Thursday 7 March 2019

Gaun aur jungle

Aparijita drawing-room me apne saamne apne thane ke illake ke ek rough sketch ko gaur se dekh rahi thi. Usne aaj ke round ke dauran Gopu dwara di gayi jankari se bahut had tak santust thi. 

Arpita Gopu ko Sarfarosh se jorna chahti thi par uske liye jaroori tha ki Gopu apne routine job se aage badh ke soche. Usne jis tarah se pahari ke chabutare ke hisse ka reporting ke daurn vivaran diya tha us se uski strong graphical memory ka pata chalta tha. Par sirf yehi khasiyat Gopu ko Sarforash ke layak nahi banati thi. Gopu ki observing aur analysis  power bhi thik-thak thi; par use abhi aur fine-tune karne ki jaroorat thi. 

Illake ka naksa (rough sketch) Aparijita ne hi taiyar kiya tha. Usne thane ko center me rakh kar naksa taiyar kiya tha. Premnagar me postoffice, gramin bank aur ek chhota sa hospital bhi tha.  Premnagar ke pashchim(west) me Abhaipur tha.  Abhaipur ke baad fir kuchh hissa jungle ka tha aur uske baad  Phulpur suru ho jata tha.   Premnagar Sonbhadra se  Phulpur ke dwara jura hua tha. Yehi sarak Premnagar ki pramukh sarak bhi thi. Subah se raat 9 baje tak Premnagar se  Sonbhadra bus aati jati thi. 

 Premnagar ke poorv (east) me ghar aur kheto ke baad jungle suru ho jaata tha.   Pramukh sarak se ek pakki sarak nikali thi jo thane ke paas se hote hue poorv (east) ko gayi thi. Aaj isi sarak par Aparijita aur Gopu ne daura kiya tha. Yeh sarak aage Chaila me khatam hoti thi. Isi sarak ke dakshin (south) disha me ek kachha rasta Premnagar ke kheto se hota hua Dadauli chala gaya tha. Yeh wohi jagah thi jaha Aparijita ne ruk kar sarak ka muyana kiya tha.

Chaila ke peeche pahariyo ka silsila suru ho jaata tha isliye uske baad koi basti nahi thi. Chaila ke uttar (north) aur dakshin me jungle ka illaka tha. Pahari se kai jharne nikalte the. In jharno ka paani 2 jagah jama hokar 2 alag-alag hisse me nadi ke roop me aage nikati thi. Ek dakshin-poorv (south-east) hote hue Dadauli se hote hue aage badhi thi aur dusri uttar-poorv (North-east) hote hue Premnagar ke peeche se nikalti thi.

Dadauli se hokar bahne wali nadi Dadauli aur jungle ke bich boundary ka kaam karti thi. Nadi ke dusri taraf aur bhi jayada ghana jungle tha.  Dadauli se aage badhne par iss nadi me ghane jungle se aati kai aur chooti nadiya mil jaati thi jis se iss me kafi paani ho jata tha. Yeh nadi  aage jakar uttar ke taraf mur gayi thi. Yaha government ne ek chhota sa baandh bana diya tha. Iss baandh  se ek nahar  nikaali gayi thi jo Premnagar aur Abhaipur ke kheto ko paani pahunchata tha. Iss nadi me aage jakar uttar-poorv se aati pahari nadi bhi mil jaati thi. 

Main sarak se baandh  kacche chaure rasste se jura tha. Aam-taur par iss sarak par koi aata jata nahi tha.  Thane se baandh jo ki pashchim ki taraf tha bhi ek kacche raste se jura tha. Iss raste me ek bahut hi khubsurat Radha-Krishan ka mandir tha uski bhi ek itihaas hai jo hum kabhi aur sunenge.  In sarako ke aalaba bhi  kai chhote-mote raaste main sarak se jurati thi jo ya to kisi aur chhoti sarak par khatam ho jati ya fir aage jaa kar band ho jati.

Aparijita ne ek baar fir Arpita ki report padhi. Usme iss baat ka khas taur par jikar tha  ki thane ke hud me aane wale jungle ke illake me kisi anajaan kaaran se na to vishaile saanp hi paaye jate hai aur na hi bare manshari janwar. Aas- paas ke log kisi sadhu ke vardan ko iska kaaran mante the. 

Gaunwalo ka manna tha ki 1857 ke sipahi vidroh me jab kuchh sipahi angrejo se bachte hue yaha ke junglo me aa ke chhipe the tab in deshbahkto ko jungle ke jaanwaro se koi khatra na ho isliye us mahan Sadhu  ke aadesh par saare manshari janwar aur  vishaile saanp nadi paar kar ke bahut ghane jungle me chale gaye the.     

Arpita ke report ke anusaar nadi ke iss paar aur us paar dono taraf ke jungle me 1857 me aur phir baad me Ram Parsad Bismil ke sanghtan "Hindustan Republican Association" ke  sadasyo  dwara kai chhipane ke thikane ke roop me surang aur gupt ghar banaye gaye the. Gyaat thikano ke detail report me diya gaya tha. Saath hi ab tak anajaan thikano ke anumaanit sankhya aur sambhavit jagah ke baare me bhi bataya gaya tha.

Report me iss baat ki aashanka jatai gayi thi ki sayad in me se kuchh jagah ka istemal apradhi kar rahe hai.  Un jagho ka muyana Aparijita khud karna chahti thi.

Aparijita ko iss adventure ke liye ek saathi ki zaroorat thi jo na sirf bahadur ho balki apne dimag ka istemal karke uske saath kadam mila kar chal sake. Gopu iss kaam me Aparijita ka saathi ban  sakta tha. Gopu ka vidhur hona bhi use aurao ke apeksha kuchh extra marks dilwa rahe the. Chuki wo akela tha isliye wo Aparijita ke saath kaafi time inn adventure me de sakta tha.  

-------------------------------------------------------------------

Dusre din subah 5.00 baje Aparijita aur Gopu phir thane ke bahar usi per ke nicche mile. Aaj Aparijita ke cycle me lage basket me ek kapre ka bag rakha tha. 

"Aaj hum thori teji ke saath aawadi wale hisse se nikalenge. Sarak ke paas wale kuchh gharo ka bahar se hi muyana karenge aur phir pahari ki taraf badh jayenge." Aparijita ne Gopu ko aaj anusoochee (schedule) ke baare me bataya.

Subah 5.30 baje tak baje Aparijita aur Gopu phir se pahari ke prakritik chabutare par the.  

Chabutare par pahunchne ke baad dono prakirti ke adbhut drisya ko dekh kar mantrmugdh se khare rah gaye. Purab se Suryadev apne saato ghoro ke saath apni parikarma suru karne wale the. Unke sawagat me prakirti ne lal phulo se path sawara tha; phulo ki lalima se purab ka aasman aur dharti ka milansthal jise kuchh log khistijh bhi kahte hai, dhak gaya tha. Kuchh palo ke baad Suryadev muskaurate hue apne rath par prakat huye. Idhar pahari par baithe panchhiyo ke jhund ne Suryadev  ke sanman me chah-chahate hue gaana suru kar diya mano naye din ke swagat me Suryadev ko apna shardha-suman arpit kar rahe ho.

Naa jane abhi wo dono kab tak prakirti ki sundarta niharte rahte par unka dhyan panchhiyo ke dusre jhund  ne tor diya jo theek unke sar ke kuchh upar se chahchahate hue gujre. 

Aparijita ne jhat se apne bag se ek saktisaali wild-life photography ke liye bana shaktisaali camera nikala aur teji se prakirti ke khubsurat najare ko camere me qaid karne lagi. 

Gopu ne utsuktapurv Aparijita ka bag utha kar usme jhanka.

Bag me Gopu ko ek saktisaali durbin, ek torch, ek shikari chaku  dikha. Gopu ne iss tarah ka shikari chaku isse pahle sirf ek hollywood movie me hi dekhi thi.  Bag me  ek notebook, pen, pani ki ek bottle, raasi ka ek chhota sa bundle aur ek chhota sa first-aid kit bhi para tha. 

Kuchh snaps lene ke baad Aparijita Gopu ke taraf lauti aur kal wali jagah ka ek baar fir se muyana karne ko kaha. 

Dono alag- alag dishayo ka muyana karne ke baad phir se mile.  

"Hamare jaane ke baad se yaha  koi nahi aaya.  Aao aaj hum thora upar chal kar muyana karte hai. "  Aparijita ne upar ki taraf apne kadam badhate hue kaha.

Kuchh aage badh kar Aparijita ruk gayi.

Iss jagah par kaafi unche–unche per the. Aparijita aur Gopu ne kuchh der tak durbin se ghum ghum kar dur tak dekhne ka prayas kiya par ek purane khandhar rupi ghar ke aalwa kuch nahi dikha jabki mili jaankari ke anusaar kam se kam 3-4 jagah to yaha se dikhni chahiye thi. 

Aparijita camera nikal kar khandhar rupi ghar aur uske aas-paas ki photo lene lagi.  Photo lene ke baad usne Ghanshyam aur Harilal ko nirdesh diya ki gaon me pichhle 6-7 mahine me jo bhi log aake base hain un sabhi ka  detail jama kiya jaye.  

 -------------------------------------------------------------------

"Wo per dekh rahe ho. Iski unche daalo par chadkar jungle ke un hisso ko bhi dekha jaa sakta hai jo abhi nahi dekhe jaa paa rahe hain." Aparijita ne Gopu ko ek bahut unche aur bahot puarne per ki ishara karte hue kaha.

"Madam ! Par ispar chadhenge kaise kyoki iska tana itna mota hone ke saath-saath bilkul sidha hai, isliye isse pakar chadha nahi jaa sakta hai." Gopu per ko chharo taraf se dekhne ke baad bola.

"Gaur se dekho. 10-11 feet par iski wo daal aa rahi hai; jisse upar chadha ja sakta hai. Tum apne jute utar kar yaha aayo." 

Gopu ko kucch samajh me nahi aaya ki jute utar kar kya hoga ; phir bhi wo jute utar kar Aparijita ke paas aa gaya jo ki  per ke tane se bilkul sat kar khari thi.

 "Tum mere hatheliyo se hote hue mere kandhe par pahuncho aur phir us daal ko pakar kar upar jaakar durbin se charo aur ka muyana karo." Yeh kah kar Aparijita thora jhuki aur apni  hatheliyo ko aapas me fansa kar khari ho gayi.

"Madam ! Main khara ho jaata hoon aur aap upar chadh kar muyana kar len." Gopu ne thora sakuchate hue kaha.

"Main bhi muyana karungi. Dono ko dekhna isliye jaroori hai taaki kuchh chhute nahi. Ek hafte ke andar saare sandehapasad jagah dhundkar phir sirf unpar hi concentrate karenge. Aur tum ghabrayo nahi; main tumhara bajan sambhal sakti hoon."

Phir dono ne baari baari se us per par chadh kar charo taraf ka muyana kiya to unhe door kuchh khandharo ke nissan mile; jiska photo unhone le liya. Usi waqt Aparijita ko paas ke dusre per jo isse bhi jyada uncha tha; tak pahunchne ka raasta dikhayi dia.  Us per par niche se chadhna kandho par chadh kar bhi  mumkin nahi tha par iss per se uss per ke 2 majboot daalo me 4 feet ka faasla tha. Dono pero ke daal agal-bagal se yu guzar rahe the maano dono ne aapas ek-dusre ko space dene ka faisala kar ke takrab rokte huye apne-apne raaste badh gaye. Aparijita duri aur daalo ki majbooti ka hisab lagate hue Gopu ki aur badhi.

"Gopu ! Kya tum yeh duri chhlaang laga kar paar kar shakte ho. Agar isme kamyab ho gaye to hamara chabutare ki taraf ka muyana khatam ho jayega."

“Madam! Agar thora daurne ki gunjyaish hoti to sayad mai kar leta; par per ki daal par kaise daura ja sakta hai." Gopu  thora hichakte hue kaha.

"Mere dimag me yeh idea hai. Main karti hoon."

 Aparijita per par chadh kar us daal ke kinare khari ho gayi. Gopu ko samajh me nahi aa rah tha ki wo kya karne wali hai.  Aparijita daal ke aaspaas ki patli-patli daliyo ko torne lagi. Uske baad  usne jo kiya usse ek baar to Gopu ka kaleja munh ko aa gaya tha.

Aparijita daal par apne dono haath upar karte huye sidhi khari ho gayi.

Agle hi pal Aparijita ne apne sarir ko dusre daal ki aur girne ke liye chhor diya.

Aparijita ne girte-girte dusre per ki daal ko dono hatheliyo se pakar liya.

 Gopu mooh khole Aparijita ko daal ko dono haatho se pakare latke dekh raha tha.

Aparijita ne dhire-dhire apne sarir ko upar khichna suru kiya. Thori der me hi wo daal par baithi hui najar aa rahi thi. 

Aparijita patli rassi ke sahare Durbin aur camera upar laa chaaro taraf ka muyana kar kuchh aur photo lene ke baad phir rassi ke sahare dono chheje Gopu ko thama diya.

Gopu ko samjah me nahi aa raha tha ki ab Aparijita utaregi kaise kyoki zameen se sabse nazdik ki daal bhi 20 feet ki uchayi par thi. 

Gopu ne Aparijita ko jiss tarah se per se utarte dekhya wo to wah sapne me bhi nahi soch sakta tha. 

Aparijita daal ko pakar kar latakne ke baad us daal ko pakar kar jhulne lagi thio. Gopu ke dekhte hi dekhte Aparijita ne zameen ki taraf chhalang laga thi aur zameen par kudte hi usne kuchh ludhkaniya khai aur phir sidhi khari ho gayi.

Gopu mooh khole khara tha. 

 "Hamari mehnat jaya nahi gayi. Dur ek bara khandahar dikha hai aur paas hi ek jharna bhi hai. Use kisi din check karna parega." 

 Gopu aur Aparijita thori der aur waha bitane ke baad wapas laut chale. 

-------------------------------------------------------------

Gopu aur Aparijita usi tarah agle 5-6 din alag alag dono sarak ke aas-paas ki jungle chhante rahe.  Aparijita sabhi sandigdh jagho ki list banati jaa rahi thi. Usne thane ke aas-paas se jungle me ghush kar pahari tak aur dusre jagaho par pahunchne ka cycle ka raasta dhund nikala tha. Thane ke andar kamro ka kaam bhi khatam ho chuka tha. 

Aparijita ne Gaun ke mukhiya Javed Khan se bhi thane me mulakat kar li thi. Javed Khan waisa hi tha jaisa Arpita ne apni report me likha tha. 

Javed ne Aparijita ko pure support ka vada kiya tha. Javed Aparijita ki knowledge aur baat-chit karne ke tarike se kafi impress tha.  Halaki thane ke staff ne apne taur par puri kosis karke naye logo ki jaanakari taiyar ki thi phir bhi kuchh log chhut sakte the. Isliye Aparijita double check karne me Javed Khan ki madad chahti thi.

"Javed bhai! Aapko aajkal desh ki haalat pata hi hai. Kuchh asamajik tatva logo ko bharka ke aapas me ladwa rahe hain. Hume yeh andesa jataya gaya hai ki Premnagar aur uske aas-paas me eise hi kuchh prayash kiye jaa sakta hain. Iss tarah ki ghatna ghat chukne ke baad mahaul ko phir se pahle jaisa laane me varsho lag jaate hain. Magar logo ke dilo me jo zakham lag jata hai wo kabhi bhar nahi pata. Isliye hamara prayas ye hona chahiye ki iss tarah ki ghatna ki chahar rakhne walo ko benaqab kare taki wo yaha ki shaant fiza me zahar na ghol sake. Aap paancho gaun me pichhle ek saal me basne wale saare logo ke bare me jaankari humse share  kare."

Javed uski baato se sahmat tha aur usne jaankari ikkathha kar 10-12 dino me milne ki baat ki. Uske jane ke baad Aparijita ek baar phir pure staff ke sath meeting kar rahi thi.

"Aap sabhi ne unko diye gaye kaam ko kaafi acche se kiya hai. Yeh kuchh jagah jungle ke andar hain. 3-3 ya 2-2 ke group me aaplog waha tak jayenge aur pata karenge ki waha logo ki rahne ya kabhi kabhi aane ki koi nissani hai ya nahi. Humlog waha ki aur waha apni camere se tasweere khinchenge. In jagho par sabko baari-baari se jana hai taki har koi un jagaho se parichit rahe." Aparijita ne apne laptop par un jagaho ko aur ek chhota sa camera dikhate hue kaha.

"Yeh aaplogo dwara taiyar list hai jisme pichhle 6-7 mahine me apne had ke sabhi gauno me rahne aaye logo ke naam aur pata hain. Aaplogo ko mukhbiro aur gaun me apne jaankaro se inke baare me aur jaankari jama karni hai. Aasha hai ki aage bhi hum ek team nahi balki ek pariwar ki tarah kaam karenge. "

Tabhi darwaje par do larke 2 bari tokri lekar aaye aur Aparijita ke issare par ek kone par rakh kar chale gaye.

"Innam ke taur par mere taraf se aap sab pariwar walo ko saam ka nasta aur aapke ghar walo ke kuchh mithayia."   Aparijita ne tokariyo ki taraf issara karte hue kaha. 

Aparijita vaastav me apne staff dawra ki gayi mehnat se kafi had tak santust thi.  Aparijita maanti thi eise chhote-chhote karyakaram staff members ko apne saath jore rakhne me kafi madad karta hai.
Sabkuchh shaant lag raha tha ki ek ghatna ne Premnagar ki shanti bhang kar di. 

----------------------------------------------------------------------------------------

4 comments:

  1. Hi bro,

    ty for ur writings,since xoosip is gone really miss that fun...

    hope ull continue ur journey here,,,

    Can i please request u for Sarfarosh novel...given ur schedule its too much to ask...but i hope ill be lucky to have my favourite novel reading again ..

    looking forward kindly...

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dear,
      Thanks for visting here to read.
      I am posting here the version which is more cleaner and edited version with division of chapters so that reader can revisit the correct page if need to rearead some portion. You may have notice that from starting this series on this blog shows different type of bonding between charcters. I am trying to post in asap but due to hectic job schedule could not get enough time.
      Since, you are reading so I will update per week so that you have something to read. I need just some encouragement to keep jeal to rewrite and post regularly through reply of some readers.
      thanks and regards

      Delete
  2. Ty for your reply, appreciate the effort u put in and to be honest ur writtings have sence...i been with ur story SARFAROSH since April 2015...its kinda bonding...

    I woould like to request if u please start posting SARFAROSH...though its not acceptable for some people prospective but i would not mind as it brings another side to the story...just fiction wouldnt hold it as thats been beautiful...

    Would u please give me any inside on that please given some not clean parts as to me they are core?m !...Will aporeciate ur consideration as that novel is my fav. n none can be other then u to share...

    listen to u soon bro,...ty

    ReplyDelete
    Replies
    1. Dear bro,
      Thanks for your kind reply.
      I apologise for not understand the your reply completely. I saw your reply late otherwise you would read 1 big post today. I was busy in some other works so delay in post next update. Please communicate with email associate with this blogpsot. Email is sarfaroshseries@gmail.com.

      regards

      Delete