Sunday 13 January 2019

Naya Mission part 2

"Uncle mission har halat me pura hoga . Sarfarosh ke mission me na aaraam ki fikar ki jati hai aur naa hi limited resources ka rona roya jaa sakta hai balki har halat me mission complete karna hi hota hai; ye aapne hi to sikhaya hai. "

Aparijita ke awaz me uska chatano sa drih viswas saafh nazar aa raha tha.

"Tumhe saam 5 baje ek charted plane se Mayurpur Airport chhor diya jayega . Waha se tumhe Arpita Verma pick kar legi. Tumhe wo saara detail de degi. Tum waha se parso apne police station ki aur nikalogi."

"Uncle airport theek waqt par oahuch jaayungi."

"Take care of yourself. Mission complete karne ke baad hum ek saath Taj me dinner karenge. Kafi dino se tumhare saath dinner nahi kiya hai."

Ajay Rai ne ek sneh bhari muskaan ke saath Aparijita ko vida kiya.

Aparjita soch rahi thi ki John ko kya bahana bataya jaye ki tabhi mobile pe John ka call aa gaya. John pese se ek wildlife photographer tha. 

John ne bataya ki wo kuch aur photographers ke saath Kerla jaa raha hai . Aparijita ne chain ki saans li par usne John ko uske saath waqt na bitane ke liye ulhana diya.

Aparijita ko chhorne Partap kaka airport tak aaye the. Partap kaka ne brahmacharya ka vrat le rakha tha aur uske pita ke yuvawastha ke samay se uske yaha kaam karte the. Pratap Kaka Aparijita ko apne sage baache ki tarah payar karte the. Aparijita unke saath hi aage ki seat par hi baithi thi. Aparijita ne socha kyun na thora FM sun liya jaye . Yehi soch kar usne FM on kiya to gaane ke lyrics sun kar laga ki ye jaise uske liye hi baj raha ho. Fm radio se ek puarna geet baj raha tha.

Apni marzi se kahan apne safar ke hum hain
Rukh havaaon ka jidhar ka hai udhar ke hum hain
....
....

 Aparjita theek 4.20 par airport pahunchi. Thore der me hi plane use uske manzil ki or le uda.

 ---------------------    *           -----------------   *       --------------------  *           -----------------  *  ---

Mayurpur Airport par Arpita apni favourite dress Jeans-Top me Aparijita se bari gramjosi ke saath mili.

Arpita ek XUV 500 lekar aayi thi. Aparijita ne gadi me baithate hi mission ke baare me puchh-tachh suru kar di.

Arpita aur Aparjita me kaafi achhi patati thi. Arpita Aparijita se 2 inch height me chhoti thi yani 5 feet 5 inches . Arpita ka bhi cover Aparjita ki tarah hi journist ka tha. Par Arpita Sarfarosh join karne se pahle se hi journist ke taur par articles likh rahi thi isliye puri tarah se oat nahi kaha jaa sakta tha. Arpita ko ab Vantematram me likhne ke liye raw materials Sarfarosh team laake deti thi jisme Arpita apni jadaui lekhni se rang bhar kar paper par utaar deti thi.

Hotel ke kamre me pahunch kar Aprajita ne kucch aur kahna hi chaha tha ki Arpita uski dil ki baat samajh pahle hi bol pari.

"Dekh yaar; jaa kar pahle fresh ho le. Uske baad Coffee peete hue baten karenge." Arpita ne use bathroom ki aur dhakelte hue kaha.

Arpita apne naam ke meaning ke anusaar hi dedicated person thi. Usne yaha local agents ke saath mil kar kaafi accha kam kiya tha aur uske pass Aparijita ke misson ke liye kaafi jaankari mauzud thi.

Coffee sip karte hue baat chit aage badhi.

"Premnagar ek prachin gaaun hai jo pahle kisi aur naam se jaana jaata tha. Do premiyo ke pyaar bhare balidan ke baad gaaun walo ne gaaun ka naam Premnagar rakh diya. Halaki upari taur par yaha sab kuchh thik nazar aa raha hai; par dhire dhire iski fizayo me zahar gholne ki kosiski ja rahi hai. Yaha kuchh mahino se silsebar dhang se logo ko desh ke baare me bharkane ki kosis ki ja rahi hai. Premnagar thane me 5 gaon aate hai; jisme Premnagar sabse bara hai. Premnagar ke paas hi jungle ka area suru hota hai. Ye jungle parkirtik hai par yaha ke gaaun se sate jungle ke hisso me bade mansahari jaanwar aascharyajanak taur par nahi hai. Nadi ke paar waale hisse me mansahari jaanwar hain. Tum jara ye files dekho; main tab tak jara kuchh junior agents se update le leti ho." kah kar Arpita kisi se milne hotel ke lobby me chali gayi.

Aparijita files padhne me dub gayi. Usne saath me laptop khol liya tha. Uski unglia teji se files se notes bana rahi thi.

Arpita ne file me Local MLA ke baare me shaq jahir kiya tha. Iske aalawa kuchh aur sandighat logo ke naam the. Thane ke saare staff ko clean chit diya gaya tha. Report me yeh bhi mention tha ki max. police staff aas paas ke illake se hi the aur kisi na kisi prakar se 1857 ke azzadi ki jung me saamil logo ke vansh se yaa Ram Prasad Bismil ke group ke logo ke vans se jure huye the. Report ke anusaar yeh policewaale bhale hi bahut hi kaabil policewaale nahi the par wo marte dum tak desh se gaddari nahi karne waale the.

Pichale S.H.O. ke bure nature ke karan Police ki image Premnagar me thori kharab hui thi. Uski sah par waha daru ke theke khul gaye the aur wo khud truck waalo se avaidh basuli bagera kiya karta tha. Uska kuchh atankabadi giroh se samabadh bhi badh rahe the. Halaki wo unhe normal criminal hi samjh kar unse deal kar raha tha. Use anan-phanan me hata kar  uski jagah Aparijita ko bheja ja raha tha.

File me mauzud ek report ne iss baat ka sambhavna jatai gayi thi ki avaidh shikario dwara shikar karwa ke aadiwashiyo aur dusare gaun walo ko aapas me ladwaya jaa sakta hai aur dheere-dhere isse ek khuni shanghrash me badlne ka pryash kiya jaa sakta hai jo agar ek baar suru ho gayi to sayad kai dasako tak chalti rahegi.

Jungle ke ek hisse me botanists kuchh prayog kar rahe the jo kuchh had tak safal bhi raha tha. Agar chal raha  prayog agar apne lakshya ka 70% bhi  safalta prapt kar le to kuchh jatil rogo ka sasta illaj hone ke saath-saath inse banne waale davao ke patent aur export se deh ko kafi aamdani hone ki aasha thi. Iss research center par abhi koi khatre ki aasanka nahi jatai gayi thi. 

Ek report me khaash taur par encounter me marte hue ek apraadhi ke antim statement highlight karke liya gaya tha. Statement ke anusaar kuchh bahut hi khatarnaak giroh us jungle ka istemaal bari vaardaat ke baad lambe samay tak chhupne ke liye bhi karne lage hain.

Issi tarah ke kai aur reports bhi thee; jisse ye pata chalta tha ki agar inse samay rahte nahi nipta gaya to ye illaka kuch saalo me ek bahut hi ashaant khestra me tabdil ho jaayega.

Aparijita file padhne ke baad baaki details Arpita se sunne tak aaram karne ke liye par let gayi. Thori der me hi paseene se lathpadh aur salwat pare kapro ke saath Arpita lauti. Aparijita ne prasan bhari nazaro se Arpita ko dekha.

"Kamre me lautate waqt ek sandigdh aadmi lobby me dikh gaya tha. Uski talas ek case ke silsile me Sarfarosh ko bhi tha. Usi se uljhane me yeh haal ho gaya." Arpita ne bed par baith te hue kaha.

Aparijita ne paani ka glass Arpita ki or badhaya. Arpita ne paani pi kar aage batana suru kiya.

"Main use apne moh-paas me baandh kar use Sarfarosh ke liye book ek kamre me laate hi  local agents ko use le jaane ke liye message bhi kar diya tha. Par naa jaane kaise use mujh par shaq ho gaya aur wo achanak baat karte huye mera gala dabane laga. Wo apraadhi martial art ka accha jaankar tha isliye bari muskil se kabu me aaya."

Arpita Aparjita ko us apraadhi ke baare me abhi aur bata hi rahi thi ki Aparijita ka mobile vibrate karne laga. Number dekh Aparijita ne Arpita bataya ki chief ka phone hai.  

"Bete!  Kal saam tak  tumhe saare papers taiyar milenge. Parso tum kagaji karyawahi pura kar Premnagar thana join kar lena."

"Theek hai, sir!"

"Arpita ne aaj jabardast kaam kiya hai. Jara use phone dena." 

"Good evening sir! " Arpita ne Ajay Rai ka avivadan kiya.

"Sabas bete! Tumne jabardast kam kiya hai. Pakra gaya apraadhi kuchh mahino me illegal arms ka sabse bara bichuyila ban gaya tha aur usne aatankwadiyo ke liye bhi kaam karna suru kar diya tha. Usne police se bachne ke liye bare-bare rajnetayo se uske sambadh bana rakha hai. Usne bataya hai ki wo tumhe crime reporter ke taur par jaanta hai.  Use tumhare actual profession ke baare me abhi bhi kuchh nahi pata. Sanyog se ek purane magzine me tumhare photo sahit article usne kal hi dekha tha aur jab tum use kamre me le aayi to use laga ki tumhe uske baare me pata chal gaya hai isliye usne tumhe ekant me maar daalna chaha. Wo purana magzine uske saamano me mila hai. Us se sari jaankari lene ke baad use is gande dhandhe se mukti de di jayegi.  Magar aainda se tum Vandematram ke aalaba kisi aur newpaper ya magzine ke liye nahi likhogi aur agar likhna hi pare to kisi bhi haalat me tumhara photo publish naa ho."  Ajay rai Arpita ko saabshi dete huye apraadhi ke bata kar aadesh diya. 

"Theek hai sir! Main aage se kisi ko apne photo sahit article chhapne ki ijjajat nahi dungi." Arpita ne khed bhare swar me kaha.

"1-2 dino me Sonbhadra me tumhe ek bungla mil jayega. Wo Sarfarosh ka local meeting place aur tumhara residence hoga. Ek retire jawan jiska naam Saitan singh hai; tumhara mali aur chowkidaar ka kaam karega jo tumhe tumhare journalist wale parichay ko hi jaanta hai. Usko tum abhi parkho. Baad me hum uske baare me aur baat karenge." Itna kah kar Ajay Rai ne phone kaat diya.

 ---------------------    *           -----------------   *       --------------------  *           -----------------  *  ---

Aparijita aur Arpita ab aur bhi sanjida the.  Hotel me aatankbaadio ke arms supplier ka mauzud hona sirf ittefaq ho bhi sakta tha or nahi bhi. 

"Chalo mai tumhe thora Premnagar aur thane ke logo ke baare me kuch aur baaten batati ho jo file me nahi hai." Arpita ne achanak chuppi torte huye kaha.

"Premnagar ka mukhiya Javed khan hain. Inke pariwar se kayi logo ne  Netaji Subhash Chandra Bose ke netritav me "Aazad Hind Fauz"  ke jhande tale aazadi ke jung ne hissa liya tha jisme se kaio ne apne prano ki bali bhi di thi. Isliye deshbhakti inke nasho me laho ban kar daurti hai. Premnagar aur iske panchayat ke andar aane wale gaaun ya uske bahar ke nazdiki gaaun me eisa koi nahi hai jo inki baat utha de. Kuch rajnetik logo ne gaaun walo ko Javed ke khilaaf bharkane ki kosis ki thi par unki daal nahi gali aur saazish karne walo ko gadhe ki saahi sawari par juto ki mala pahna kar gaaun walo ne vida kiya tha."  

"Ye to accha hai ki mujhe inse mil kar kaam karna padega. Agar inka confidence main jitne me kamyab ho jaati hoon to phir kharab hui police ki reputation ko bahal karne me jayada waqt nahi lagega. Mujhe eisa kucch kaam karna padega jisse Javed shahab khud hi meri prsansa logo me karen." Aparijita ne sochte hue kaha.

"Ramdayal yadav naam ke ek bade business man bhi hai jo kai saalo se gaaun walo se naraz chal rahe hain.  Yadavji ne chemistry me gold medal hassil kiya hua hai. Wo khaate-pite parivaar se to the hi  aur apne research ke kaamo aur chemical ka business suru karne ke kaaran zald hi har mahine karoro kamane lage. Enhone gaaun ke bhalai ke liye kaafi kuchh kaam bhi kiya tha. Jab Javed shahab ko badnaam karne ki saazish rachi gayi thi tabhi saath me inko bhi lapeta gaya tha. Javed Shahab chuki yehi rahte hai; islye logo ne unke upar ke aaropo ko puri tarah khaariz kar diya . Par Yadavji chunki jyadatar time Delhi me rahte the isliye gaon walo ke dil me ek sandeh ban gaya ki unhone itna paisa imandari se nahi kamaya hoga aur inn baato ne Yadavji ka man khatta kar diya. Tumhe kosis karni hogi ki kisi tarah se yeh aviswas khtam ho jaye aur Ramdayal tumhara saath de." Arpita ne Aparijita ko sujhaab dete hue kaha. 

"Ramdayal ka dard mai samjh sakti hoon. Ye to sabhawik hai ki agar bhalai karne ke baad bhi log na sirf uske kaam par ungli uthaye balki use beeiwan bhi bataye to dil ko chot to pahunchta hi hai. Tumhe local MLA par saq kyun hai" Aparijita ne pucha.

"Jis bande ko gaun walo ne saazish rachte pakra tha; usko logo ne kai baar MLA ke ghar aate jaate dekha tha. MLA ne to use janane se bhi inkar kar diya tha aur bola ki uske virodhio ne us aadmi ko uske yaha plant kiya tha taaki use badnaam kiya ja sake. Chuki kisi ne unhe saath nahi dekha tha balki us aadmi ko sirf MLA ke ghar par aata-jaata dekha gaya tha; isliye iss par jayda ho halla nahi macha aur MLA sandeh ka laabh paa gaya."  Arpita ne bataya. 

"Premnagar thane me kitne gaaun aate hai." Aparijita ne puchha.

"Premnagar thane me Premnagar ke aalaba Dadauli, Abhaipur, Chaila  aur Phulpur naam ke gaaun aate hain.  In me Premnagar sabse bada hai.  Dadauli ki awadi baaki gaaun se kafi kam hai. Yaha ke nivasi hi aadivaashi ke taur par report me likhe gaye hain. Wo abhi bhi apne kuchh khaash prachin riti-ribaaz maante hain. Yaha ke log kafi shantipriya hai aur aajtak kabhi bhi koi report us gaun se thane me nahi likhayi gayi hai. Premnagar ke aas paas ka bara hissa jungle hai jo tumahre jaise nature lover ko bahut pasand aayega."   

"Baki 3 gaaun ke baare me batao."

"Abhaipur Dadauli se  bara hai.  Aam taur par yaha ke log bhi shantipriya hai. Yaha ke takirban har ghar me silayi ya us se jura koi kaam hota hai . Yaha takriban 35 saal ka Abbas naam ka ek fashion designer rahta hai.  Wo pahle Mumbai ke fashion industry mai ek kafi bade designer ke saath kai saal kaam kar chuka hai.  Aaj se 5 saal pahle Abbas ne ek reality show me kafi bari rakam jiti thi. Uske baad wo wapas apne gaun aa gaya. Yaha par usne ek redimade garments ka chhota factory suru kiya aur apne usi designer ke liye yaha se kaam karke dene laga."

Arpita ne Abbas ka photo Aparijita ki or badhate hue baat aage badhayi.

"Dhere-dhere Abbas ne apna kaam achha khasa badha liya aur aaj uske factory me 100 bande kaam karte hain. Iske aalaba gaun ke har ghar ki aurate kuchh naa kuchh uske liye part time kaam karti hain. Usne local market me bhi achha-khasha paith jama li hai.  Pure  Abhaipur me  Abbas ka kafi naam aur izzat hai.  Uske employees uske liye jaan dene ko taiyar rahte hai. Halaki aadmi thora rangeen mizaz hai, par gaun me wo koi iss tarah ka kaam nahi karta hai jo gaaunwaalo ko bura lage."
"To tumhe kaha se uski rangeen mizazi ke baare me pata chala?" Aparijita ne pucha.

"Abbas ki imagination aur karigari lajawab hai.  Wo sadharan se sadharan ladki ko kapdo me apsara bana kar pes kar sakta hai. Usne master tailor ke roop me bhi kai saal kaam kiya tha. Wo abhi bhi kisi khaash hasina ke liye naap jokh se lekar silai ka kaam tak kar deta hai. Par yeh kabhi sunne me nahi aaya hai ki usne kisi ko bhi blackmail kiya ho yaa saudebaazi ki hai." Arpita ne muskara kar kaha aur aage batane lagi.

"Tumhe Abbas ke bare me batane ka khaas reason hai ki ye banda sahar ke safedposh logo ke parties ke liye bhi dress design karta hai.  Halaki Abbas un safedposho ke kaale dhando me saamil nahi nahi hai par un tak pahuchne me instrumental ho sakta hai.  Ab baaki bache Chaila aur Phulpur  gaaun.  Ye dono me kuch local gunde  hai.  Usme Lallan jo Chaila ka hai; aajkal kafi udh raha hai.  Un sabka details to tumhe thane se mil hi jayega."

No comments:

Post a Comment