usne turant mujhe phone karke bataya."

Gauri aascharya se Aparijita ka munh dekh rahi thi. Use samajh nahi aa raha tha ki itna kuchh ho gaya aur use kuchh bhi yaad nahi hai.

"Maine jab tumhare behosh sarir ke paas per ki daali aur rod ko para dekha to mere samjah me sab aa gaya. Maine Rohit se tumhara darwaja lock karwa tumhe apne quarter le aayi. Gopu ne aaj subah tumhare darwaje ke paas pari daaliyo ko hata,  chhat par pare kabaar ko bhi theek se bandh diya hai. Hum me se koi bhi Harilalji ko ye baat nahi batne wala hai; isliye tum bhi iss baat ko bhul jaayo.  Vaada karo ki ab raat me bina puchhe kisi ko darwaja nahi khologi."

"Madam! Maine puchha tha par koi jawab nahi aaya to maine socha ki sayad Rohit bhaiya honge. Ab aap saari baat bata rahi hain to samajh me aa raha hai ki jab darwaje par koi insaan hi nahi tha to kaun jawab deta." Gauri ne sochte hue kaha . Gauri ko Aparijita dwara sunayi kahani par viswas ho gaya tha.

Gauri thori der Aparijita se baat karne ke baad apne quarter ki aur chal pari. 

Dopahar tak thane me lawaris car me 2 logo ki hone ki khabar aa gayi. 

Rasmi kagaji khanapurti ke baad laase postmortam ke liye bhej diya gaya. Aparijita ne poisonous gas  ki assanka apne report me jata di thi. 

Logo ne police ke aane tak car ke nadra aur bahar sakairo haatho ke nissan chhor daale the. 

----------------------------------------------------------------------------------

Teesre din Aparijita ke paas ek bare afsar ka phone aaya. Yeh wohi afsar tha jise Aparijita ki help karne ka nirdresh mila hua tha.

"Aparijita, mantri Kalicharan bahut bigra hua hai. Wo raat ki duty wale saare staff ko suspend karne ki maang kar raha hai. Abhi wo meeting me hume dhamki deke gaya hai ki agar humne uski baat nahi maani to wo sarak par pardarsan karwayega."    

"Sir! Ab to postmortem report me bhi aa chuka hai ki un dono ki maut  poisonous gas se hui hai. Iske baawjud hungama karne ka koi matalab to nahi banta hai." Aparijita ne aascharya bhare swar me kah, pal bhar ko chup ho phir kathor swar me aage kahne lagi -"Mere paas mantri ko saant karne ke liye ek jaadu ka pitara hai. Aap use bol dijeye ki Premnagar police ke paas kuchh hai jo wo use hi dikhana chahte hai. Agar kal saam tak mantriji unse jaake naa mile to wo cheej media aur opposition party ko de di jayegi. Aap dekhiyega ki jab wo yaha se jayega tab uski bolti kuchh dino ke liye band hi ho jayegi."  

"Mujhe pata chala hai ki un pillo ki maut par kai jagah mithayi bhi baati gayi hai. Main yeh nahi puchhunga ki tumhare paas kya hai." Afasr ki hasne ki awaaz aayi - "Maza aa jayega jab iss bhaukte kutte ki boli band rahegi. Theek hai; main use kah dunga ki chupchaap jaake tumse sauda kar le nahi to uska bhavisya khatam ho jayega." us afasr me hanste hue kaha aur phone rakh diya.

 Thori der baad wo afsar mantri ka hittaishi ban kar mantri ko sauda kar lene ki salah de raha tha.

"Mantriji! Premnagar ke thane me aapke suspension wali maang ki khabar pahunch gayi hai. Unlogo ko kuchh eisa mila hai jo aapka bhavisya kharab kar sakta hai. Wo cheej kya hai mujhe nahi pata par kuchh bahut hi khatarnaak cheej unke haath lagi hai. Wo log to pahle use aapko hi aaj saam tak khud aake saupne wale the par ab wo bharak kar media aur opposition ko deni ki baat kar rahe hain. Aapne agar media me apne bete wala mamla uchhala to phir unhe rokna muskil ho jayega. Aap waha ke incharge Aparijita Singh se kal subah jake mile aur kisi bhi keemat par wo saboot us se haasil karen. Aapke dwara suspension ki maang ke baad waha ke police wale to aapse naaraz hain; isliye shaanti se baat sambhaal le nahi to mamla bahut bigar jayega. Iss baat ka sukra manaye ki unhone itna hone par bhi mera lihaz rakh, mere kahne par kal saam tak ka time diya."

Wo afsar kuchh der tak mantri ko patti padhane ke baad phone rakh thahaka laga kar hasne laga. Use pata tha ki unpar dahaarne wala matri jab Premnagar se lautega to bheegi billi bana hua hoga.
------------------------------------------------------

Note:- Although most of Carbon Monoxide poisoning death happened in closed area. Some incidents also occured in open space.
  Ref of Carbon Monoxide poisoning death

No comments:

Post a Comment