Sunday 17 March 2019

Apharan ki suchna

Ek din subah -subah hi Javed khan ka phone Aparijita ke paas aaya.

 "Madam ! Kuchh badmaso ne  Ramdayalji ke bete ko bandhak bana liya hai. Applog jaldi se yaha aa jayei." Javed khan ne Premnagar ke ek muhalle ka naam batate hue kaha.

 Aparijita iss waqt apne quarter me lunch kar rahi thi. Usne usi waqt Ghanshyam ko phone laga 8 logo ke team ke saath encounter ke liye taiyar hone ko kaha. Usne sabko uniform badal saade  dress me taiyar hone ko kahe. Usne raat ke duty ke staff ko ko bhi thane me pahunchane ko kahne ki liye kah khud uniform ki jagah jeans aur a dheele dhali shirt pahne lagi.

5 minute bad thane se 1 jeep aur 2 motor cycle nikali. 

Ek motorcycle par Ghanshyam aur Amit naam ka ek constable saadi dress me the aur dusre par Gopu aur Dinesh naam ka constable saadi dress me the. Jeep me Aparijita ke aalaba 4 constable aur bhi the.
Jeep Suresh chala raha tha. Jeep me Rohit aur Japu ke alawa Arjun naam ka constable bhi tha. Harilal thane me tha. Abhi tak raat duty ke staff thane nahi pahuche the. 

5-7  minute baad hi ye kaafila Javed Khan ke bataye jagah se kuchh pahle pahuch ruk gaya.
Javed Khan jeep ki or badha. 

"Madam. Subah-subah jab Ramdayalji ka beta Kailash kheto se laut raha tha; takriban 4-5 logo ne use jabardasti us jeep me daal liya. Ek gaun wale ne Kailash ko bachao-bachao chillate sun liya. Usne daur ke baaki khet me kaam karne wale logo ko apharan ke baare me bata turant mujhe bhi phone kiya."  Javed Khan ne ek jeep ki aur issara karte hue kaha.

"Idhar main gaun walo ko ikkatha kar raha tha aur udhar khet me kaam kar rahe logo ne waha se nikalne wale raasto ko bailgariyo aur maveshio se band kar diya tha. Jab badmaaso ko bhagne ki jagah nahi mili to unhone jeep ko kheto me utaar diya.  Wo kheto se jeep durate huye yaha pahunche. Yaha hum gaun wale pahle se hi ghera daale baithe the." Javed khan ne haath ke issare se un jagho ke baare me bataya.

"Hum logo ne jab unhe khaderna suru kiya to unlogo ne golibari karte huye jeep bhagani suru kar di.  Par wo jyada bhaag nahi paaye aur unki Jeep us per se takra ke ruk gayi. Humloh unki or daure to wo Kailash ko leke us naye ban rahe makan me ghus gaye . Kuch gaunwalo ne us makan tak jaane ki kosis ki to unhone phir se golibaari suru kar di jisme 4 gaun wale zakhmi ho gaye hai. Unhone uske baad mujshe aur Ramdayalji se phone par baat ki hai. Wo gaun se surakashit nikalne aur firauti ki rakam milne ke baad hi Kailash ko chhorne ki baat kah rahe hain. Unhone dhamki di hai agar humne us makan ki aur najdeek jaane ki kosis ki to wo Kailash ko maar denge." Javed khan ne ek saans me hi saari baate kah daali.

Aparijita ne sabse pahle chharo zakhmi logo ko Suresh, Japu aur 2 gaunwalo ke saath Premanagar ke hospital me pahucha turant vapas aane ko kaha. Kisi bhi gaaunwaale ko jaanleba zakham nahi laga tha. 

Tabhi Ramdayal apni jeep me badhawas waha pahuncha.  

Aparijita ne Ramdayal se akele me baatchit suru kar di. 

Ramdayal ne Aparijita ko bataya ki kal hi usne ek business deal ghar par final ki thi jis se 50 lakh mile the. In badmaso ko rakam ke baare me pata hai aur wo Kailash ke chhorne ki wahi keemat chahte hai. Saath hi wo bhagne ke liye Ramdayal ki jeep bhi chahte hai. 

"Apne unse yeh to nahi kaha ki aap saare rakam ek saath la rahe hain." Aparijita ke deemag me ek idea aa raha tha.

"Nahi madam." Ramdayal ne bataya.

Achanak Ramdayal ko Aparijita dwara uthaya jaane waale kadam ki or se kuchh aashanka mahsoos hua. 

"Madam mujhe rupayo ki itni parwah nahi hai.  Rupaye to aate-jaate rahenge par beta ... Agar aaplog kahenge to aaplogo ko alag se dunga, bas mere bete ko sahi salamat bacha lijeye."

Ramdayal ke chehra safed ho chala tha. Uska pura sarir thandhe mausam me bhu paseene se tar tha. Wo baichaini se apne hateylio ko apas me ragar raha tha. Uske honth farfara rahe the maano wo bari siddat se apni rulayi ko phoot parne se rok raha hain.

"Hoon. Aapke offer ka main dhyan rakhungi. Filhaal aap unse phone par baat kijeye." Aparijita ne Ramdyalji ka kandha dhapdhapte hue kaha.

"Unhe bataiye ki aap abhi 30 lakh leke aaye hain kyoki 20 lakh aapne sahar kisi saude ke liye thori der pahle hi bheja hai. Wo rakam aapne wapas manga li hai jo ki 20-25 minute ke andar hi  aa jayegi." Aparijita ne Ramdayalji ko thora time maangne ka tarika bataya.

"Aapko unse apne bete ko dekhne aur baat karane ke liye bhi kahna hai.  Aapki kosis yeh honi chahiye ki jab aap waha jaaye to kisi bhi tarah se unse mile aur hume thora samay dila sake. Haan ek baat aur firoti ki rakam aur baaki baaten sirf humdono ke beech hi rahe."  

"Madam, main apne jaante puri kosis karunga ki kisi tarah us makan ke andar tak jaa saku. Main samjahta hoon ki aapko unke baare me kuchh jaankari chahiye aur isi liye mujhe andar jaane ko kah rahi hain."   Yeh kah kar Ramdayalji phone par badmaso se contact karne ki kosis karne laga.

Aparijita Javed Khan aur apne staff ke logo ke saath aage ka plan banane lagi.

"Chaila se aage nahi jaya jaa sakta hai  isliye badmaas us taraf nahi jayenge. Wo eise kisi bhi raaste par nahi jayenge jaha unko baad me ghera jaa sakta hai. Isliye wo yaha se bhagne ke liye sahar ka raasta hi chunenge. Sahar jaane wali sarak  aage nahar  wali kachhi sarak se milti hain jo kheto se hote hue phir aage jaake main sarak par mil jaati hai."

Aparijita ek second ke liye chup ho Javed Khan ki or dekh yeh jaanane ki kosis ki Javed uski jaankari se sahmat hai ya nahi.  Javed khan aur baaki staff ke gardan hila kar haan kahne par wo phir aage ka plan batane lagi.

"Javed Bhai. Maine abhi raaste me ek baalu se bhare truck ko dekha tha. Aap apne saath kuchh gaun walo ke saath us truck ke saath sahar wali sarak par pahunche aur jaha  nahar wali sarak alag ho rahi hai  us se 100 meter aage truck aur raaste ke per ke sahare sarak ko iss tarah se block kar dijeye ki aage koi bhi gaari naa ja sake." Aparijita ne ek paper par rough sketch banate hue kaha.

"Mujhe bataya gaya tha ki gram-panchayat ke paas bijli wali aari hai. Aaplog 3-4 pero ko iss tarah se kaat ke sarak aur truck par girayie ki truck usme phansa najar aaye.  Cheeje sandgidh naa lage isliye 2-3 gaun wale waha truck ko nikalne ke liye un pero ki tahniya katate dikhne chahiye."

Aparijita ne phir ek baar apne shrotao ki or dekh aage plan batane lagi.

"Kal raat me jabardast tuffan aaya tha isliye raaste me pare per se  unhe utna shaq nahi hoga. Wolog zaldi se bhagne ke liye nahar wala kheto ka raasta chunege. Nahar ke taraf ke kheto me abhi ganne ki unchi-unchi phasal lagi hain. Issi raaste me aage jaakar maveshiyo ke liye chhore gaye charagah ka raasta bhi milta hai." Aparijita ne paper par tezi se inn jagho ki rough sketch banate hue kaha. 

"Jaise hi badmaso ke jeep aati dikhayi de to maveshiyo ke jhund ko haank kar jeep ke aage kar dena hai.  Charwaha maveshio ko haank kar waha se dur jaa kar chhip jaayega. Badmaso ko khud hi maveshiyo ko hatana parega.  Abhi tak ke plan me agar kisi ko koi kami nazar aa rahi hai to bataye." Aparijita ne ek baar sabki or baari-baari se dekhte hue puchha. 

"Madam! Hum to unhe main sarak par bhi gher shakte hai, phir itna tedha raasta kyo?" Ghanshyam ne puchha.

"Hamari pahli prathmikta Kailash ko surkashit chhurana hai. Main sarak par hum Kailash ko chupke se nahi chhura sakte hain. Main sarak par dusre taraf se achank koi gaari aa sakti hai jise kabza kar wo badmas bhaag sakte hain. Wo sarak aage jakar kai chhoti moti sarako me mil jaati hai. Agar ek baar wo humare haath se us jagah se nikal bhaage to hum unhe phir pakar nahi sakenge. Nahar wala rasta par hum unhe chupke se gher sakte hai aur unka aage bhagne ka raasta bhi band kar sakte hai." Aparijita ne majboot swar me uttar diya.

Kisi ke kuchh nahi bolne par Aparijita ne aage bolna suru kiya. 

"Maveshiyo ko raaste se hatane ke liye kam se kam 2-3 logo ko jeep se utarna parega aur unhe jeep chhorkar kuchh aage bhi jaana hoga. Waha kehto me  Ghanshyam, Rohit, Amit, Arjun  aur main chuppe rahenge aur Kailash ko chhura kar kheto me ghus jayenge. Hum pahle sirf Kailash ko chhurane par concentrate karenge. Ek baar Kailash humare haat laga to hum teesre step par chalenge." Aparijita ne Rohit, Amit aur Arjun ki aur dekhate hue kaha.

"Japu aur Suesrh  jeep lekar  nahar wali sarak ke pool par rahenege." Aparijita ne ek dusre paper par wo jagah ki sketch banate hue kaha.

"Pero ko kaat kar sarak jaam karne ke liye Gopu aur Dinesh gaun walo ke saath jayenge taaki agar kuchh khatra ho to wo un gaun walo ki hifazat kar sake. Jaise hi badmaso ki jeep main sarak ko chhor nahar wali sarak par muregi to yeh dono motor cycle se main sarak se aage badh kar Japu se mil jayenge. Hamare taraf se Kailash ko chhurane ki suchna milte hi chaaro jeep aur motorcycle se badmasso ko aage se gher lenge." Aparijita ne Suesrh aur Dinesh naam ke do sipahiyo ko dikhate hue kaha. 

"Agar kisi vajah se hum Kailash ko hum niyat jagah par nahi chhura paye to nahar wali pool ko block karke yeh naya prayash kiya jayega." Aparijita ne alternate plan batate hue kaha.

"Javed bhai. Mujhe aapki bike chahiye hogi; aasa hai aapko koi aapati nahi hogi. Ghabariye mat, jo bhi tut-fut hogi uski farpai main apne jeb se turant kar dungi.” Aparijita ne Javed ko kaha.

“Madam , aap to sarminda kar rahi hai. Bike aap le sakti hai. Aap chahe to ye wala moped bhi use kar sakti hai." Javed khan bike ki chhabhi dete hue ek moped ki aur issara karte hue kaha. 

Moped bhi Javed Kahn ka hi tha jo uske ghar ke kaam ke liye uske khaas naukar use karte the. Moped ki chabhi bhi turant Aparijita ko mil gai. 

Thori der me saare log plan ke anusaar lag gaye. Gopu aur Dinesh Javed aur kuchh gaunwalo ke saath raasta block karne nikal pare . Ek Motorcycle par  Ghanshayam aur Amit nikal pare jabki moped Rohit aur Arjun ke paas thi. Japu ko jeep ke saath plan ki jagah par seedhe pahuchane ko mobile par kah diya gaya tha.  Aparijita akeli Javed Khan ki bike par thi.

1 comment:

  1. अब कहानी बढती दिख रही है...

    ReplyDelete